Bewaqoof |
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 253 Post: 4300 Age:
38
|
|
Posted on:12th Jul 2009, 1:09pm |
|
|
Poetry Of Ahmed Faraz - Best Sad Romantic & Funny In Urdu And English
1. Maalal Usay Bhi Apnay Kiye Ka Malaal Hona Hay~ Abhi to ishq main aisa bhi haal hona hay K ashq rokna tum se mohaal hona hay Har aik lab pe hay meri wafa k afsanay Tere sitaam ko abhi lazawal hona hay Tumhain khabar hi nahin tum to loot jao gay Tumharay hijar main ik lamha sal hona hay Humari rooh pe jaab bhi azaab otrain hay Tumhari yaad ko is dil ki dhaal hona hay Kabhi to roye ga woh bhi kisi ki bahoon main Kabhi to us ki hansi ko zawal hona hay Milay gi hum ko bhi apne naseeb ki khushiyaan Bas intizaar hay kab yeh kamal hona hay Har aik shaks chalay ga humari rahoon per Mohabatoon main humahin woh misaal hona hay Zamana jis k kham-o-peech main olajh jaye Humari zaat ko aisa sawal hona hay " yaqeen hay mujh ko woh loot aye ga Usay bhi apne kiye ka malal hona hay Sad Poetry Of Ahmed Faraz 2. Ho Gayi Rukhsat Hogayi rukhsat ghata baarish ke baad Ek diya jalta raha baarish ke baad Mere behte hue Aansuo ko dekh kar Ro parri thandi hawa baarish ke baad Meri tanhaayi ka daaman thaam kar Kuch udaasi ne kaha baarish ke baad Yaad teri odh kar mein so gayi Khawaab ka daar khul gaya baarish ke baad Chand dekh kar baadlo ki qaid mein Ek sitaara ro diya baarish ke baad Apne ghar ki har kachi deewaar par Naam tera likh diya "K" baarish ke baad Note: please iss page per sirf sad poetry of ahmed faraz hi post kare, koi aur poetry post na kare.
|
sunehri76 |
Group: Members Joined: 04th Aug, 2007 Topic: 99 Post: 4655 Age:
37
|
|
Posted on:12th Jul 2009, 3:01pm |
|
|
Poetry Of Ahmed Faraz in Urdu Hum jo toote to is tarah toote jaise hathon se girr k pathar par koi shafaaf aaiina toote jaise palkon se toot tha aansoo jaise seene main ik kamaan toote jaise umeed ki nazuk daali barg mosam main na gahaan toote jaise aankhon main khwab ki doori waqt e takmeel se ulajh jaye jaise pairon tale zameen nikle jaise sar par yeh asmaan toote jaise ik shaakh pe bharosa kia is pe jitne thay aashiyaan toote jaise wehshat se hosh aa jaye jaise ta dair main dheyaan toote ab jo raiza howay to sochte hain kis nay dekha tha tootna apna hum jo toote to raayegaan toote |
paroot |
Group: Members Joined: 23rd Nov, 2008 Topic: 66 Post: 1660 Age:
|
|
Posted on:13th Jul 2009, 12:03am |
|
|
ahmed faraz poetry in urdu Jab Tera Dard Myrey Sath Wafa Karta Hae Ek Samandar Myri Aankhon Se Baha Karta Hae
Uss Ki Batain Mujey Khushbu Ki Tarah Lagti Hain Phool Jaisey Koi Sehra Main Khila Karta Hae
Myrey Dost Kii Pehchan Yahi Kaafi Hae Woh Har Ek Shakhus Ko Daanista Khafa Karta Hae
Aur Tu Koi Sabab Uss Ki Muhabbat Ka Nahi Baat Itni Hae Kay Woh Muj Se Jafa Karta Hae
Jub Khizan Aai Tu Laut Aaye Ga Woh Bhi Faraz Woh Baharon Main Zara Kum Mila Karta Hae ..!!! |
paroot |
Group: Members Joined: 23rd Nov, 2008 Topic: 66 Post: 1660 Age:
|
|
Posted on:13th Jul 2009, 12:09am |
|
|
Sad Poetry of Ahmad Faraz Suna Hai Loog Usse Aankh Bhar Ke Dekhte Hain So Uss Ke Sheher Mein Kuch Din Theher Ke Dekhte Hain
Suna Hai Boley Tou Baaton Se Phool Jhartey Hain Yeh Baat Hai To Chalo Baat Kar Ke Dekhte Hain
Suna Hai Raat Ko Usse Titliyaan Sataati Hai Suna Hai Raat Ko Jugnoo Theher Ke Dekhte Hain
Suna Hai Uss Ke Badan Ki Taraash Aisi Hai Ke Phool Apni Qabaaein Katar Ke Dekhte Hain
Rukey To Gardishein Uss Ka Tawaaf Karti Hain Chaley To Uss Ko Zamaaney Theher Ke Dekhte Hain
Kisse Naseeb Ke Be-Pairahan Usse Dekhey Kabhi Kabhi Dar-O-Deewaar Ghar Ke Dekhte Hain
Kahaaniyaan Hi Sahi, Sab Mubaalghey Hi Sahi Agar Woh Khawaab Hai, Taabeer Kar Ke Dekhte Hain
Judaaiyaan To Muqadder Hai Phir Bhi Jaan-E-Safar Kuch Aur Door Zara Saath Chal Ke Dekhte Hain
Too Saamney Hai To Phir Kiyon Yaqeen Nahin Aata Yeh Baar Baar Jo Aankhon Ko Mal Ke Dekhte Hain
Yeh Kaun Loug Hain Maujood Teri Mehfil Mein Jo Laalachon Se Tujhey, Mujh Ko Jal Ke Dekhte Hain
Na Tujh Ko Maat Hui Hai Na Mujh Ko Maat Hui So Ab Ke Donon Hi Chaalein Badal Ke Dekhte Hain
Buhut Dinon Se Nahin Hai Kuch Uss Ki Khair Khabar Chalo Faraaz~ Ko, Aey Yaar Chal Ke Dekhte Hain |
Bewaqoof |
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 253 Post: 4300 Age:
38
|
|
Posted on:25th Aug 2009, 9:26am |
|
|
Best Romantic Poetry Of Ahmed Faraz tuu paas bhi ho to dil beqaraar apanaa hai ke ham ko teraa nahin intazaar apanaa hai
mile koi bhi teraa zikr cheer dete hain ke jaise saaraa jahaan raazdaar apanaa hai
wo duur ho to bajaa tark-e-dosti kaa khayaal wo saamane ho to kab ikhtiyaar apanaa hai
zamaane bhar ke dukhon ko lagaa liyaa dil se is aasare pe ke ik gamgusaar apanaa hai
‘Faraz’ raahat-e-jaan bhi vahi hai kyaa kije wo jis ke haath se sinaafigaar apanaa hai
Funny Poetry Of Ahmed Faraz
Kitni dair hui koi sawal nahi ata Sawal hum puchein to jawab nahi ata Ye Sala bathroom me kon baitha hai Itna lamba toh FARAZ ko b nahi ata
Poetry of Ahmed Faraz In English
Hum bHi shaa'ir tHey kabHi...
English translation by: Guddu Nazli
I too was a poet once O life of my words, but I cannot remember Since I have forgotten you the love of my art too, I cannot remember
Yesterday during a coversation with my heart I learnt that any forelock, lips, any mouth, I cannot rememeber
In the city of intellect insanity is quiet as if the very spontainety the rabid fluidity of his speech, he cannot rememebr
Firstly I was not familiar with the mannerisms required for ruins Now the ways and traditions of the residents of gardens, I cannot remember
Everyone asks for the shop selling arrows and quiver but his own body, any customer cannot remember
Time has brought me to such a desert of forgetfulness Now your name even, may I perish, I cannot remember
Is this not enough that in the state of being without country the abandonment of my fellow countrymen I cannot remember |
Kali Zuban |
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 29 Post: 1792 Age:
28
|
|
Posted on:16th Apr 2010, 12:56pm |
|
|
Urdu Poetry Of Ahmed Faraz
ab kis ka jashn manaate ho us des ka jo taqsiim huaa ab kis ke giit sunate ho us tan-man ka jo do-nim huaa
us Khvaab kaa jo rezaa rezaa un aa.Nkho.n kii taqadir huaa us naam kaa jo Tuka.Daa Tuka.Daa galiyo.n me.n be-tauqiir hua
us parcham kaa jis kii hurmat baazaaro.n me.n niilaam huee us miTTi kaa jis kii hurmat mansub uduu ke naam hue
us jang ko jo tum haar chuke us rasm kaa jo jaarii bhii nahii.n us zaKhm kaa jo siine pe na thaa us jaan kaa jo vaarii bhi nahii.n
us Khuun kaa jo bad_qismat thaa raaho.n me.n bahaayaa tan me.n rahaa us phuul kaa jo beqimat thaa aa.Ngan me.n khilaa yaa ban me.n rahaa
us mashriq kaa jis ko tum ne neze kii anii marham samajhaa us maGarib kaa jis ko tum ne jitana bhii luuTaa kam samajha
un maasumo.n kaa jin ke lahuu se tum ne farozaa.N raate.n kii.n yaa un mazalumo.n kaa jis se Khanjar kii zubaa.N me.n baate.n kii.n
us mariyam kaa jis kii iffat luTatii hai bhare baazaaro.n me.n us iisaa kaa jo qaatil hai aur shaamil hai Gam_Khvaaro.n me.n
in nauhaagaro.n kaa jin ne hame.n Khud qatl kiyaa Khud rote hai.n aise bhii kahii.n dam_saaz hue aise jallaad bhii hote hai.n
un bhuuke nange Dhaa.Ncho.n kaa jo raqs sar-e-baazaar kare.n yaa un zaalim qazzaaqo.n kaa jo bhes badal kar vaar kare.n
yaa un JhuuTe iqararo.n kaa jo aaj talak aifaa na hue yaa un bebas laachaaro.n kaa jo aur bhii dukh kaa nishanaa hue
is shaahii kaa jo dast-ba-dast aa_ii hai tumhaare hisse me.n kyo.n nang-e-vatan kii baat karo kyaa rakhaa hai is qisse me.n
aa.Nkho.n me.n chhupaaye ashko.n ko ho.nTho.n me.n vafaa ke bol liye is jashn me.n bhii shamil huu.N nauho.n se bharaa kashkol liye
|
Bewaqoof |
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 253 Post: 4300 Age:
38
|
|
Posted on:1st May 2010, 1:56pm |
|
|
Poetry of Ahmad Faraz zakhm ko phul to sar sar ko saba kahte hain jane kya daur hai kya log hain kya kahte hain
kya qayamat hai ke jin ke liye ruk ruk ke chale ab vahi log hamain abalapa kahte hain
koi batalao ke ik umr ka bichara mahabub ittefaqan kahin mil jaye to kya kahte hain
ye bhi andaz-e-sukhan hai ke jafa ko teri gamza-o-ishva-o-andaz-o-ada kahte hain
jab talak dur hai tu teri parastish kar lain ham jise chu na sakain us ko khuda kahte hain
kya tajjub hai ke ham ahl-e-tamanna ko 'Faraz' wo jo maharum-e-tamanna hain bura kahte hain
|
s4u |
Group: Members Joined: 18th Mar, 2011 Topic: 97 Post: 5354 Age:
|
|
Posted on:13th May 2010, 9:53pm |
|
|
Poetry of Ahmed Faraz Kissi Se Juda Hona Agar Itna Asan Hota "FARAZ" Jism Se Rooh Ko Lenay Kabhi Farishtay Na Atayyyy.....!!!
|
s4u |
Group: Members Joined: 18th Mar, 2011 Topic: 97 Post: 5354 Age:
|
|
Posted on:13th May 2010, 9:55pm |
|
|
Poetry of Ahmed Faraz Tu kisi aur ke liye hoga samander-e-ishq faraz
hum to rooz tery sahil se piyase guzar jaty hain..
|
s4u |
Group: Members Joined: 18th Mar, 2011 Topic: 97 Post: 5354 Age:
|
|
Posted on:13th May 2010, 10:00pm |
|
|
Poetry of Ahmed Faraz
hum un say millay to khuch keh na sakay "faraz" khushi itni they k mulaqat ansoo ponchtay he guzar gai
|
Bewaqoof |
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 253 Post: 4300 Age:
38
|
|
Posted on:5th Jun 2010, 8:48am |
|
|
Poetry of Ahmad Faraz us ne sukuut-e-shab main bhii apanaa payaam rakh diyaa hijr kii raat baam par maah-e-tamaam rakh diyaa
aamad-e-dost kii naviid kuu-e-vafaa main aam thii main ne bhii ik chiraaG-saa dil sar-e-shaam rakh diyaa
dekho ye mere Khvaab the dekho ye mere zaKhm hain main ne to sab hisaab-e-jaan barsar-e-aam rakh diyaa
us ne nazar nazar main hii aise bhale suKhan kahe main ne to us ke paanon main saaraa kalaam rakh diyaa
shiddat-e-tishnagii main bhii Gairat-e-maikashii rahii us ne jo pher lii nazar main ne bhii jaam rakh diya
aur 'Faraz' chaahiiye kitanii muhabbatain tujhe ke maaon ne tere naam par bachchon ka naam rakh diyaa
|
s4u |
Group: Members Joined: 18th Mar, 2011 Topic: 97 Post: 5354 Age:
|
|
Posted on:10th Jun 2010, 1:34am |
|
|
Poetry of Ahmed Faraz Kuch
muhabat ka nasha tha pehle hm ko Faraz.
Dil jo
tota to nashe se muhabat ho gai.
----------------------------------
Yeh wafa
to un dinon ki baat hay "Fraaz"
Jab
makaan kachy or log sachay hoa krty thy......
----------------------------------
Kon data
ha umar bhar ka sahara aay Faraz....
LOG tu
JANAZAY man bhi kandhay badaltay rahtay hein....
----------------------------------
"Kis ki
Kya majal thi jo koi Hum ko kharid sakta",,,
Faraz,..
"Hum to
khud hi Bik gaey kharidar dekh k"...
----------------------------------
'"Ham na
badlein gay waqt ki raftaar kay sath,,,
'"Faraz"'
Ham jab b
milen gay andaz purana hoga...'".
----------------------------------
"Tera Na
Ho Saka To Mar Jaon Ga Faraz.
Kitna
Khobsurat Wo Jhoot Bolta Tha".
----------------------------------
Wo Bewafa
na tha youn hi badnaam ho gya,,,,
Faraz..,...
Hazaron
chaheny waly thy kis kis say wafa karta......
-
---------------------------------
Hum pe
faqat ilzaam k hum hain zuban daraz.......
hum ne to
bus kaha tha hamain tum se piyar hai....!
----------------------------------
Zindagi
to apnay hi Qadmon pe chalti hai Faraz..,
Auron k
$aharay to Janazay utha kartay hain..!
-
---------------------------------
Yahee
soch kar us ki har baat ko sach mana hay
"FARAZ"~
K itnay
khubsoorat Lub jhoot kesay bolain gay..~
-
---------------------------------
Bari
Mushkil se Sulaaya tha Khud Ko FARAZ Main ne Aaj...!
Apni
Aaankon Ko Tare Khuwaab Ka Laalach Day Ker.....!
-
---------------------------------
Wo roz
dekhta hai dubtay huay suraj ko faraz.
Kash mai b
kisi shaam ka manzir hota....!
----------------------------------
Main us k
Haathon me tha
Tute hue
Sheeshe ki trha "Faraz",
Bari
Umeed thi k bikhrne nhi dega.
Bus
giraya kuch is Ada se k
Simatne
ki Aaas hi na rahi
|
H/dr_Qasim |
Group: Members Joined: 10th Sep, 2010 Topic: 186 Post: 6476 Age:
35
|
|
Posted on:27th Jul 2010, 12:12pm |
|
|
Meri pussundeeda poem
Bhale DinoN ki baat hai Bhali see aik shakl thi Naa yeh ky husn-e-taam ho Naa dekhne mein 'Aam see Naa yeh ky woh chale tu Keh-kashaan see rahguzar laghy magar woh saath ho to phir bhala bhala safar lage koi bhi rut ho us ki chchab fiza ka rang-o-roop thi woh garmiyon ki chchaaon thi woh sardiyon ki Dhoop thi na muddatoN judaa rahe na saath subh-o-shaam ho na rishta-e-wafa pe zid na ye ki izn-e-'Aam ho na aisi Khush libasiyaan ki saadgi gila kare na itni be takallufi ki aaina haya kare na ikhtilaat mein woh ram ki bad-mazah hon Khwahishen na is qadar supurdigi ki zach karen nawazishen na aashiqi junoon ki ki zindagi 'azaab ho na is qadar kaThor pan ki dosti Kharaab ho kabhi to baat bhi Khafi kabhi sukoot bhi suKhan kabhi to kasht-e-z'afraan kabhi udaasiyoN ka ban suna hai aik 'umr hai mu'Amilaat-e-dil ki bhi visaal-e-jaanfiza to kya firaaq-e-jaangusal ki bhi so aik roz kya hua wafa pe bahas cherr gayi main ishq ko amar kahoon woh meri zid se chidh gayi main ishq ka aseer tha woh ishq ko qafas kahe ki umr bhar ke saath ko woh bad-taraz-hawas kahe "shajar hajr nahin ki ham hamesh pa ba gul rahen na Dhor hain ki rassiyaan gale main mustaqil rahain mohabbatoN ki vus'Atain hamare dst-o-pa mein hain bas aik dar se nisbatein sagaan-e-bawafa mein hain main koi painting nahi ki aik frame meiN rahoon wahi jo man ka meet ho usi ke praim meiN rahoon tumhari soch jo bhi ho main is mizaaj ki nahin mujhe wafa se bair hai ye baat aaj ki nahin" na us ko mujh pe maan tha na mujh ko us pe za'Am hi jo 'ahad hi koi na hoi to kya gham-e-shakistagi so apna apna raasta hansi Khushi badal diya woh apni raah chal padi main apni raah chal diya bhali si aik shakl thi bhali si us ki doosti ab us ki yaad raat din nahin, magar "kabhi kabhi"
|
|