Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

 
a
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic| Forum | Health| Sex | General |Pakistani Matrimonial| Site Map
Procedure | Recent Post |New Topic | Most Viewed| Paigham e Quran and Hadees
 
Warning: This Website is not for people who are less than 16 years of age. Please Exit
 
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
NoorClinic
Home(General)
Home(Health and Sex)
Forum Procedure
Noor Clinic Home
Book For All
Book For Women
Book For Men
Baby Care
Daily Questions
    Start New Topic  My Profile
 

Khatmal Machchar Lalbaig Chuha Marna Sahi Nahi Hai

Non Medical Discussion   >>   Discussion
 
 
 
 
Bewaqoof Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 264  Post: 4592  Age:  40  
Posted on:26th Nov 2013, 5:33pm
 

Khatmal Machchar Lalbaig Chuha Marna Sahi Nahi Hai

Allah Taala ne dunya banayee aur iss dunya mei jaandar paida kiye. hazaro nahi balkeh lakho qisim ke jaandar paida kiye. agar ham iss jandar ka baghor mutaala karain tu hamai maloom ho ga keh har jaandar ke andar zindagi guzarnay ka mukammal nizam mojood hai. dekhne ke liye aankhai hai, sochne aur faisla kerne ke liye dimagh aur zinda rehne ke liye khaney peenay ka System.

Ham log generally makhkhi, machchar, khatmal, chula aur lal baig etc etc ko kill kerne ke liye mukhtalif qisim ke poison banatay hai aur bari be-rahmi sey isay kill ker detay hai. Kya ham mei se kisi ne socha keh kya Allah Taala ne onhai iss liye paida kya hai keh ham log ose kill kertay phirain?

Mere piyaray bhaio aur bahno zara ghor karo, khatmal, machchar, chooha, lalbaig and makhkhian etc Allah ki makhlooqat hai'n, Allah taala ne on ke andar khaanay peenay ka system banaya hai. aur on ke rizq ka zimma bhi Allah taala ne liye hai. lehaza Allah ki in makhlooqaat ko kill kerne ka koi jawaz nahi banta. Aur na hi in ko kill kerne ke liye poison banana chahiye.

Mere piaray bhaio aur bahno ab tak jo kuch hua os ke liye Allah se maafi maangain aur ainda ke liye Allah ki in makhlooqat ko kill kerne se toba karain. Jis ko Allah Taala ne paida kya os ko kill kerne ka haq kisi insaan ko nahi hona chahiye.
Bewaqoof Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 264  Post: 4592  Age:  40  
Posted on:26th Nov 2013, 8:43pm
 

janwaro ke kill na karain - Hifazati Iqdamat karain

Yaha per mei Islamic point se baat nahi ker raha hoo balkeh logical baat ker raha hoo. dunya mei jaandar iss liye nahi paida kiye gaye keh ham log onhai maarain. ham hifazati tadabeer tu ker saktay hai lekin maarnay ki baa samajh nahi aati.

machchar se pareshan hai tu mchchar daani lagai ya machchar bhagao coil jalain, apne ghar ke aas paas ganda pani (for malaria) aur saaf paani (for dengue) jama nahi honey dain takeh aap ke ghar ke aas paas machchar paida na hon.

ghar ko saaf suthra rakhain aur gandagi na phailain iss tarah makhkhi aaap ke ghar per nahi hogi. cheezo ko cover ker ke rakhain takeh agar makhkhi ho bhi tu woh aap ke khane peene ki cheezo ko infected na karay.

chooha ko marnay ki bajaye bhagane ki tadabeer karain, aur koshish karain keh aap keh ghar per chuha na aaye, aur agar aa gaya hai tu ose kisi tarah bhaga dain aur on raaston ko block ker dain jaha se chooha aata hai. isi tarah lalbaig bhi gandagi ki paidawar hai, jaha jaha lalbaig ke paida hone ke imkanat hai waha per safai rakhain.

khatmal bhi aik jagah se doosri jagah mutaqil hotay hai. aap kisi bhi chair ya bed per baithnay se pehlay iss baat ka itmenan ker lain keh os per khatmal nahi hai. khatmal aap ke ghar ya bistar per tab hi aata hai jab aap khatmal walay bistar ya chair per baithtay hai.

agar ham Allah ki makhlooq ko marain ge tu kya woh khatam ho jaain ge. woh kabhi nahi khatam ho saktay. Allah Taala ne kisi maslehat ke tehat hi onhai paida kya hai, lehaza Allah ki makhlooq ko kill nahi kerni chahiye. agar aap ko on se koi khatra hai tu os se bachne ke liye ehtiati tadabeer ikhtiar karain, jis tarah ham log chor daakoo aur khoodkash bombar se bachne ke liye mukhtalif qisim ke tadabeer kertay hai.
ghroo Group: Members  Joined: 06th Sep, 2013  Topic: 9  Post: 389  Age:  22  
Posted on:27th Nov 2013, 3:32am
 

bushra sahi kh rahin

Bushra 's right aisa thori hoskta k apko koi zaher dy ra ho n ap khushi sy p lo aisa nhi hota kbi b even k chipkali to nihayat paleet cheez hai ussy to marny ka sawab hi bhtt hai isi trhan hr napak cheez ko marna qatel nhi kahlata mairy khaiyal mai to aisa hai agy bki memberz sy lgy gs pata
VickyGuide Group: Members  Joined: 27th Nov, 2013  Topic: 0  Post: 17  Age:  18  
Posted on:27th Nov 2013, 9:20am
 

sahii kaha bushra and groo ne

zahreeli cheez jis se insaan ko koi khatra ho usy mar deny mai koi gunah nahi
 
 
For More Detail Click On Page No: 1
 
 
 
Pakistani Student In Harvard University  How to get UK settlement spouse visa for us citizen  Bangladeshi Community Celebrating Canada Day In Toronto

Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact Us