Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum


  Low Sexual Desire
Causes of Low Libido in Men
Increase Sperm Count
10 Easy Ways to Increase Sperm
Natural Aphrodisiac
Natural Aphrodisiac for Enhancing Sexual Desire
Deal With Vaginal Discharge
How to Deal With Vaginal Discharge - Myths and Facts
 
     
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic | Articles | Forum | Procedure | Health| Sex | General | Site Map
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married
Search Forum
Google
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
NoorClinic
Home(General)
Home(Health and Sex)
Forum Procedure
Noor Clinic Home
Book For All
Book For Women
Book For Men
Baby Care
Daily Questions
Health Articles
New Topics (General)
Recent Reply (General)
Social Problem
Best Articles
    Start New Topic  My Profile
 

Tamaam Khawateen Zaroor Parhain

Social Problem  >>  Culture and Society
Family Problems
Dealing With Everyday Family Problems With A Smile
Impress Women
How To Impress Any Woman
Your Dream Girl
How to Impress the Girl of Your Dreams
Impress Women
How to Impress Women
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 84  Post: 3613  Age:  
Posted on:20th May 2009, 12:46am
 

Tamaam Khawateen Zaroor Parhain

aaj wed 20th may-09 daily jang k mid week edition maiN khawateen k pages par aik khatoon Shah JehaaN Rasheed ki aik chashm kusha taheer...ab aurat taqseem bar.daasht kar lay ... warnah mard agar chore raastah talash karlaiN to kia hoga? publish howaa hai .... issay khawateen ko zaroor paRhna chhaiyeh. yeh net par bhi jang dot com dot pk k URL par maujood hai.

article paRhnay k baad iss par discussion bhi kia jasakta hai.

sunny007 Group: Members  Joined: 22nd Dec, 2007  Topic: 44  Post: 4143  Age:  
Posted on:20th May 2009, 8:52am
 

myrizvi

can u plz briefly describe it, what is writtten in that article?
koyal Group: Members  Joined: 17th Dec, 2008  Topic: 0  Post: 500  Age: 24 
Posted on:20th May 2009, 2:20pm
 

rizvi

rizvi aik bat mujhe samajh nahi aayi "mard apne muashi halat se tang aakar chor rasta talash karey tu kya hoga" tu iska matlab ke wo aik maksad ke tehet aisa karey ga yani ke usey apne zor-e-bazoo pe yakeen nahi hay mana ke mian biwi gari ke do paiyye hotey hain lekin muashi halat sudharney main biwi bhi sath de sakti hay, is tereh ki be bunyaad baton ko waja bana ke ye kehna ke mard kyun na chor rastey dhundey tu ye ghalat hay haan kisi ko sahara dene keliye mana ja sakta hay, manaa ke islam main ijazet hay 4 shadion ki lekin biwi ki ijazet ke bagher uski dil azari karke nahi, agar aik biwi apne dil ko is bat pe amada na kar paye tu iska matleb ye tu nahi ke shauhar chori chupey aisey kaam karey. Muashi halat ki bina par aisa karna tu sarasar ghalat hay, jab aik shauhar aik biwi ki zaroriat hukook nahi poorey kar sakta tu doosri ki baraber kese karega, haan agar beghairat ban kar biwi ka kamaya khana chahay tu alag bat haykyunke biwi ka kaam ghar chalana hay bachon ko palna hay aisi surat main wo kaam karke shauhar ka hath batati hay tu ye uska ehsan hay.

pakistan main mardon ki tadad kam aur aurton ki ziada hay ye bhi maan liya lekin shadi biyah ka jo mayar pakistan main hay wo kaheen bhi nahi hay jis tereh choti choti baton pe meen meekh nikali jati hay mehez jahaiz ki kami ki waja se larki ko reject kya jata hay tu kya ye sahi hay ye demands karney walay bhi mard hain kyunke ajkal ke mard asanian dhundtey hain apni zimmedarion se bhagtey hain aur jo aisa nahi kartey unko aise chor raston ki teref janay ki zaroret paish nahi aati.

sirf aik min ko sochain, kya koi apni biwi main sharakat berdasht kar sakta hay? nahi na. bachon ke baad aksar ye dekha gaya hay ke shauhar bachon se bhi rakabat feel kartey hain ke unki waja se unko pehle jesi tawajja nahi mil pati tu ye sochain kese koi aurat dil se razi hoke kisi aur ke sath apne shauhar ka jism,uska waqt,uska ghar,uska pyaar baant sakti hay, shadi ke baad ye jannay ke baad ke shauhar kisi ko pasand karta tha ya uske kisi se tallukat thay ye sab aik larki se berdasht nahi hota tu doosri biwi tu buhut bari bat hay,

Nabion aur unki bibion ka hawala met dijiye ga kyunke hum na nabi hain aur unki bibian, unke jesa insaf dunya ka koi mard nahi kar sakta, kehte hain na ke dulhan wohi jo piya mann bhaye aur aik waqt main aik se ziada mann ko bhaa nahi saktey isliye insaf namumkin hay jis se pyar ho faukiat usi ko di jati hay.

Azfar-K Group: Members  Joined: 01st Mar, 2009  Topic: 3  Post: 773  Age:  
Posted on:20th May 2009, 4:37pm
 

koyal

i agree with ur post.

myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 84  Post: 3613  Age:  
Posted on:20th May 2009, 9:50pm
 

koyal

maiN bhi aap k point of view say ittefaaq karta houn... but above article aik khatoon hi ka likha howaa hai, kissi mard ka nahee... oss article k iss hissay say mujhay bhi ittefaaq nahi k agar biwi allow nah karay to bandah chori chopay aash.naayee karta phiray..

biwi maiN shiaraakat aur miyaaN maiN shirakat par zameen assmaan ka faraq hai. jab say dunya bani hai, miyaaN maiN shirakat (khushi say yaa majbooran) hoti rahi hai... aik mard ki hazaar hazaar biwiyaaN bayak waqt rahi haiN (see history) ... aur mard apni aqal, jismani taqat, jinsee taqat aur daulat ki taqat aur social status ki taqat k bal bootay par jetni biwiyouN ko chahay apnay "qabzay" maiN rakh kar inhaiN "control" karsakta hai... issi liyeh dunyaa k tamaam adyaan (including islam) maiN hamesha say aik say zayad shadi allowed rahi hai mard k liyeh... (last 100 yrs k dauran india aur west k momaalik k hindu /christians nay khud qawaaneen banaye haiN aik mard aik shadi... onki mazhabi books maiN aisaa nahi hai)

jabkay biwi ki shirakat aik ghair fitree ill logic aur atamam adyaad /religion maiN aaj bhi allowed nahi hai.... koi aurat month maiN 30 days bhi apnay aik husband ki jinsee zaroorat poora nahi kar sakti.... 2 / 3 / 4 ... husbands honay ki soorat main any one can imagine k oss aurat ka kia hasher hogaa.... mard agar at a time 1 say zayad biwiyaan / kaneezain rakhay to oski sehat pay koi negative asar nahi parta... lekin agar aurat at a time 1 say zayad mard say jinsee talluq rakhay to oski jismani sehat tabaah o barbaad hojati hai... ossay tarah tarah ki beemaariyaaN lag jati haiN... hawalay k liyeh dekhaiN sex-workers (tawaifoun ki zindagiyaaN)...

polygamy par agar mazeed info chahiyeh to irf dot net par dr. zakir naik k lectures read karain...statistically bhi dunyaa maiN mard kam aur aurtaiN zeyadah haiN... agar har mard sirf aik shadi karay to baqi aurtain kia karay... kia woh sex worker ban jaye, bin-shadi mardouN k saath aarzi taur par rahna qabool karay yaa lesbian ban jaye.... it's upto women community k woh kaun saa raastah ikhtiyaar karti hai....

jang k above article maiN aik married khatoon nay aik behtar solution pesh kia hai k jin larkiyouN ki shadiyaaN nahi horahi woh kissi mard ki doosri biwi ban jaye... aur mard bhi second marriage aisee zaroorat mand khawaten say karaiN.

myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 84  Post: 3613  Age:  
Posted on:22nd May 2009, 1:31am
 

thanx 4 reading :)

ab tak bahoot say members nay paRh to lia hai ... ab zara comments bhi karaiN :)
Red Chilli Group: Members  Joined: 20th Feb, 2008  Topic: 5  Post: 4960  Age:  
Posted on:22nd May 2009, 9:52am
 

myrizvi

Main ne nahi pahra main ne ye topic abhi dekha hai :(

isliye comments nahi de sakti

abhi main thori dher mein chali jaoungi...Kal sham ko pahrongi
sunny007 Group: Members  Joined: 22nd Dec, 2007  Topic: 44  Post: 4143  Age:  
Posted on:22nd May 2009, 6:01pm
 

myrizvi

hi guru.... well i agree with both replies

i mean koyal k reply main bohot saarey baton se ittifaq karta hoon aur aap k baaton se bhi.. lekin yaar detail nahi likh sakta. sab ko pata hai k kon si baaton se ittifaq karna drust hai...

koyal Group: Members  Joined: 17th Dec, 2008  Topic: 0  Post: 500  Age: 24 
Posted on:29th May 2009, 2:32pm
 

rizvi

i completely agrre to ur point lekin yahan bat zaruratmand ki nahi thi yahan muashi masail ki waja se doosri shaadi ki bat ki gayi thi ke banday ne shadi ki aur uski doosri biwi apna kamati hay uske paas pese hain inshort easing his money worries lekin mere khayal main ye zimmedarion se bhagna aur aik tereh se ayyashi hay, rahi baat zaruratmand ki tu main bilkul ittefaq karti hun ke agar koi aurat ghareeb baysahara hay talaq yafta ya jiska shauhar khuda na khwasta mar gaya ho aur usey apni ya apne bachon ki dekh bhaal ke liye masla ho tu wo banda jo uski maali aur jismani zaroriat ko poora kar sakta ho bama apni pehli biwi ke tu koi harj nahi agar biwi ki merzi bhi shamil ho tu, kyunke nikah sirf do bol nahi balkey buhut bari zimmedari hay aur zara si bhi kotahi buhut bara gunah sabit hosakti hay, lekin main is bat ke bilkul khilaf hun ke peson keliye ya male child keliye ya sirf ishq mashooki main doosri shaadi kijaye kyunke Islam main bhi bila waja sirf apne faidey keliye aik se zaid shadion ki ijazet nahi hay.

Aaj kal buhut aam hogaya hay ke shadi shuda aurtain young larkon ke sath tallukat barha rahi hain kyun? isliye kyunke unki jismani zaroriat unke shauhar poori nahi kar patay peson ki rail pail hoti hay lekin phir bhi wo aurtain apni frustration apni zaroriat keliye najaiz rasta ikhtiar karti hain joke buhut ghalat hay aise main agar aisa banda doosri shaadi bhi kar lay tu kya ye sahi hoga?

mana ke wo article aik khatoon ne likha hay lekin har kisi ka point of view different hota hay lekin main ye bat daway se keh sakti hun ke buhut hi kam khawateen hongi jo unki bat se ittefaq karen.

myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 84  Post: 3613  Age:  
Posted on:21st Jun 2009, 12:04am
 

koyal

masha Allah aap nay bah zaahir bahoot achi baat ki hai....... lekin........... aik baat aap bhool gayee k females ki kasrat hai aur males ki qillat...... iska kia hull hai aap k nazdeeq...

jahaaN tak shauher ki maujoodgi maiN (yaa oski laa talluqi ki wajah say) biwiyouN k corrupt honay wali baat hai to aisaa to mard bhi kartay haiN yaani biwi /biwiyouN k hotay howay idher odher mouNh maartay haiN.... baat ghalaat logouN ki nahi horahi khaah woh mard houn yaa aurat...

agar koi aurat baa.kirdaar hai aur aur oska shauher osski jismani zaroorat poori nahi karta to being a honest lady oskay pass 2 hi raastay hain. yaa to sabar karay aur Allah say ajar haasil karay yaa phir shauher ko choR kar doosri shadi karay.... shauher k ghair zimmah daar, gonaahgaar honay ka matlab yeh nahi k woh bhi gonaah karay

jab society maiN aurtaiN 'excess' ho jaye aur apnay liyeh 'legal-khawand' nah haasil karsakay to shaitaan ossay illegal-husbands ki taraf lay jata hai aur doosri taraf mardoun ko bhi warghlataa hai k yeh aurtaiN kaun see paarsaa hai... tum bhi bahti gangaa say haath dho lo...

qudrati /islami tareeqah yehi hai k kissi bhi aurat ko bay.shauher nah rahnay dia jaye... har aik apnay liyeh behtar say behtar shauher haasil karnay ka haq to rakhti hai aur ossay iskay liyeh jido johad bhi karni chahiyeh lekin tamaam females ki yeh khahish poori nahi hosakti.... lehaza jissay matloobah mayaar ka shauher nah milay woh 'sub-standard husband' ko accept zaroor karlay k society main tanhaa rahkar mardouN k liyeh tar niwaalah bannay say behtar yehi hai k kissi kam tar darjah k fard ki doosri /teesri biwi ban kar apni izzat, asmat aur imaan ko bachaa lay k yeh dunyaa aarzee hai... jald hi ossay mar kar Allah k hazoor haazir hona hai

mini Group: Members  Joined: 08th Feb, 2009  Topic: 2  Post: 11  Age: 28 
Posted on:11th Jul 2009, 5:46am
 

hallo

 may  nay ap ki post pari lakin  jis urta par guzarti hay sarif us ko pata hay lakin ya aik  mashi masla hay jab aik mard kisi dosri urta kay sat taliq rakta ya sadi karta hay kiya who apni biwi kay barey may nahi sochta lakin yahi bat us ki bahn ya bati kay sat ho tu per ku tarpta hay ya mard hazrt ya sochtay kay jo un ki biwi na tu who kisi ki bati hay aur na bahn us kay liya koinahi ronay walajo kuch marzi hay karo 2 ki bajay 10 karo ya hay mard lakin  zara sochoo urta may who dil jo mard kay ander hay us ko bi utna dard hota jitna  mard ko  may ap ko apnay barey batite ho kay marey husband ki girl frind hay tu may nay apni sas ko batiya tu bole logo nay 10 --10 raki hay ager marey batey nay raki tu koi bari bat nahi tu ya bat may nay apnay abu ko bati tu who mari ss  say bolay ager ap ka husband dosri sadi karlay tu ap ko takleef ho  gi tu agey say bolti ha boht  taqlef ho gi tu per mare abu nay kaha is ki taq;ef ap ko daki nahi dati ya hay hamrey mashi masil i dont i hates mans jo urte ko taqlef may dak kar hose htay hauy
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 84  Post: 3613  Age:  
Posted on:11th Jul 2009, 6:19am
 

mini

ap k husband k -ve behaviour ka sonkar dukh howaa... being a muslim kissi male ka girl friend bananaa yaa female ka boy friend banana HARAM hai.... albattah jo log muslim nahi yaa jo muslim hotay howay islami qadrouN ko amalan nahi maantay... woh kuch bhi karsaktay haiN... aap aik secular country /mahaul maiN rahti haiN jahaaN yeh sab JAIZ hai aur har fard ko qanoonan /rewajan aisay relations rakhna aam see baat hai... balkay ab to aisaa muslim societies /countries maiN bhi aam hota jaraha hai...

Allah aap ki mushkilaat door karay aur ap k husband ko rahay raast par laa.ay. hum sirf aap k haq maiN duaa kartay haiN.

(PS: aap k issue ka iss topic say koi link nahi)

koyal Group: Members  Joined: 17th Dec, 2008  Topic: 0  Post: 500  Age: 24 
Posted on:11th Jul 2009, 10:14am
 

rizvi n mini

mini apke baray main jaan ke mujhe buhut dukh hoa, yahan rizvi bhai se aik bat kehna chahun gi ke mana ke unke husband ne gf bana ke aik haram kaam kya hay aur is se mini ko dukh hoa lekin lekin dukh tab bhi utna hi hoga jab unke husband doosri bivi le aayen, aik aurat ka dil kabhi bhi kisi bhi halat main is bat ko tasleem nahi kar sakta ke uska husband kisi aur se kareeb ho chahay wo uski jaiz doosri bivi hi kyun na ho, ye main isliye keh rahi hun kyunke jab maine apka article parh ke aik min ko aisa socha tu mere rongtey kharey hogaye aur meri ankhon main ansoo aagaye main tu aik min ke khayal main bhi nahi berdasht kar sakti tu hakeekat main tu buhut bari bat hay, mere kahayl main agar koi bivi kehti hay ke usne apne shauhar ko ijazet di doosri shadi ki aur wo khush hay tu wo apne sath bhi munafkat kar rahi hay. Ajkal ke daur main shayad hi koi aisa insan hoga jo islam ki talimat ko 100% follow kar raha ho, aise main so called musalaman agar mazhab ko aala kaar bana kar doosri shaadi karta hay tu ye ghalat hay.

mini ne bilkul sahi kaha ke aik mard apne liye soch sakta hay lekin apne se musalik rishton ko samney rekh kar sochey jese ke maan aur behen ke agar unko aise halaat darpaish aajayen tu kya usey sahi lagay ga, i dont think so.

myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 84  Post: 3613  Age:  
Posted on:11th Jul 2009, 10:30pm
 

4 koyal ... FEMALES KI ZAAT KA DUKH

aurat k dilli jazbaat bayaan karnay ka shukaryaa... maiN ap ki iss baat say sad feesad ittefaaq karta houN k koi aurat apni khushi say aisaa nahi chaahti...

agar aap zeray bahas maslay ko 'samajhna' chaahti haiN to zara apni 'zaati satah say boland' hokar manzar naamay ko dekhaiN... at least dekhaiN... maiN ap ko apni roy 'tabdeel' karnay ko hargiz nahi kah rahaa...

1. males houN yaa females, hum bahoot kuch dil say /khushi say karnaa nahi chaahtay magar... karnay par 'majboor' hotay haiN aur sari omar 'majbooran kartay' chalay jatay haiN... apni mehnat ki kamaayee say hakoomat ko... bilkhasoos pakistani chore hakoomatouN ko tax dena kaun chaahtaa hai.... magar beshter employed persons n kuch karobaari persons... saari omer tax detay rahtay hain... albattah jahaaN 'moqah' milta hai tax denay say 'inkaar' bhi kardetay haiN... bilkhasoos 'baa.ikhteyaar' log to tax detay hi nahi

2. hum maiN say ketnouN ki shaadiyaaN oski 'khushi aur marzi' say hoti haiN... males ki bhi hamesha 'marzi' nahi chalti... aur females ki to kabhi kabhaar hi marzi chalti hai... aksar woh 'majbooran' kissi naa.pasandeedah fard /anjaanay fard say shadi par 'majboor hokar raazi' hojati haiN aur saari omar oskay saath guzaarnay par 'majboor' hoti haiN...

3. aap nay ooper ki misaalouN maiN 'majbooran' ka lufz aksar dekha hogaa. goyaa afraad 2 qism k hotay haiN.... aik baa.ikhtiyaar aur doosraa majboor.... jahaaN jahaaN insaan baa.ikhtiyaar hota hai wahaaN hi woh apni marzi /khushi say kuch kar saktaa hai aur apnay ird gird k logouN ko apni marzi par chalaa saktaa hai... majbooran to ossay apni marzi k khilaaf aur doosrouN ki marzi par hi chalnaa paRta hai.

4. aap ko agar kissi office maiN job karnay ka ittefaaq howaa ho to ... yaa to ap office ki chief hongi yaa aik aam worker... agar chief hoween tab hi office main apni marzi say khud bhi kaam karsakti haiN aur doosrouN ko bhi apni marzi say chalaa sakti haiN. being a chief/maalik bhi ap office maiN chand kaam apni marzi k khilaaf bhi karnay par majboor hongeeN due to market environment, mulki qanoon etc etc... lekin agar aap office maiN mahaz aik worker hain to zara dil par haath rakh kar sochaiN k yahaan aap apni marzi /khushi say (jo chief /colleagues ki marzi k khilaaf bhi ho) ketnay kaam karsakti haiN.

5. insaan bayak waqt majboor bhi hai aur khud.mukhtaar bhi... kaheen majboor aur kaheen khud.mukhtaar... masla /jhagra wahaan khaRa hotaa hai jab bandah /bandi wahaaN bhi apni marzi chalanay ki koshish karay jahaan woh majboor ho...

6. now being a lady, aap yeh dekhaiN k ap kahaan kahaaN khud.mukhtaar hain aur kahaan kahaaN azaad.... in dounoun circles ko mix up nah karaiN... agar aap ka family back ground well established hai, aap haseen haiN, educated haiN aur family maaldaar hai to ap aur family 'market' say apnay liyeh apni man pasand ka husband apni pasand ki sharaa'it par... khaah woh sharaait rasm o rewaaj k khelaaf ho yaa honay walay husband ki marzi k against ho.... hasil karsakti hain... aur ISLAM bhi aap ko aisaa allow karsakta hai........ "baa ikhtiyaar" honay ki soorat maiN aap apnay husbands say islamic frame work maiN yeh sharaait ate the time of nikaah manwaa sakti haiN.

A. aap apni marzi ka haqay mahar likh.waa sakti haiN jo aik hadees k motaabiq sonay ka pahaaR bhi hosakta hai (agar bandah day sakta hai to theek warnah next plz:)

B. by-default talaq denay ka haq husband k pass hai min jaanib Allah... lekin agar aap baa.ikhtiyaar hain to nikaah k waqt yeh haq khud bhi hasil karsakti hain k jab aur jiss waqt chahain 3 alfaaz kah kar apnay husband ko talaaq day dain... islam allows it.

C. ap apni pasand /marzi k motaabiq apnaa monthly jaib kharch likh waa sakti haiN... by-default soorat main husband apni marzi say jo chaahay day nah day.

D. ap rukhsat hokar husband k ghar jaanay ki bajaa.ay ossay apnay ghar bolaakar 'ghar.damaad' rakh sakti haiN.

E. ap yeh shart bhi rakh sakti hain k baad shaadi main job bhi karoungi, further taleem bhi hasil karouNgi etc etc but agar nikaah k waqt yeh shartaiN nah "manwaa" li houn to by default husband ka yeh haq hai k woh chahay to ap ko job karnay day chahay to nah day... etc etc

F. aap nikaahnaamay main yeh bhi likhwasakti hain k ap ka husband doosri shadi kabhi nahi karegaa... by default from Allah husband ko haq haasil hai k woh chaahay to doosri teeri chauthee shadi karsakta hai.... karsaktaa hai... oskay liyeh aisaa karna laazim nahi aur aksar soortoun maiN woh aisaa nah karnay par "majboor" hotaa hai... but he has option /right...

aap nay dekha k being a haseen, educated, well established and maaldaar family ki female honay k sabab aap apni marzi kahaan kahaaN chalaa sakti haiN... lekin agar koi female kissi bhi level pay "majboor" ho to zaahir hai k majboor ko apni marzi chalanay ka haq kaun degaa ??? kia aap being a big boss, apni marzi k khelaaf apnay office main logoun ko man-maani karnay ki ijazat dengi yaa aisaa karnay waloun ko fire kardengi.

by-default family k ander husband big-boss hotaa hai, biwi manager aur bachay maatehat.... yeh dafter issi tarah khush asloobi say chal sakta hai jab saray apnay apnay circles main chalaiN... dunyaa k sab say baray boss Allah nay husband ko yeh option dia hai k woh agar chahay to aik say zayad manager (biwi) rakh sakta hai....... biwi nay agar nikaah main iski momaane'at nahi karwayee to iskay pass 2 hi option (majbooran) rah jatay hain... yaa to 2nd 3rd 4th managers ko bhi (majbooran hi sahi) bar.daasht karay yaa phir resign kar day.... ossay as a biwi apnay shauher say kholaa lenay ka har waqt... bilaa kissi sabab bhi... ikhtiyaar to hai hi....

yeh tasweer ka aik pahloo hai jo females k "zaat" k gird ghoomta hai... iss tasweer maiN woh khud dekh lay k ossay kia kia ikhtiyaar aur kab kab haasil hai... inhi ikhtiyaar ko hasil karkay woh apni life ko enjoy karsakti hai.... jo ikhtiyaar haasil nahi, oskay ghum maiN zindagi ro dho kar guzzaray to yeh bhi oski option hai....

tasweer ka doosra rukh ijtemaayee hai... jo ZAAT say hat kar poori world ka hai... agar yeh ZAATI manzarnaama ap ko haqeeqat par mabni /ground reality lagta hai tabhi aap kaainaati manzar namaah bhi dekh aur samajh sakti haiN. pahlay yeh bat.laaiyyeh k aik females ka yeh zaati manzarnamaa sahi hai yaa ghalat and wot is ur comment????

Shaajar_99 Group: Members  Joined: 07th Jul, 2009  Topic: 3  Post: 177  Age:  
Posted on:14th Jul 2009, 7:19am
 

Tamaam Khawateen Zaroor Parhain

Mera shumaar khawateen mein nahi hota lekin main phir bhi pahr loongi :-)
love bird Group: Members  Joined: 06th Nov, 2008  Topic: 74  Post: 1157  Age: 35 
Posted on:14th Jul 2009, 8:53am
 

Shajjar!!!

Kin wajhooot ki bina par ...ap nay yea guman kia ??????????

Kaheen app ki allah na karay moonchain tou naheen nikal aaheen !!!

JOKE

Aik aadmi cafe mein baitha ker samnay walay banday ko ghoar raha tha ......kuch dair baad samnay walah tang aaker kehta hai ....kia baat hai bhai sahib....pehla admi kehta hai ...yar tumhari shakkal bilkul meri wife jaisi hai.....bus moonchoon ka farq hai.....dosra admi bola meri to monchain naheen hain mein to clean shave hooon.......

Pehla bola tumhari naheen meri wife ki tou hai!!!!!

Shaajar_99 Group: Members  Joined: 07th Jul, 2009  Topic: 3  Post: 177  Age:  
Posted on:14th Jul 2009, 8:59am
 

love bird uuuffff

Mera matlab tha kay main khatoon,khawateen nahi hoon

Larki hoon :-)

love bird Group: Members  Joined: 06th Nov, 2008  Topic: 74  Post: 1157  Age: 35 
Posted on:14th Jul 2009, 9:07am
 

sorry

hahahah

Acha aap ko bata chaehay tha na ......

just relax

myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 84  Post: 3613  Age:  
Posted on:14th Jul 2009, 10:00pm
 

shaajar

haaa haaaa

by da way aap 'shaajar.e.mamnoo'a' to naheeN haiN naa :) aaj nahi to kal khatoon zarror banengi insha Allah... tab k liyeh peshgi paRh lijyeh kia pata jab aap khatoon 'banaiN' tab aap ko yeh sab kuch batanay walaa koi ho nah ho lol

1
Sexy High Heel
Diamante Shoes – Women’s Sexy High Heel Diamante Party Shoes
Sexy Costumes
Sexy Costumes have become the Norm
Best Sexy Costumes
The Best Sexy Costumes to Try For Every Occasion
Enhance Your Sexy Curves
Sexy Bra Sets to Enhance Your Sexy Curves
 
Erectile Dysfuncion
ED causes
Male Menopause
Male Menopause – Myth About Male Menopause
Health Advice From China
Male Sexual Health Advice From China
Food For Male Libido
Male Libido - Foods to Increase Male Libido Naturally

Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.

© Copyright 2003-2017 www.forum.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact Us