Social Phobia AOA,
Main aik buhat hi bari pareshani main mubtala hoon jis se mera future dark hota ja raha hai aur main tanha hota ja raha hoon...
mere saath masla yeah hai k main jab bhi kissi new person se milon to meray dil ki dharkan tez ho jati hai.. aur jism kanpna shoro kar deta hai.. main market main ja kar kisi se behas nahi kar sakta... apne kaam main bhi jo koi new person aaye ga to mere hoonth kanpna shoro kar dain gay.. kisi par gusa aaye ga to kaapkapi aa jaye gi.... jis ki wajah se loog mujh se najyez faida lete hain... aur dhoka ho jata hai..
main shoro se hi tahna raha hoon... koi doost nahi koi mehfil nahi bas kaam kaam kaam... agar koi female aa jaye to ziayda tense ho jata hoon pura jism kaanp uthta hai....
meri age 32 year hai... mera business din ba din down hota ja raha hai.. kyunki main logo se talk nahi kar pata sidhi sidhi baat ho sakti hai aram se ...
mene buhat koshih ki par nahi kabooo paya jata main shadion par jaon to pura jism kanpta rehta hai jiski wajah se main ab koi shadi attend nahi karta....
meri soch buhat negitive hai dil choti si baat par doob jata hai... loog dhoka de jatay hain.... apne kaam ka master hoon par is wajah se pareshan hoon..... logon ko face nahi kar pata...
bachpan se hi Masturbation ka shikaar hoon abi tak karta hoon ab to sex main bhi buhat kamzoor ho chuka hoon..
dil main dar aur har waqat negetive soch hoti hai jiski wajah se aaj tak shadi nahi karwa paya......
PLS mujhey acha sa mashwara do main kis doctor se treatment start karwao... main apne parenst ka aklota beta hoon aur ghar mene hi chalana hai... pls help me..... |