Cancer ke mutalliq pae janay walay ibhaamaat 1. Cancer koi naya marz nahen.
2. Cancer ki bila-mubalgha hazaron aqsaam hain. Agar mazeed aik nai qism daryaft hogai to koi farq nahen para.
3. Cancer, cancerous cells ki wajah se hota hai. Yaani aisay baaghi cells jo jism ke control system ke ehkamaat mannay se inkaar kar dain aur apni criminal activities main mulawwis ho jaen.
4. Cancerous cells har jism main kojud hotay he hain, iski koi wajah na ho tab bhi.
5. Cancer fori taur pe ya aik ghalti se nahen hota. Maslan 1 cigarette peenay se hargiz lung cancer na hoga. Lekin bohot taweel arsay tak kis Cancer-causing material (carcinogenic) se exposure hoga to cancer ho sakta hai.
6. Roz marra istemal ke taqreeban sabhi materials kisi na kisi darjay carcinogenic hain. Jabke cancer, internal problems ki wajah se bhi ho sakta hai. Yaani without external agent.
7. Sab se ziada khatra cancer ka unn fertilizers aur pesticides se hai, jo crop growth ke lye be-tahasha istemal kia jatay hain. Agarcheh unka effect to itna shadeed nahen lekin exposure bohot ziada hai kyunkeh dunya ka koi bhi shakhs apnay aapko khoraak se to rok nahen sakta/sakti.
8. Cancer koi nai bemari nahen, albatta pehlay to loag haiza waghera jesi mamooli bemarion se he mar jatay thay. Jabke cancer ka jism main taweel arsay tak palna zaroori hai. Jab loag 2-4 din ki bemari main mubtila ho kar mar jatay thay.
9. Ajkal kafi loag kehnay lagay hain ke burai main izafa ho raha hai. Iss wajah se nit nai bemarian saamnay aarahi hain jinka pehlay suna bhi nahen thaa. Jabke burai wurai main to izafa nahen ho raha, balkeh medical healthcare behtar ho rahi hai. Loag choti moti cheezon se mar jatay thay, ajkal woh silsila khatam hogya hai. Islye aisi bemarian manzar-e-aam pe arahi hain jinse marnay kelye uss bemar ka taweel arsay tak jisim main palna zaroori hai.
10. Cancer waghera ki qisim koi aik admi daryaft nahen karta. Poori team lagi hoti hai aur peer-verified papers authentic journals main publish hotay hain. |