Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

 
 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic |Forum | Health| Sex | General | Site Map
Men Health | Women Health | Procedure| Pakistani Matrmonial | Videos
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married | Quran & Hadith dos n dont Download
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
 
    Start New Topic  My Profile
 

Should A State Be Religious Or Not?

Politics   >>  Government
 
 
 
love bird Group: Members  Joined: 06th Nov, 2008  Topic: 73  Post: 1177  Age:  37  
Posted on:2nd Oct 2009, 8:29am
 

Should A State Be Religious Or Not?

Kia app kay nazdeek kissi state ko mazhabi hona chaehay ya naheen.....Mazhabi state kay honay ka kia fahida hai oar na honay ka kia nuqsan hai....? Aik mazhabi state apni aqleetoon ka sath ki barabary ka ravia rukhti hain ....ya naheen....? Oar mazhabi laws ka aqleetoon per kaisay laqoo hoti hain......

Please share your views

 

H/dr_Qasim Group: Members  Joined: 10th Sep, 2010  Topic: 186  Post: 6494  Age:  35  
Posted on:2nd Oct 2009, 9:15am
 

love bird

ap ki bat py bot hayraani ho rhi hy mujy

keya islam aqleetoon k sath acha sulok kurny ki tulkeen ni kurta?

keya islam insaniyaatn i sikhata?

keya islam meh non muslim k hukook ni ?

sub khuch hy muzhabi hony sy keya hukook khutam ho jaty hen?

ni islamic state ho ge tu sub ko insaaf mily ga

islam ki hostory ap dykhin islamic stats khilafaat keya thi ?

state ko muzhubi ni hona chaiye islamic hona chaiye mery khiyaal sy.

adaa teetur adaa butaaar wla kam acha ni ,

sub sy buri waja aj hy islam sy doori hum pori tura islam meh daakhul he ni na hum muslim na non muslim monafiq bun k reh gy.

islamic education islam he wo waahid muzhab hy jo ek ek bat ka suleeka or tureeka rukhta hy adub adaab hen laws hen hudood laws hen jo Allah ny humary leye biyaan keye , islamic laws hen jo bahumi ijtahaad sy wudood meh aty hen wo b islamic law hoty hen.

islam meh agur khilafat wali state hy tu waa Juziyaa hota hy jis k budly non muslim ko wo he hukook or tahufaz hasil hota hy jo ek muslim ko hasil hota hy

islam meh muzhab or siyasat alag alag chezin ni hen na he ye kisi ek tubka-a-fikur ka kam hy

islam na tu molviyoo ka hy na he siyasaat meraasss hy bus siyaasat daano ki

islam meh siyasaat hy democracy islam meh he hy.

1400 years phaly musjid nubvi ek assembly b thi ek adaalat b thi ek school b taa ek university b thi sub khuch ta mugar aj musjid or islam ko hum ny serf molviyoo k leye chor deya k ye on ka he kam hy humara koi kam ni

so islam or islamic iqdaar islamic cultur sub khuch islamic state k under hota hy

laykin aj kul siyaasaat chund logo ki gur ki bandi bun k reh ghi chund khandaan 60 saal sy hukomat kurty ary hen...

ziyaa family

bhoto family a

ayoob family

shureef family

chodri bradurs

MQm

bat ko khutam krta ho topic divert ho ra hy

myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 119  Post: 7001  Age:  54  
Posted on:2nd Oct 2009, 10:12pm
 

Iran aik "mazhabi estate"

khumeni inqilaab k baad Iran aik "mazhabi state" ki soorat maiN saamnay aayaa jahaaN 60% aksariyati "shia-mazhab" ki hukmraani hai aur 40% "aqliati sunni mazhab" k maanay waloun ka boraa haal hai

1. shah.e.iran mazhaban aik shia honay k bawajood aik secular hukmraan thaa. oskay daur maiN shia /sunni dounouN ko azaadiyaaN haasil theeN.

2. khumeni inqilaab k baad 200 say zayad sunni ulemaa ko "shaah ka wafaadaar" qarar deker phansi par chaRha dia giyaa... yeh figure on the record hai jo media maiN bhi report howi thee onhi dinouN

3. tehran ki tamaam sunni-masaajid ko "khatam" kardia gayaa. sunni.youN say kahaa gayaa k woh yaa to imaam.baaRouN maiN namaaz paRhaiN yaa apnay gharouN maiN.

wazah rahay k mazhab aur deen main baRa faraq hai... ISLAM aik DEEN hai, mazhab nahi. Islam maiN deen o dunyaa ka koi faraq maujood nahi.... aik  osalmaan har (so called) "dunyawi-kaam" bhi deen k osoolouN par karkay issay "EBADAT" maiN tabdeel karsakta hai, including politics /hukmraani

ch Babar Group: Members  Joined: 15th Jul, 2007  Topic: 32  Post: 1869  Age:  39  
Posted on:3rd Oct 2009, 12:13am
 

myrizvi

100% agreed
love bird Group: Members  Joined: 06th Nov, 2008  Topic: 73  Post: 1177  Age:  37  
Posted on:3rd Oct 2009, 8:32am
 

Rizvi Sb

App yea kehna chahtay hain keh Iran aik mazhabi estate hai Deeni estate naheen,mein nay note kia hai keh app aksar barahay aaram say shia ko kafir karar daitay hai oar jab issi kafiat mein molana Paroot sb ya kohee oar member kissi ghair shia ko bhee kafir/la mazhab kehtay hain tou tofan khara hojat hai......

lehaza humain dosroon ko iss tarah naheen kehna chaehay ......

Agar Iran mein aisa hoa hai tou Afghanistan mein Talban kay doar mein Shia kay sath kia hoa ........

Jab USA nay Iraq par attack kia tou Saudi Arab ka badshahoo nay USA say kaha keh her cheez accept hai magar kurdoon ki hakoomat naheen bannani chaehay choonkeh kurd shia hai....kaisi kamal baat hai USA ko pasand kertay hain Shia ko naheen.........

 

Bhimji Group: Members  Joined: 07th May, 2008  Topic: 13  Post: 1837  Age:  30  
Posted on:3rd Oct 2009, 10:54am
 

State and Religion

Koi answer dene se phle main MY RIZVi ke aik point ki clear kr doon ke IRAN main 60% nahin balkeh 89% Shia hain. 60% Shia population IRAQ main hae.

Ab aate hain thread ki taraf. Aise issues par hone wali discussion ko biased nahin hona chahiey. Iss tarah Discussion ka environment b kharab hota hai aur aise threads (Ache hone ke bawjood) main reply krne ko b ji nahin chahta. Agr kisi cheez ka comparison ya tajzia krna maqsood ho tou tasweer ke dono rukh dikhaane chahien na ke aik rukh ko discuss kr ke apni marzi ke results expect kie jayen.

LOVE BIRD ki baat barrhaate huay kahunga ke agr IRAN ne acha salook nahin kiya tou SAUDI ARAb ke salook kon sa misaali hae. Saudia main b shiyun ko mazhabi azadi hasil nahin hae. Shiyun ke doosre Imam Hassan (a.s) jin ke mutallaq Hazoor (s.a.w) ne farmaya tha ke Hassan (s.a.w) aur Hussain (s.a.w) jawanaane jannat ke sardar hn, unki qabar-e-mubarak ka jo haal hae wo sab ke saamne hai. Wahan kisi ko jaane ki ijazat hi nahin hae. America ke zer-e-asar reh kr Saudia main b IRAn mukhalif jazbaat pae jaate hain aur har forum pr Iran ki mukhalifat ki jati hae aur Iran mukhalifeen ko support kia jata hae chahe wo jang hi kyun na ho. Saudi Arab walay Islami itne hain ke Quran ko jootun pr rakh dete hain jab ke hamray han Quran ki taraf back krna bhi mayoob smjha jata hae. Shahi Khandan ke shehzaday hr week end par kabhi Dubai ke night clubs main daad-e-aish de rahe hote hain aur kabhi America ke Casinos main. Iss State ki sari policies hi America design krta hae aur Iran America ka dushman no. 1 hae isi lie world wide IRAN aur wahan ke Deen ke baray main gumraah kunn propanganda zeyada kia jata hae. Main Saudi Arab ko discuss nahin krna chahta tha lkn tasveer ka doosra rukh b dekhna zaroori hota hae.

Kher IRAN aur SAUDI ARAB islamic states hain lkn dono hi kisi b lehaaz se sab Muslims ki ideal nahin hain. Inhain fiqhi States kehna zeyada behtar hai. In dono ne taassub chor kr kabhi bhi Islami dunia ko akatha krne ki koshish nahin ki balkeh hamesha apne hum maslak logoon ko support kia aur financial aid tk di chahey wo aid terrorism ya mazhabi deh-shat gardi ke liay hi kyun na use ho. Main iss hawalay se hamesha apne mulak ki tareef krta hun. Sirf chand buri baatun pr agr qaboo pa lia jaaey tou hamara mulak mazhabi hawaloon se jannat hae. Iss main har har maslak/ mazhab apni ibadat bila rok tok jari rakh skta hae. Sab ko mazhabi azadiyan hasil hain. Ahm baat sirf chand buri baatun ko sakhti se rokne ki hai (Unki detail main gya tou post bht lambi ho jayegi). Yahan Quran ki taraf koi back kr le tou barray qyamat macha dete hn, Namaz parrhta hua agay se koi guzre tou uski thakai ho jati hae. Qible ki taraf tangain kr li jayen tou b thakai. Yeh choti choti cheezain hi husn hain hamaray mulak ka aur Islami taleemat ke ain mutabiq hn. In short, Yehi kahunga ke Pakistan aur Malayesia jese mamalik mazhabi azadiyun ke hawalay se Saudia Arab aur Iran se bht behtar hn.

paroot Group: Members  Joined: 23rd Nov, 2008  Topic: 66  Post: 1660  Age:   
Posted on:3rd Oct 2009, 11:57pm
 

Qabar Moosmaar !!!

10 Shawal 1925 ko honee wala dard naak waqiaa jes mein Jannatul Baqi aur Jannatul Mala mein qabree Moosmaar kar k zameen ke barabar ke gaya aur pukhta sarak banai gaye jes per se loogo ka guzara ho ajj koi Musalaman Jannatul Baqi mein jana chahe tu usse na jaane ketne sahaba ke qabroo k uper se chal kar jana paree ga Alamaan Wal Hafeez...

ess bar kuch ehtejaaj bhi keye gai kuch countries mein agar ess k kheelaf Alami satah per Musalmaan Ehteejaaj karee tu zaroor Insaf Ho gaaa.

paroot Group: Members  Joined: 23rd Nov, 2008  Topic: 66  Post: 1660  Age:   
Posted on:3rd Oct 2009, 12:06pm
 

Saudi Arab ke Badshah ka tu kya kehna

Saudia ke wo badshah jo sunne nahi hai wo kes ko support kar sakte hai siwaee Maal k ....

Maal de dee kar jaan dene dete hai....

Agar Sahi manoo mein Saudia action lee tu na sirf Iraq balkee Afghanistan aur Kashmir jaha nisf sadhe se zaid jang chal rahe hai wo khatam ho chuke hote...

Saudia per roohane toor per Ghooro ke he hukumat hai wo khud kehte hai k Hamara Saudia mein fooje addhe ess tarteeb se hai k agar hum waha k muqadas maqamat per attack karna chahe tu kar sakte hai...

Palestain walee tarap tarap kar mare ja rahe hai aur january ke jang mein kahe thousand's maree gaye kon pochne wala hai... q k waha sunne hai aur wo sunni tanzeem israil k kheelaf khare rehte hai ess leye Saudia ke badshaahoo ne apna ekhteyaar rook deya agar wo wahabi hote tu shayad yeh action lete...

madman Group: Members  Joined: 08th Oct, 2009  Topic: 9  Post: 137  Age:   
Posted on:6th Nov 2009, 2:03am
 

Faida aur nuqsan..?

Questiion : Mazhabi state kay honay ka kia fahida hai oar na honay ka kia nuqsan hai?

Ans: FAIDA TO PATA NAHEE PER NUQSAN YEHI HAI TO AB SITUATION HAI..
stranger_1 Group: Members  Joined: 15th Oct, 2009  Topic: 10  Post: 133  Age:  33  
Posted on:6th Nov 2009, 7:37am
 

Bhaiyo - GET UNITED!!!!!

Mere pyaarey bhaaiy, yeh waqt shiya, suni, deyobandi, bareilweee ban'ney ka nahi hai.... chor dou yeh firwa bandiyaa, tumhara mulk toot raha hai... muslalmaan saari dunia mey zaleel ho raha hai, chor dou yeh tafarkey, aur aao hum sab mutahid ho jaaein sab differences, sab firqo ko bhula kar... Khuda kay liey hosh karlo, abi bi shayad kuch bach jaaey....

Hum per chaaro taraf sey saazishein ho rahi hain, hamara mulk torney ki koshish ki jaa rahi hai, aaj waziristaan mey operation chal raha hai, kal lahore mey hoga, perso kahin aur..... jaag utho... this is the time for UNIFICATION... NOT DISCRIMINATION....

PAKISTAN ZINDAABAAD!!!!!!!
stranger_1 Group: Members  Joined: 15th Oct, 2009  Topic: 10  Post: 133  Age:  33  
Posted on:6th Nov 2009, 7:54am
 

MAZHABI STATE HONAY KA FAEDA...

Hamarey mulk ka naam kya hai, anyone knows?

It is "Islami Jamhooriya-e-Pakistan"

Yeh poori duniya mey WAAHID mulk hai jo "MAZHAB/DEEN" kay naam per bana hai... yeh LAA-ILAAHAA-ILALLAAHO-MUHAMMADUR-RASOOL-ALLAH kay naam per banaa hai.... This is a fact kay dunia ka koi bi mulk mazhab ki buyaad per nai banaa aaj tak, yeh sirf Pakistan hai jo Allah kay naam per banaa hai...

Islam aik mazhab hai, aur sath mey Deen bhi... It's a religion as well as a "complete way of living your life".

If you want to know kay aik state kay mazhabi honay ka kya faeda hota hai tou SEERAT-UN-NABI ki koi bi book parhein, "RAHEEK-UL-MAKHTOOM" parhein, hamarey KHULFAA-e-RAASHIDEEN kay ADWAAR ko study karein aur dekhein kay mulk ko ISLAM kay tareekey per chalaney sey kya kya faedey miltey thay....

Aur agar state ko ISLAMIC na bananey ka nuksaan dekhna hai tou haalaat aap kay saamney hain, everything is self explanatory, I dont feel the need of highlighting anything because I don't have stamina, patience and courage to unleash the wounds that are bleeding right now from out society/country.

Western society mey sey kuch cheezein nikaal dee jaaein tou baaki sab cheezein jo oon mey maujood hain woh ISLAMIC hain, if you take out the following factors from western society then you will see that they are already following principles of Islam:

1) JUWAA (Gambling)
2) ZINAA (Illegal Sex)
3) SHARAAB (Wine)
4) SOOD/RIBAH (Interest)

If you take out the above mentioned things from western culture then you will find the western society ISLAMIC or at least very near to ISLAM. They are sincere to their countries and to their work, they are honest with each other, they don't believe in 2 numbrees (majority), and you see that is the reason they are ruling this world.

I was reading a newspaper yesterday in which it was written:

"Ziada kaam karney ki waja sey President Baarack Obama ka weight reduce ho gaya hai"

You see that? "these are the qualities of RULERS", "these are the qualities of WINNERS", "these are the qualities of NATIONS who think something and it's DONE"

Allah hamarey mulk ko bhi aisey mukhlis aur PRACTICAL hukmaran dey.. AAMEEN!!
1
 
 
 
Pakistani Singer In Malaysia   

Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
Pakistani Urdu Magazine Pakistani Matrimonial Seo In Urdu World Information Pakistan Information Sehat In Urdu
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact UsLast Updated: 28th March 2013