Sad Poetry By Wasi Shah
is page per Wasi Shah ki sad poetry post kare 1. Sad Poetry By Wasi Shah kaash main tere haseen haath kaa kangan hotaa tu baDe pyar se baDe chaao se baDe armaan ke saath apani naazuk si kalayee mein chaDhati mujh ko aur betaabi se furqat ke KhizaaN lamhon mein tu kisi soch mein Doobi jo ghumatii mujh ko main tere haath ki Khushbu se mahak saa jata jab kabhi mooD mein aa kar mujhe chuma karti tere honTon ki shiddat se main dahak saa jata raat ko jab bhi tu neendon ke safar par jati marmari haath kaa ik takiya banaya karti main tere kaan se lag kar kai baaten karta teri zulfon ko tere gaal ko chumaa karta jab bhi tu band qabaa kholne lagati jaanaaN apani aankhon ko tere husn se kheraa karta mujh ko betaab saa rakhta teri chaahat kaa nashaa main teri rooh ke gulshan mein mahakata rahta main tere jism ke aangan mein khanakata rahta kuchh nahi to yahi benaam saa bandhan hota kaash main tere haseen haath kaa kangan hota 2. Sad Poetry By Wasi Shah Dil Ki Cho'khaat Pe Jo Ak Deep Jala Rakha Hai Tere Loot Anay Ka Emkaan Saja Rakha Hai Sans Taak Bhi Nahi Laite Tujhai Sochte Hoyee Hum Ne Is Kaam Ko Bhi Kaal Pe uTha Rakha Hai Rooth Jate Ho To Kuch Or Haseen Lagte Ho Hum Ne Ye Soch K Hee Tum Ko Khafa Rakha Hai Tum Jesi Rootha Howa Choor Gayee Thay Ak Din Hum Ne Us Shaam Ko Seenay Say Laga Rakha Hai Chein Laine Nahi Daite Ye Kisi Toor Mujhai Teri Yadoon Ne Jo Tufaan Utha Rakha Hai Janay Walay Ne Kaha Tha K Wo Loote Ga Zaror Ak Isee Aass Pee Darwaza Khula Rakha Hai Tere Janay Say Jo k Dhol Uthee Thi Ghaam Ki Hum Ne Us Dhool Ko Ankhon Main Basa Rakha Hai Mujh Ko Kal Shaam Say Wo Yaad Bohut Ane Lagay Dil Ne Mud'dat Say Jo Ak Shaks Bhula Rakha Hai Akhri Bar Jo Ayaa Tha Mere Naam Main Ne Us Khaat Ko Kaalejay Say Laga Rakha Hai.! Now members are requested to post more Sad Poetry By Wasi Shah
|