Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic | Articles | Forum | Procedure | Health| Sex | General | Site Map
Men Health | Women Health | Procedure| Pakistani Matrimonial
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married | Junk , Spam, Irrelevant & Repeated Post
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
 
    Start New Topic  My Profile
 

My Marriage Destroyed: I Want Suicide

Social Problem   >>  Family and Love
 
 
 
SAM Butt Group: Members  Joined: 01st Jun, 2009  Topic: 2  Post: 10  Age:  33  
Posted on:1st Jun 2009, 7:13am
 

My Marriage Destroyed: I Want Suicide

Myra problem ya ha k myri arrange + Love  marrige hoyi lerki ghar walo nay pasand ki lakin pata nahi 1 din mujhay kiya howa ma nay apni finace ko phone kiya phir chal so chal roz fone or 24 hour sms shuru ho gaya.shadi k khuch din bad  bad he spreation ho gayi ha wo ghar k kam nahi kerti thi hala k hamray ghar may bartan dhoonay hotay hein bus baqi kapray wali or safayi wali roz ati ha us nay muhay kah apni mama say kaho ma bartan nahi do sakti  or waisay bi choti choti bato pay behas kerti thi like mujay cell phone chahey for may family ma roz roz ki kich kich say tand a gay tha so ma nay usay gahr say nikal diya.after 30 days us ki call ayi ma buhat rudky bolo or kah i will send you divorce.then myray parents nay kah muaf ker do usay after 2 months, or ma man gaya or hum usay lynay chalay gaya lakin waha to sence he khuch or tha uno nay humein buhat zalil kiya or ulti hamari galtyi nikali or dhamikya bi di or myri wife nay sath janay sy inkar ker diya.hum khuch log un ki tarf say hein yani sulah karwanay walay or khuch hamri tarf say hamray waly to divorce pay bi razi hein or sulah pay bi lakin wo hum kharab ker rhay hein na he yes kertay hein na he no kertay hein bat bat pay dhamki daiytay hein,jab hum un k ghar gaya thay usay lynay next day ma nay again apni wife ko fone kiya or dil say sorry ki ut us nay myri buhat insult ki or tum tum ker k bat ki or dhmakiya bi di k myray bahi or father tum ya ker day gay wo ker day gay.or phone bund ker diya ma nay again fone kiya to recevier utha k rakh diya.ab ap log bato ma kiya kero is bat ko 6 month ho gaya hein ma kiya kero.wife say koi rabta nahi or jo log dalay hein wo time rakh k atay nahi or na phone pick kertay hein.
~~HITMAN~~ Group: Members  Joined: 09th May, 2011  Topic: 122  Post: 4287  Age:  28  
Posted on:1st Jun 2009, 8:47am
 

Sucide solution nahi......buzdilana kadam hai

Shadi se pehle sab batain achi lagti hian aur shadi k baat wohi batain buri lagti hain , aesa kyun hota hai love marriages main ?.......app shadi se pehle jis tarha ignore kardete hain agar koi buraye nazar bhi aye tou shadi k baad ignore karne main kya harj hai ?......

 Agar apki mother/sister (mazirat k saath) khich khicnh karne wali aurat hon tou kya app unhai bhi ghar se nikaal dain ge ?.......zahir hai bardaasht karainge, is hi tarha app bardaasht kartay rehtay, kuch logoun ki adat main aesi batain shamil hoti hain jinhain ignore k ilawa koi chara nahi hota........agar app dosri shadi bhi kartay hain tou kya gurantee hai k dosri biwi pehli biwi se achi hogi ?.......Yahan pe apki ghalti ha k app ne ghar se nikala,..appne ghar se nikala uske baad bhi usne appse raabta kiya tou appne divorce ka keh dia,......insaan se ghalti ho hi jati hai, ab jab usne raabta kia tha tou apko mana nahi karna chahiyai tha....shayad wo sabak hasil karleti .........jab hum apne appki ghaltiyon ko maaf kardete hain tou dosron ki ghaltiyan kyun nahi karsaktay maaf ?.......

ab app yehi karain k kisi tarha koshish kar k talaak lelain kyunke ab itni sari baton k honay k baad sulah ki gunajaiish nahi rehti hai. sulah ho bhi gae tou wo wala relation nahi hoe ga jo pehle tha.

shadi ek aesa hi bandhan hai jismain sirf love nahi hota, understanding, compromise aur dozre ajzaa bhi shamil hotay hain jinhain mila kar banta hai miyan biwi ka khobsurat bandhan.

baaki suicide karne se parhaiz karain, app mard hain strong banay, suicide karne se app is duniya se chal basain ge iska fayeda kuch nahi aur agar suicide nahi karainge tou iska fayeda ye hoga k app dunia main mazeed stay karsaktay hain aur life ko enjoy karsaktay hain.



hamzi Group: Members  Joined: 24th Mar, 2008  Topic: 11  Post: 1072  Age:  27  
Posted on:1st Jun 2009, 10:57am
 

wah hitman

tum tu akalmand ho gaye ho

@but sahab
agar phir b suicide ka mood hai tu hamay aik suicide bomber chaye urgent plz bata daina agr mood hai tu lakin apny risk pe hum pay kuch nahi karein gay na he janat main hoorain dilany ka wadah karein gay

aliraza008 Group: Members  Joined: 28th Jul, 2008  Topic: 25  Post: 444  Age:  29  
Posted on:1st Jun 2009, 11:52pm
 

Dear SAm

AOA,FIrst of all buhat dukh howa sun ker ap ki story ya relaly dil buhat bura howa ap belive kero myray sath bi same sistution thi ma nay b love marriage ki or then divorce.samjh may nahi ata ya lerkiya aysa kue kerti hein jab shadi k khuch din bad he divorce layna hota ha to shadi kue kerti hein ????


Kahir Himat ki kafi bato say itfaq kerta ho lakin himat nay 1 jaga kha ab divorce he theak ha bcz is realtion may wo charm nahi rhaa ab bilkul i agree with such statment lakin sath he  sath himat nay ya bi kha k 2osri shadi bi risk ha to yahi confuion sam k mind may ho gi isliya wo suicide kerna chahta ha jo k 100% galat ha according to islam .Sucide kisi bi problem ka hal nahi ha bul k bizdli ki nishani ha.


3rd HAMZI bahi i am really very very sorry to say k 1 insan itni problem may ha or ap us ko jock ker rahay hein buhat afsos howa apki post per k ap ko chahiey us ko khuch acha advise karay.ta k us ki zindgi or ghar bach sakay.
hamzi Group: Members  Joined: 24th Mar, 2008  Topic: 11  Post: 1072  Age:  27  
Posted on:2nd Jun 2009, 2:54am
 

aliraza

tum b na bas emotional ho gaye main nay bilkul sahi mashwra diya hai
s4u Group: Members  Joined: 18th Mar, 2011  Topic: 97  Post: 5354  Age:   
Posted on:2nd Jun 2009, 6:10am
 

I agreed with Hitman

Hitman ne theik kaha k aapko ignore krna chahiye tha...

her ghar me esi choti choti bataein ho jati hain.....khod humare ghar me bhi hoti hain.lekin hum ignore kr dete hain.....aur ager ignore na karein to her ghar me talaqein hoti rahein roz roz.

kher ab aap ka 6 months se koi rabtah nahi hoa to aap aik bar phir se try krein shayad ab mumala kuch thanda ho  gya ho.ager bat wohi ki wohi hai to aap divorce de dein.

aur aap suicide ka khayal apne mind se bilkul nikal dein.ye koi masley ka hall nahi k aap ager preshan hoe to aap suicide ker lein.ap ki life sirf aapki nahi aap k ghar waloon ki bhi hai.onka bhi aap pe kuch na kuch haq hai aap ko apni family k bare me sochna chahiye.
zeb Group: Members  Joined: 18th Aug, 2007  Topic: 114  Post: 13610  Age:  32  
Posted on:4th Jun 2009, 5:08am
 

me also

me also agreed to hitman
Raja Taqi Group: Members  Joined: 17th Sep, 2010  Topic: 29  Post: 1949  Age:  47  
Posted on:4th Jun 2009, 5:53am
 

SAM Butt

aap ki detail jan  ker realy bohat dukk ho rah he aur aap ki situation iss stage per waqia hi bohat pechida he her husband aur wife ki ye hi khawaish hoti he k unn ki life mein koi crises na buny laiken ye jo faimlies side effects hein  ye sub k sath lugy hoty hein inn ka apna to kuch nahi jata laiken doosry ki zindgi ko zaroor azab buna daity hein ...

mery bhai aap ne jo suicid ka zikar kiya to aap ye khiyal tukk bi zehan mein mutt layein iss se aap ki zindgi raye gaan hi jaye gi, allah k haan iss ka koi faida na ho ga bulke ulta uglay jahan mein bi ye aap per bhoj hi raye gi ...aap uger allah ki turaf se di huee nehmat ko thukrayein gay to allah aap ko kissi surat mouaf nahi kerein gay..

ye musaib aur preshaniyaan her aik k sath lugi huee hein inn se tukrana sikhein inn ka muqabla kerna sikhein ye khud hi bhag jayein gi  sochny se kuch hasil nahi hota...

aap ko iss momly mein jiss qadar sabr ho sukky aap kerein ubi na hi aap divorce ka kuch sochyein aur na koi aur qadam uthayein ...kuch urssa guzerny dein aap ki wife aur uss k ghar waloon ko khudd hi ehsas hony lug jaye ga ..aur aap apni faimly ko ye kehein k wo aap k momlaat mein dukhal na dein aur khamosh ho jayein ..


iss mosibat ka andaza ussi ko hota he jiss k ghar mein ye aag lugi ho dusroon ko siraf iss ka nizara hi laina hota he wo aur kuch nahi ker sukty iss liye aap apny aap ko sumbhaliye aur relex ho jayein allah aap k sath he uger aap ki niyat saaf he to wo khud hi aap ko iss mushkil se niqal le ga aap sabar hi kerein please....    
SAM Butt Group: Members  Joined: 01st Jun, 2009  Topic: 2  Post: 10  Age:  33  
Posted on:5th Jun 2009, 1:32am
 

HITMAN & RAJ BAHI

SO nice replies mujhay buhat khushi hoyi ap nay myray malsay pay muj say dukha ka izhar kiya or hamgardi dikhayi ap ka sukriya ma ap say promise kerta ho ma suicide nai kero ga warna ap k replyies say pehlay myra full mood tha lakin ab nahi ma ap 2ono ko hamesha duain doo ga jab tak zinda raho ga.

ap logo nay ya nahi bataya k myray sath aysa kue howa ap k knowledge k mutabiq or uno nay hamri itni insult kue ki???????kya koi byti wala aysa kerta ha ???????/

2ndly ab wo log sulah kerna chah rhay hein yani jo loog uno nay dlaay hein wo kehtay hein k na ap mufi mangay gay na wo jo peechay howa usay choray and look forward kya humien man jana chaey or us ourat pay barso ker lyna cheye????

ma yaha pay apna masla ALLAH janta ha ap sub ko ZEB<RAJ TAQI,S4u,MYYRAM API,Seemi JEE,SUnehri APi,HITMAN,to dil say behan bahi man k share ke rhaa hoon waran ap loog bi jantay hein itna personal koi bi is tara net pay nahi kehat khair ya myri life ka swal ha ap theak say suggest kerna k ab humhein kya kerna chaey jo wo loog keh rahay hein wo ker lay yani chup ker jaay ya phir apni shariyat rakahy??????//whay all of you advise me in this regard,ap sub loog mujhay apna chota bahi samjah k or u samjh k reply kerna jaisay ya ap k ghar ka masla ho waitnig all of your reply
~~HITMAN~~ Group: Members  Joined: 09th May, 2011  Topic: 122  Post: 4287  Age:  28  
Posted on:5th Jun 2009, 8:14am
 

rE:

ap logo nay ya nahi bataya k myray sath aysa kue howa ap k knowledge k mutabiq or uno nay hamri itni insult kue ki???????kya koi byti wala aysa kerta ha ???????/

jese appne apni biwi ki insult ki usay ghar se nikaal kar aur talaak ka keh kar wese hi unhon nay bhi kardi........

kya humien man jana chaey or us ourat pay barso ker lyna cheye????


wese itna kuch honay k baad jana tou nahi chahiyai, likin last try karlain app.....agar apko lagta hai k ban jaye gi unse tou dobara se taluk bahaal karlain.....app per depend karta hai ye ab totally k apka dil kya kehta hai is baray main, app agar reh saktay hain tou rehlain warna cut out.



SAM Butt Group: Members  Joined: 01st Jun, 2009  Topic: 2  Post: 10  Age:  33  
Posted on:6th Jun 2009, 7:12am
 

I want More suggestions

Please myrram api sunhri , zeb, seemi , s4u , advise kerin what to do 
s4u Group: Members  Joined: 18th Mar, 2011  Topic: 97  Post: 5354  Age:   
Posted on:6th Jun 2009, 8:05am
 

rE:

2ndly ab wo log sulah kerna chah rhay hein yani jo loog uno nay dlaay hein wo kehtay hein k na ap mufi mangay gay na wo jo peechay howa usay choray and look forward kya humien man jana chaey or us ourat pay barso ker lyna cheye????

ager wo sulah chahte hain aur aapko bhi lagta hai k aap on k sath apni life guzar lein ge to sulah se behter kuch nahi.lari jhagre her ghar me hote hain..mera khayal hai k aap ko aik bar onhe moka dena chahiye,ghalati her insan se hoti hai.ho sakta hai ab ki bar wo waqi me badal gae hon aur onhe apni ghalati ka  ehsas bhi hoa ho.
aur ab ager wo aap k pas ana chahti hain to aap on se ye bat keh dena k next time esa kuch nahi hona chahiye.warna is se behter hai k abhi se hi divorce le lein.

sunehri76 Group: Members  Joined: 04th Aug, 2007  Topic: 99  Post: 4652  Age:  37  
Posted on:6th Jun 2009, 8:28am
 

sam butt

mai sham ko apki post parhungi phir apko mashwara dungi
SAM Butt Group: Members  Joined: 01st Jun, 2009  Topic: 2  Post: 10  Age:  33  
Posted on:6th Jun 2009, 8:47am
 

s4u api

nice reply myra dil kehta ha na moqa do magar dimagh kehta ha moqa day do khuch samjh may nahi a raha kiya kero kahir daikhtay hein baqi members kya kehtay hein sunheri jee abi busy hein in k comments bi daikh lytay hein also myrram api,hitman,zeb phir jaisay ap loog kaho gay ma ker lo ga agar divorce dyni ho gi to b or agar rakhna bi ho ga to bi 
maahhii Group: Members  Joined: 12th Apr, 2009  Topic: 6  Post: 1441  Age:  29  
Posted on:6th Jun 2009, 11:34pm
 

sam bhai

really ye jo iss trha k mamlat hotay hain bht disturbing hotay hain...........lakin akhir in ko hal b to kerna hota ha...........apnay aap ko confusion se nikalain...........sochain k kya aap uss khatoon ko handle kyun nahi ker  paye.........baaz auraton main halat ko samajnay ki salahyat kam hoti ha un ko bari techniq se handle kerna parta ha..............

aap nay ussay ghar sw nikal diya ye koi choti baat nahi.........uss ki izat e nafas majroo hui ha ap se bharosa uth gaya ha k aap ko uss ki parwa nai ha..............issi waja se ab wo aisay behave ker rahi ho g..............ab aap dekhain k aap kis trha uss ka aitmad bahal ker saktay hain.........baat itni bari to nai lag rahi k nobat talaq tak a jaye............so i pray k Allah aap ko ki madad kray is mushkil se nikalnay main..................
Raja Taqi Group: Members  Joined: 17th Sep, 2010  Topic: 29  Post: 1949  Age:  47  
Posted on:6th Jun 2009, 2:24pm
 

SAM Butt

sory k mein aap ki reply daikhny mein zera lait ho giya ,Baat ye he mery bhai aap iss waqat bohat sukhat tension mein hein ...aur ye yaad rukhein k ghussa aur juld bazi  mein kubi koi faisla nahi kerna chaiye aur iss turah insaan humesha khasary mein rehta he....ye musla siraf aap k sath hi nahi bulke aap ki turah k hazaroon nahi bulke krorroon mein hein ....

aurat ki nufsiyaat ko control mein lana itna assan kaam nahi he jitna aap sumanjh ray hein aap issi shadi per ub tawajo dein jo ho chukka so ho chukka aap biqull khamoshi ikhtiyar ker lein aur unn logoon ko unn k haal per chorr dein aik na aik din unnein khud hi ghairat aa jaye gi aur aap ki ye hi khamoshi aap k liye kamyabi ka rasta bun jaye gi agye chull ker jub waqat guzerta chulla jaye ga to aap ki issi wife ko aik din ye ehssas ho jaye ga k aap kitny achy hein uss k liye aur ye aap ki khadim ho jaye gi...

ub uger aap koi dusri shadi ker bi lein gay to kiya gurantee ho gi k wo aap k liye munasib ray gi iss turah se aap moshry mein bi badnam hoon gay aur apni life ko bi tubah kerein gay ...

aap siraf apni faimly waloon ko ye kahein k ye mera musla he aur mein hi issay hull karoon ga aap log khamosh ho jayein aur apny waldain se bi ye hi request kerein...

hum sub logoon ka kiya jaye ga uger aap koi ghulat faisla ker payein to nuqsan siraf aur siraf aap hi ka ho ga issi turah aap k ass pass waly bi aap ko uger koi mushwrah dein gay to wo log nuqsan ki surat mein aap ki kiya help kerein gay mery bhai aap bilqull fiqar na kerein aur honsla rukhein aap k halaat bohat juld theek ho jayein gay aap mazeed apny iss musly ko kharab na kerein pl.......Allah apny bundhoon ko kubi  tunah nahi chorrta  
SAM Butt Group: Members  Joined: 01st Jun, 2009  Topic: 2  Post: 10  Age:  33  
Posted on:8th Jun 2009, 12:06am
 

Raj & MAHIII

AOA,Hope both of you are fine.mujhay 1 bat to batya jo myri apni samjh sy bahir ha, ya u keh lay k myri aqal yaha pay khatam ha mujhay ya samjh may nahi a raha k agar ma itna he bura hoon to wo muj say divorce kue nahi mang layti is tara wo loog humein zalil kue kar rahay hein kabi banday dal k time guzar daiytay hein kabi koi bahana kabi koi akhir wo chhatay kya hein???????????ap kiy akehtay hein is baray may


2ndly ya kiya divorce matters jo hotay hein wo isi tara months or years pendings rehtay hein??????kiya panchaiytas lagti hein??????ya phir agar hsband ko nahi pasand wife ya us ki koi adat ya koi bat to wo divorce day dayta ha or mamla khatam???????????????

Mujhay is sitution may kiya kerna chahey ???????


Wiatning speically reply from MYRRAM,SEEMI,S4u,SUNAEHRI,ZEB,DO man,and other seniors members
SAM Butt Group: Members  Joined: 01st Jun, 2009  Topic: 2  Post: 10  Age:  33  
Posted on:8th Jun 2009, 12:07am
 

Raj & MAHIII

AOA,Hope both of you are fine.mujhay 1 bat to batya jo myri apni samjh sy bahir ha, ya u keh lay k myri aqal yaha pay khatam ha mujhay ya samjh may nahi a raha k agar ma itna he bura hoon to wo muj say divorce kue nahi mang layti is tara wo loog humein zalil kue kar rahay hein kabi banday dal k time guzar daiytay hein kabi koi bahana kabi koi akhir wo chhatay kya hein???????????ap kiy akehtay hein is baray may


2ndly ya kiya divorce matters jo hotay hein wo isi tara months or years pendings rehtay hein??????kiya panchaiytas lagti hein??????ya phir agar hsband ko nahi pasand wife ya us ki koi adat ya koi bat to wo divorce day dayta ha or mamla khatam???????????????

Mujhay is sitution may kiya kerna chahey ???????


Wiatning speically reply from MYRRAM,SEEMI,S4u,SUNAEHRI,ZEB,DO man,and other seniors members
Maryam Group: Members  Joined: 17th May, 2008  Topic: 26  Post: 4432  Age:   
Posted on:8th Jun 2009, 12:35am
 

sam but bhai

main aap ki details parh kar inshaALLAHjaldi yahan reply karti hon. sab se pehlay to aap tention free hojaien takay kuch decision lenay k qabil ho sakain. surah yaseen ki 2nd last ayat hae (INAMA AMROHU IZA ARADA SHEIAN ANYAQOOLA LAHU KUN FAYAKOON) aap parh kar dua karain aur phir ALLAH pak jo behtar hoga woh khud se kar daingay. maine aap k abhi ki deatail to read nahi ki lekin abhi yehi kahongi k ALLAH PAK muaf karne walon ko pasand karta hae agar ALLAH ne aap ko aap ki bivi se afzal banaya hae to aap apnay bare pan ka saboot bhi dain muaf kar k dekhain k ALLAH pak bhi to humain muaf karta hae . apna dil saaf kar k dekhain inshaALLAH aap k liye rasta roshan hojayega.

baqi aap ki sari post phir se read kar k dobara reply karongi.

happy123 Group: Members  Joined: 30th Dec, 2008  Topic: 3  Post: 159  Age:  39  
Posted on:8th Jun 2009, 1:17am
 

sam butt

talaaq kisi masaly ka hal nahi hai ,ek insaan zindagi min buhat c ghaltyan kerta hai  mager hamara rab hum ko muaaf ker daita hi ,ager woh rab ki zaat hum ko muaaf ker sakti hai to hum chooti chooti batoon k liye ek insaan ko muaaf kiun nhi ker sakty .

aap apni bivi ko wapis y ayen ,or ek nai zindagi shru keryen ,jo hua so hua ,app ko ab achaye k sub bhula dayen or ainda kabhi bhi ek dosary ko pichali baat ka taaa na dayen ,or dobara kbhi bhi is baat ko gher main n duhrayen k kon ghalt ha or kon sahee ,

aap dono families min ek cheez 'ana 'agai hai .aap dono parties ek dosary sey muaafi mangwa ker apni ana ki taskeen chahty hain .ana k chaker sey bahir ajayen ,or ek nai zindai ka aghaz keryen .

sub ney buhat achi post ki hain .

1 2  >>
 
 
 
 
 
Urdu Magazine Islam In Urdu Urdu Greeting Cards Urdu Jokes Urdu Funny Stories Urdu Stories Urdu Recipes Urdu Poetry
Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Terms and Conditions Dr. Rizwan Contact Us Last Updated: 22nd July 2012