Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic | Articles | Forum | Procedure | Health| Sex | General | Site Map
Men Health | Women Health | Procedure| Pakistani Matrimonial
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married | Junk , Spam, Irrelevant & Repeated Post
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
 
    Start New Topic  My Profile
 

Banned On Sexy Ladies Dress In Bazar

Social Problem   >>  Culture and Society
 
 
 
asnpakista Group: Members  Joined: 07th Apr, 2008  Topic: 8  Post: 21  Age:  21  
Posted on:8th Apr 2008, 6:47am
 

Banned On Sexy Ladies Dress In Bazar

Mera Topic Yeh Hai Ke!

                Agar Ham Muslims Bazar mein jayen Tou ladkiyan Behoodah Aur Fazool Kisam Ke Libaas Pehan Kar Bazaron Mein Nikali Hoti hain Tou Hamari Nazar bhi Kharab Hoti Hai Aur Bura Bhi Lagta Hai

Aap Log Is Page Per IsBarey mein baat karein e kya observe karte hain jab aap kisi aisay dress mein ladki ko dekhen?

Also Post!

syedfaraz5 Group: Members  Joined: 16th Jun, 2007  Topic: 2  Post: 17  Age:  24  
Posted on:8th Apr 2008, 2:45pm
 

ans

bahi un ki marzi wo koi bhi libas pehne aap un ko rok nahi sakte :(  aap apne nazre neeche ker ke chale islam bhi yahi kehta hai  koi zaroori to nahi ke har ane jane wali larki ko ghoor ghoor ka dekha jaye.... aap market jate hain apne kam se to nazre neche ker ke jao or jo cheez leni hai wo le kr wapis apne ghar a jao
nelish Group: Members  Joined: 13th Jan, 2008  Topic: 24  Post: 1151  Age:  24  
Posted on:8th Apr 2008, 2:48pm
 

yes

agreed to syedfaraz

~~HITMAN~~ Group: Members  Joined: 09th May, 2011  Topic: 122  Post: 4287  Age:  28  
Posted on:8th Apr 2008, 2:59pm
 

Asnpakista bhai

tumhari nazar pehley say kharaab hai .........ya unko dekh kar hoti hai.......pehley tou is baat ka faisla karlo.........

uskay baad ye bataoo k tum bazaar main soda salaf / shopping karnay jatay ho ya larkiyon ko dekhnay ...........

teesri baat ye hai k un larkiyon kay faces bhi hotay hain ......... tum sirf unkay faces par nazar rakh saktay ho bajaye iskay k unkay jismon ko tatolo ......... jis tarha ghour say larkiyon ko dekhtay ho , us hi ghour say agar parhaye bhi karlo tou kitna acha hoga.........


zeb Group: Members  Joined: 18th Aug, 2007  Topic: 114  Post: 13610  Age:  32  
Posted on:9th Apr 2008, 4:25am
 

asnpakista

very wise replied bu syedfaraz and hitman

i m agreed to both of them

asnpakista Group: Members  Joined: 07th Apr, 2008  Topic: 8  Post: 21  Age:  21  
Posted on:9th Apr 2008, 9:21am
 

Ok Yar Aap Sab Mere Peechay par gaye Ho

yaar Main Tou nazrein neechi karke Chalta Hoon

Laikin Aik Baat batao ke Ye Mulk Aik islamic Mulk hai Kisi Ko Koi Haq Naheen ke Is Country mein jo ke Aik islamic Country hai Is Mein islam Ki Khilaaf Warzi Karey Ya Is Ke Mukhalif Libaas Pehnay ya Koi Aur Kaam karey

Aur haan Mere Is Reply Per Jawab Sochnay se Behtar yehi hai Ke Aaap Please Meri Is Baat Ko Zehan MeiN Layen Aur Sochain Shukriya

hussain ja Group: Members  Joined: 06th Dec, 2007  Topic: 8  Post: 222  Age:  26  
Posted on:9th Apr 2008, 9:42am
 

re

ek islamic country may jo nizam hona chaye wo nizam pakistan may nahi hai tu isy wajy say her koi jo merzi karta hai or jis tarha k dresses cahy pehnta hai,,sirf larkiyan hi nahi larky b tu aisy dresses phenty hai jo ki islam may bilkul ejazat nahi ,,ye jo bary bary log hai subah or sham k waqt chari(under wear) may nikhalty hai ,,kia islam may ezzat hai,,sirf larkiyoun ko ap qusur war na tehraye,,or jo horaha pakistan may wo kia islam k mutabiq hai?kisi ko insafe milraha hai?her police man jis say b chaye seryam rishwat lyraha hai kia ye islam k mutabiq hai?qatal,choriyan,rap,rishwat ,kia kia nahi horaha ,,sirf parda hi nahi or b boht kuch hota hai pakistan may jo ki islam k aginst hai,

Azfar-K Group: Members  Joined: 01st Mar, 2009  Topic: 3  Post: 772  Age:   
Posted on:16th May 2009, 11:06pm
 

U r somewhere right! asnpak

Pakistan aik islamic country nahi hai.
balke ye to regions ,cast main divide hai.
yahan par log apne ap ko sindhi,punjabi,balochi,pakhtoon kehte hain koi apne ap ko Musalmaan nahi kehta is baat se hi andaaza lagalein.

Pakistan main log islam ki baat tab karte jab unko apna faida dikhta hai ya jab wo apne ap ko kahin mazloom pate hain! simple

sunny007 Group: Members  Joined: 22nd Dec, 2007  Topic: 44  Post: 4214  Age:   
Posted on:16th May 2009, 11:28pm
 

azfar-91

yaar kamal ki baat kar di aap ne, 1000% correct....

 

paroot Group: Members  Joined: 23rd Nov, 2008  Topic: 66  Post: 1660  Age:   
Posted on:16th May 2009, 12:25pm
 

akhee zamana hai

yeh to qayamat ke nishane hai ke essa hogaa jese ke sab hamare samne hai yehe to waqt hai app ke exam ka k app success hote hai sab se apne nazroon ko neeche rakhne mein kamayab hote hai ya nahi sare zindagi sheytan se hume larna hai agar hum akherat mein kamyab hona chahte hai.

bad nighai se mutalleq zaroore hai ke ulama ke book aur bayan suna jai aur ess gunnah ka azzab jana jai taake zehen aur dil mein khof peda ho aur hum ess burai se bach sakee aur baat rahe drees pehene waloo ke to unn ko bhi essa he karna chahe aurat ka matlab he chupana hai leken ab sab opposite ho raha hai ess ke leye unnhe bhi apne nafs per control karna chahe unn ke waja se na sird wo khud balke bad nigahee karne wale bhi haram se bach sakte hai...

apne app ko ache mahool mein dhalne ka zaroorat hai khud ko ache mahool mein dhale aur sath apne ghar waloo ko agar yeh zehen har shaks banai to humare kamyaabe yaqeene hai.

magar sad karoor afsoos yeh post parhne ke baad kes ko yaad hogaa.

paroot Group: Members  Joined: 23rd Nov, 2008  Topic: 66  Post: 1660  Age:   
Posted on:16th May 2009, 12:28pm
 

saree islami riyasat taqreeban name ke hai

ajj ke door mein app ko mere khayal se 1 bhi islami riyasat esse nahi meele gee jo 100% islami rules per chalte ho hala ke 58 ke kqreeb world mein islamic country hai leken 1 bhi esse nahi hao jo 100 feesad sahi hooo. ess leye pora sudharne ke chakkar mein hum beggar jaingee har koi apne esslah karen society automatic sahi ho jai gee
System Group: Members  Joined: 03rd Jun, 2008  Topic: 40  Post: 2264  Age:  32  
Posted on:16th May 2009, 2:57pm
 

azfar saheb

Pakistan main log islam ki baat tab karte jab unko apna faida dikhta hai ya jab wo apne ap ko kahin mazloom pate hain! simple

yar app to bare alqalmand ho ....  very good reply...

~~HITMAN~~ Group: Members  Joined: 09th May, 2011  Topic: 122  Post: 4287  Age:  28  
Posted on:17th May 2009, 6:57am
 

Wese kya khayal hai

batain tou sab bana rahay hain, yahan kitne loag hain jo nazrain nechi kar k chaltay hain / aur dekhtay nahi hain kisi ko.
System Group: Members  Joined: 03rd Jun, 2008  Topic: 40  Post: 2264  Age:  32  
Posted on:17th May 2009, 9:42am
 

yes

i try most of the time....  sometime nakam bhi hojata hon...   mera khyal hai ke we should always keep trying no matter how many times we fail....  kia khyal hai...
Azfar-K Group: Members  Joined: 01st Mar, 2009  Topic: 3  Post: 772  Age:   
Posted on:17th May 2009, 3:58pm
 

HITMAN HART

Islam main Aurton ko allowed nahi hai k wo adhe kaprey pehan k bahir niklein,aur wo aisa karti hain to ap un k favour main na bolein aik admi chah k bhi apne ap ko ziyada dair control nahi karpaega,aur Allah ne khuwateen ko pardeh ka kaha is tarah wo buree nazron se bache gin,or dusra bhi gunnah se bache ga.or wo adhe kapray pehan kar apne jism ki khud numaish kartin hain.

Kia apne kabhi ksi admi ko dekha hai ksi hijaab(pardeh) wali female se badtameezi ya ghoorte huay un k figure ko???
jab k larka kitna hi chichora q na ho wo zaroor unhen izzat deta hai ya apni ankhen neechi karleta hai.wahiat comments pass nahi karta.

jab k adhe kapre pehanne wali female ko koi bhi izzat se nahi dekhta.balke ap bhi jaante hain unhen kaise lafzon se nawaza jaata hai.

Or Allah bhi aisi females par lanat bhejta hai jo kaprey pehan kar bhi nangi hon.
~~HITMAN~~ Group: Members  Joined: 09th May, 2011  Topic: 122  Post: 4287  Age:  28  
Posted on:18th May 2009, 2:42pm
 

rE: Azfar

Islam main Aurton ko allowed nahi hai k wo adhe kaprey pehan k bahir niklein,aur wo aisa karti hain to ap un k favour main na bolein

Islam main ye bhi allowed nahi hai k hum quran pak ko sirf tilawat k liyain use karain, uspe amal sifar ho ...............kya app quran pak ki talemaat k mutabik zindagi guzartay hain ? agar haan main jawab hai tou zara yahan pe sab ko apne shab o roz ki niak batain batayen takay hum bhatkay hoe loag bhi kuch sekhain

app nangi aurton se hat kar bhi sochian sirf yahan pe hi demaagh kyun laga rehta hai ?.........gana bajana naach naachana bund karwaoo, lougon k namaz na parhne ko bhi mozo banaoo, males k zanana libaas ko bhi toko, aese males ko bhi toko jo akeli larki ko tang kartay hain rah chaltay etc........
aur sab se bari cheez apne apko sahi karo pehle uske baad baaki batain hain......

ye favour nahi hai, balkay aesa tou hoga chahay app kuch bhi kehtay phirain warna qayamat ki nishaniyan kese such sabit hongi ?


Kia apne kabhi ksi admi ko dekha hai ksi hijaab(pardeh) wali female se badtameezi ya ghoorte huay un k figure ko???

pehli baat kisi aadmi ko hak nahi k wo baghair pardey wali ko ghoray ya badtameezi karay, koi bhi larki kisi ki baap ki miraas nahi hai.


jab k larka kitna hi chichora q na ho wo zaroor unhen izzat deta hai ya apni ankhen neechi karleta hai

chichora agar aesa karley tou wo chichora kyun kehlaye ?

wahiat comments pass nahi karta.

ab yahan sawaal ye peda hota hai k kya islam mardon ko wahiyaat comments paas karne ki ijzazat deta hai ?????? ya islam larkiyon ko cherne ki ijazat deta hai ??
1
 
 
 
 
 
Urdu Magazine Islam In Urdu Urdu Greeting Cards Urdu Jokes Urdu Funny Stories Urdu Stories Urdu Recipes Urdu Poetry
Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Terms and Conditions Dr. Rizwan Contact Us Last Updated: 22nd July 2012