IMF Sab se pehli baat tou yeh ke Pakistan ke nalayeq economic managers ne very high mark up rate (3.51 to 4.515) par yeh loan facility avail ki hai iski wajah sirf aur sirf yehi hai key yeh hakoomat janti hai ke loan repayment date tou 5 years ke baud start ho rahi hai jab inki Government nahin ho gi. Bangladesh ne kuch arsa pehle aisi hi facility 2.9% mark up par avail ki thi. Jab ke doosre turaqqi pazeer mamalik b less than 3% mark up pay krte hain aisi facility avail krte waqt. Major Conditions of loan abhi tak yeh saamne aai hain.
1). The transport taxes might be increased four times for the commercial and non-commercial vehicles in 2009-11, while the energy rates would be increased by more than 30 per cent over this period. 2). Electricity prices would be increased at least by 32 per cent, gas by 39 and petroleum prices (aggregate) by 15 per cent. 3). Likewise, medicine prices would also be increased as the payable income tax would fiscally and administratively be increased on the pharmaceutical companies by at least 100 per cent. It will result in increase in prices of medicines.
4). The FBR sources revealed that Rs 100 billion additional taxes soon to be imposed through fiscal and administrative measures.
Abhi tou yehi major conditions saamne aai hain. Baqi conditions ka b aahista aahista pata chal jaayega iske ilawa kuchh hidden conditions b hongi jinka asar yaqeenan ghareeb aadmi par hi parrega...
Baqi rahi yeh baat ke iss loan ke ilawa b hamarey paas koi option hai ya nahin. Options tou bht saari hain..
1). Agar Cabinet ka size chhota ho jaaey aur 85 wazeerun aur masheerun ki jagah 30-35 bnde kaam kren.
2). Government President House, PM house, CM houses aur Governor house ko sale kar de ya uss waqt tak rent par de de jab tak country ki economic conditions na theek ho jayen. Kyun ke in houses ka koi positive use nahin ho raha yahan par Sharab o kabab ki mefilain hi hoti hai..
3). Agar Zardari Sahib aur unke Wazeer O Masheer fazool gher mulki doray band kar dein.
4). Agar National Assembly, Provincial Assemblies ka budget half kar dia jaaey aur wazeer aur masheer apni salary lena chhor den kyun ke woh sab already hi billionaires hain.
5). Agar Zardari, Nawaz aur Choudhary brotheraaan aur hamarey Retired Army Officers apni saari dolat mulak main le aayen aur Sarmaya daroon se b request karein ke who apna sarmaya yahan shift kar len.
6). Agar sarkari dawatoon aur Dinners par pabandi laga di jaaey.
7). Agar faisley party wabastgi se bala tarr ho kar merit par honay lag jayen..
8). Agar army apna General Head Quarter (GHQ) hotay huay b 70 billion ki lagat se aik nia GHQ tamer krne ka mansooba drop kar de.
9). Agar hamarey pyaarey PM sahib aur President Sahib din main 4-4 dafa laakhoon rupees ke suit pehnaney ki bajaey saadgi aur kafayet shuaari se kaam lena shuru kar den..
Lekin thehrain
Mujhe lagta hai meri agar kuchh zeyada hi bharrti ja rahi hai….. |