Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

 
 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic |Forum | Procedure | Health| Sex | General | Site Map
Men Health | Women Health | Procedure| Pakistani Matrmonial
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married | Junk , Spam, Irrelevant & Repeated Post
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
 
    Start New Topic  My Profile
 

How To Understand Females?

Non Medical Discussion   >>  Discussion
 
 
 
~~HITMAN~~ Group: Members  Joined: 09th May, 2011  Topic: 122  Post: 4287  Age:  28  
Posted on:27th Feb 2008, 1:05pm
 

How To Understand Females?

Bhai Experienced logoun females ko samajhnay k tareekay bataoo ...........inka kuch pata nahi hota kab kiya mood hai aur kab kya nahi ............kyun khwateeno hazraat main sahi keh raha hoon na.........haazraat behtar bata saktay hain is baray main ................ 
Red Chilli Group: Members  Joined: 20th Feb, 2008  Topic: 5  Post: 4968  Age:   
Posted on:27th Feb 2008, 1:38pm
 

hum aisi he hain

 hamein jitna janane ki koshish karo ge
utna he pachtao ge
hamein koi nahi samajh sakta

nadeem AOL Group: Members  Joined: 26th Nov, 2007  Topic: 8  Post: 265  Age:  30  
Posted on:27th Feb 2008, 1:43pm
 

Oooooo !!

Insaan hi insaan ko samajhta hay.....agar aap insaan hain to phir hamari samajh main zaroor aain gi or agar...............

m speech less.

Cheers.
~~HITMAN~~ Group: Members  Joined: 09th May, 2011  Topic: 122  Post: 4287  Age:  28  
Posted on:27th Feb 2008, 1:54pm
 

red chilli

mujhe pata hai tum jesi ho wesi hi raho gi ............. khatoon app har topic main is hi tarha jwaab dekar topic ko kharaab kardeti hain ...........agar jawaab nahi aata tou kuch bolnay ki zarorat bhi nahi hai.............warna topics ka kya faeeda .........plz mind na kijiyai .....wesay mirchoun k mind nahi hotay shayad ............
Red Chilli Group: Members  Joined: 20th Feb, 2008  Topic: 5  Post: 4968  Age:   
Posted on:28th Feb 2008, 1:02am
 

Hitman

 aap ko meri baatein buri lagti hain.
main her topic ko kharab ker deti hoon.
mujhe kisi topic mein jawab nahi dena aata hai.
mujhe pata hai main sab ko buri lagti hoon.
aur mujhe ye bhi pata hai aap ko meri kal wali post buri lagi thi.
ok aab main kisi topic ko kharab nahi karon gi.
Hitman tumare liye main asmaan se tare tor ke nahi laa sakti
na milk ki nadiya baha sakti hoon. na tumare liye apni jaan de sakti hoon.
kyun ke main larki hoon ye sare kaam larke karte hai.
main itna ker sakti hoon aaj ke baad main is id se online nahi aauon gi.
kisi ko tang nahi karon gi. aab khush ho jao. aab yahan kisi ko Red chilli nazar nahi aaye gi .

Red Chilli Group: Members  Joined: 20th Feb, 2008  Topic: 5  Post: 4968  Age:   
Posted on:28th Feb 2008, 1:14am
 

Hitman

 main to yahan se chali jaoun gi. lekin Mirch ; tez mirch; biryani ko yahan se kese bhejo ge?

BeautyStar Group: Members  Joined: 16th May, 2007  Topic: 52  Post: 3598  Age:  26  
Posted on:1st Mar 2008, 8:44am
 

Impossible....

to understand Females... uuufff....!
Red Chilli Group: Members  Joined: 20th Feb, 2008  Topic: 5  Post: 4968  Age:   
Posted on:1st Mar 2008, 2:07pm
 

Nadeem AOL

 tareef ka shukria . aap ne meri bahot achi tareef ki hai. main is tareef ko sari zindagi yaad rakhon gi.
Alveena20 Group: Members  Joined: 15th Dec, 2007  Topic: 10  Post: 922  Age:  28  
Posted on:1st Mar 2008, 9:07pm
 

Hitman

 kya hua hai. kya humari honay wali babhi se larai ho gayi hai?
Mr.47 Group: Members  Joined: 23rd Feb, 2008  Topic: 1  Post: 4  Age:  27  
Posted on:1st Mar 2008, 11:06pm
 

Hey man!

yar ap bi thik kehtay ho hitman lekin chilli g bhi thik kehti hay k larkiyun ya aourton ko samjhna mumkin nahi bcz they a very weird kind ov nature yar! wesy agar tmhari shadi hui hay tu waqt k sath sath tmhay apni wife ke mood ko pehchanna aajayega thora buhut!

josh Group: Members  Joined: 30th Jul, 2007  Topic: 47  Post: 2296  Age:  36  
Posted on:2nd Mar 2008, 1:42am
 

How to understand Females...

Red chilli dont get upset... ye sab to chalta hi rahay ga... tumnay jo first post mai answer kia hai wo is topic k mutabik hi hai,, jiska matlab yehi tha k females ko samajhna mushkil kaam hai, har female ki adatain thori mukhtalif hoti hain..

khavateen ko sinf-e-nazuk kaha jata hai,, jo k chhoti si baat ko bi dil par laga leti hain,, kisi ka thora sa ghussa karna ya tanz karna bi inkay dimagh par bohat bura effect karta hai, jiska ehsaas baaz okaat mard hazraat ko nai hota k unho nay galat baat kar di thi... to mere khayal say khavateen ko nazuk cheez ki tara hi treat karna chahiye.....
aik aur baat ye k naraaz hona orton ka kaam hai, agar mard hi naraz honay lag jain to phir to kaam galat ho jaeyga... mard ka kaam hai manana, orat ka kaam hai naraz hona....

human psychology par pinky nay aik jaga bohat achi aur detail mai post ki thi,, manay save bi ki thi lekin abi mil nai rahi, warna wo mai idhar copy-paste kar deta.... (wo bili_miau ko samjhanay k liye likha tha unho nay)

goodman Group: Members  Joined: 11th Oct, 2007  Topic: 59  Post: 7336  Age:  32  
Blocked
Posted on:2nd Mar 2008, 2:07am
 

aurat koo zayada tang na keroo

mard koo mananay kee kiya zarrorat ha aurtoo koo woo khud bakhood hee razii hoo gain gee jab time ghuzray ga.

wasay aurat koo zayad tang kernay kee zarrorat nahi.

 

EF Doosra Group:   Joined: 31st Dec, 1969  Topic: 6  Post: 366  Age:   
Posted on:18th Jul 2010, 9:53am
 

How To Understand Females?

How To Understand Females?
H/dr_Qasim Group: Members  Joined: 10th Sep, 2010  Topic: 186  Post: 6476  Age:  35  
Posted on:18th Jul 2010, 11:00pm
 

How To Understand Females?

Very Difficult 

Female want Respect, protection, love, Care,Trust, Just appreciate & encourage them,

`RiM jHiM` Group:   Joined: 31st Dec, 1969  Topic: 2  Post: 38  Age:   
Posted on:18th Jul 2010, 11:17pm
 

dr qasim

females ko samajhna itna b mushkil nahi hey.ham itni b pur asraar nahi k hame samja naa jaa sake.balke females se ziada saada aur koi nahi ho sakta.
Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 50  Post: 3240  Age:  36  
Posted on:18th Jul 2010, 12:12pm
 

How To Understand Females?

kehty hain pichly zamany main kisi musanif (book writer) ny aurtoon k mukhtalaf bahano aur adaat aur fitrat par mustmil aik kitaab likh dali....wo apni kitab ley kar shaikh sadi k paas geya aur keha janab iss book par nazar sani farma dain shaikh sahib ny sari kitaab parrhi aur parrny k baad farmaya k beshak tum ny aurtoon ki sab kamiyaan khamiyaan adaat aur fitrat ka buhat khoob tajziya kiya hey laiken tum phir b iss aurat zaat k andar chupi makari ko lafzoon main nahi dhaal saky aur  theek sy aurat ko samjny sy qasir ho..

writer ko yeh jawab sun kar buhat ajeeb laga uss ny apni kitaab ko baghal main dabaya aur aik gaoon ki traf chal parra door khaitoon main kuch aurtain kaam karti dikhaiee deen uss ny soocha inn aurtoon sy baat kar k daikhta hoon yeh gaoon ki anparrh aur jahal aurtain hain inhain kia pata k aurat ki makari kia hoti hey...

chunachy uss ny aik aurat k paas jaker keha k main iss kitaab main ny aurtoon ki tamam khasltain darj ki laiken shaikh sadi sahib ka kehna hey k main phir b aurat ki makari ko theek sy nahi samj saka... iss k baad uss ny wo sari khasltain parr parr ka uss aurat ki sunaana shuroo ki ...sab sun'ny k baad wo aurat boli han shaikh sahib theek kehty hain tum abb b aurat ko theek sy nahi samj saky...

wo sahib boly iss kitaab main aysi kia aurat ki baat likhny sy reh gaye hey...wo aurat boli k aap ny aurt ki makari ka darj nahi kiya...writer bola k har aurat to makar nahi hoti na iss liye darj nahi kiya ..uss par wo aurat boli k haan har aurat makar nahi hoti laiken har aurat k andar makari zaroor hoti hey aur jahan uss ko moqa milta hey apni makari dikha daiti hey..

writer bola main nahi manta iss bat ko tab uss aurat ny keha aik mint thehar jao main abi tumhain amli mushahida karwati hoon iss k baad uss aurat ny cheekhna chilana shuroo kar diya k hye bchaoo.... hye bchaoo.....

kuch fasley par kam karty howy chand mard yeh samj kar k shaid iss aurat k paas khara yeh mard iss aurat ko tang kar raha hey doorry doorry aye aur aty hi uss writer par khudaal aur kasi k waar karny k liye tayar hi thy k aurat boli nahi nahi iss frishty ko mat marna iss ny to meri jaan bchaiee hey 

yahan sy aik saanp (snack) nikal aya tha agar yeh sahib time par na poohnchty to main to aaj mar gayee hoti...iss bat par wo sab mard ruk gaye aur uss writer ki tareef karny lag gaye ur shabash di

chunachy writer ny apni book ko aik tarf phainka aur bola k waqiya hi har aurat k andar makari chupi hoi hoti hey aur issy samjna buhat mushkal hey shaikh sahib ny sach hi keha tha  ...aur aaj agar yeh aurat chahiti to main to allah k paas puhanch chuka hota...

uff toba yeh aurtain....inn ko samjna mushkil hi nahi na mumkin hey....
H/dr_Qasim Group: Members  Joined: 10th Sep, 2010  Topic: 186  Post: 6476  Age:  35  
Posted on:18th Jul 2010, 2:15pm
 

Hur kamyaab murd kay pechy Oruat ka hath hota hay

Hur nakaam murd kay pechy kis ka hath hota hay ?

Ourat kay kaii saary roop hen, Murd chonky fitraatun orat say juldi impress ho jata hay , pher bhe murd orat ko nahi sumaj pata lakin orat sumaj jati hay

Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 50  Post: 3240  Age:  36  
Posted on:18th Jul 2010, 2:38pm
 

ghalt fehmi....

Re : - "Hur kamyaab murd kay pechy Oruat ka hath hota hay"

yeh aik ghalt fehmi hey jo aam raiej ho chuki hey kisi kamyaab mard k peechy kisi b aurat ka hath nahi hota bulky jab mard kamyaab ho jata hey to uss k agy peechy kafi aurtain mundlany lagti hain..:)

mard ki kamyabi agar aurat ki hi marhoon-e-minat hy to phir bataya jaye k cricket k be taj badsha Imran Khan k peechy kis aurat ka hath tha...uss ki to kai saloon tak shadi hi nahi hoi ...aur jab shadi ho gayee to wo kamyabi k unchy zeeny sy aik dam neechy gir geya ...iss ka matlab to yeh howa k uss ki kamyabi k peechy kisi aurat ka hath to nazar nahi aya laiken uss ki nakami zaroor aik aurat ki waja sy hi hoi....
H/dr_Qasim Group: Members  Joined: 10th Sep, 2010  Topic: 186  Post: 6476  Age:  35  
Posted on:18th Jul 2010, 2:47pm
 

maaa ki dohaa junnut ki huwaaa

oski mother ek orat ek female he thi or parants ki death bhe ho jay lakin onky moun say nikli hoi Dohaaa sari zindgi kay leyeh kafi hoti hay jo onky buchoo ko sari zindgi apny Hisaaar meah leyeh rukhti hay, or aj ap pher daykh layin imran khan nay jo nam kumayaa osny apni mother kay leyeh ketnaa buraa kam keya onka nam rehti doniyaan tuk amar ho giyaa onko yaad rukhaa jay gaha as imran khan mother shokut khanim memorial hospital,  imran khan ki kamyaabi kay pechy oski mother ka hath taha or imran khan ki life meah jo nushaab o furaaz aya jummima khan ki waja say wo nakami bhe orat ki wajaa say thi jo ek ghult fasilaa tha imran khan ka,
H/dr_Qasim Group: Members  Joined: 10th Sep, 2010  Topic: 186  Post: 6476  Age:  35  
Posted on:18th Jul 2010, 2:48pm
 

maaa ki dohaa junnut ki huwaaa

oski mother ek orat ek female he thi or parants ki death bhe ho jay lakin onky moun say nikli hoi Dohaaa sari zindgi kay leyeh kafi hoti hay jo onky buchoo ko sari zindgi apny Hisaaar meah leyeh rukhti hay, or aj ap pher daykh layin imran khan nay jo nam kumayaa osny apni mother kay leyeh ketnaa buraa kam keya onka nam rehti doniyaan tuk amar ho giyaa onko yaad rukhaa jay gaha as imran khan mother shokut khanim memmorial hospital,  imran khan ki kamyaabi kay pechy oski mother ka hath taha or imran khan ki life meah jo nushaab o furaaz aya jummima khan ki waja say wo nakami bhe orat ki wajaa say thi jo ek ghult fasilaa tha imran khan ka,
1 2  >>
 
 
 
Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
Pakistani Urdu Magazine Pakistani Matrimonial Seo In Urdu World Information Pakistan Information Sehat In Urdu
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact UsLast Updated: 28th March 2013