Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

 
a
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic| Forum | Health| Sex | General |Pakistani Matrimonial| Site Map
Procedure | Recent Post |New Topic | Most Viewed| Paigham e Quran and Hadees
 
Warning: This Website is not for people who are less than 16 years of age. Please Exit
 
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
NoorClinic
Home(General)
Home(Health and Sex)
Forum Procedure
Noor Clinic Home
Book For All
Book For Women
Book For Men
Baby Care
Daily Questions
    Start New Topic  My Profile
 

What Is Darwin Theory of Evolution?

Religion and Culture
 
 
eagle fly Group: Members  Joined: 18th Aug, 2010  Topic: 75  Post: 2110  Age:   
Posted on:20th May 2012, 10:27am
 

What Is Darwin Theory of Evolution?

  • kia koi bata sakta hai k Darwin's Theory of Evolution kia hai?
  • Darwin Theory of Evolution ko kis mazhab k log mante hain?
  • kia Darwin Theory of Evolution  ko manne waloun ka koi mazhab nahi hai?
Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 53  Post: 3428  Age:  38  
Posted on:20th May 2012, 11:00pm
 

What Is Darwin Theory of Evolution?

Darwin kehta hay k insan janwaron sy irtaqa karty howy insani roop main aya hay ...yaani uss ka kehna hay majooda shakal ka insan pehly iss trah ka nahi tha lakhon karoroon saal pehly insan bandar ki shakal ka janwar howa karta tha phir ahista ahista iss k jeans main tabdeeli hony lagi aur iss ki kamar seedhi hoti chali gai iss trah hazaron salon main irtqai manazal teh karty karty insan majooda hadd-o-haal ka ban geya

yeh theory islam k bilkul ulat hay islam iss ki nafi karta hay islam ka taswar insan k bary main barra hi pure hay allah farmata hay k laqad khalaqnal insana fee ahsan al taqweem (al-quran) yaani allah ny insan ko buhat ahsan taqweem main khalaq kiya hay aur jis fitrat k teh khalaq kiya hay ussi fitrat k teht iss k liye deen utara hay ...

leaza Darwin ki theory kisi mazhab ki taleemat main sy nahi hay wo aik zehni ikhtrah hay jisy log scientific research ka name b daity hain laiken yeh mehaz aik mafroza hay iss ka haqeeqat sy ko taluq nahi hay
WEHSHI Group: Members  Joined: 17th Aug, 2010  Topic: 46  Post: 2536  Age:  50  
Posted on:20th May 2012, 12:22pm
 

Darwin

well explained by diplomate

asal bat yeh hai k yeh aik scintific theory hai jis ka haqaiq se koi taluq nhn

kiun k ager insan irtiqa pazeer hai to pichlay hazaron salon se insan ne koi aur irtiqa kiun nhn kiya

is k ilawa insan k irtiqa k baad aj tak aur kisi janwer ki nasal main koi irtiqa kiun nhn aya

yeh nazriya sirif woh log mantay hain jo insan k MADER PIDER azad rehnay k percharik hain kiun k aisay log aur kuch danishwer insan ko HEWAN E NATIQ yani bolnay wala janwer bhi kehtay hain

lekin humara iman aur aqeeda quran hai jsi main saaf hai k allah ne ADAM ko mitti se takhleeq kiya aur isi shakal main kiya

is liyay DARWEN ak nazriya kuch khas zehniyat walay logon main hi mana jata hai

MUJHAY FARISHTA KEHNAY SE MERI TAQSEER HOTI HAI

MAIN MASJOOD E MALAIK HUN MUJHAY INSAN REHNAY DO

mhmmd Group: Members  Joined: 07th Jul, 2015  Topic: 0  Post: 1  Age:  25  
Posted on:7th Jul 2015, 2:52pm
 

Darwin

Actually baat ye hai kay insaan kay paas jab se sochna samayjhna ki salahiyat aai us ne sab se pehle sawal ye puchai kay may kahan se aaya? Us zamaynay may insaan ki aqal aur science is qabil nahi hui thi kay is sawal ka jawab de sakay. Mukhtalif mazahib ne is sawal ka jawab diya hai jis may deen e ibrahimi sab yahi kayhtay haiin kay khuda ne insaan ko isi shaikal may bnaya jis shaikal may wo aaj mojuud hai. darwin bhi isi aqeeday ko mayanta thai aur aik naturalist thai. naturalists wo log hotay hain jo dunya ka safat kartay hain aur plants aur animals ki different iqsaam ikathi kartay hain. Apnay safar may darwin galapogas islands par bhi gya. Wahan us nay kya dekhai kay finches parinday kasrat se mojuud hain lekin mukhtalif islands kay finches may mamooli se faraq mojuud haiin. Halankay islands qareeb hi thay lekin aik wazeh faraq parindon ki beaks may tha jo kay island island kay hisaab se faraq thin. Darwin ye to janta thai kay ye tamam aik hi qisam kay parinday hain to phir in ki chonchn may faraq kyun? Yahi mutaliaa darwin ki theory of evolution ki jar bana aur us ne apni kitaab The origin of Species may is theory ko explain kiya. Darwin khud aik mazhaibi insaan thai lekin is theory ki wajha se us ko kafi criticize kiya gya. Us dour may bhi darwin jaanta thai kay is theory may bohot se masael baqi hain lehaza us ne apni kitaab may aik chapter theory pe masael par bhi likha. Darwin ki theory ye thi kay is dunya par mojuud har pouda aur har janwar pehle is haal may na thai aur ahista ahista us may changes aatay rahay hain. In changes ki wajha environmental conditions hain jo kay janwaron may ye changes paida karti hain. aur ye changes kai nasalon may thora thora numaya hotay hain aur wazeh change sirf tab nazar aata hai jab kai naslain guzar jaen. Is ki misaal yun hai kay aik billi kay 4 bachay hua jin may se aik kala thai aur baqi 3 safeed. din may billi apne bachon ki khoob hifazat karti magar raat may koi jangli janwar araam se bachaiy utha sakta tha. kyunkay kala bacha raat may nazar na aata tha isliye teeno safeed bachaiy maray gae aur kaala bacha bach gya. is tarhai us jangle may kuch time kay baad sirf kaali billian bach gaen. yahi maamla darwin kay finch parinday ka tha. wo islands jahan parindon to keeray khaney kayliye zyada deep jana parta tha wahan chonchain deep thi aur doosri jagha faraq thi. ye faraq sirf chonchon may hi nahi balkay pura jism par wazeh hai. is ki aik misaal ye bhi hai kay mukhtalif elaqoon kay log dekhne may mukhtalif hotay hain. jese china japan aur korea kay logon ki shakal mukhtalif hoti hai, india pakistanis ki different aur europeons ki different. yahi faraq kad kaath, jismayni sakht, balon kay rang waghera may bhi dekhai ja sakta hai. Ye wazeh rahay kay ye theory scientific hai aur is ka kisi mayzhaib se koi taaluq nahi. darwin khud aik christian tha aur christian hi mara isi kay sath sath boht say muslim, christians, hindus etc. aaj bhi is theory ko maantay hain aur hazrat adam kay waqea ko metaphoric(ghaiir lughvi) samayjhtay hain. Is ki wajhai wo scientific evidences hain jo darwin kay time par to mojuud nahi thay lekin aaj science un se agaah hai jin may sab se pehle DNA aur Embryology shaamil hain. Is kay elawa fossil records waghera bhi evolution ko sacha qaraar detay hain. Bahesiat doctor main is cheez ko jaanta hn kay har wo medicine jo aap khatay hain wo pharmacy may aanay say pehlay banmanas ya choohon pe test hoti hai kyun kay in teeno animals ka DNA kafi had tak same hai. Is ka ye maytlab nahi hai kay insaan bandar se bana ya insaan choohon se bana. Balka is ka maytlab ye hai kay maazi may kisi waqt bandar, insaan aur choohay ka ancester(jad) aik hi tha. science ka is baat pe bhi ittefaq hai kay maazi may hair jaandar cheez ka ancester aik hi tha aur wo samayndar may namoodar hua aur us ka structure kafi simple thai. is ka bhi ye maytlab nahi hai kay wo koi machli waghera tha balka wo aik single cell organism thi.

For More Detail Click On Page No: 1
 
 
 
Pakistani Singer In UK  How to find job with no work experience  Indian Students Dance In USA

Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact Us