Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

  Erectile Dysfunction Treatment
Ed Treated by Pomegranate Juice
Hiv Test
Early Hiv Symptoms
Chest Muscle
Exercises to Build Chest Muscle Fast
Get Rid of Man Boobs
How to Get Rid of Man Boobs - 7 Easy Ways to Lose Man Boobs
 
 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic | Articles | Forum | Procedure | Health| Sex | General | Site Map
Men Health | Women Health | Procedure| Pakistani Matrimonial
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
NoorClinic
Home(General)
Home(Health and Sex)
Forum Procedure
Noor Clinic Home
Book For All
Book For Women
Book For Men
Baby Care
Daily Questions
Health Articles
Best Articles
New Topics (General)
Recent Reply (General)
Social Problem
    Start New Topic  My Profile
 

To Moderator or Admin

Suggestions
 
 
 
saim1 Group: Members  Joined: 23rd May, 2008  Topic: 39  Post: 2141  Age:  33  
Posted on:9th Jun 2011, 11:00pm
 

ohh ho

yeh to barey afsos ki bat hey,s4u yeh to tumharey sath na insafi hey.mujhey to yeh sab read kar key bhout dukh ho raha hey. akhir ku?tumharey sath hi ku?


myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 99  Post: 5095  Age:   
Posted on:9th Jun 2011, 11:52pm
 

s4u n all members

"ezaaz.yaaftah mods" ki saf maiN shamil karnay ka shukaryah :) ittefaaq say above mod notes maiN say kai mod notes ko onkay asal moqaam par dekh chukaa houn... aur mujhay afsos k saath kahna paR raha hai k maiN in mai say kai mod notes say ittefaaq bhi rakhta houn...khaah inhaiN kissi nay bhi diyeh houn.

aap mujhay uncle kahti ho aur Theek kahti ho k omar aur tajarbay maiN, maiN apkay parents k barabar hi houNga. lehaza as ur uncle apko mera mashwarah hai k net forums k larayee jhagRay ko etna serious nah lo k yeh tumhari zati zindagi ko motassir karnay lagay...yehi baat main tamaam members say bhi kahnaa chaahoungaa k net ki dostiyaaN, doshmaniyaan...sab khail tamasha hai. issay jaan ka rog nah lagaya jaa.ay

go k mujhay iss forum main sirf chand saal hi howay hain magar different net forums par mujhay as modz n above modz 15 baras working ka experience hai. lehaza net jhagRouN say meri bahoot poraani aashnaayee hai. aur inki haqeeqat bhi jaantaahoun...issi liyeh sab ko mera mashwarah hai k login hokar jetna marzi kissi say jhagra karna paray, logoff hotay hi sab kuch zehan say nikaal daiN...aur agar aisa nah kar sakain to laRayee jhagRa say doooooooor rahaiN.

meri yeh "bad.qismati" hai k maiN yahaaN honay walay aksar "jhagRouN ki tafseelaat" say agaah nahi houN...maiN aisii posts /replies dekh kar balaa hi balaa gozar jataa houN... meray pass etna faltoo time nahi hotaa k members k jhagRouN ki bachkanah roo.daad ko sabqab sabqan paRhoun. apni masroofiaat main kuch free times forum ko zaroor deta houn... sirf interested issues par tabaadlah khayaal karna pasand kartaa houn...haan kabhi kabhaar gup shup aur hansi mazaaq walay thread maiN bhi hissah letaa houn takay just fresh up ho sakouN.

iss qism k motanezaa topic par yeh meri last reply hai...maiN nah to mazeed koi reply karouNga nah hi iss say related reply /thread ko paRhnay ki zahmat karouNgaa.... iskay elawah as usual, waqt milnay par, forum k sirf interested threads main haazir hota rhouNga...that's all from my end...sab khush rahain, ya laRtay rahain magar apnay apnay kharchay pay :) (yehy aakheri wala fiqrah sirf moskoraanay k liyeh hai)

Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 45  Post: 2869  Age:  34  
Posted on:10th Jun 2011, 7:39am
 

bokhlahat

jab kisi k paas sy uss ki taqat cheen li jaye , ya kamzori ghalba paa jaye to phir wo apny taqat waly dino ko yaad kar kar k kurrta rehta hay , maslan agar bharpoor jawan bhurrapy ka shikar ho jaye to ussy jab apni jawani yaad aati hay to wo barra dil bardashta hota hay , baaz dafa to kamzor aur natawaan hojany wala koi aysa kaam karny ki koshish karta hay k jis sy wo ye sabit kar saky k nahi nahi wo abi kamzor nahi howa balky abi b uss ki taqat uss main majood hay , laiken lakh koshish k bawajood b kamzoor aur naa tawaan ho jany wala shakhas taqat ka muzahira nahi kar sakta ...

kuch log to itny dheet hoty hain k chahy kamzori ki waja sy marny waly hi q na ho jaien wo apna sar har "auokhy" kaam main dhansaaty hi rehty hain , chahy sab mil kar ussy yeh uhsaas hi q na delaien k baba abb yeh tumhary bas ka rog nahi hay laiken adat sy majboor aysy dheet log apni hat dharmi sy baaz nahi aaty , wo koi na koi aysa bahana sochty rehty hain jis main logon ko yeh sabit kar sakain k wo taqat war hain , laiken aysy afraad k baat ya kaam shuro karty hi inn k dheet pan aur demaghi halal ka pata chal jata hay

mods notes ka majmoo'aa , red color ki post karny wali member b issi nature ki hay jis ka main ny abi zikar kiya hay ......:)
Bhimji Group: Members  Joined: 07th May, 2008  Topic: 13  Post: 1837  Age:  28  
Posted on:11th Jun 2011, 1:30pm
 

re:

Mera mashwarah hai k net forums k larayee jhagRay ko etna serious nah lo k yeh tumhari zati zindagi ko motassir karnay lagay...yehi baat main tamaam members say bhi kahnaa chaahoungaa k net ki dostiyaaN, doshmaniyaan...sab khail tamasha hai. issay jaan ka rog nah lagaya jaa.ay

 

My Rizvi ki iss post main mujhe yeh sentence bht pasand aya h aur yehi baat main iss forum ke members, jin se mera off the forum b relation hae, se keh chuka hun ke agr aap ki priority Internet, forums ya unn ke unseen members hain tau aap ko apni priorities ko reset ya refine karne ki zarurat hae. Internet ko apni life main itna prioritize na karein ke yeh aap ki sehat ya family ke sath behaviour par asar andaz hone lag jaye aur yeh baat har aik internet user (including me) pr apply hoti hae. Andaza lagayaen ke Internet addicted zindagi ki kitni choti choti khushiyun se mehroom reh jaate hain. Wo ghar waloon ke sath akatha khana nahi kha skte, Wo dining table pr sari family ke sath pooray din ke experiences ya roodad mazay le le kr share nahi kr skte, wo apne bachun ko proper time nahi de skte, Wo family ke sath beth kr ice cream, moong phalli, Carrom Board ya luddo nahi enjoy kr skte. Zindagi ki yehi choti choti khushiyan family members ko aik doosre ke qareeb lati hn aur unn main aik family hone ka ehsaas peda krti hain. Insan social animal hae aur agr social attitude tarak kr de ga tau yaqeenan nuqsan uthayega.

 

S4u@Main iss baat se b agree hun ke above highlighted moderator notes main se half pr tau tmhn amal krna hi chahiye q ke unn main koi buri baat tau nahi likhi hui. Lekin iss ke sath sath mujhe note dene walay moderators pr b herat hae jo pooray forum main se sirf tmhn hi acha q dekhna chahte hain. Wo akhir q chahte hain ke sari khoobiyun ka majmooa tmhn hi hona chahiye q ke yahan pr meri 3-4 years forum life main aise "raah chalte moderator notes" doosre members ko dekhne main nahi aaye kabhi. Kher agr koi moderator ksi members ki favour krte huvay b ye note de raha hae tau iss main tmhari hi bhalai hae na. Tm pr b herat hae ke tm moderators ke iss act of kindness pr unki shukar guzar hone ki bjaye ulta naraz ho rahi ho.

s4u Group: Members  Joined: 18th Mar, 2011  Topic: 94  Post: 5307  Age:   
Posted on:11th Jun 2011, 3:43pm
 

♥·´¯`·Re:

Asslam o Alikum.

aap k replies ka buhot shukria.sab se pehle main ye clear kr don k main net ki donya ya is forum pr jo hon meri real life me esa kuch n Alhamdulillah.ghar me agar main aik din k lie na hon to sab k moun pe 12 baj jate hain.aur sab ko ehsas hota hai k wo mere bina kitne adhore hain.is lie mera jo attitude aap forum pr dekh rahe hain main wesi nahi.aj se 2,3 saal pehle forum pr jo main thi wohi main haqeeqat me hon.

aap sab ka reply pr aik bar phir se thanx,kiu k is trha bina meri above posts k aap log ye lecture na dete.agar main deti to zaror meri post jallan ki waja se edit kr di jati.maine kabhi bhi net pr hone wali bat ko serious nahi lia.agar leti to main bhi abhi zindagi aur mout se khel rahi hoti chahay jhoti moti sahi..haan afsos hota tha kabhi lekin ab zara bhi nahi.aik traf se sun k dosri traf se nikal deti hon.ab bhi maine esa hi kia lekin kuch logon ko sakoon nahi mil raha na zehni na wese hi.to wo log multiple ids se apni jalan khtam kr rahe hain.agar main serious leti to main bhi ye bachon wali harkat zaror krti.aur jb maine on ki id pakar li to meri post edit.lekin mere lie itna hi kafi h k meri post onhu ne khod read kr li..lol
bato ji mazza aya?

mere khayal se aap logon k replies kisi k lie mufeed sabit ho sakte hain.jo net pr itni serious ho jati/jate hain k onhe hi apna sab kuch samjhne lag jate hain.wohi aapka pyar,wohi sab kuch ho jata h.aur is kadar net ki donya me behk jate hain k onhe pta bhi nahi chalta k wo jhot bhi bol jate hain.to plz net pr jo hota h ose serious na lein aur apne ghar ko ghar karein.

ye na ho k aap itna serious le lein k aap ki jhoti bimari aap ki zindagi ka roug ban jae.ok ji?

Dip uncle:
main aap ka dukh samjh sakti hon.aaj meri waja se aap apna dukh bhi share kr sake.kehte hain k dukh bantne se kamm hota hai.to main aap ko yehi kahon gi k dil pr n lein.apko apki taqat wapis mil jae gi.
lekin haan ye mat sochna ghalati se bhi k mai ab wo nahi rahi.ye aapki ghalat fehmi ho sakti hai.balke itna zaror kahon gi k meri tarraqi zaror hoi kami nahi.

Beeji:

haan main bhi soch rahi hon k ye mods kitne chote dil-o-dimagh k hain k bas hr aik ko notes dete rehte hain.mojhe in baton se aitraz nahi mojhe aitraz hai to is trha buzdilana harkat se.agar yehi sari batein wo apni id se reply krte hoe likhti/likhte to mojhe khoshi hoti.
Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 45  Post: 2869  Age:  34  
Posted on:12th Jun 2011, 7:38am
 

mujy q dukh hony laga

re "balke itna zaror kahon gi k meri tarraqi zaror hoi kami nahi."

hahahah kisi aur moderator members ki powers use kar k yeh kehna k taraqqi ho gayee hay kaisi kamal ki baat lagti hay ...barri taraqqi ey g ...wah wah


har khabar par nazar .....express news ...
~~HITMAN~~ Group: Members  Joined: 09th May, 2011  Topic: 122  Post: 4287  Age:  26  
Posted on:12th Jun 2011, 11:00pm
 

@|~ MyRizvI

buhut hi barhiya baat ki hai appne....full time agreed.
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 99  Post: 5095  Age:   
Posted on:12th Jun 2011, 11:08pm
 

HITMAN

amaaN kahaaN ghaib ho ... baray din baad "nazar" aa.ay, Allah nazray bad say bachaa.ay (lo maiN apni aankhaiN band kiyeh letaa houN) lol aatay jatay rahaa karo, jab kabhi fursat milay...
alirajput Group: Members  Joined: 14th Aug, 2011  Topic: 21  Post: 2293  Age:   
Posted on:21st Oct 2011, 8:49pm
 

Please restore all deleted posts and threads...

tab nahin kia kuch Senior Moderators ne, toh ab kyun karenge.


Veer Group: Members  Joined: 12th Oct, 2011  Topic: 81  Post: 4448  Age:  28  
Posted on:28th Oct 2011, 11:10pm
 

please block to him

ny moderator or admin please block to legand

He is still use abusing word again and again.please block him
1 2 3>>
 
 
 
Erectile Dysfuncion
ED causes
Male Menopause
Male Menopause – Myth About Male Menopause
Health Advice From China
Male Sexual Health Advice From China
Food For Male Libido
Male Libido - Foods to Increase Male Libido Naturally

Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.

© Copyright 2003-2017 www.forum.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact Us