Aap ki body instinctively pregnancy k doraan aap k baby ko nourish aur protect ker rahi hai.laikin newborn ki caring ik learned skill hai.aap apnay local community centre ya hospital ko in topic ko sikhnay aur in k barey me jaannay k liay sign up kerain like labor, options for pain relief, what to expect after delivery, -- PREGNANCY Calendar
week 28 week 28 week 28 week 28 . . .
Baby's Development:
Aap k baby ka ab weight 2 pounds, 2 ounces (1,000 grams) aur crown se rump tak length 10 inches (25 cm) hai.aap ki next prenatal appointment per aap ki health care provider aap ko baby ki position womb me bataye gi it may be headfirst or feet- or bottom-first (called breech position).wo babies jo breech position me hootay hen wo cesarean section se deliver hootay hen.laikin aap k baby k pass abhi bhi 2 months hen position chnge kernay k liay es liay aap ko perayshaan honay ki koi zuroorat nahi hai ager aap ka baby ab breech position me hai tu.zayada ter babies apni positions khud hi switch kertay rahtay hen.
Aap k baby k brain ki folds aur grooves continuously develop aur expand kerti rahti hen.es k saath aap ka baby fats ki layers add kerta aur hair growth kerna jaari rukta hai.
Your Body:
Aap ki health care provider ne aap ko early pregnancy me kuch blood tests keranay ko kaha tha.aik cheez blood tests me Rh factor ko measure kiya jaata hai,ye wo substance hai jo k bahot saray ppls k red blood cells per hota hai.ager aap k pass wo nahi hai ya ager aap Rh negative hen aur aap ka baby Rh positive hai tu phi rap k baby ko health prblms ho sakti hen jaisay k jaundice aur anemia.aap ki doctor in prblms ko prevent ker sakti hai aap ko 28th week ya aur phir delivery k bahud aik vaccine day ker jis ko Rh immune globulin kahtay hen.
PREGNANCY Calendar
week 29 week 29 week 29 week 29 . . .
Baby's Development:
Aap ka baby active hoona jaari rahta hai,ye first few flutters ,hard jabs aur punches ko way dain gi jo k aap k breath ko bhi away lay ja sakti hen.ager aap movements me kami note kerti hen,fetal kick count kerain:aap k baby ko 10 bar aik hour me move kerna chahiay.ager aap ka baby kam move kerta hai tu apni health care provider se baat kerain.
Your Body:
Pregnancy k doran iron blood cells ki production me bahot important hai.aap ko aik din me atleast 30 miligram iron khaana chahiay.bcoz pregnancy me iron deficiency common hai.aap ki health care provider aap ko iron check kernay k liay blood test ka bhi kah sakti hai.ager ye low ho tu wo aap ko iron supplement bhi prescribe ker sakti hai.
PREGNANCY Calendar
week 30 week 30 week 30 week 30 . . .
Baby's Development:
Ab uss ka weight 3 pounds (1,400 grams) aur crown se rump tak length 10.8 inches (27 cm) hai.aap ka baby countinuously weight gain kerna aur fatty layers add kerna jaari rukhta hai.ye fat aap k baby ko less wrinkly banna daitay hen aur after birth uss ko warm rukhtay hen.
Birth k bahd respiration ki tayaari me,aap ka baby thori bahot breathing movements kerta hai apnay diaphragm ko repeatedly move ker k.aap ka baby even hiccups bhi get ker sakta hai,jo k aap rhythmic twitches ki soorat me apni uterus me feel ker sakti hen.
Your Body:
Constipation pregnancy me aik common complaint hai.wo pregnancy hormones jo k aap ki pregnancy ko maintain kertay hen wo aap k digestive process ko bhi considerably slow kertay hen.regular exercise,high fiber food eat kernay se jaisay k vegetables aur whole grains ye sub kuch regular rukhna ka great way hai.
PREGNANCY Calendar
week 31 week 31 week 31 week 31 . . .
Baby's Development:
Ab se aap ka baby aik din me amniotic fluid me kaheen cups of urine urinate kerta hai.wo amniotic fluid ko swallow bhi kerta hai,jo k din me kaheen bar replace bhi hoota hai.amniotic fluid me excessive fluid(jis ko polyhydramine bhi kahtay hen) ka matlan hai k baby normally swallow nahi ker raha ya phir koi gastrointestinal obstruction hai.amniotic sac(oligohydramnios) me inaiquate fluid ka matlab hai k baby properly urinate nahi ker raha ya phir ye kidney ya urinary track me infection ko indicate kerta hai.aap ki health care provider aap k routine ulterasound me amniotic fluid ka level bhi measure keray gi.
Your Body:
Kiya aap ne decide kiya hai k aap apnay baby ko breast feed kerain gi ya phir formula feed?although American Academy of Pediatrics (AAP) breast milk ko infant nutrition ki best form recommend kerti hai,aap apnay child ko kaisay feed kerain gi ye aap ka personal decision hai.ager ap ko koi choice kerni hai tu pelhay apni health care provider ya phir lactation consultant se es k barey me zayada information hasil kernay k liay baat kerain.
Ab aap ki breast me milk glnds ne colostrums bunnna shoru ker diya hai.colostrum pre-milk hai jo k aap k baby ko first few days me milk aanay se pelhay calories aur nutrients provide kerta hai.kuch women k liay ye thin aur watery hai aur kuch k liay thick aur yellowish.ager aap ye notice ker rahi hen k aap ki breasts colostrums ko leak ker rahi hen tu aap apnay cloths ko protect kernay k liay disposable or washable breast pads buy kerain.
PREGNANCY Calendar
week 32 week 32 week 32 week 32 . . .
Baby's Development:
Ab aap k baby k masterpiece ko final touches diay ja rahay hen.eyebrows aur hairs aap k baby k head per evident hain.languo hairs jinhoon ne aap k baby ko second trimester k start se cover kiya hua hai ab wo fall off honna shoru ker daitay hen,although kuch shoulders aur bac per birth k time rahtay hen.
4 pounds (1,800 grams) aur 11.4 inches (29 cm) crown se rump tal,aap ka baby ab ager womb se bahir ho tu uss ka survival ka excellent chance hai.
Your Body:
Aap k prenatal visits k doraan,aap ki health care provider aap ka blood pressue,urine aur koi bhi swelling jo develop hui hai es sub ko check keray gi.laikin symptoms sudden weight gain, swelling in the hands or face, headaches, or changes in vision -- PREGNANCY Calendar
week 33 week 33 week 33 week 33 . . .
Baby's Development:
In delivery se pelhay k last few weeks me,billions of neurons jo k aap k baby k brain me develop ho rahay hen,in ki waja se aap ka baby ab in-utero environment k baray me kuch learn kerta hai---aap ka baby listen aur feel ker sakta hai aur even kuch na kuch dekh bhi sakta hai.aap k baby ki eyes light ko bhi detect ker sakti hen aur pupils light k response me constrict aur dilate ker sakti hen.aik newborn ki tara!aap ka baby zayada waqt k liay soota bhi hai aur rapid eye movement (REM) stage bhi experience kerta hai,ye wo sleep stage hai jis me humaray bahot saray dreams vivid hotay hen!
Ab aap k baby k lungs almost completely mature han.fats aap k baby ki body per continuously develop ho rahi hen uss ko protection dainay aur uss ko warm rukhnay k liay.babies final few weeks me kafi sara weight gain kertay hen.
Your Body:
Labor aur delivery sirf 2 week away hen,ab aap ko ye consider kerna hai k aap childbirth me pain ko kaisay cope kerain gi.es me aap ko un common techniques ko jaanna ho ga jo pain relief me use hoti hen aur in me breathing techniques shamil hain like jo k lamaza classes me sikhayi jati hen, pain-relief medications jo k injection, and epidurals se di jaati hai,jis me doctors soft,thin catheter se anesthetic daitay hen jo k aap k lower back per lugaya jaata hai.aap ki ultimate choice job hi ho laikin aap ko jitni zayada information ho gi utna hi acha aap ka decision ho ga.although aap ko abhi final decision nahi laina chahiay es se pelhay aap apni choice k barey me apni health care provider se baat kerain.
PREGNANCY Calendar
week 34 week 34 week 34 week 34 . . .
Baby's Development:
Pregnancy mematernal calcium intake bahot hi zayada important hai because baby mother se calcium ko draw kerta hai jo k us ski bones ko bunnata aur un ko hard kerta hai.ager aik pregnant women emough calcium intake nahi kerti tu ye uss ki apni bones ko effect ker day ga bcoz developing fetus mother k skeletal structure se minerals take kerna shoru ker daita hi.
Ab baby ki skin per vernix coating thicker hoti ja rahi hai,jab k langugo hairs almost fully chalay jaatay hen.
Ab tak kaheen baby delivery ki position me hotay hen.aap ki health care provider aap ko bataye gi k kiya aap ka baby head- or bottom-first position hai.babies jo k 34 week ko born hootay hen wo fairly well-developed lungs rukhtay hen.baby ka average size 5 pounds (2,250 grams) aur length 12.6 inches (32 cm) crown se rump tak womb k outside without extensive medical intervention survival allow kerti hai.
Your Body:
Fatigue late pregnancy me aik common complain hai. Difficulty -- PREGNANCY Calendar
week 35 week 35 week 35 week 35 . . .
Baby's Development:
Aap k baby ka already weight almost 5 pounds, 5 ounces (2,400 grams) hai,laikin es week aap k baby ka rapidly weight gain ka period start ho jaata hai--- about 8 se 12 ounces (226 to 340 grams) her week!fat aap k baby ki body per deposit ho rahay hen especially shoulders k around.
Baby k es size ki waja se aap ka baby ab uterus k ander cramped aur restricted hai---so fetal movements decrease ho jaati hen,lakin wo ab zayada stronger aur forcefull hooti hen.ager aap ka baby headfirst position me hai tu labor ki preparation me uss ka head aap ki pubic bone per rest keray ga.
Your Body:
Bond jo aap already inside growing baby k saath feel ker rahi hen ye sirf tak hi aik bar strong ho ga jab us ski birth ho jaye gi. -- PREGNANCY Calendar
week 36 week 36 week 36 week 36 . . .
Baby's Development:
Ye wrinkly,tiny baby ab aap ultrasound me dekhain gi aik plump baby bunnta jar aha hai.ab aap k baby k cheeks per fat bhi ho gi aur powerfull sucking muscles bhi baby k full face me contribute kerain gay.ab aap k baby ka weight 6 pounds (2,721 grams) k kuch under ho ga.
Wo bones jo aap k baby ki skull bunnati hen ab relatively aik doseray ko overlap kerain gi jab aap k baby ka head aap k pelvis me ho ga.es phenomenon ko molding kahtay hen aur ye baby ko birth canal se pass honnay me help kerta hai.don't be surprised ager aap k baby pointy ya misshapen head se aata hai!kuch hours ya days k bahud aap k baby ka head rounded shape me wapis ah jaata hai.
Your Body:
Es week k shoru hotay hi aap apni health care provider ko her month dekhain gi.app ki doctor ya midwife ab aap ka aik internal exam keray gi k kiya cervical effacement (thinning of the cervix) or dilation (opening of the cervix) shoru ho gayi hai.u may also experience engagement(jis ko lightening bhi kahtay hen),ye tab hota hai jab aap ka baby labor ki preparation k liay pelvis me drop hota hai.aap ki appetite return ho sakti hai,bcoz aap ka baby aap k stomach aur intestine per ab zayada pressure nahi dalta aur ager aap heartburn feel ker rahi hen tu baby's descent es ko relief ker daita hai.
PREGNANCY Calendar
week 37 week 37 week 37 week 37 . . .
Baby's Development:
Es week aap k baby ko full-term sumjha jaata hai!laikin aap k baby ne abhi grow kerna stop nahi kiya—wo abhi bhi fats produce ker raha hai half an ounce (14 grams) per day k rate se,in general boys ka weight girls se zayada hoota hai birth k time.
Aap k baby ne itni coordination develop ker li hai k fingers k saath grsp ker lay.ager uss ko aik bright light dekhayi jaye tu wo uterus me uss light ki teruf turn ho jaye ga.
Your Body:
Es week k bahud mucous plug lose ker dain gi jo k aap ki uterus ko infection se protect kernay k liay seal off kerta hai.mucous plug labor se kuch weeks,hours ya days pelhay lost ho jaati hai aur ye thick,yellowish,aur ye blood se tinged hoti hai so es ko bloody show bhi kahtay hen.jaisay hi labor ki prepration k liay cervix dilate kerti hai ,plug body se discharge ho jaati hai.be sure ager aap ko koi discharge hoota hai tu aap apni health care provider se e ski baat zuroor ker lain.
PREGNANCY Calendar
week 38 week 38 week 38 week 38 . . .
Baby's Development:
Aap k baby ka es waqt 6 pounds, 6 ounces (2,900 grams) weight aur crown se rump tak length 13.4 inches (34 cm) hai.fat abhi bhi uss per accumulate ho rahay hen although growth ab slow ho gayi hai.ab aap notice ker sakti hen k aap ka weight decrease ho raha hai ya cease ho gaya hai.
App k baby k muscles ab han jo k amniotic fluid ko suck aur swallow ker sakain,waste materials us ski intestine me accumulate ho rahay hen.cells jo intestine se shed hotay hen,dead skin cells aur langugo hairs kuch waste products hen jo k meconium kahlati hen,ye wo greenish-black substance hai jo aap k baby ki first bowel movements ko constitute kerta hai.
Ager aap ka boy hai tu uss k testicles secrotum me descend hotay hen,unless aik condition ah jaati hai jis ko -- Your Body:
Because aap ka baby ab aap k pelvis me engaged hai,aap ka bladder extremely compressed ho ga,jis ki waja se aap k frequent bathroom trips hoon gay.
Kiya ap ne aura aap k partner ne circumcision k baray me koi decision liya hai?circumcision aik surgical procedure hai jis me male babies k pernis ki foreskin ko remove kiya jaata hai.kuch parents k liay circumcision aik religious decision hai,aur kaheen doseroon k liay choice easy nhi hai.aap apni health care provider se circumcision k issues k baray me baat ker lain aur baby k liay pain relief options ki bhi.
PREGNANCY Calendar
week 39 week 39 week 39 week 39 . . .
Baby's Development:
Umbilical cord jo k nutrients ko baby se placenta tak laati hai,size me vary kerti rahti hai aur es ka average size 22 inches (55 cm) long aur half an inch (1-2 cm) thick hota hai.kabhi kabhi umbilical cord baby ki neck k sides per wrapped bhi hooti hai.generally ye koi problem cause nahi kerti,although cesarean delivery require hooti hai ager umbilical cord labor ya delivery me pressure cause keri hai tu.aik true knot umbilical cord me much common hooti hai,jo k sirf 1% pregnancies me occure hooti hai.
Most vernix jo k aap k baby ki skin ko cover kerti hai ab disappear ho choki hoti hai,eshi tara langugo bhi.aap ki body aap k baby ko placenta k through antibodies provide ker rahi hi so that ye aap k baby k immune system ko life k first 6-12 months me infection k against help ker sakkay.
Your Body:
Ab Braxton hicks contractions zayada pronounced ho gayi hen.jin ko false labor bhi kahtay hen,ye contractions almost itni strong aur painfull hooti han jaisay k true labor contractions laikin ye itni regular nahi hootien aur in ki frequency bhi increase nahi hooti jaisay k true labor.
Aik aur sign labor ka aap k amniotic sac k rupture hoonay ka hai,jo k kisi din bhi ho saakta hai.jab un k water break hoota hai,kuch womens large gush of water feel kerti han aur kuch steady tickle feel kerti hen.kuch womens water breaking tab tak experience nahi kertien jab tak wo labor me na hoon.kuch ko health care provider se water breaking kerani perhti hai takay un me labor start ho sakay ya es ko speed up kiya ja sakay.ager aap ye soochti hen k aap[ ka wter broken ho chooka hai aur regular contractions bhi ho rahi hen tu aap jald hi apni hhealth care provider se contact kerain.
PREGNANCY Calendar
week 40 week 40 week 40 week 40 . . .
Baby's Development:
Kaheen month ki expectations aur preparations k bahud,aap ka baby yahaan hai ya nahi---sirf 5% women estimated due dates per deliver kerti hen,aur kaheen first time mothers ko due date k bhi bahud 2 weeks wait kerna perhta hai.
Aik baby jis ki birth 40 weeks k bahud hooti hai uss ka weight 7 pounds, 4 ounces (3,300 grams) aur uss ki length 20 inches (51 cm),newborns k heads aften temporarily misshapen hootay hen birth canal se aur wo vernix se aur blood se bhi cover ho saktay hen.aap k baby ki skin discolorations, dry patches, aur rashes k saath bhi ho sakti hai---ye bahot sari variations bhi normal han.
Aap k baby system me birth hormones ki presence ki waja se,aap k baby k genitals (boys me scrotum aur girls me labia) enlarged appear hootay hen.app ka baby whether wo girl hai ya boy even tiny nipples se milk bhi secrete ker sakta hai.ye kuch xdays bahud disappear ho jaata hai aur ye completely normal hai.
Right after birth,aap ki health care provider aap k baby k mouth aur nose se mucous ko suction out keray gi aur aap wo long-awaited voice sonay gi.ab aap k bby ko shahid aap k stomach per rukh ker,umbilical cord ko cut ker dain—often ye baby k dad se bhi keraya jaata hai,ager wo ye honor hasil kerna chahay tu!aik saries of screening tests aap k baby ka ho ga jaisay k aggar score,aur ye aap k baby k vital signs aur responses check kernay k liay ho ga aur uss ka weight aur height measure ki jaye gi.ager aap ki pregnancy high risk per thi aur aap ka cesarean section necessary tha tu aik neonatologist (a doctor who specializes in -- Your Body:
Es week aap wo moment experience kerain gi jis ko aap expect ker rahi thien—aap ka introduction aap k baby se!es se pelhay k aap apnay baby se milain aap ko labor aur delivery se guzerna ho ga.aap ne birth ki three stages ko apni prenatal stages me learn kiya ho ga.first stage me aap ki uterus ko regular intervals se contract ker k aap ki cervix ko thin aur stretch kiya jaata hai.second stage wo hai jis me aap apnay baby ko vaginal canal me puch kerti hen aur phir body se bahir aur third stage wo hai jis me aap placenta ko deliver kerti hen.
Ager aap due date k week me labor ko receive nahi kerti hen tu aap ki health care provider aap ko nonstress test ka kahay gi.jis me aap k fetal ka heart rate aur movements check ki jaati hen takay ye paata chulaya jaye k aap ka baby adequate oxygen receive ker raha hai aur kiya uss ka nervous system response ker raha hai.aap apni health care provider se es test k baray me mazeed jaannay k liay baat kerain.
Sometimes mother ki nature ko bahot patient se kaam laina perhta hai,ager aap labor ko receive nahi ker rahien ya ager aap ki health aur aap k baby ki health k liay ye zuroori hai tu aap ki health care provider memberanes ko artificially rupture ker k ya hormone oxytocin ko administrate ker k ya phir doseri medication ker k labor induce kerti hai.ager aap ki delivery high risk per hai ya phir koi aur complication hai tu aap ko cesarean section delivery ki zuroorat ho gi.
Kuch women ko pelhay hi ye inform ker diy jaata hai k wo cesarean section se deliver kerain gi tu woe s qabil hooti hen k baby k birth day ko advance me achi tara schedule ker laiti hen,ager aap un me se aik hen tu aap khud ko emotionally aur mentally prepare ker lain—jo k aap ki disappointment ki feelings ko lesson ker day ga jo k aksir un mothers ko hoti hai jo k es qabil nahi hotien k wo vaginal delivery experience ker sakain.but ager aap ki cesarean section delivery hooti hai aur aap already planned nahi thien tu aap ko yaqqeen honna chahiay k aap ki bonding zuroor aap k baby se ho gi,ye wo birth experience nahi ho ga jo aap ne imagine kiya hai but nonetheless aap ka beautifull newborn arrive ho choka hai.ab waiting months over ho chokay hen!
Good luck with your baby!