huma12 |
Group: Members Joined: 16th Aug, 2011 Topic: 2 Post: 38 Age:
33
|
|
Posted on:20th Aug 2011, 12:11pm |
|
|
waterr thanks dr waterr aap sach bohat sawab lay rahi hen aap itni achi hen k har ek ko reply deti hen aur sab ki help karti hen ALLAH pak aap ko bohat sari khushia tandrosti aur sehat k sath lambi zindagi day ammeeen aap k lye hum sab ko dua karni chaye aur yaha jitnay b aisay doc hen jo itni help kar rahay hen ALLAH pak sab ko khushia day har paryshani door karay ammeen waterr ye jo symptems aap nay batai hen mujhay in may say koi symptems nahi hen aap ko report may kesay send karon? aur agar aap ka koi clinic hay to may aap say milna chahongi thanks
|
Waterr |
Group: Members Joined: 15th Jul, 2009 Topic: 59 Post: 3517 Age:
|
|
Posted on:20th Aug 2011, 12:21pm |
|
|
Re : ovarian cyst vs uterine fibroid thanks huma12aap ki jo reports han ultrasound ki oouN ki detail yahaaN likh daiN.ya findings yahaaN likh daiN |
huma12 |
Group: Members Joined: 16th Aug, 2011 Topic: 2 Post: 38 Age:
33
|
|
Posted on:20th Aug 2011, 12:37pm |
|
|
WATERR THIS IS MY ULTRASOUND REPORT waterr danzen flygela tablet 4.2mujhay di thi aur MY ULTRASOUND REPORT US PELVIS NORMAL SIZE ANTEVERTED UTERUS measuring 80x4.2x5.5cm .seen in the with midline normal a hypoechoic masss measuring2.8x2.6cm seen in the interior wall suggestive of fiboride both andexa are clear both ovaries are slightly enlarged right ovary measuring 3.6x 3.1cm left ovary measuring 4.3x2.8cm no free fuild seen in cul de sec
|
huma12 |
Group: Members Joined: 16th Aug, 2011 Topic: 2 Post: 38 Age:
33
|
|
Posted on:20th Aug 2011, 12:50pm |
|
|
WATERR ULTRA SOUND k bad mujhay flygel aur danzen di thi aur ek aur tablet thi naam bhool gai hon
|
hasna |
Group: Members Joined: 25th Apr, 2009 Topic: 37 Post: 1514 Age:
24
|
|
Posted on:21st Aug 2011, 8:13am |
|
|
huma12 dear mjy doc ne last sunday ko bataya hai k uterus ki wall thick hogai hai.
mjy last 3months se mensis ki prob thi.mjy time per hoty thy laikin sppoting hoti thi aur 13 se 14days tk rehti thi.laikin july me 25july ko huye periods aur 20august tk huye he.shaid ye stop nahi hoty agur me medicine na laiti to..:(
mjy abhi tk pregnancy nahi hui.phir bhi doc ne aisi medicine di hai jisse pregnancy hojan ke chances he aur agur na hui to normal mensis ajayegy.
galti meri hi hai wall k thick hojane me.kio k mene galti se aisi medicine kha li thi jisse bleeding light hojati hai.aur uskay bad se mjy long periods ka prob hogya.aur result utres ki wall thick hogai hai.jbkay 4months pehlay tk internal walls bilkul theek thi. |
Waterr |
Group: Members Joined: 15th Jul, 2009 Topic: 59 Post: 3517 Age:
|
|
Posted on:21st Aug 2011, 2:34pm |
|
|
Re: uterine fibroid : huma12 aapki iss report kay mutabiq to apko ovarian cyst nahe ha. fibroid hee ha. zaydah fibroid koi symptom nahe kartey. albatah agar pregnancy na ho rahe ho to fibroid ki treatment karwani chhaheye kunke at times yeh fertilized egg ko uterus kay sath implant houney say rook daitey haiN aur infertility kartey haiN iss kay alawah pregnancy ho jaa.ay to bhi miscarriage karwa saktey haiN. yeh bhi mumkin ha apko pehle ovary cyst ho jo khud bakhud khatam ho gae ho. agar aap husband kay saath rehti haiN to min 1yr regular unrotected intercourse kay baad hee kaha jaa sakta ha kay infertility ka issue ha.! fibroid agar koi maslah nahe kar raha to iss say pareschan na houN. albatah aik doctor choose kar kay oos ka treatment laiN. |
huma12 |
Group: Members Joined: 16th Aug, 2011 Topic: 2 Post: 38 Age:
33
|
|
Posted on:22nd Aug 2011, 5:36am |
|
|
thanks waterr dr. may ye pochna chahti hon kya is ka tratment medicens say ho sakta hay? kyo k aj kal doc to surgeory ka kehti hen aur wo may kara nahi sakti aap koi mashwara do pls aur ek baat aur pochni thi kya pregnancy k koi chances nahi hotay fibroid may? aur mujhay fibroid koi masla nahi kar raha
|
huma12 |
Group: Members Joined: 16th Aug, 2011 Topic: 2 Post: 38 Age:
33
|
|
Posted on:22nd Aug 2011, 12:12pm |
|
|
dr waterr pls reply me dr pls mujhay reply kejye
|
Waterr |
Group: Members Joined: 15th Jul, 2009 Topic: 59 Post: 3517 Age:
|
|
Posted on:22nd Aug 2011, 1:56pm |
|
|
Re: uterine fibroid ji fibroid ko medicine say bhi treat keya jaata ha aur surgery say bhi. fibroid kay symptoms theek karney aur size shrink karney kay leye medicine di jaati haiN jo keh hormone hotey haiN iss kay alawah surgery say bhi iss ko remove keya jaa sakta ha fibroid infertility kar saktey haiN. magar aisa nahe ha keh pregnancy ka koi chance nahe hota. magar conceive karney mai mushkil ho rahe ho to fibroid iss ki wajah ho saktey haiN aur treatment laina chhaheye. apki doctor nay surgery batai ha to zaroor karwa laiN.
|
huma12 |
Group: Members Joined: 16th Aug, 2011 Topic: 2 Post: 38 Age:
33
|
|
Posted on:23rd Aug 2011, 5:46am |
|
|
waterr u r angel thanks doc aap nay jo reply kia os say mujhay bohat tasali hoi kyo k meri doc nay mujhay ye kaha tha pregnancy ka chance nahi hay fibroid may aur surgeory k bad b 30% chance hota hay pregnancy ka on doc nay mujhay ye kaha tha is lye may nay dar kar sab kuch chor dia ALLAH par k jo b hona hay wo bas ab dua hi k zarye say ho sakta hay kyo k doc nay bohat dara dia tha os k bad say may on k pass b nahi gai onho nay hips par injection ka course b start kia tha ek injection k bad hi meri bohat bori halat hogai thi jisam say aag si nikal rahi thi os k bad say nahi lagwaya meri guzarish sab say hay k meray lye pls dua kejye k mujhay ALLAH pak ulaad ki naymat say nawaz day ameen
|
hasna |
Group: Members Joined: 25th Apr, 2009 Topic: 37 Post: 1514 Age:
24
|
|
Posted on:23rd Aug 2011, 5:49am |
|
|
huma12 inshaAllah Allah pak apko olaad ki naimat se zarur nawaze ga.ye meri dili dua hai k Allah apko sahbe olaad kre aur unsabko jo is naimat se mehroom he.Ameeeen |
huma12 |
Group: Members Joined: 16th Aug, 2011 Topic: 2 Post: 38 Age:
33
|
|
Posted on:23rd Aug 2011, 6:41am |
|
|
hasna meri behen thanks hasna my sis ALLAH apko b olaad ki naymat say nawazay ameen
|
Waterr |
Group: Members Joined: 15th Jul, 2009 Topic: 59 Post: 3517 Age:
|
|
Posted on:23rd Aug 2011, 3:39pm |
|
|
Reply : uterine fibroid huma12agar aapko injection say jism mai burning huwe thei ya koi aur maslah mehsoos huwa tha to aap apni doctor say detail maiN maslah discuss karteiN. aisey ilaj beech maiN chhoRna aqalmandi nahe ha. mumkin ha woh apko hormonal injection day rahe houN takeh fibroid ka size kum ho jaa.ay. agar apko pregnancy nahe hoti to iss ki wajah gibroid bhi ho sakta ha. pehley medication daitey haiN oos say kum na ho size to surgery kartey haiN. aisa nahe ha k fibroid ki surgery kay baad conceive nahe hota baby. oos kay baad bhi pregnancy mumkin ha aur hoti ha. best yeh ha ap aik doctor select karaiN oouN say mukamal ilaj karwaiN aur idhar oodhar kay logoouN ki baatouN peh kaan na dhareeN |
huma12 |
Group: Members Joined: 16th Aug, 2011 Topic: 2 Post: 38 Age:
33
|
|
Posted on:24th Aug 2011, 10:47am |
|
|
dr waterr dr waterr. wo injection onho nay muhay ovary par waram kam karnay k lye dia tha keh rahi thi waram hay ovary par aur may nay injection aur medicen k bad jo condition hoi onhay batai thi aur han meri doc nay kaha tha kay ziada jisam may calcium bannay ki waja say fiboride hojata hay onho nay kaha k may milk aur egg ziada leti hon jab k may milk aur agg nahi leti ziada bohat kam leti hon dr kya ziada milk penay say ye fiboride hota hay? may milk bohat kam peti thi aur jab say doc nay kaha hay may chor dia pena
|
Waterr |
Group: Members Joined: 15th Jul, 2009 Topic: 59 Post: 3517 Age:
|
|
Posted on:24th Aug 2011, 10:57am |
|
|
Re uterine fibroid nahe aisa nahe ha kay calcium zaydah lainey say fibroid zaydah hotey haiN ya milk maiN calcium ki wajah say finroid hota ha. haaN yeh ha keh jo dairy products haiN milk butter etc inn maiN jo fats ya cholesterol ha woh zaydah liya jaa.ay to body maiN yeh female hormone estrogen maiN convert ho kay fibroid ko bara etc kar saktey haiN ya fibroid bhi as suspected kay fermale hormones kay zarey asar bunta ha. so at times fibroid patient ko inm cheezouN ko avoid karney ka kaha jaata ha. aapki ovaries thoRi bari haiN at times yeh waqti inflammation ki wajah say aisa ho jata ha ya hormonal upset maiN. |
huma12 |
Group: Members Joined: 16th Aug, 2011 Topic: 2 Post: 38 Age:
33
|
|
Posted on:24th Aug 2011, 11:01pm |
|
|
waterr mujhay shadi k 1yr bad blood aur clots aay thay kya wo misscarige tha? aap nay bataya tha fibroid aksar pregnany ko zaya kar detay hen |
Waterr |
Group: Members Joined: 15th Jul, 2009 Topic: 59 Post: 3517 Age:
|
|
Posted on:24th Aug 2011, 11:39pm |
|
|
Re:uterine fibroid nahe aisa zaroori nahe kay woh miscarriage hee ho. clots waisey bhi a saktey haiN . clots jamey huwey blood ko show kartey haiN . apney tub pregnancy test kya tha? |
|