noble4me |
Group: Members Joined: 05th May, 2007 Topic: 2 Post: 6 Age:
35
|
|
Posted on:20th Jun 2007, 3:23am |
|
|
How To Write The Love Letter?
salam to every one, mai aap logo se ye kehna chahat hoon ki , love letter kaise likhte hain aur jis se meri shaadi hone wali hai usko main letter mein kiya likhon, kiya usse se ke baare mein likhna zaroori hai reply me pls
|
My Reply |
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 2 Post: 2048 Age:
45
|
|
Posted on:21st Jun 2007, 12:27pm |
|
|
re: noble4me
1. ap apni hone wali bivi ko is tarah love letter likhe:
allah ki naik bandi assalam-o-alaikum
omeed hai keh ap khairiat se hogi. pancho waqt nimaz parhti hogi. ramzan ke roze rakhti hogi. sharai parda karti hogi. ghairo ke lia singhar (make up) nahi karti hongi. nail polish nahi lagati hogi aur agar lagati hogi tu har nimaz se pahle saf karti hogi. tv aur vcr nahi dekhti hogi.
2. bahar hal ap jo chahe likhe lekin yeh khial rahe keh islam mai mangetar se piar mohabbat ki batai karna mana hai. yeh aur bat hai keh kuch log apni mangeter ko ....edit....... ap aisi ghalti nahi kare ge kio keh mangeter se aisi batai karna bahut bara gunah hai.
|
faisee |
Group: Active Members Joined: 13th Feb, 2007 Topic: 79 Post: 776 Age:
30
|
|
Posted on:21st Jun 2007, 12:54pm |
|
|
Re: My reply aap nai noble4me ko yeh tu achi tarah samjha dia kai mangaitar ko khat nahin likhna chahiye, aur acha reply kia.....but I think it was better agar aap woh panty wali baat ko discuss na kartay because that was just a ridiculous post.
Aur islam main mangaitar koi sharai relation nahin hai. woh aisay hi gair mehram hota/hotee hai jaisay doosray log. So us ko khat likhna, us sai baat karna usi hukam main ata hai jaisay dosray gair mehram. jab tak kai nikah na ho jaye. So if u hve asked islamically, its totally wrong and sometime it can make problem after sometime due to many reasons. thanks
|
majnu |
Group: Members Joined: 15th Jun, 2007 Topic: 1 Post: 53 Age:
33
|
|
Posted on:22nd Jun 2007, 6:40am |
|
|
Re: My Reply
achcha khat bataya hai yaar tum ne. jaise khat tum ne bataya hai agar vaisa hi us ne likh diya to eemaan se bari tafreeh aaye gi. make-up aur nail-polish se mana karne par larki ke dil per kya guzarti hai, hum log ko achi tarah pata hai. is liye mujhe lagta hai bari tafreeh aaye gi. rishta tootnay ka bhi chance hai. main ne aisi kuch examples dekhi hui hain.
Re: Faisee
yaar bhai panty wala question bohat serious tha aap ne itni aasani se ridiculous ke diya. viginal health ka sawaal hai. aap is ko mazaq samjhte hain?
aap jao vohi panty wala question kisi europe ya america ke doctor se karo. phir dekho voh kitna serious leta hai question ko. aur
dusri baat ye note karna ke aap ko answer medical point of view hi de
ga. ye nahi bolay ga ke girl friend se aisi baat karna jaiz hai ya nahi.
Re: noble4mebhai sahab love-letter doctor se likhwatay hain kya?kya clinic mein love-letter likhay jatay hain? kisi dusri jaga jao. ye wrong place hai tumhare liye.
|
My Reply |
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 2 Post: 2048 Age:
45
|
|
Posted on:22nd Jun 2007, 9:21am |
|
|
majnu: yeh wrong place nahi hai 1. yeh medical website hai. lekin yaha par aisa koi mashwara nahi dia jai ga jo islamin aur pakistani culture ke against ho.
2. lehaza sex problem ho ya social problem, har problem ka hal islamic aur pakistani culture ke mutabiq kia jai ga.
3. western culture ya non muslim mai sex ko jo concept hai wo yaha qabil-e-qabool nahi.
4. love letter wala sawal theek hai. woh theek place par hai. agar woh non muslim ya western culture wale website par jai ga tu ghalat jawab mile ga. yaha par os ko theek jawab mile ga keh Islam mai love letter likhna mana hai.
|
noble4me |
Group: Members Joined: 05th May, 2007 Topic: 2 Post: 6 Age:
35
|
|
Posted on:22nd Jun 2007, 11:29pm |
|
|
hello to all aap log mujhe galat maswara kiyon de rahe hain, maine aap se sahi maswara manga hai lekin ,aap is cheez ko galat samajh rahe hain, aur wo bhi islam ke dare mein, pls hum ko sahi muswara dijiye........... |
majnu |
Group: Members Joined: 15th Jun, 2007 Topic: 1 Post: 53 Age:
33
|
|
Posted on:22nd Jun 2007, 12:33pm |
|
|
Re: noble4me 1> mashwara aap ne yaqeenan bilkul sahi maanga hai. lekin ghalat jaga per maanga hai. yaar tum mujhe duniya ka koi ek clinic bata do jahan per love-letter likhna sikhaya jata ho?
kya aap shoes khareednay hair-dresser ke paas jaatay hain?
kya aap hair-cutting karne kisi resturant mein jaatay hain?
kya aap fast food khanay sabzi walay ke paas jaatay hain?
kya aap bread aur butter lene ke liye car ke showroom jaatay hain?
nahi na?
to phir love-letter seekhnay clinic kyun aaye ho?
aur jahaan tak baat islam ki hai to islam mein ghair mehram ko love letter likhna haraam hai. ye hai seedha sa answer. to jo kaam tum karna chah rahay ho voh islami nuqta nazar se haram hai.
haan "my reply" ne jaisa love letter likhnay ko kaha hai vaisa likha to mera khayaal hai ulta sawaab hi milay ga. lekin phir mangetar ka milna mushkil ho jaye ga.
meri maano to love letter ka khayaal dil se nikaal do taakay eemaan bhi mehfooz rahe aur mangetar bhi tumhari hi rahe. love letter likha to koi ek cheez chali jaaye gi. |
My Reply |
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 2 Post: 2048 Age:
45
|
|
Posted on:22nd Jun 2007, 12:48pm |
|
|
agree with majnu majnu: meri maano to love letter ka khayaal dil se nikaal do taakay eemaan bhi mehfooz rahe aur mangetar bhi tumhari hi rahe. love letter likha to koi ek cheez chali jaaye gi.
|
majnu |
Group: Members Joined: 15th Jun, 2007 Topic: 1 Post: 53 Age:
33
|
|
Posted on:22nd Jun 2007, 3:11pm |
|
|
Re: My Reply Re:My Reply
1> mashwara na dene ka aap ko ikhtiyaar hai. lekin apni baat force karne ka ikhtiyaar nahi hai aap ko.
jahaan aap ko lage ke kisi ki baat ya kisi ka question islamic ya pakistan culture ke khilaaf hai wahaan aap ko keh dena chahiye ke is question ka jawaab hum nahi de sakte. yahaan tak baat theek hai.
magar jab aap apna point of view apnay patient per force karne lag jayen tab baat ghalat ho jati hai.
2> mujhe nahi pata tha ke yahaan per social discussion ki bhi ijazat hai. mujhe ab tak yehi samajh aayi thi ke is forum ka maqsad sirf medical discussion hai. tum puranay member ho tumhen theek pata hoga. yahaan main tumhara point of view accept kar leta hun.
3> western culture ya non-muslim culture qubool nahi kiya jata to na karo. magar main ne under-garments ki jo baat ki thi voh western nahi thi.
har baat ko western kehna bacho wali aadat hai.
pakistan mein cars ki manufacturing shuru ho gayi to is ko western culture bolo ge?
pakistan mein mobile bannay lag gaya to is ko western culture bolo ge?
pakistan mein sceintists paida honay lag gaye to is ko western culture bolo ge?
pakistan ne chaand per qadam rakh liya to is ko western culture bolo ge?
pakistan ne atom bomb bana liya is ko western culture bolo ge?
aap ke paas computer hai to kya aap western minded hain?
agar aap ke paas mobile hai to kya aap western minded hain?
sach sirf sach hota hai, eastern ya western nahi hota. burayi bhi sirf burayi hoti hai eastern ya western nahi hoti.
4> haan bhai sawaal to theek hai. lekin wrong place per mujhe is liye laga tha kyun ke mujhe nahi pata tha ke is forum per social discussion ki ijazat hai. is liye main ne wrong place bola tha. ab alfaaz wapas le liye ok.
5> lekin wrong place bolnay ki ek aur wajah thi. voh ye ke noble4me ne apni pehli post mein sirf love letter likhnay ka method poochha tha. jis ke baaray mein mujhe maloom tha ke yahaan koi bhi us ko love letter likhna nahi sikhaye ga. sab log yehi kahen ge ke love-letter jaiz nahi hai. jab ke noble4me ne apni post mein jaiz ya na-jaiz honay ka sawaal kiya hi nahi hai siray se. us ne sirf method poochha tha. method ke jaiz ya na-jaiz honay ka nahi poocha tha. to is lehaaz se ye wrong place hi thi. true place voh hoti jo noble4me ko method bata deti complete.
lekin kyun ke noble4me ne apni SECOND post mein islam ke daire mein jawab dene ki baat ki. to main ne phir us ko islam ke dairay mein de diya jawaab.
pehlay main ne islam ke daire mein is liye answer nahi diya tha kyun ke noble4me ne pehlay islam ke daire mein jawab maanga hi nahi tha. |
|