Muslim History Of Spain In Urdu jab arbs rulers ny apni saltnat expand ki to unn ki foujain alaqay fatah karty karty Spain k shehar Andlus tak aa puhanchy , uss time banu ummiyya khaan daan ki hamoat chal rahi thi banu apny aap ko khlafat-e-rashda ka hi taslal smjhty thy
Adlus ka asla name Al-Andlus tha jo k arbic word hay jis sy zahir hota hay k arab uss waqat Spain aur Europe k baishtar ilaqon ko arab ka hissa hi tsawar karty thy
banu ummiyya khandaan ki hakoomat Spain main 711 ta 750 Esvi tak jaisy taisy karty chalti rahi iss k baad 750 Esvi main banu abbasiya khan daan ny hakomat ko over take kar liya iss k baad taqreeban 1492 Esvi tak Europe smait duniya k baishtar ilaqon par Muslims hukmaraan rahy
wazy rahy k yeh wohi dor tha jab tareekh-e-islam ko az sar-e-no tarteeb diya geya aur yaheen sy muslims k haan tafreeq paida hoi , iss saary arsy main muslims ny aqliyaton k sath koi narwa salook nahi kiya , islam ki dawat b di , talwaar sy b aur akhlaaq sy b , laiken talwaar uss waqat jab samny sy talwaar uthaiee gayee magar akhlaaq wa kardaar har waqat , laiken sho may qismat k yeh sab Muslims Rulers Islam k asal tashakhus sy na waqif hi rahy chahay bazahir yeh power main thy , hukmaraani main thy
iss k ilawa Muslims apny Golden period main hony k bawajood apni aynda naslon k liye aik ghalti kar gaye k sar-e-aam taleem ko aur tahqeeq ko sarkaari sateh par buck up nahi kiya jis ka nateeja yeh nikla k Muslims apny iqtedaar ko tool bakhshny main lagy rahy aur ghair muslims tehqiqaati medaan main taraqqi ki manzlain teh karny lagy , dosra yeh k apni hiffat ka badla lainy k liye aghyaar k paas siwaye taleem ka rasta apnanay k aur koi chaara b nahi tha
to iss baat ka jo result nikla wo sab k hi samny hay aghyaar itni taraqqi kar gaye k akhar kaar Muslims Rulers ko unn k aagy hithiyaar dalna parry , aur aaj ka dour aap k samny hay
re "muslim history of spain se ham ne kya sabaq seekh?"
kuch b nahi , siwaye iss baat k aaj b hum barry fakhar sy aghyaar ko apny taab naak maazi ka taana day sakty hain ..iss k ilawa kuch b nahi ..:( |