ام الموم حضرت عائشہ رضی اللہ عنہا روایت کرتی ہیں کہ ، رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا :
جس عورت نے ولی کی اجازت کے بغیر نکاح کر لیا پس اس کا نکاح باطل ہے ، اس کا نکاح باطل ہے ، اس کا نکاح باطل ہے ۔۔۔
ترمذی
كتاب النکاح عن رسول اللہ صلى اللہ عليه وسلم
باب : ما جاء لا نكاح الا بولي
tu phr mujy bataoo k court main jo shadi ki jatee hy whaan kon hota hy valy jab k lerki ki maan behn bahi sub zinda hoty hain
2nd agr Halala k leay Bura (Haram) samjha jata hy tu Prophit (PBUH) ki ya Hadeath wrong ho sakte hy phr koi lerki apni merzi sy nika ni ker saktee plz think agr Halala k leay b Hadess hy k Lanat hy us per tu jab 3 time Nabi(PBUH) ny kaha Batal hy batal hy batal hy wo nika ab kia kehty hain ab
Moderator Note: Copy paste from other website are not allowed here
apne jo hadees shareef nakal ki hy uss me wali uss nikah k liye zaroori hy jis me nabalgh aurat ka nikah kia jay to wo nikah bageir wali k batil hy jesa k hamare aaqa(sallalhoalyhiwasllam)ne irshad frmaya or ap ka jo nikah howa tah wo baligh aurat se howa tah uss nikah me km azkm do gawaha chahiye or khud uss aurat ki raza mandi bs apne srf hadees nakal ki hy apko mushwara hy k ap jb b hadees prhen to uss ki tafseel or tasahreeh b zaroor prhen or sat me oulamadeen ki b madad len ye bhut acha hy kheir ap se phele hi iss mozoo pr tafssel se bat ho chuki hy chek this link:
bahi kia Nabalagh lerki ka nika ho sakta hy ya na baligh merd ka aj tak kaean ni pera k na baligh lerki ka nika jab wo nika ho he ni sakta phr ap us nika k leay valid ya unvalid khaan use kerain gy wo nika he ni--kindly main tu reacerch kerta ho main sirf pochna chahta ho k jab Nabi Pak(PBHU) ny ya Irshad kia hy jo bht Hadess sy milta hy k wo nika Batel hy 3 time or bht tu mujy batoo
quran say bhi saabit hai... nah sirf nikaah balkay rukhsati aur mobaasherat bhi allowed hai... quran main "mutleqah ki iddat" k silsilah maiN darj hai k agar mutleqah ka haiz start nah howaa ho (yaani naa.baaligh ho to) iddah period kaisay count ho.... for detail, see below article...
u r right MS.... aksar rewayaat k motaabiq ommul momeneen hazrat Aisha RA ka nikaah oss waqt howaa thaa jab aap RA naa.baaligh theeN aur onhaiN shadi beyaah k baray maiN (khud ap k bayaan k motaabiq) kuch pataa nahi thaa k yeh kia hota hai
bahi wo tu theek hy mujy bataoo jab Nabi (PBUH) ki bht c ahdees miltee
hain Nika per k without Guardian wo nika valid ni hy agr valid hota
tu kion itna zoor diya jata ya us lerki ki taraf Indiacte hy k uska
Wali us waqt ka King ho sakta hy jis ka koi na ho agr jiska koi hy tu
uska ka wali wo hy usk bagair nika valid ni Batal hy bht se ahdees hain
ab bataoo Court marrige kion valid hy jab aik lerka lerki choup kr nika
krty hain?????
2nd ya k Nika k leay bht c condition hain jin fulfil lazmee hy wo b ni ki jatee court main Mehr dyna kuch jo b what ever
bahi Pakistan main Khaan sy Fatwa mil sakta hy court marrige per
ajmaa.e.ummat yeh hai k nikaah ki basic sharaait yeh haiN... jab yeh shartaiN poori hojayaiN to nikaah valid hojata hai.
1. mard ka ejaab yani eh kahna k maiN iss laRli ko apnay aqad maiN leta houN
2. laRki ka qabool karnaa , laRkay ki above baat ko
3. iss ejaab o qabool k waqt 2 aaqil baaligh mard yaa 1 mard 2 aurtouN ka as gawaah maujood honaa.
above 3 baatouN say nikaah valid hojataa hai.. khaah yeh bataiN mazaaq hi maiN kiyouN nah kahi gayee houN like dramouN /movies maiN yaa makhloot majaul maiN azraahay mazaaq etc.... islam maiN nikaah aur talaaq k liyeh NIYYAT shart nahi. zobaan say adaa hotay hi valid hojata hai.
deger sharaait:
4. haqay mahar... nikaah haqqay mahar k beghair nahi hotaa lekin nikaah k waqt mahar ka zikar karna laazmi nahi albatath afzal hai... agar nikaah k waqt mahar ka zikr nahi howaa to mahray-misal laazim hogaa yaani laRki ki cousin etc ka jo average mahar baandha jata hai wohi yahaaN bhi tasawwer kia jayega.
5. wali ki ijazat: iss main fuqahaa maiN ikhtelaaf hai... taaham aksar yeh kahtay haiN k naa.baaligh laRki k liyeh wali ki marzi laazmi hai. baaz kanwari /bachelor laRki k liyeh bhi wali ki shart ko laazmi qarar detay haiN
6. khutbah e nikaah: yeh masnoon hai barkat ki sua hai koi farz nahi k iskay beghair nikaah hi nah ho
7. ijtemaa.e.aam: nikaah k liyeh afzal yehi hai k zeyadah logouN ki mahfil maiN monaqid kia jaa.ay... lekin yeh bhi laazmi nahi.
8. nikaah k baad VALIMAH bhi sunnat hai, afzal hai... taham yeh bhi farz /laazmi nahi
PS: hum nay above main ummat k aksariyat ki baat ki hai... baaz aqliati firqoun maiN iskaa ulaT bhi hosakta hai aur kissi makhsoos mufty say makhsoos fatwa bhi mil sakta hai.... lekin islam AJMAA.E.UMMAT par believe karta hai yaani jo baat quraan o sunnat maiN WAZAH taur par 2 aur 2 chaar ki tarah clear nah ho wahaaN ulemaa.e.karaam ki aksariyat ki ROY SANAD ka darjah rakhti hai.
bht achy bahi detail ka mere b kuch baat ap samjh lain or mujy samjain bahi main UAE sy ho main sirf is baat per pochna chahta ho k Nika valid na hony ki bht sy Ahdees milteee bht si روایات hum ko miltee hain Hadees or Sunat sy Quran sy b حوالے mil rahy hain k Nika valid ni hy claer ya Hadess hy k wo نکاح باطل ہے باطل ہے باطل ہے ab ap mujy batain koi Hadees koi روایات jis sy ya proof mil saky k is terh ka nika valid main ny UAE Fatwa center sy pocha tu unka yahee jawab thaa k ya Nika ni ho sakta phr tu jo Wali ka concept hy wo nikal jata hy phr kion us per zoor diya giya hy Islam agr itna week deen hy tu Her lerki uth ker Nika kery phr is sy socity main Problems creat hona start ho phr jab Nika ho jata hy usk baad kion Problems start hotee hain unki reason yahee hy Islam sy Door na Waqfiat....kindly apk pas koi Hawala ho is terh k Nika ka koi Hadees tu pls share kerain jis sy ya baat claer ho k Nika withot Guardian valid hy
3 Imam Abu hanifa (RA) ko choor ker kise Imam ki is per koi compromise ni hy k ya nika ho Abu Hanifa k nazdeek b kuch condition hain jo apny oper bataee unka hona sy ho jata hy nika....phr Halala b ho jana cheay us per kion itna log Haram kehty hain jab k us per 1 hadess hy k lanat hy us per jo Halala kery ab ya maslay logoo tak ponchaoo aj kal jo court shaip chal rahee hy ya Zina hy nika ni keh sakty hum Sunat or Hadees sy jo milta hy wo many ISlam ko manoo ya ni k Pakistan k bany howy Mashraf k Law ko mano jis sy Deen dunia alag ker dy Haram hy zina hy Jab tak jo Tareeqa Nabi(PBUH) ny bataya us sy Hat ker koi b kam muslman ka ni Kafr ker skata hy Muslman ni krta---Hadees or Sunat kis leay wajood main ayee inssan ko achy way per rakhny k leay ap khud sochoo k koi lerki ya Step ly kia ap uski Ezat kerain gy acha kam hy nika ki vaild per full Quran o sunat sy Guide lenee cheay plz
ap k liyeh behtareen 'mash.warah' yehi hai k ap jiss imaam ki ruling ko behtar samajhtay houN, onko follow karaiN... iss forum maiN fiqahi ikhtelaf ko solve nahi kia jasaktaa... yahaan aisay fiqahi experts maujood nahi jo fuqahaa k bahmi ikhtilaaf ki soorat maiN "apni ruling' day sakaiN.
yahaaN to sirf aur sirf fiaqahi info share ki jasakti haiN, on logouN k liyeh jo kissi maslay k fiqahi solution say yaksar naa.waaqif houN. yahaaN fiqahi monaazra karnay k hum log ahal hi nahi.
bahi main kise ko ni kehta kuch kon Gulat kon theek main sirf is baat per discuss krna chahta ho k hum ko jab ahdesss sy guide mil rahee hy hum kion Quran Sunat Hadess sy dooor ho chooky hain kio hum un ka sahra ni lety.... kindly ap aour b fouram chaeck kero or is baat ko extend kero jo pakistan main ho raha hy log aj court main Nika ker rahy hain ISlam main jab iski permission ni tu kion kerty hain hum ko stop krna chay is baat ko kindly visit pakdotnet ok thank u --
wali ki ijazat k bagair nikah ki kia haisiat ha..??
Deleted Topic Number: 34727 posted by fawadnavee Assalam o
Alaikum...Main apse ye pochna chahta hn k agar koi larki la-ilmi main
ghr walon se chup kar kisi larke se is niat se nikah kar le k wo kisi
gunah main mubtala na hojay or is fahashi or behayai k zamane main apne
jazbat ko jaiz tareeqe se pora kare...or kuch salon bad jb uski shadi ka
waqt ay to ghr walon k samne b nikah kar k rukhsat hojay....lekin nikah
k kuch arse bad wo ye hadees parhe k Wali ki ijazat k bagair nikah nahi
hota,to phr usko kia karna chahiay...?? ...kia wo us larke k nikah main
ha or us se ruju kar sakti ha? ...agar nikah main nahi ha to usy kia
karna chahiay? ...or aisi sorat main kia larka mehar ki raqam dega
larki ko ya nahi? Barah e Meharbani Fatwa dijiay...!!
1
Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.