Forum.Noorclinic.com
NoorClinic: Pakistani Sex Clinic

 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic | Articles | Forum | Health| Sex | General Site Map
Men Health | Women Health | Procedure| Pakistani Matrimonial | Videos
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married | Junk , Spam, Irrelevant & Repeated Post
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
NoorClinic
Home(General)
Home(Health and Sex)
Forum Procedure
Noor Clinic Home
Book For All
Book For Women
Book For Men
Baby Care
Daily Questions
New Topics (Health & Sex)
Recent Reply (Health & Sex)
Social Problem
    Start New Topic  My Profile
 

Whether I Am Gay?

Religion and Sex   >>  Homosexuality (Gay and Lesbian)
Improve Male Fertility
20 Top Tips for Improving Male Fertility!
Food For Male Libido
Male Libido - Foods to Increase Male Libido Naturally
Health Advice From China
Male Sexual Health Advice From China
Male Menopause
Male Menopause – Myth About Male Menopause
zabad zaba Group: Members  Joined: 12th Sep, 2009  Topic: 2  Post: 3  Age:  25  
Posted on:14th Sep 2009, 1:33am
 

Whether I Am Gay?


i have a strange problem.i have a friend.He has been my classfellow for 4 years.
i like him very much.So much k main chata hon k wo har waqt mere sath rahe .
aur main yeh b chata hon k wo kisi aur k sath friendship na rakhe.
Mujhe samaj nhin ati k main aisa kiun chata hon.kiya is ka ye matlab hai k main gay ho?mujhe is silsale me bhut confusion hai.Plz someone tell me.
Yahan main aik bat clear karna chata hon k mujhe os k sath sexual relations rakne ka bilkul b koi interest nhin hai.Aur na hi mujhe yeh bath pasand hai.infact i hate that thing.
lakin is k bawajod main chata hon k wo sirf mara friend ho.Mare is condition ka kiya reason ho sakta hai?????????
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 115  Post: 6805  Age:  54  
Posted on:14th Sep 2009, 2:02am
 

ibtedaa.e.gay hai rotaa hai kia

aagay aagay dekhiyeh hota hai kia........ agar ap waqe'ee gay 'banna' pasand nahi to... gurbah kushtan rozay awwal... k masdaaq oss friend say apni dosti batad reej kam kartay chalay jayaiN hatta k woh bhi ap k deger class fellow ki tarah rah jaa.ay

agar ap ko 'masla' maloom hai to iska yehi hull hai. jab ap oss say dooooooor hotay jayengay to ap ko pataa chalta jayegaa k kaheeN ap oskay 'hijr' maiN to mubtalaa nahi hogayee.... agar sab kuch normal rahay to normal friendship maiN koi mozaaiqah nahi... lekin agar oss say doori par dil oski taraf khinchay to ap k pass 2 raastay hongay... yaa to jaan boojh kar gay bannay ki taraf agay baRhtay jayaiN yaa apnay nafs par qaboo panay ki jiddo johad karaiN.

iss jiddojohad maiN ap deger mashaghal ki taraf tawajjah daiN. sehatmand books paRhaiN, sports start karaiN gyn jayaiN. agar muslim haiN to namaazay punj.ganah ki taraf tawajjah daiN aur Allah say dua karaiN. insha Allah afaqah hogaa.

love bird Group: Members  Joined: 06th Nov, 2008  Topic: 73  Post: 1177  Age:  37  
Posted on:14th Sep 2009, 4:25am
 

Zabad Zaba Sb

Rizvi Sb:

a very funny comments specially ibtedaa.e.gay hai rotaa hai kia.......aagay aagay dekhiyeh hota hai kia..lol..Meer Taqi Meer nay bhee kabar mein karwat li hogi....

Zabad Zada Sb:

Agar app ko iss tarah kay sex ko napasand kertay hain tou yea bohat achi baat hai app ki feelings agar oas dost kay be panah hossan ki wajah say hain tou yea agay jaker app k lihay problem ban sakti hain ....oas soorat mein agar app apnay app ko control rukho tou kuch arsay baad app normal hojahoo gay asal problem app ki age ka bhee hai .

Apni study ki tarf tawajah dain acha literature parahain oar   oas say miltay rahain q keh agar app nay bohat jabbar kia oar oas say milna choar dia tou kuch arsay k baad jab app kay hosalay toot jahain gay tou app pir wapis oasi dar per ajahain gay so miltay rahain oar yea jannay ki koshish karain keh app keh dost mein hossan kay ilawa kia khoubian hain ....app ka mazaj oar oas ka mazaj oar area of interest common hai ya naheen ...

Oar apnay kissi oar class fellow say dosti karain jiss say app k interests mazaj common hoon

zeb Group: Members  Joined: 18th Aug, 2007  Topic: 114  Post: 13610  Age:  32  
Posted on:14th Sep 2009, 5:42am
 

hmmm

jo kuch ap ne bataya us se ye zahir hota hai k ap us ki dosti aur us k barey mein bht ziada possessive hain

aisa ho jata hai bht se logon k sath k wo bht ziada possessive ho jatey hain

phr wo kisi aur ko us k sath bardasht nahi kr sktey

ye bi ek kisam ka phchological problem hota hai

it does not mean k ap pagal hain ya koi zeheni mareez hain

bus ye ek mental disturbance samajh leyn

behter hai ap ye masla kisi psychatrist se personally discuss keryen ...wo ap ko behter guidance deyn gay k is se kis tarhan se deal keryen

ap ne khud kaha k ap sexual bateyn us k baey mein nahi sochtay na hi ap ko ye pasnad hai...it shows k u r not gay....agr ap k zehen mein zara si bhi us k barey mein ya kisi aur larkay k barey mein sexual soch ati hai to phr is ka matlab ha k ap gay hain

Doctor K K Group: Members  Joined: 02nd Apr, 2009  Topic: 25  Post: 1969  Age:  36  
Posted on:14th Sep 2009, 12:09pm
 

Re: Whether I Am Gay?

This is not Gayism that if a person like some one he wants to have strong friend ship with him and he dislikes that the one with whom he loves more would make friendship with others. Love does not means that it could happen only between male and a female.

Hazrat Yaqoob A.S loved his beloved son Hazrat Yousuf A.S in such a way that he lost his sight in weeping for his seperation. 

Allah's Apostle Muhammad PBUH's friend Hazrat Abu Bakar who has provided him the help that he could give to him to such an extend that Allah's Apostle PBUH declared that " I have given the reward of every body's favor except Abu Bakar's R.A that i cant give to him as per his extreme favor with me. And Allah will the only one who can furnish him these rewards".

Islam likes friendship very much. According to Hadith, when two people meet togather only for Allah, then both of them would reach to paradise.

Friendship does not mean that any body would be jeolous if his or her friend would make other friends. However; these types of feelings show extreme love. It does not mean that these people would make sexual contact  in the future. I request to the knowledgable members to analyze the quarries and give answers righteously. Thanks



myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 115  Post: 6805  Age:  54  
Posted on:15th Sep 2009, 9:41pm
 

dosti aur ishqay mijazi

dounouN maiN aik bunyaadi faraq hota hai....... dosti khaah ketni hi qareebi, porani aur gahri kiyouN nah ho, dosti k darmayaan kabhi bhi jazbah.e.raqaabat nahi hotaa...... jabkay ishqay mizaaji maiN hamesha... g haaN hamesha jazbah.e.raqaabat hota hai.... aashiq kabhi bhi yeh nahi chaahtaa k oskay elawah koi aur oskay mashooq ki taraf motawajjah ho yaa oska mashooq kissi aur ki taraf motawajjah ho.

meer kia saada haiN, bimar howay jiskay sabab

ossi attar kay launDay say dawaa letay haiN

yeh ishqay mijaazi (khaah yaktarfah ho yaa do.tarfah) opposite sex k mabain bhi hota hai aur same-sex (as in above ques) k darmayaan bhi.... har 2 ishq ka ultimate goal ... maashooq ka hasool aur dounouN ka milan hotaa hai..... go ishq k maraahil k dauran bahoot see guftani aur naa.guftani /jaiz aur mayoob / harkaat sar zad hoti rahti haiN (issi ki raah maiN mazhab o deen /samaaj haa'il hota hai) tahaam agar ishq opposite sex k darmayaan howaa ho to onkay 'milan' ka ultimate goal chouNkay jaiz aur halaal hai... lehaza opposite sex wali ishq ki "kaamyaabi" (shadi/milan) ko amooman accept karlia jata hai... qanoon /mazhab ki nigaah maiN... jabkay doosray qism k ishq apnay goal tak pahonch jaa.ay yaa raastay maiN safer pazeer ho... at least mazhab issay qabool nahi kartaa... dunyaa k secular qawaneen batad reej issay qabool kar rahay haiN....... aur hum inhi secular behaviours say motassir honay k sabab kissi nah kissi stage par gay yaa iskay mazaahir ko qabooltay rahtay hain... daanistah yaa naa.daanistah yaa adam waqfiat k baaes... kabhi dosti ka naam dekar to kabhi kissi aur naam say.

Allah hamaiN aqlay saleem ataa karay takay hum baat ki gahraayee tak jaakar isay samajh sakaiN. islam har oss raastay par safar karnay ko discourage (haram nahi) karta hai jiski manzil HARAM tak lay jaati ho.

System Group: Members  Joined: 03rd Jun, 2008  Topic: 40  Post: 2268  Age:  32  
Posted on:16th Sep 2009, 1:40pm
 

zabad zaba

agreed to Doctorkk
Mazeed main yeah kaho ga... keh yeah aik ishiq ki ibtda hai... koi bhi chez begair sekhe nahee ati... aur her insaan ko sab kuch nahee milta isi trah Ishq bhi her insan ke muqaddar main nahee..  jo kuch app ke saath ho rha hai yeah aik ibtdai lesson hai... basically app kuch arse ke baad shaid saal ya 2 saal baad is ishiq ko Bhool jain ge.. but app ke dil ko ishiq karna ajai ga... aur yeah ishiq ki asal manzil sirf allah aur uska rasool Hazrat Muhammad صلی اللہ تعا لی علی محمد   hai...  Ishq woh chez hai jo kissi lucky insaan ke dil main rehta hai...  But be very very very carefull .. even is ishiq main bhi shaitan gar bar ker sakta hai... shaitan ka kaam hi yahi hai ... mia bivi ko alag ker dena, hanste ko rula dena.. aur pak rishton main khot dal dena isi trah app ki situation main bhi app full muhtat hona hai ke physically app aik dosre ko touch na hi karen to behtar hoga..  shaitan woh chez hai jo Baap beti - ya bhen bhai main bhi kharabi peda ker deta hai... to app sirf dost ho...   Baqi app ko dost app ko acha lagta hai iss main koi burai nahee hai.. apni feelings ko mehsoos karo aur koshish ker ke socho jis khuda ne tumhare dost ko bnaya aur jis khuda ne tumhe ishiq ya pyar ki feeling di hai to woh kitna pyara hai aur woh already tumhe pyar karta hai to why not love him and his RasoolHazrat Muhammad صلی اللہ تعا لی علی محمد ......

and YOu are not Gay... aisa un logo ke saath hota hai jin ko ishiq milna hota hai...

 

1
Miscarriage Detail
Detailed Information on Miscarriage
Miscarriage Alternative Medicine
Alternative Medicine, Home Remedies for Miscarriage Treatment
Abortion Methods
Abortion Methods - Learn 7 Different Types Of Abortion
Abortion Facts
Abortion Information and Abortion Facts
 
Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
Pakistani Urdu Magazine Pakistani Matrimonial Seo In Urdu World Information Pakistan Information Sehat In Urdu
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact Us Last Updated: 28th March 2013