Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

 
a
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic| Forum | Health| Sex | General |Pakistani Matrimonial| Site Map
Procedure | Recent Post |New Topic | Most Viewed| Paigham e Quran and Hadees
 
Warning: This Website is not for people who are less than 16 years of age. Please Exit
 
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
NoorClinic
Home(General)
Home(Health and Sex)
Forum Procedure
Noor Clinic Home
Book For All
Book For Women
Book For Men
Baby Care
Daily Questions
    Start New Topic  My Profile
 

Jihaad Kiya Hai?

Articles
 
 
WellKnOwN Group: Members  Joined: 06th Sep, 2011  Topic: 56  Post: 3522  Age:  23  
Posted on:22nd Mar 2012, 3:43am
 

Jihaad Kiya Hai?

Jihaad Kiya Hai?
Jihaad ke muani hai KOSHISH hai or Islam mai iska mafhoom hai ke Haq ki sar bulandi karna. Iss ke liye har qism ki koshish qurbani or eessar karna apni tamam jismani, mali or dimaghi quatoo ko Allah ki rah mai sarf karna. Haq ke dushmunoo kis koshish ko nakam banana, on ki tadbeero ko kharab karna, inke hamlo ko rokna iss ke liye agar maidan jang mai bi larhna parhe to bi iss se dregh na karna. Iss liye jihaad ki Islam mai bohot barhi fazilat hai or isse ibadat bi qarar diya gaya hai.
Jihaad ek munazam koshish ka naam hai or Islam mai isske wazih ossool o zawabit maujud hai. Beghair kissi nazam or ameer ke koi shakhs ya ziadah afrad apni marzi se jado jehed shoro kare to iss ko Islam mai jihaad qaraar nahe diya ja sakta, to iss liye Jihaad ke liye zaroori hai ke ek Islami riyasat ki taraf se baqaida isska Hukam diya gaya hoo to phir issko Jihaad qarar diya jaye ga.


Jihaad Ki Zaroorat
Agar kissi Islami mulk/riyasat par dushmano ka hamla hoo to iss soorat mai Jihaad iss mulk ki tamam logo par FARZ hai jesse ke Roza or Nimaaz muslman par FARZ hai. Jesse ke Islam ki rah mai rukawat pesh hoo maslan jo loog Islam la chuke hai or inhe Islam lane ke ki JURM mai oss par Zulm se sataya Jaae or osse wapas KUFR ki taraf lotna par majbur kiya jaye to ye ek sakht jarhana iqdam hai or iss ke khilaaf maslah difayi jang zaroori hojati hai. Kuch esse soorat bi pesh ati hai jiss mai ghair muslimo ke samne Islam ko pesh hi na karne diya jaye. ya essa nizaam muslat kiya jaye jiss mai hote howe bi kissi ko Islam ko qareeb se dekhne or samjne ka mouqa na mil sake agar che ye jaarhana iqdam nahe. Lekin iss silsile mai haalat ka jaiza le kar jado jehed ki jaye. jo maslah bi hosakti hai. Dushman Ghaddari kare to jang ki jaye. Hame (Muslmano) ko chaye ke ham har qisam ka ASLAHA tayar kare jese ke Atomic Bomb etc balke iss se bi khatar naak Aslaha jiss se dushman Maroob hoo.


Jihaad Ki Fazilat
Allah Tala farmata hai Beshak Allah Tala on logo ko pasand karta hai jo oss ki rah mai aiese tor par jama ho kar larhe. Mujahid (Jihaad Karne Wala) ke liye ek ajir Azeem hai. Quran ne farmaya hia ke Jo Allah ki rah mai larhe ga or mara jaye ya ghalib rahe osse ajir azeem mile ga. Quran ne shahadat ki halawat bayan kardi hai "Yani Allah ke raste mai jo marjaye inhe murda na kaho wo zinda hai lekin tum nahe jante" (Surah Baqara, Ayat 154)

Ahaadees Jihaad Ke Bare Mai

Ahadees mai jihaad ki bohot fazilat ayi hai.

1: Khuda ki rah mai ek din choukidari karna, duniya ke tamam cheezo se behtar hai.

2: Suba ko ya sham ko Khuda ki rah mai nikalna or jaan dena duniya ki tamam cheezo se behtar hai.

3: Jiss bande ke qadam Khuda ki rah mai Ghubar Alo ho jaye to pir ossko Dozakh ki aag cho bi nahe sakti.

4: Shaheed Arz karta hai ke iss daffa mara jao or pir wapas zinda ho kar duniya mai larhne ke liye jaw.

 

Jihaad Ki Maqasid:
1:
Quran Hakeem mai jihaad ka ek maqsad bataya gaya hai ke jihaad se momin or kafir ki pehchan hoti hai. Quran Farmata hai ke Allah tala iss azmaish ke zariye sache mumino ko Alag Chant kar kafiro ki sarkobi kardena chahata hai. (Surah Al Imran, Ayat 14)

2: Quran pak ne farmaya ke Tum in kafir se larhte rahoo yaha tak ke fitna hi baqi na rahe. ( Surah Anfal, Ayat 29).

3:Dushman ke hamle ki soorat mai muslmano ke liye mudafiat zaroori hai. Quran ne farmaya ke JJin par jang muslat ki jaye inhe larhne ki ijazat iss liye di jati hai ke in par zulm kiya jaye.

Jihaad Ki Mamnooaat

1:Apne salar or ameer ki hukam adooli karna.

2:Ehadnama mai khiyanat karna.

3:Mushla karna mathlab murde ke hath pao katna.

4:Auratoo, nabaligh insano, borho, mazooro ko marna. Sirf jang mai shareek mard mare jaenge.

5:Faslo, podo, darakhto, phalo or pani ke zakhair ko barbad karna.

6:Ghairo ke mazhabi shaaaro or ibadat gaho ko munhadim karna.

7:Qaiduoo or safeero ko qatal karna.

8:Wahshiyana kaam karna means Lot mar or qatal o gharat.

9:Kisi ko bandh kar be dardi se marna.

Jihaad Ki Aqsaam

Nafs Ke Khilaaf Jihaad
Baaz ulama ki raye mai sab se aala qisam ki jahaad ye ke koi apne nafs ke sath jihaad kare. or isse jihaad e Akbar qaraar diya gaya hai. Baaz sahe ahaadees or Quran e paak mai bi isska mafhoom hai. Irshad bari Tala hai "Jin logo ne hamare bare mai jihaad kiya ham inko apne raste dikhaenge or yaqeenan Allah tala neko karo ke sath hai" ( Surah Alankaboot, Ayat 29)


Jihaad Bil Elam
Jihaad ki ek qism ye bi hai JIHAAD BIL ILAM . Duniya ka tamam shar or fassad jahalat ka nateeja hai or isse door karna zaroori hai. Agar insan aqal or apne ilam se jo ossko Allah ne diya hai or oss se kaam le to osse chaye ke wo apne ilmi tareeqe se ya ilmi andaz se doosro ko bi iss se faiz pohonchaye. Quran paak mai bi iss ke baare mai ek ayat hai. "Logo apne parwardigaar ki taraf ani ki dawat hikmat o danish or khoobsorat nasihat ke sath karo or in se mujadila bohot khoobsoorat tareeqe se karo"

Jihaad Bil Maal
JIhaad ki ek or qisam bi hai jiss ko Jihaad Bil Maal kehte hai. isska mathlab ye hai ke Allah tala ne insan ko jo maal o doulat ata ki hai osska maqsad ye hai ke osse Allah ki raza ke raste mai kharch kiya jaye. Irshad e baari tala hai "Jo log emaan laye or jinho ne hijrat ki or Allah ki raste mai apne malo or jano se jihaad kiya, ye loog Allah ke paas nihayat buland martabe par faiz hai" (Surah Toba, Ayat 19).
Or Jo loog apne maalo daulat ko Allah ki rah mai kharch karne ki bajaye osse zakheera andoozi kare to esse logo ke liye Allah tala ne Azab e aleem ki khush khabri de gayi hai. Iss bare mai bi Allah tala farmata hai "Or wo loog jo sone or chandi ki zakheera andozi karte hai or isse Allah ke raste mai kharch nahe karte inhe dardnaak azab ki basharat de do" (Surah Toba, Ayat 34)


Jihaad Bin Nafs
Jihaad ki ek orr qisam bi hai jissko Jihaad Bin Nafs kaha jata hai or isski mani hai apne jism o jaan se jihaad karna. even Allah ki rah mai Din ke dushmano se larhte howe apni jaan tak pesh kardi jaye. Aaam tor par jab lafz jihaad bola jaye to iss se yahi fourth qisam ka jahaad muraad hota hia. Jiss ko quran mai Maslah Jihaad kaha gaya hai. Jihaad ke liye jangi quat ki tayari ka hukam diya gaya hai. or jihaad mai shaheed hone walo ko bi murda kehne se bi mana farmaya gaya hai. or ye bi onke bare mai bataya gaya hai ke wo apne rab ki taraf se rizq paa rahe hai or wo iss hilawat par khushiya mana rahe hai. Inke liye ajire Azeem or janato or behtareen sawab ka wada kiya gaya hai.

Jihaad Bil Lisaan
iss qisam ke jihaad se muraad ye hai ke apne zubaan ke zariye se jihaad karna maslan TV, Radio etc par taqreer pesh karna jihaad ke bare mai,, or dushman ke hamle se bachne ka tareeqa batana to ye bi ek qisam ka jihaaad hai.

Jihaad Bil Qalam
ye bi ek qisam ka jihaad hai jiss mai kitabo, akhbaro, kahaniyo, afsano etc ke zariye aisy tehreer pesh karna jiss se mujahid ka housla barhe or dushman baddil hojaaye. mujahiddeen ki bahaduri, jaan nisari ki qisee pesh kiya jaye.

Dakhili Jihaad
ye bi ek qism ka jihaad hai jiss ka mathlab ye ke Islami muashra mai jo buraaya sar uthati hai to ossko khatam karna or fitna faasaad ko khatam karna isse Dakhili Jihaad kehlata hai...

Iqdami Jihaad
Ye bi ek qisam ka jihaad hai jiss ki maani hai ke duniya ke tamaam logo ko Haq deen mathlab Islam pohonchana. Nabi Kareem SAW ne bi 8 baadshahoo ko khutoot likhe the or khulafae rashideen ne bi ye koshish ki thi...,..

Jihaad Bid Dua
Ye bi ek qisam ka jihaad hai jiss ka mathlab ye hai ke jo borhe loog or khawateen jo jang mai hisa na le sake to nimaze parhe or sar basajood ho kar ye rohani jihaaad anjam de.

Shehri Difaa
iss qisam ki jahaad ka mathllab ye hai ke aurate or jang par na sakne wali mard aag bujhaye, zakhmiyo ki dekhbaal, nursing, ilaaj, muaalaja, bamo ko nakara karne ki tarbiyat di jaye,,, or wo shehr ke andron sare kaam sanbale.

Ilam Hasil Karna
Ilam haasil karna bi ek qisam ka jihaad hai. Hadees hai ke " Ilam hasil karna har mard aurat par farz hai" to hame chaye ke ham aala tareen ilam haasil kare na ke sirf sicency pehle denwi elam haasil kare pir sciency to ham apne dushman kafiro se age bi hosakte hai agar che ham aala ilam hasil kare.

myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 131  Post: 7884  Age:  56  
Posted on:22nd Mar 2012, 9:24am
 

Jazak Allah

masha Allah well explained
WellKnOwN Group: Members  Joined: 06th Sep, 2011  Topic: 56  Post: 3522  Age:  23  
Posted on:22nd Mar 2012, 6:30pm
 

Myrizvi

Thanks alot bro
yashfeen Group: Members  Joined: 17th Nov, 2011  Topic: 5  Post: 664  Age:  28  
Posted on:23rd Mar 2012, 1:11am
 

wellknown

wow...apne tu pura article type kr diya. Very well!!
WellKnOwN Group: Members  Joined: 06th Sep, 2011  Topic: 56  Post: 3522  Age:  23  
Posted on:23rd Mar 2012, 1:19am
 

Yasfeen

Thanks alot sis
alirajput Group: Members  Joined: 16th Mar, 2012  Topic: 5  Post: 614  Age:  32  
Posted on:23rd Mar 2012, 6:57am
 

re: Jihad kiya hai?

Article is very informative no doubt. Lekin jihad ka concept pe tanqeed haiN kaafi duniya maiN kyun ke, jangi jihad ke kuch asool haiN jho ab follow nahiN hote Musalmano se.
WellKnOwN Group: Members  Joined: 06th Sep, 2011  Topic: 56  Post: 3522  Age:  23  
Posted on:24th Mar 2012, 1:58am
 

Ali

Thanks,,, ofcourse muslman ab to bohot kamzoor hogaye hai
For More Detail Click On Page No: 1
 
 
 
Pakistan Day Celebration In Malaysia  How to get Canadian Work Permit  Indian Students Dance In USA

Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact Us