Hormone ki kami tu nahi lekin hormone ka tawazan zaroor bigar sakta hai iss tawazan ke bigarne ki kaii alamat ho sakti hai jaise mahwari chakkar ka beqaida hona. aap ne jo alamat likhi hai os se yahi maloom hota hai keh kisi wajah se aap ki aam sehat mei kamzori aagaye hai. Aap apna poora check up karwain ho sakta hai aap khoon ki kami ka shikar horahi ho. yeh sach hai keh hormone ke tawazan bigarne ki wajah se hamal thaharne mei mushkil hoti hai. Agar aap ka mahwari chakkar beqaida hai tu kisi lady doctor se mukammal muaina karwain. Sahi ilaj se iss tawazan ke bigar ko theek kya jaa sakta hai.
Kya Aulad Na hona hormone Problem Hai- Noor Clinic