sunehri76 |
Group: Members Joined: 04th Aug, 2007 Topic: 98 Post: 4620 Age:
36
|
|
Posted on:1st May 2009, 5:47pm |
|
|
Meri Chahat: Urdu Poetry
Meri chahat ka sar-e-aam to charcha na karo
Kum to pehle bhi nahi aur to ruswa na karo
Kabhi jugnoo kabhi taare kabhi nargis keh kar
Tum meri Ankhon ko is tarha to cherra na karo
Bhanp jai na kahin dil ki lagi ye duniya
Yoon shafaq ban kar mere chehre pe tehra na karo
Baat choti si bhi afsana bana daiti hai
Tum kitaboon pe mera naam likha na karo
Dil ko bechain sa karti hai aksar tumhari ankhain
Raat ko dair talak tum mujhw soocha na karo
|
Bewaqoof |
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 249 Post: 4191 Age:
37
|
|
Posted on:1st May 2009, 6:37pm |
|
|
re: Meri chahat
Meri chahat ka hisab jo lagao gay, To meri chahat ko bayhisab pao gay,
Meri chahat hay pani k bulbulay jesi, Zara sa thukrao gy to dhondtay reh jao ge,
.....................................
Meri chahat ka safar is liye dushwar raha Main mohabat may wafaon ka talabgar raha
Ho gaye sare gilay door juda hotay hi Ghamzada wo hai na main uska talabgar raha
In hawaon may ab dhundta phirta hun usay Jin hawaon se kabhi barsar-e-pekaar raha,
Na muradi k siwa hijr k aaram bhi thay Phir zamane ka zamana hi sitam gaar raha,
Jasb-e-shoq ne us waqt bhi chaha tujhko Jab wo shokhi na wo gaisu na wo rukhsar raha,
Aik hasrat si mere dil mey kahin aur bhi thi Har badalti hui rut mey gham-e-dildar raha
Is qadar hamsafri se tha harasan wo shakhs Saath hi chor gaya dasht k us paar raha....
....................................................
Meri chahat apnay dil main. Khuch is tahra chupa lo. Dakha karo khud KO mujh main. Mujh KO Aaina bana lo. Hum door ho na pey ak dojay say kabhi be. Muja es tahra se jananah apni Roh main Basa lo. Tuja Dard ho kabhi tu meri. Ankh may ho ansoo. Mojhi assay payer karna meri Jan tum sikha do. Jo kabi Na toot payee duniya k ranjisho say. Muja aisa khawab bana k apni palko pe saja lo.
.........................................
Meri Chahat Me Tum Khudh Ko Yun Na Jalaya Karo Kuch To Apni Zaat Ki Bhi Parwa Kiya Karo
Tumhare Bagher Kaise Jee Sakta Hoon Me Khudh Ko Is Haqeeqat Se Aashna Karo
Mujhe Manzoor Nahi Ye Shafqat-E-Pidri Bhi Apne Naam Ke Aagey Koi Naam Na Lagaya Karo
Meri Yaad Me Agar Tum Ro To Ro Magar Aankhon Me Apni Kajal Na Lagaya Karo
Manzoor Gar Nahi Tumhe Meri Rafaqat Mujh Se Phir Mila Bhi Na Kiya Karo
Haseeb In Ashkbar Aankhon Ke Liye Koi Veerana Dhoondh Lo Sar-E-Aam Ro Ro Kar Yun Meri Mohabbat Ko Ruswa Na Kiya Karo
....................................................
Meri Chahat Me Khot To Nhi Shamil Phir Q Wo Barbar Azmata Hay Mujhe
Mera Dil Uski Yaad Se Ik Pal Bhi Nhi Ghafil Phir Kese Mumkin Hai K Wo Bhool Jaye Muje
|
sunehri76 |
Group: Members Joined: 04th Aug, 2007 Topic: 98 Post: 4620 Age:
36
|
|
Posted on:2nd May 2009, 6:17am |
|
|
Bewakoof apke replays dekh kar to waise hi khushi hoti hai..
par poetry me apne hissa liya, ye to aur bhi khushi ki bat hai....Thankssss
apne jo shair post kiye hain wo bohat hi ache hain.specially ye do..
Meri chahat apnay dil main. Khuch is tahra chupa lo. Dakha karo khud KO mujh main. Mujh KO Aaina bana lo. Hum door ho na pey ak dojay say kabhi be. Muja es tahra se jananah apni Roh main Basa lo. Tuja Dard ho kabhi tu meri. Ankh may ho ansoo. Mojhi assay payer karna meri Jan tum sikha do. Jo kabi Na toot payee duniya k ranjisho say. Muja aisa khawab bana k apni palko pe saja lo.
.....
Meri Chahat Me Khot To Nhi Shamil Phir Q Wo Barbar Azmata Hay Mujhe
Mera Dil Uski Yaad Se Ik Pal Bhi Nhi Ghafil Phir Kese Mumkin Hai K Wo Bhool Jaye Muje
|
Bewaqoof |
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 249 Post: 4191 Age:
37
|
|
Posted on:3rd May 2009, 2:59pm |
|
|
Teri Chahat: Urdu Poetry Especially For Sunehri
teri chahat may kuch kami lagti hay badli huwi mujh ko meri taqdeer lagti hay
kaha gai woh sabeen jo mujhko yeh kehti thi vick hum dono ki chahat kitni acchi lagti hay
*********** Teri chahat me hum zamana bhool gaye, Tere baad kisi ko apnana bhool gaye, Phir laga sara jahan veerana hum ko, Jaise Chaman me phool meheknaa bhool gaye, Tum se mohabat hi bataya saare Jahan ko, Yahi baat tum ko batana bhool gaye, Hum ne mita diya jahan bhi likha tha Naam Tera, Magar apne dil se mitana bhool gaye, Woh juda hue hum se muskrate hue, Magar apni palkon se ansoo hatana bhool gaye...
********* Zindagi ka sahara hai teri chahat Jeene ka bahana hai teri chahat Tujh se juda hona bas main nahi mere Har pal deewana banati hai teri chahat Khamoshi main sargoshi karti hoon khud se Mujhe madhosh rakhti hai teri chahat Bheer main bhi tanha hoti hoon main Jab se mujh main samayi hai teri chahat
********** Zindagi unhi teri chahat ky naam kardi Jaisay ghanay darakhat ky neeche sham kardi Laut jate hain parinday bi sham hote hi Hum to her sham hi tere naam kardi
*********** dil ko teri chahat pe bharoosa bhi bohat hay or tujh se bichar jane ka durr bhi nahin jata.
************ badi shiddat se yu maine teri chahat ki hai, ke har lamhe ne mujhe tujhse milane ki saajish ki hai.. sajde pe sajde karta hoon tere sukoon ke liye, ab to bas rab se teri khushiyo ki farmaaish ki hai
*************
|
Bewaqoof |
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 249 Post: 4191 Age:
37
|
|
Posted on:3rd May 2009, 3:15pm |
|
|
Teri Chahat: More For Sunehri
maiN kahti teri chahat ki fiza maiN punkh bharooN kesay wo bola k bichri huwei koonj k tootey huwey par se
maiN kahti thei samandar maiN khushi k kis tarha utrooN kaha be-aa'b mahi ka sa paira'haN pahan dekho
maiN kahti thei chalo itna tu ho gha dard ki zanjeer tootey ghi wo bola khawab-e-zeest ki teray taa'beer tootey ghi
maiN kahti thei tu kia ye tey hai k meray khawab jhoothey they wo bola haaN yehi tey hai teray tumhaa'ray lufz jhoothey they
maiN kahti thei sara'bi hum they ya ye dunia he dhooka thei wo bola baat hai itni tumhari payaa's zaida thei
maiN kahti payaas asi hai k dar'yaa khud pukaa'ray gha wo bola haar jaa'oo ghi suno waa'pis palat jaa'oo
maiN kahti thei meray baad tum tanhaa na rah jaa'oo wo bola halqa-e-yaaraa'N bohat hai saath dainay ko
maiN kahti thei bohat mumkiN hai ye dukh jaaN lay jaa'ey wo kahta tha tumhaiN kitna hai dukh maiN aazmaa'ooN gha
maiN kahti thei kaho itna kahaN taak aazmaa'oo gay'ay wo bola bus wahaN taak , jab tum apni jaa'N se jaa'oo gay'ay
phir us k baad kitni dair taak maiN kuch nahi boli
************* Teri tasweer meri ankhon main basee kyun hai Jidhar dekho bus udhar tu hi kyun hai
Teri yadoon say wabasta meri takdeer hai lekin tujhe naa paa ker meri takdeer roothi kyun hai
Mujh ko hai khaber asaan nahin tujhe haasil karna phir bhi yeh intizaar yeh bekarari kyun hai
Barson guzar gaye meray tanhayee main lekin Meri baanhon ko aaj bhi tera intizaar kyun hai
Teri chahat ki kasam khoon kay aansoon royaa hon Ab nahin hai kuch bakee phir yeh jaan bakee kyun hai
Khatam huwa mera yeh afsana ek baat batadoo lekin Anjaam tha malooom mujh ko phir yeh muhabbat kyun hai
**************
Zindagi younhi teri chahat k naam kardi, Jaisay ghanay darakht k neeche sham kardi,
Laut jate hainparinde shaam hote hi, Hamne to har shaam hi tere naam kardi
*************** Zindagi kabhi haseen hua kerti thi, Hanstay khailtay or masoom qehqay,
Fikr-o-gham kia hota hay, Yeh soch hua kerti thi,
Doston ki dosti or baron ka pyaar, Choti Choti khushiyon per hansi ki bahaar,
Bus! itni e hamari chahat hua kerti thi, Woh doston ko nao chizen dikha ker itrana,
Or dadi ki kahaniyaan suntay huay, Baadlon per shaklen banana,
Din or Raat younhi beet jaya kerti thi, Zindagi kitni Befiker hua kerti thi...!
**********
Khush numa lafz ki sawari bas Shahr walon ko ek madari bas
Ishq me aur kya hua hum se
Dhang se ki hai ashk bari bas
Ek nauras kali ka gul banna Zindagi!! teri payedaari bas
Fasl e gul kaynat ki, mujh ko Teri chahat ki aik kiyari bas
Manzilen ghair ke liye makhsus Apne hisse me khabkari bas
Ek bejaan muskurahat hai !!!! Oonche logon ki inkesaari bas
Aur kiyaa seekhte zamaane se Hogaye hum bhi kaar o baari bas
*********
Dil se har pal teri chahat ki sada ati hain Yaad mujh ko teri har ek ada aati hain Qurban ho jaye mera jeevan teri khushiyon par Phir yaqeen ho tujhe humko bhi wafa aati hain
********
Teri Chahat Ki Madhoshi Mein Dubta Hu Har Raat Jane Kab Didaar-E-Yaar Ki Subha Hogi
Falak Pe Chaye Ga Kab Noor-E-Hamdam Jane Kab Nigahe-Yaar-E-Tishnagi Hogi
Muntazir Hoon, Teri Tabassum Dekhne Ko Aai "Fiza" Jan Kab Inayaat-E-Kuda Hogi
|
sunehri76 |
Group: Members Joined: 04th Aug, 2007 Topic: 98 Post: 4620 Age:
36
|
|
Posted on:3rd May 2009, 6:33pm |
|
|
to Bewakoof
Chiraagh-e-shab tha ya Aaftab,na dil samajh saka na mai
wo Tabeer tha ya mehas Khwaab,na dil samajh saka na mai
wo Nazar jo Tamaam umar jhuki jhuki hi rahi
mere lye thi Betaab na dil samajh saka na mai
sab se Anjaan apni hi Dhun me khoya khoya sa magar
wo tha Khulli Kitaab na dil samajh saka na mai
wo jaan-e-Mehfil jo mujh se Ghafil par meri hi amad ka
rakhta tha barha Hisaab na dil samajh saka na mai
meri Talkhiyon ko sehna mere tanz pe Muskurana
wo Shakhs tha Lajawaab na dil samajh saka na mai -------------------------------------------
Us ne kaha ke Ishq ka Nasha utar gaya
maine kaha ke Hussan bhi tujhse mukar gaya ~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~ Us ne kaha wo Teri Chirryon se Dosti
maine kaha ke Dil mera Dunya se bhar gaya ~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~
Us ne kaha ke Aankh me Kajal ki Dhaar si
maine kaha ke Aankh se Darya guzar gaya ~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~ Us ne kaha ke Khwab me ane ka Waqt do
maine kaha ke Neend ka Mausam guzar gaya ~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~ Us ne kaha ke kia mila sab se Bigaar ke
maine kaha ke Waqt to acha guzar gaya ~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~
------------------------------
Teri chahaton main hai apna pan. Muje dil se kahien ye rula na de
Main shajar hon jazba e ishq ka Tujhe ishq mera sata na de
To jahan bhi ho ga yaad rakh Teri har ada mere sang hai
Muje apni kuch bhi khabar nhi dar ye hai to bhula na de
Muje pas rakh muje tham le Muje chorne ki saza na de... |
sunehri76 |
Group: Members Joined: 04th Aug, 2007 Topic: 98 Post: 4620 Age:
36
|
|
Posted on:4th May 2009, 4:16pm |
|
|
wo apne ishq me
Woh Apne Ishq Me Kaisa Kamal Rakhta Hai, Ke Berukhi Me Bhi, Mera Khayal Rakhta Hai
Ajab Nahi Woh Jahan Bhar Ko Bewafa Samjhe, Nazar Me Meri Wafa Ki Misaal Rakhta Hai
Meri Uraan K Aagay Hai Kis Qadar Be-Bas , Yeh Aasman, Jo Sitaron K Jaal Rakhta Hai
Tera Khayal He Kuch Meherban Hai Verna, Jahaan Me Kaun Kisi Ka Khayal Rakhta Hai
Woh Apne Ishq Me Kaisa Kamal Rakhta Hai, Kay BeRuckhi Mein Bhi, Mera Khayal Rakhta Hai
|
sunny007 |
Group: Members Joined: 22nd Dec, 2007 Topic: 44 Post: 4173 Age:
|
|
Posted on:15th May 2009, 11:45pm |
|
|
kuch es tarha kuch es tarha main apni zindagi tamam kar doon, waqt-e-sahar tum ko dikhaon aur shaam kar doon.
khuwab main b koi tere siwa dikhaie na de, umar bhar k lie aankhoon ko tera ghulam kar doon.
teri pehlo ki khushboo se mehke sada meri saansy, aur jitni hain meri saansien sab tere naam kar doon. |
sunehri76 |
Group: Members Joined: 04th Aug, 2007 Topic: 98 Post: 4620 Age:
36
|
|
Posted on:20th Jul 2009, 4:56pm |
|
|
Paigham for
Tu kahin bhi rahe sar pe teray ilzaam to hai, Tere Haathon ki Lakeeron me mera Naam to hai
Mujko tu apna bana ya na bana teri khushi, Tu zamane me mere Naam se badnaam to hai
Mere hisse me koi jaam na aaayaa na sahi, Teri mehfil me mere Naam koi shaam to hai
Dekh kar log mujhe Naam tera letay hain, Is pe main khush hoon Muhabbat ka yeh anjaam to hai. |
uetian31 |
Group: Members Joined: 18th Mar, 2008 Topic: 20 Post: 1006 Age:
31
|
|
Posted on:20th Jul 2009, 5:27pm |
|
|
Use Ye Kon Samjhaaye ? Use Ye Kon Samjhaaye ? Wo Dasht-e-Khamoshi Ma UngliyoN Ma SeepiaN Pehne Kisi Sookhe Samandar Ki Adhoori Pyaas Ki BaateiN Bohat Chup Chaap Sunta Hai Bohat Khaamosh Rehta Hai Use Kon Ye Samjhaaye ? Khushi Ke Ek Aansuu Se Samandar Bhar Bhi Jaate HaiN Bohat Khamosh Rehne Se Ta'aluq Mar Bhi Jaate HaiN |
uetian31 |
Group: Members Joined: 18th Mar, 2008 Topic: 20 Post: 1006 Age:
31
|
|
Posted on:20th Jul 2009, 5:35pm |
|
|
Mujhe apne zabt pe naz tha, sar e bazm, raat ye kya hua Mujhe apne zabt pe naz tha, sar e bazm, raat ye kya hua Meri aankh kaise chhalak gayi, mujhe ranj hai ye bura hua
Meri zindagi ke chiragh ka ye mizaj koi naya nahin Abhi roshni abhi teergi, na jala hua na bhuja hua
Mujhe jo bhi dushman e jaan mila, wohi pukhta kaar e jafa mila Na kisi ki zarb ghalat pari, na kisi ka teer khata hua
Mujhe aap kiyun na samajh sake ye khud apne dil hi se poochiye Meri daastaan e hayat ka to warq warq hai khula hua
Jo nazar bacha ke guzar gaye, merey samney se abhi abhi Ye merey hi shehar ke log they, mere ghar se ghar hai mila hua
Mujh ek gali mein para hua kisi badnasseb ka khat mila Kahin khoon e dil se likha hua, kahin aansuo'n se mita hua
Mujhe hamsafar bhi mila koi to shikasta haal meri tarah Kai manzilon ka thaka hua kahin raastey mein luta hua
Humein apney ghar se chaley huey sar e raah umr guzar gayi Koi justujoo ka silaa mila na safar ka haq hi adaa hua..... |
uetian31 |
Group: Members Joined: 18th Mar, 2008 Topic: 20 Post: 1006 Age:
31
|
|
Posted on:22nd Jul 2009, 8:38am |
|
|
Sunehri mohterma kahan hain aap? aap ne kis post pe mjy msg kiya tha?? |
Shaajar_99 |
Group: Members Joined: 07th Jul, 2009 Topic: 3 Post: 177 Age:
|
|
Posted on:24th Jul 2009, 8:15am |
|
|
Her topis Her topic mein hai mera Naam
Isliye Online hona parta hai mujhe Subah,,,Shaam
Waaah Waah Waaah …………………..: -)) :-))
|
sunehri76 |
Group: Members Joined: 04th Aug, 2007 Topic: 98 Post: 4620 Age:
36
|
|
Posted on:24th Jul 2009, 8:44am |
|
|
uetian http://www.forum.noorclinic.com/0/missing_some_one_14054.htm
is topic me maine apko mukhatib kiya tha |
uetian31 |
Group: Members Joined: 18th Mar, 2008 Topic: 20 Post: 1006 Age:
31
|
|
Posted on:24th Jul 2009, 5:48pm |
|
|
Sunehri :) i have started a new topic in "politics" in respect of ur beloved Musharraf, could you please comment thr? heehehh |
Red Chilli |
Group: Members Joined: 20th Feb, 2008 Topic: 5 Post: 4968 Age:
|
|
Posted on:30th Jul 2009, 1:25pm |
|
|
sunehri aunty Aap ke pass poetry khatam ho gayi hai?????
poetry ki barsaat krna aap ne kyun band ker diya hai???
|
sunehri76 |
Group: Members Joined: 04th Aug, 2007 Topic: 98 Post: 4620 Age:
36
|
|
Posted on:31st Jul 2009, 5:58am |
|
|
auntyy mere pas poetry ki kami nahi hai...mai to bas apko mazeed bor nahi karna chahti thi poetry send kar kar ke ...ye lain abhi hazir kar deti hun kuch..
kaha sirf us ne itna ke khamoshi hai mujhe bohat Pasand
Itna suna aur humne Shor machati apni Dhadkan rok din.
|
Red Chilli |
Group: Members Joined: 20th Feb, 2008 Topic: 5 Post: 4968 Age:
|
|
Posted on:31st Jul 2009, 8:05am |
|
|
sunehri aunty
Waah waaah waaah
kaha sirf us ne itna ke khamoshi hai mujhe bohat Pasand
aunty maan leti hoon ke ghalti se us ne aisa keh diya
Itna suna aur humne Shor machati apni Dhadkan rok din.
dharkano ko aap beshak rok deyn per poetry ko na roke send kerti rehin ....lolzzzz
|
sunehri76 |
Group: Members Joined: 04th Aug, 2007 Topic: 98 Post: 4620 Age:
36
|
|
Posted on:7th Aug 2009, 6:14am |
|
|
aunty next
usse chaha bhi izhaar karna na aya
kat gayi umar humain pyar karna na aya
isne manga bhi to juddai mangi
aur hum hain ke humain inkaar karna na aya..
.........................................................
kitne majboor hue hum apni aana ke Hathon
reza reza bhi hue aur toot ke bikharte bhi nahi..
-----------------
Bad dua dil nahi deta,fakat tujhse itna kehta hun
ke jis se tera dil lage,wo tujhsa bewaffa nikle |
Red Chilli |
Group: Members Joined: 20th Feb, 2008 Topic: 5 Post: 4968 Age:
|
|
Posted on:7th Aug 2009, 6:25pm |
|
|
re: aunty bohat achi poetry post ki hai isliye peechli baar ki tarah is ka post martum nhi karungi...hahaha
|
|