Haddi Aap dentist se mashwara kar saktay hein. Kuch loagon ki haddi ka rang peela hota hai. Iski wazeh misal musuem mein rakhay dhaanchay hein jin mein se ziada tar ki haddian - peeli hoti hein. Safaid chamakdaar nahen.
Bohot kam laogon ki haddi safaid hoti hai. Un loagon ke daant bhi safaid hotay hein {agar safai rakhi hui ho, agar ooper mail jama hua hai to wo peelay, kaalay, gray ya laal (paan/gutka khaanay ki soorat mein) bhi nazar aa saktay hein}.
Har cheez darmiyani behtar hai. Zaroorat se ziada karo to nuqsaan bhi ho sakta hai. Bohot ziada brush ragarnay se masoorhay bhi zakhmi ho saktay hein aur daant ghis kar takleef bhi de saktay hein.
Jin loagon ki haddi ka rang peela hota hai unkay daant bhi peelay hotay hein aur ghisai (scaling), kaila, dentonic aur dandaasa karnay se bhi peelay he rehtay hein. Ismein aadmi ka apna qasoor/kahili nahen. Lekin jis tarah furniture, floor, rice aur boot polish hoti hai isi tarah teeth whitening process bhi hota hai jis mein daanton par white polish charha di jati hai.
In sab baton ke lye aapko dentist se rujoo karna hoga. |