Noor Clinic Books For Pakistani and Indian
Shy Men Women Boys and Girls
Sex Education In Urdu and Roman Hindi
By Dr. Rizwan

Painful erection mein baaz naujawan zakar mein tanau (erection) kay waqt dard mehsoos kartey hain iss ki wajoohaat mein zyada aam wajah maqami chot, ulcer, peeshab ki nali ya prostate gland mein sozish hai.
   
Home | Sex Education in Urdu for All | Painful Erection - Tanau Kay Waqt Zakar Mein Dard  
List in Urdu >> Page 1 | Page 2 | Page 3 | Page 4 | Page 5
List in English >> Page 1 | Page 2 | Page 3
 

Total views since 15 October 2009:
97614
 
Painful Erection

 Tanau ka ek hi meyar hai agar mian mubashrat kay waqt apney zakar ko biwi ki faraj mein dakhil kardey to uss ka tanau bilkul normal hai. Ta'hum ek baat yaad rahey kay insaani zakar kisi sakht cheez ya haddi ka bana hua nahin hai bul kay yeh narm gosht ka bana hua hai jo kay khoon ki naliyon mein zyada khoon janey sey tunn jata hai aur sakht ho jata hai. Tanau ki surat mein zakar kay bohut zyada sakht honay ki tawaqqa nahin ki ja sakti. Yeh ek bilkul normal kaifiyat hai.  

Tanau Kay Waqt Zakar Mein Dard (Painful Erection)

    Ba'az naujawan zakar mein tanau kay waqt dard mehsoos kartey hain iss ki wajoohaat mein zyada aam wajah maqami chot, ulcer, peeshab ki nali ya prostate gland mein sozish hai. Iss kay elawa zakar ka bohut zyada terha pan Peyroie's Disease hai. Iss surat mein kisi achey urologist sey raabta karein.

Kamyaab Jinsi Amal Kay Liye Zakar Ka Bohut Sakht Hona Zaroori Hai…?

    Aksar naujawanon ka khayal hai kay biwi ki jinsi tasalli (sexual satisfaction) kay liye zakar ka bohut sakht hona zaroori hai. Allah Ta'ala ney zakar bohut hi narm o nazuk faraj mein dakhil honay kay liye banaya hai na kay deewar mein soorakh karney kay liye. Ta'hum 17 ta 19 saal ki umer mein fard ka zakar tanau mein bohut sakht (hard) hota hai. Iss umer mein isey jins e mukhalif kay liye istaemal nahin kya jata, chunancha adam istaemaal aur umer kay barhney kay sath sath iss ki sakhti mein qadrey kami aa jati hai jo kay ek bilkul normal amal hai.

 
Painful Erection - Tanau Kay Waqt Zakar Mein Dard
 
<< Next       Prev >>
6667686970717273747576
 
Tell a Friend
 
 
   Home
   Dr. Rizwan
   Terms & Cond
   FAQ - Women
   FAQ - Men
   FAQ - Married
   Book for All
   Book for Women
   Book for Men
*******************  
   Forum new
   Your Comments
   General Articles
   Daily Questions
*******************  
   Islam and Sex
   Health & Sex Articles
   AIDS and STDs
   Infertility
   Breast
   Vagina & Hymen
   Menses
   Pregnancy
   Depression
   Cancer
   Cosmetic Surgery
 
noorclinic
pakrishta
magurdu
makemoney
 
tell a friend
 
Share

    

 

 
 
   
All the above pages are taken from Book of Prof Arshad Javed. Editor and webmaster of www.noorclinic.com is Dr. Syed Rizwanul Haque. The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Terms and Conditions Dr. Rizwan Contact Us Last Updated: 22nd July 2012