bhai khair to ha naa :) medically male-female both private parts ki health-care k bunyaadi teen tareeqay haiN
1. regular & thorough water washing, especially before leaving toilets & after intercourse with wife. normal bath soap k use hi kafi hai.
2. trimming of hairs around private parts regularly at least once in fortnightly. wazah rahay k sirf trimming is enuf, complete shave karna zaroori nahi... aur agar shave karlia jaye to koi mozaaiqah nahi... lekin agar shave say skin ko damage honay ka risk ho to trimmers say zero number par trim karna hi kafi hai
3. apnay private-parts ko apnay legal partener (husband /wife) k elawah kissi aur k private parts say mix-up nah karna....... yeh ikhlaqan aur mazhaban hi zaroori nahi balkay medically bhi iskay nuqsaanaat haiN
shauher aur biwi dounouN ko inn batouN ka khayaal rakhna chahiyeh aur agar koi partner iski khelaaf warzi karay to doosra apna asar o rasookh use karkay ossay iss say baaz rakhnay ki poori koshish karay to kafi hai.... lekin agar apnay partener say kuch bhi nah kahay to yaqeenan woh bhi oskay gunaah maiN shareek hoga |