Tips for Teens How to Handle Pornography Tips for Teens How to Handle Pornography
Ye bahot hi mushkil hai,khaas torr per jab aap teenager hon aur aap ka samna sexuality content se ho jaye: jaisay ke movies me, pornography ke links ya jab aap kuch aur net per check ker rahay hon tu site per ad banners ah jayain.aik young muslim girl ya boy khud ko aisi cheezoon se kaisay protect keray?
Neechay kuch eshi tara ki tips di gayi han jo aap ki help ker sakti han:
1. Know what is Halal and what's not
Log soochtay han hard core pornography hi sirf islam me unacceptable hai.ye true nahi hai.wo men aur women jo improperly dressed hotay han,sexual situations,foreplay,kissing,touching,dirty jokes:in me se kuch bhi islamically acceptable nahi hai.kisi trusted muslim friend se baat kerain,same gender ke family member se ya phir kisi imam se.un se ye poochain k eke es ka Islamic prospective kya hai.
2. Remember your accountability to Allah
America aur kuch doseray countries me jab aap 18 saal ke ho jatay han tu aap khud apnay her action ke fully responsible hotay han.jab ke islam me aap tab fully accountable hotay han jab aap in cheezon ko fully understand ker laitay han.tu aap ye nahi sooch saktay ke aap aisay stuff ko dekhain gay tu ye koi bari baat nahi ho gi.aap ne jo kuch bhi dekha qayamat ke din aap ki eyes us ski ghawahi dain gi.ye yaad rakhain ke khuda her waqt dekh raha hai.wo merciful hai humain humaray achay actions ka reward day ga aur bad actions per punish keray ga.
3. Become conscious of the Haram
Aam torr per aisa stuff khud hi samnay ah jaata hai jaisay ke kisi gum advertisement me spandex-and-bikini-top-clad blonde girl,ya phir guy tight leather pants me aur koi shirt nahi kisi perfume ki advertisement me.jab ye sub aap ke samnay ah jaye aur aap es ko dekhain,tu Islamic perspective yaad rakhain,aap ki Allah ke aagay accountability aur apni gaze lower ker lain.TV aur internet dono ke saath aisa hi kerain.ager aap aisa kertay rahay tu insha-Allah ye aap ki habit bun jaye gi aur phir aap ka automatic action.
4. If feeling overwhelmed, remember Allah Aisi situation me jab aap ka khud per se control khatum ho jaye tu aap wo chanel tune hi na kerain,browser window ko close ker dain,advertisement se apni eyes ko kaheen aur turn ker lain,aur Allah ki madad manghain.aap ko zyada heavy duty ki zuroorat aur long dua kernay ki zuroorat nahi hai just "La hawla wa la quwwata illa billah" parh lain.
5. Seek refuge in Allah from Shaytan
Shaytan aap ko trap kernay ki pori koshish kerta hai.shaitaan se Allah ki panah manghain aur "awthu billahi minash Shaytan ir rajeem parhain",jo aap ko resist kernay me help keray ga.
6. Get up and leave
Ager aap ye feel kerain ke khud per control nahi ker paa rahay tu uss situation ko hi chorr dain like magazine,tv ya aisi site dekhain hi nay a wo room hi chorr dain jis me tv hai ya net hai ya jidhar aap magazine read ker rahay hon.kuch walk kerain ya kuch aisa jis se physically aap aisi situation se bahir ah jayain.
7. Avoid those involved in pornography
Ager aap ka koi friend pornography ki,aisi sites ki,magazines ki aur dirty jokes koi baatain kerta/kerti hai tu uss ko gentle aur sincere advice kerain aur uss se frequent contact khatum ker dain.uss ki baatain aap ko effect kerain gi,aap uss danger ko yaad rakhain jo aap ke liay hai,aap ke deen imaan ke liay aur aap ke Allah se relationship ke liay tu ye bather ho ga ke aap aisay friend se dour hi rahain.
8. Stay away from places where it's found kabhi kabhi highway per aisay advertisement hotay han jin ko aap miss nahi ker saktay ya phir kisi movie ka poster ho gay tu bather yehi hai ke aap aisay places ko avoid kerain,summer me beaches per mat jayain.
9. Surf or watch TV when others are around jab aap room me akelay hon aur tv dekh rahay hon ya phir net serving ker rahay hon tu aisi pictures aur movies aap ko attract kerain gi.late bight tv aur internet serving se avoid kerain.aap tv dekhain aur net serving kerain jab aap ke pass aur irdgird koi aur bhi ho es se aap apni desire ko control ker lain gay.ye good idea hai ke tv ya computer ko bedroom me mat rakhain instead study place ya phir living room me rakhain.
10. Remember your example ager aap ke younger brother aur sister han tu uss example ko soochain jo aap apni un ke liay chorr rahay han.kya ager wo aap ke room me ah jayain aur aap ko aisa stuff dekhtay huay dekh lain.
11. For brothers, remember your mom and sister Disgusting right? Exactly koi bhi sane ladka ye sooch bhi nahi sakta ke jis tara uss ne net per,magazine me ya tv per jis tara ladkiyoon ko dekha hai uss tara apni mom aur sister ko dekhay.apni mom aur sister ko yaad rakhain es se aap aisay stuff se avoid kerain gay.
12. Have someone watch over you ager aap feel kertay hank e aap aisay stuff ke addicted ho saktay han tu kisi aur ke saath tv dekhain aur internet surf kerain.aap ko unhain ye batayanay ki zuroorat nahi hai ke aap un ke saath kuin dekh rahay han.laikin may be ye method aap ko aisay material se dour hi rakhay.after all Shaytan humain tab hi zyada trap kernay ki koshish kerta hai jab hum akelay hon.kisi family member ki company me baithain ya phir kisi muslim friend ki.insha-Allah ye aap ki madad keray ga.
13. Fast Nabi(SAW) neb hi muslims ko yehi method bataya ke wo rozay rakhain apni khowahishaat ko control me kernay ke liay.es method se aap apni desire ko handle ker lain gay jo aisay stuff se arouse hotti hai.
14. Do Tawba and return to Allah ager aap ne ye irada ker liya hai ke aap kabhi nahi aisa stuff dekhain gay tu Allah se tauba kerain.uss sin ko compensate kernay ke liay good deeds kerain.wo insha-Allah aap ko maaf keray ga.
15. Repent again and fine yourself ager aap ne irada ker liya tu bar bar sachay dil ne tauba kerain aur ye khud se promise ker lain ke ayainda aisa nahi kerain gay.aur ager phir aisa kerain gay tu aik din ke liay roza rakhna ho gay a fixed amount charity daini ho gi.
Message ye hai ke aap give aap na kerain aur shaytan ke khilaaf struggle kertay rahain aur phir insha-Allah khuda ki madad se aap kamyaab hon gay. |