kufar aur shirk ka irtkaab welcome again hitman...:)
hamari nazar main shirk filhaal sirf yehi hey k kisi aur ko allah ki zaat-e-laa raib sy jorra jaye ...ya allah ki sifaat kisi insan main talash ki jaien to goye yeh shirak ho ga
haan yeh shirk ki aik wazy aur rayj-ul-waqt shakal to hey ...laiken yeh shirk ka mahddod tarjma hey shirk ka jamey aur wast tarjama iss k ilawa b hey jis ki wazahat hum tak ya to poohanchi nahi ya phir ki hi nahi gayee ...jis ki waja sy shirk k wasee mefhoon par abi tak parda parra howa hey
shirk ....har wo kaam jisy islam gunah-e-kabeera ka name daita hey shirk k manoo main ata hey ...iss ki wazahat kuch iss trah hogi
duniyawi shan-o-shoket aur khaisiyat k lehaaz sy agar aik brra shakhas kisi dosry shakhas ko kisi kaam sy khukaman mana kary ...magar dosra banda khukam adooli kardy aur mana kiya geya kaam kar dy (yeh soch kar k aya wo iss khukam dainy waly shakhas sy kisi lehaaz sy kam hey jo iss ki baat many aur yeh kaam na kary)
goya dosry shakhas ki nazar main pehly shakhas ki koi wuqat nahi hey.....uss k zehan main pehly shakhas ka na to koi martba itna aham hey aur na hi ussy iss martby ki parwa hey...wo samjta hey k wo khud b kisi sy kam nahi hey iss liye wo q many iss ka khukam ...agar khukam adoolli karny waly ki nazar main khukam dainy waly shakhas ka martba aur miyaar aham hota to wo bila choon charan uss ki baat man laita aur jis kaam sy mana kiya jaraha hey uss ko na karta...
goye wo khud ko khukam dainy waly ka hamsar samjta hey iss liye khukam man'ny sy inkari hey ....issi trah jab hum khuda ka khukam nahi manty to goya doosry lafoon main hum khud ko khuda ka (na'aouzo billa) hamsar hi tasawar karty hain jis ki bina par hum khuda aur uss k khukam ki parwa na karty howey khukam adooli kar daity hain..
aur yeh baat teh hey k khud ko ya kisi ko uss zaat-e-laa raib ka hamsar samjna ya kehna shirk k zumry main hi ata hey...
to iss sy zahir howa k hum jo b gunah kar rehy hain goya shirk k murtakab hi ho rehy hain
yeh b keha jata hey k insan khata ka putla hey aur roz marra main hony waly gunah , gunah'haan-e-kabeera-o-sagheera insan k bas main nahi hain..yani inn gunah'haan k sar zad hony par insan ko ikhtiyaar nahi hey ..
laiken insan ka bar bar gunah karna issi bat ki tarf ishara karta hey k insan ki nazar main zaat-e-laa raib (Allah) ki ko khaisiyat ya muqaam nahi hey jabi to wo gunah karny ya khukam adooli karny sy chookta nahi hey...agar insan ki nazar main allah ki khaisiyat ya muqaam hota to wo kabi b gunah na karta ya gunah karny sy qabal lakh baar sochta ....
agar shirk iss had tak hamarri zindgiyoon main shamil ho chuka hey to phir allah humain har giz har giz mu'aaf nahi kary ga ...q k uss zat ka wada hey k har gunah mu'aaf ho sakta hey magar shirak nahi.....jub k dosri tarf ussi zaat ka hi wada hy k ey insan muj sy aik baar mang k to daikh main tuj par apni anayetoon k darwazy na khool doon to kehna....q k wo zaat ghafoor o raheem hay...
shirk ko na'qabal-e-mu'aafi gunah issi liye hi to keha geya hey k iss ka irtkaab karny waly ki nazar main khuda ta'ala ki koi khaisiyat nahi hey........q k shirk ka murtkib insan khulam khula khuda ki hamsari ka ilaan kar raha hota hey ...jo k asal haqq-e-bandgi nahi hey..
walla ho ilam bis-swab |