Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic| Forum | Health| Sex | General |Pakistani Matrimonial| Site Map
Procedure | Recent Post |New Topic | Most Viewed| Quran & Hadith Download
 
Warning: This Website is not for people less than 16 years of age. Please exit
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
 
    Start New Topic  My Profile
 

20 Qualities Of A True Follower(Muslim) According To Islam

Religion and Culture   >>  Religious Information
 
 
 
Sooth Group: Members  Joined: 18th Jul, 2007  Topic: 303  Post: 1941  Age:   
Posted on:28th Jan 2008, 8:37am
 

20 Qualities Of A True Follower(Muslim) According To Islam

                         BISMI ALLAHI ALRRAHMANI ALRRAHEEMI

Asalam Alaikum

Hazrat Alqama bin al-Haris (may Allah be pleased with him) fermatay han k mein Hazoor Allah(sallallahu 'alaihi wasallam) ki khidmat me hazir hua aur meray sath meri qoom(nation) k mazeed 6 aadmi bhi thay hum logon ne Hazoor (sallallahu 'alaihi wasallam) ko salam kiya.Hazoor(sallallahu 'alaihi wasallam) ne humarey salaam ka jawaab diya.phir hum ne Aap se guftagu(conversation) ki.Aap ko humari guftagu pasand ayi aur Aap ne pocha k tum kon log ho?hum ne kaha(hum) momin han.Aap ne fermaya her baat ki aik haqiqat (aur nishaani) hua kerti ha.tumharay Imaan ki kiya haqiqat ha?hum ne arz k 15 khaslatain(qualities)humarey imaan ki haqiqat aur nishaani)han.5 khaslatain wo han jin ka Aap ne humein hukam diya aur 5 khaslatain wo han jin ka Aap k qasidoon(messangers) ne humein hukam diya aur 5 wo han jin ko hum ne zamaney jaliyat me ikhtayar kiya tha aura b tak hum in per baki han.haan ager Aap in se mannah krn gay tu hum in ko chorr dan gay.Aap ne fermaya wo 5 khaslatain kon si han jin ka mein ne hukam diya?hum ne kaha Aap (sallallahu 'alaihi wasallam)  ne humein es baat ka hukam diya k hum Allah per aur Uss k ferishtoon per aur Us ski kitaboon per aur Uss k rasoolon per aur taqdeer per imaan layan k bhala aur bura jo kuchh bhi hai wo Allah ki teruf se hai.phir Aap ne fermaya wo 5 khaslatain kon si han jin ka tum ko meray qasidoon ne hukaam diya?hum ne kaha Aap k qasidoon(messangers) ne humein es baat ka hukam diya k hum es baat ki gavahi dan k aik Allah k siva koi mabood nahi Uss ka koi shareik nahi aur Aap Allah k bunday aur rasool han aur es baat ka hukam diya k hum furz namaz qahim keran aur furz zakaat ada keran aur mah-e-ramzan k rozay rukhan aur ager hum safur(voyage) ki taqat rukhan tu batullah ka hajj krn.phir Aap ne fermaya k wo 5 khaslatain kon si han jin ko tum ne zamaana jaliyat me ikhtayar kiya tha?hum ne sahoolat aur khush'hali k waqt Allah ka shuker krna aur mosibat(trouble) aur azmaish k waqt saber kerna aur lerayi k moqay per jamna aur joher dekhana aur Allah ki qaza-o-taqdeer per razi rahna aur dushman per jab mosibat aye tu uss se khush na hona.Hazoor(sallallahu 'alaihi wasallam) ko mokhatib ho ker) fermaya ye log tu berhay sumajhdar aur saliqay walay han.in umda aur bahtereen khaslatoon ki waja se qareeb tha k ye nabi ho jatey(yahni in ki ye tamaam khaslatain nabiyon wali han) aur humein dekh ker Aap moskeraye phir Aap ne fermaya k mein tumhain 5 khaslatoon ki wasiyat kerta hon takay Allah taalla  tumharey ander khair ki khaslatain pori ker day.

              Jo tum ne khaana nahi hai usey jamma na rukho(yahni zurorat se zahid bacha hua khaana sadqa ker diya kero)aur jis makaan me rahna nahi hai usaey mat bunao(yahni zurorat k mutabik makaan buao zurorat se zayada na bunao) aur jis dunia ko chorr ker tum kal chal do gay uss me aik doseray se agay berhnay ki koshish mat kero aur jis Allah k pass tum ne janna aur jis k pass jamma hona hay uss se tum dero aur jis dara-e-akhrat  ko tum ne janna hai aur wahaan humesha rahna hai us ski fiker kero.(taken from Hiyaat-us-sahaba written by Hazrat moulana Muhammad Yousif).

About In'na lilah hay wa in'na ilaihay rajey'oon .

Meaning of these words "Beshuk hum Allah ki teruf se hi aye han aur usshi ki teruf lot ker janna hai".

    Aik bar Nabi(sallallahu 'alaihi wasallam) ki mojodgi me aik sahaba ka churaag(diya) bujh gaya tu Nabi(sallallahu 'alaihi wasallam) ne ye qalima perha aur unhon ne sahaba k deriyaft kernay per fermaya "ager aik momin ka churaag bhi bujh jaye tu ye bhi uss k liay taklifday hai".

   Aik bar Hazrat ommer(may Allah be pleased with him) ka tasma toot gaya tu aap ne bhi in ilfaaz ko perha.

    In short In our routine life hum in ilfaaz ko sirf uss waqt perhtay han jab kisi ki death ho jaye(its right) but hukam ye bhi hai k jab tumhari koi cheez kho jaye tub bhi tum in ko perho(atleast 11 times).

   Kisi doseray insaan ko taklif me dekho tu in ilfaaz ko perho es se khuda ka shuker bhi ada hota hy k khuda ne hum ko es taklif se dour rukha aur dua bhi hoti hy k khuda doseray insaan ki taklif dour fermaye.mujhey kaheen bar exact wordind yaad nahi rahti jo hadees hoti hy but me uss ka meaning likh dati hon aur ager meray se koi ghalti ho jaye tu plz point out krn aur uss ki correction bhi krn and at the end khuda hum sub me ye sari 20 khaslataan paeda ker day jo ooper bayaan hui han(Aamin).plz everyone read the whole article its long but may be es ko perh ker aap sub ka imaan taaza ho aur aap ko faeda ho and plz write your comments so that mein khud se satisfy hon k sub ne es ko perha hy.Thank you and Allah Hafiz

 

nikama Group: Members  Joined: 15th Oct, 2007  Topic: 47  Post: 1808  Age:  34  
Posted on:28th Jan 2008, 9:19am
 

God bless you Sooth

This is very good....buhat acha hai..Allah Tallah humain maaf fermain..ameen
Sooth Group: Members  Joined: 18th Jul, 2007  Topic: 303  Post: 1941  Age:   
Posted on:28th Jan 2008, 1:27pm
 

Asalam alaikum

Thank u nikama bhai aap ne es article ko perha tu ha.khuda keray aap ko es article ka faeda ho aur aap me wo 20 qualities Allah paeda ker day(aamin).nikama bhai kiya aap ne wo collection of duas pora perh ker aur print ker k apnay relatives aur friends se share kiya tha???and plz don’t mind aap God mat likha keran Allah likha krn bus ye zayada mujhey pasand ha aur suit bhi kerta ha aur plz meray liay dua kiya krrn that khuda mujhey uss mayaar per poncha day jo uss ne aik muslim aurat aur umat-e-muhamadi ki her aurat k liay pasand kiya ha wo mujhey apnay pasandida logon ki list me shamil ker day aur mujhey jannat me jaga day dy(aamin).if any of my word hurt u then plz 4giv me and Allah Hafiz

goodman Group: Members  Joined: 11th Oct, 2007  Topic: 59  Post: 7294  Age:  32  
Posted on:28th Jan 2008, 10:15pm
 

good topic

Dear Sooth sister,

I read your all topic .It is good topic but i want to explain some thing here about this topic.

Jo tum ne khaana nahi hai usey jamma na rukho(yahni zurorat se zahid bacha hua khaana sadqa ker diya kero)aur jis makaan me rahna nahi hai usaey mat bunao(yahni zurorat k mutabik makaan buao zurorat se zayada na bunao) aur jis dunia ko chorr ker tum kal chal do gay uss me aik doseray se agay berhnay ki koshish mat kero aur jis Allah k pass tum ne janna aur jis k pass jamma hona hay uss se tum dero aur jis dara-e-akhrat  ko tum ne janna hai aur wahaan humesha rahna hai us ski fiker kero.

Now a days we make large house altough we do not live in these houses.And we do not fear with Allah.And we do not  consider on live and constant life AKHRAT.Now a days we try to forward with each other.These are our demerits and according to narration we can adopt these qualities also.

Waiting for your comments.

 

Sooth Group: Members  Joined: 18th Jul, 2007  Topic: 303  Post: 1941  Age:   
Posted on:29th Jan 2008, 1:10pm
 

look bhai

Asalam alaikum bhai,aap k question ka aik jawaab meray pass ha that is ager hum ye sub cheezan ker bhi saktay han tu uss k liay bhi conditions honi chahiyan ab dekhan bohot sarey log pak me 1 se zayada ghar buna ker uss ko rent per day datay han jo k un k ki old age me qaam ata ha.kuch loog mushkil wakt k liay paisa jamma kertay han lakin its wrong ager kisi me bahot zayada show off kernay ki habit ho like money show off kerna,dresses show off kerna,bohot hi khoobsurat ghar buna ker show off kerna that koi bhi uss jesa nahi buna sakta aur ye sirf khud ko financially ooncha dekhanay k liay keray.i'm against to all this aur khuda na keray meray me esi koi baat paeda ho jaye.Allah Hafiz
nadeem AOL Group: Members  Joined: 26th Nov, 2007  Topic: 8  Post: 265  Age:  30  
Posted on:29th Jan 2008, 2:31pm
 

Hmmm.....

It's cool Sooth !!

Good effort, May Allah bless you. Keep spreading these noble messages from Prophet (PBUH).

Cheers !!!
~~HITMAN~~ Group: Members  Joined: 09th May, 2011  Topic: 122  Post: 4287  Age:  28  
Posted on:29th Jan 2008, 2:37pm
 

thanks u sooth

buhut hi barhiya batain likhin hain tum nay ............ jo kay pehli dafa main nay parhi hain ..............shukriya
Sooth Group: Members  Joined: 18th Jul, 2007  Topic: 303  Post: 1941  Age:   
Posted on:29th Jan 2008, 2:38pm
 

nadeem bhai

thank u bhai aap ne es ko perha tu sahi.mein tu esi baatan likhti rahoon gi lakin koi perhnay wala bhi tu ho.Allah aap se khush ho(aamin).Allah Hafiz
Sooth Group: Members  Joined: 18th Jul, 2007  Topic: 303  Post: 1941  Age:   
Posted on:29th Jan 2008, 2:41pm
 

to hitman bhai

hitman bhai aap ka bahot shukeriya es topic ko perhnay k liay.Allah aap se bhi khush ho aur khuda ye 20 qualities her true muslim me paeda ker day(aamin).Allah Hafiz bhai
goodman Group: Members  Joined: 11th Oct, 2007  Topic: 59  Post: 7294  Age:  32  
Posted on:29th Jan 2008, 10:40pm
 

change our attitude

Dear Sooth,

Now Show off has become a part of our caltures.This thing made poor people frustrated.If we make big houses and rich clothese do not need to show other people.

We must change this attitude.What is your opinion in this regards?

Waiting for your comments.

goodman Group: Members  Joined: 11th Oct, 2007  Topic: 59  Post: 7294  Age:  32  
Posted on:29th Jan 2008, 10:40pm
 

change our attitude

Dear Sooth,

Now Show off has become a part of our caltures.This thing made poor people frustrated.If we make big houses and rich clothese do not need to show other people.

We must change this attitude.What is your opinion in this regards?

Waiting for your comments.

Sooth Group: Members  Joined: 18th Jul, 2007  Topic: 303  Post: 1941  Age:   
Posted on:30th Jan 2008, 7:21am
 

Re

We must change our attitude and we must be positive according to islam but major prblm is how can we change the attitude of whole society???

sunehri76 Group: Members  Joined: 04th Aug, 2007  Topic: 99  Post: 4665  Age:  37  
Posted on:30th Jan 2008, 9:41am
 

Sooth

Veryy nice and interisting,ap plz ainda is me mazeed Hadeesain likhti raha karain..and look ye kitni common batain hain,jo humain pata bhi hain par hum aksar hi inko bhool jate hain..nice work
Alveena20 Group: Members  Joined: 15th Dec, 2007  Topic: 10  Post: 922  Age:  28  
Posted on:30th Jan 2008, 1:23pm
 

MashaaAalllah

  Sooth sis bahot achi batein likhi hain .mera bhi dil kar raha hai kay main bhi kuch likhoon. main bhi aik hadees likhti hoon.lekin ye mardo kay liye hai.

Hazar Hoorein:

haumaray haqa Hazrat Muhammad (SAW ) ne farmaya hai kay . qiamat mein aik banda aik hazar hoorein paye ga. jo khoosurti us nojawan mein ho gi kisi aur mein na ho gi. behshat walay puchein ge. hai Allah ye kon hai. Irshad-e-BARI TALLAH ho ga  . ye wo hai jisse aurat ne zina ki taraf bulaya tha. aur ye meray khoof ki wajay se us kay pass nahi gaya tha.

AllahHafiz

goodman Group: Members  Joined: 11th Oct, 2007  Topic: 59  Post: 7294  Age:  32  
Posted on:31st Jan 2008, 1:05am
 

Pardon me

Alveena Jee,Pardon me.

The headith you descirbe that is very excellent but this is not for male.This is for womens.Because women is calling a men for Adult.

So women must consider on it.

Thank you very much and waiting for your possitive reply.

goodman Group: Members  Joined: 11th Oct, 2007  Topic: 59  Post: 7294  Age:  32  
Posted on:31st Jan 2008, 1:07am
 

MEYANA RAWI

Dear Sooth Jee,

To change our attitude in my mind one thing is coming.In islamic dictonary there is one word MAYANA RAWI.If we consider and in  our life we adopt this word then we can change our society.

What is your opinion in this regards?

BeautyStar Group: Members  Joined: 16th May, 2007  Topic: 52  Post: 3598  Age:  26  
Posted on:31st Jan 2008, 6:08am
 

Hard-Work... SOOTH

May ALLAH bless you and reward you... You did really hard work ... Thanks !
Alveena20 Group: Members  Joined: 15th Dec, 2007  Topic: 10  Post: 922  Age:  28  
Posted on:2nd Feb 2008, 10:08pm
 

Goodman bhai

 Shayed aap ne theek kaha hai . lekin Mujhe is  hadees ki samajh is tarah lagi hai. mujhay jo kuch samajh mein aaya hai. wo ye hai:

Qyamat kay din aik shakhz ko 1000 hoorein milay gi. wo shakhz bahot ziyada khoosurat ho ga. Us ki tarah aur koi  banda  khoobsurat nahi ho ga. Us waqt jab log Allah Tallah se puchayn ge hy Allah ye kon hai jis ko aik 1000 hoorein mili hain to us waqt  Irshad-e-BARI TALLAH ho ga. Kay ye wo shakhz hai jissay aurat ne apni taraf zina kay liye bulaya tha aur ye mera khof ki wajay se nahi gaya tha:  main ye samjhi hu kay agar koi aurat aisay karay gi aur mard us kay pass nahi jaye gaa. To 1000 hoorein to mard ko milay gi na. aurat ko to kuch nahi milay gaa na.:( isliye mujhay ye hadees mardo kay liye lagi thi.

goodman Group: Members  Joined: 11th Oct, 2007  Topic: 59  Post: 7294  Age:  32  
Posted on:2nd Feb 2008, 10:41pm
 

Women is calling a man

Alveena Jee,

Not perhaps Of course i think i advice you  right but other members also contribute in this post specilly MS SOOTH .

 and now i explain about this again.

Women is calling a man for sin.So Verb (Kernay wali)is a women.Not man.Man is trapping and catching .So in this Headith man is advicing that women is SHEETAN she can trap you.Then escape her SHUR.

If you will escape then you will find this gift and it is not easy to escape currently senario .

This is my understanding.Now you give further comments in this regards.

 

Sooth Group: Members  Joined: 18th Jul, 2007  Topic: 303  Post: 1941  Age:   
Posted on:3rd Feb 2008, 10:48am
 

Asalam alaikum

thnx to alveena sister,beautystar bhai and goodman bhai for ur replies.i always expect good/nice reply 4rm all of u.

Goodman bhai bahot achay Meyana ravi asal me mujhey esay hi kisi jawaab ki talash thi.taqwa,ajazi,meyANA ravi ye wo qualities han jin se hum sub apni life bahot achi tara guzar saktAY HA.

BEAUTYSTAR bhai Allah aap ko khush rukhay(aamin)

alveena and goodman bhai;i agreed with alveena her uss mard ko jis ne Allah k ahkaam ko pori tara pora kiya uss ko horaan milan gi aur kuch ko tu apni dunia ki biviyan milan gi jo jannat ki horoon se bhoi 70 times zayada beautifull hon gi lakin ager wo dunia ki aurataan bhi dunia me Allah k ahkaam poray kerti han tab werna nahi.sub horaan me aik hoor sub ki malika ho gi uss ka name laiba ho ga jis jo Allah rooz 5 sajatay han aur uss ka libaas bohot berha ho ga jo colours change kerta ho ga.kaperay ka nahi ho ga ye noor ka ho ga aur ye hoor khass logon ko hi milay gi.jannat ka mard kitnay saal sirf uss ko dekhta hi rahay ga phir wo kahay gi meray pass tu ayan,mein aap ki bivi hon.yahan aik aur baat kahni ha aur bohot sari baatan inshallah main phir kabhi likhon gi.w8ing 4 ur reply.Allah Hafiz

1 2  >>
 
 
 
Pakistani Student In Harvard University  How To Fill Out A Job Application  Bangladeshi Community Celebrating Canada Day In Toronto

Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
Pakistani Urdu Magazine Pakistani Matrimonial Seo In Urdu World Information Pakistan Information Sehat In Urdu
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact UsLast Updated: 28th March 2013