Tips To Drink Water In Summer drink plenty of water , but be careful
Garmiyon ka mosam aty hi paani ka istemaal b bharr jata hay , agarchy iss main koi shak nahi k buhat ziyada paseena kharaj hony aur dhoop k bayes jism main paani khushak ho jatahay aur iss waja sy garmiyon main jism ko paani ki buhat ziyada zarorat hoti hay
laiken hota yeh hay k piyaas ki shidat sy by haal log paani peety waqat buhat si cheezain bhool jaty hain jis k bayes yahi paani rehmat ban'ny ki bajaye zehmat ban jata hay
lehaza zarori hay k paani peety waqt darj zail cheezon ka khiyaal rakha jaye
- paani bismillah parr kar aur baith kar piyain
- paani peeny sy pehly yeh daikha jaye k jis bartan yaa zariya sy paani piya jaraha hay aya wo saaf hay k nahi
- paani jis cheez main rakha howa hay aya wo saaf hay k nahi
- paani peeny k baad allah ka shukar ada karain
yaad rahy k peeny ka paani buhat si mut'addi bemariyon ki waja ban sakta hay , jin ko aam tor par "water born diseases" yaani paani sy paida hony wali bemariyaan kaha jata hay , kuch bemariyon ko to hum achi trah janty hain jaisy k "ashaal" , "gastro" , waghaira
Garmiyon main alooda paani ki waja sy lahaq hony wali yeh aam bemariyan hain laiken iss k ilawa alooda paani peeny sy sangeen bimariyan b la haq ho sakti hain jaisa k "hepatitis" , lehaza zarorat iss baat ki hay k paani ko peety wat yeh baat yaqeeni banaiee jaye k paani har qism ki aloodgi sy saaf aur pak hay
iss k ilawa paani peety waqt yeh ihteyaat b ki jain k
- taiz dhoop main sy aany k foran baad paani na piya jaye
- aik dam buhat ziyada paani na piya jaye
- amrood , kheera , kharbooza khany k forn baad paani na piya jaye
- khany khany k foran baad yaani sath hi paani na piya jaye
alooda paani peeny k baayes kisi b kism ki na khush'guwaar alamaat jaisa k matli , qay , paichash , waghaira zahir hony ki sorat main foran aur bila takheer Doctor sy rajoo kiya jaye
|