|
|
sharifadmi
|
Group: Members Joined: 29th Nov, 2010 Topic: 1 Post: 1 Age:
33
|
|
Posted on:29th Nov 2010, 12:40am |
|
|
Kya Husband Ke Liye Khana Pakana Bivi Ka Farz Hai?
Kia husband ke liye khana pkana biwi ka farz hai? Is swal ka jawab islamic point of veiw se chahye (with proves from Quran & Hadith). Jazak Allah
|
s4u
|
Group: Members Joined: 18th Mar, 2011 Topic: 99 Post: 5397 Age:
|
|
Posted on:30th Nov 2010, 1:36am |
|
|
kia khana paka k khilana bivi ka farz hai?
ye kesa sawal hai?har biwi apne khawand k lie khana bnati h.os ki ghair mojdgi me os k ghar ka khayal rakhti h.os ki chezon ka,os k bachon ka.aur jahan tak khana banane ki bat hai k ye farz hai ya nahi to mojhe is ka theik se nahi pta.lekin agar ye farz nahi bhi hai to biwi ko chahiye k wo khana bnae
|
Maryam
|
Group: Members Joined: 17th May, 2008 Topic: 27 Post: 4625 Age:
29
|
|
Posted on:30th Nov 2010, 2:34am |
|
|
khana pakana aur bivi ka farz
jis tarah shohar ka yeh farz hae k woh kama kar laye aur apnay biwi bachoN ki zarooriyat ka khayal rakhay isi tarah biwi ka bhi farz hae k woh apnay shohar aur bachoN ki zarooriyat ka khayal rakhay. kyuN k shadi k baad shohar ka ghar aur shohar k bachay nahi balkay shohar se related har shaii apni hae .wese aap k sawal ka background kiya hae ? kyuN k shohar k khanay k liye banana aur shohar k liye pooray khandan k liye bananay meiN farq hae.
Diplomate biwi ke faraiz aur khana banana
hasna agar bv ko khana bnana nhi aye to shohar ko chhahiye k bv k sath sath ek bawarchan b rkh le.
agar B.V ko khana banana hi na ata ho to phir..?..:) |
Raja Taqi
|
Group: Members Joined: 17th Sep, 2010 Topic: 31 Post: 1981 Age:
47
|
|
Posted on:1st Dec 2010, 9:23am |
|
|
shohar ke liye khana banana aur bivi ka farz
shohar k liye banana aur bv k liye khana 2no mushkil kaam hein yehni shohar khana bana nahi sakta ur bv uss k hath ka bana kha nahi sakti ..lehaza 2no ko bahmi tfaq-e-raye se banana chahiye khana..
|
Maryam
|
Group: Members Joined: 17th May, 2008 Topic: 27 Post: 4625 Age:
29
|
|
Posted on:1st Dec 2010, 9:36am |
|
|
Biwi ko khana pakana nahi ata to phir ?
khana pakana bivi ka akhlaqi farz hae farz e ain nahi isliye agar usay khana pakana nahi ata to shohar us pe sakhti nahi kar sakta. isi tarah shohar k baqi kaam bhi bivi pe farz nahi lekin agar naik shuaar bivi apnay shohar ka khayal karti hae aur us k kaam khud sar anjaam deti hae to shohar ko us ka mashkoor hona chahiye. umeed hae shohar hazraat is baat ko ba.asaani hazam kar laiN.ge.
Raja Taqi agar bivi ko khana pakana nahi aata hudd he... ye bivi he ya Naib Nazim agar bivi ko khana pakana nahi ata
to wo shohar k haan lainy kiya aee he shohar ne uss ka qarza daina he...
|
Maryam
|
Group: Members Joined: 17th May, 2008 Topic: 27 Post: 4625 Age:
29
|
|
Posted on:1st Dec 2010, 1:52pm |
|
|
biwi shohar ke ghar per khana pakane nahi aati
ji islam meiN bivi ka rutba naib nazim se zyada hae yani wazeer ka . aur shohar k paas woh khana pakanay nahi ati shohar ko khana maaN bhi paka deti hae:)bivi us ki saltanat sanbhalnay ati hae aur us ki ri.aaya ki afzaish aur achi tarbiyat k liye.
|
Bewaqoof
|
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 262 Post: 4419 Age:
38
|
|
Posted on:5th Dec 2013, 4:00pm |
|
|
kya khana pakana bivi ka farz hai shaadi mei aurat per sirf azdawaji haqooq ada kerna zaroori hai. iss ke ilawah aur koi cheez zaroori nahi. nan-nufqa shohar ki zimmadari hai, lehaza woh chahay tu khood paka ker khilaye ya hotel se la ker paish karay yeh shohar ki zimmadari hai wife ki nahi.
lekin mia bivi aik cycle ke two wheel hotay hai, iss liye dono mil ker smooth life guzarne ke liye zindagi ke kuch asool bana letay hai aur os asool ke mutabiq mard ghar se bahir jaa ker kamata hai aur aurat ghar ke andar reh ker ghar aur bachcha sanbhalti hai, aur isi zimmadari ke tehat woh khana bhi pakati hai.
khana pakana aurat per lazmi nahi, lekin agar mard ghar se bahir nokri bhi karay tu phir os ke liye khana pakana mushkil hai, aur phir jab woh waqt per khana na paka sakay tu lazmi si baat hai keh bivi ko bhi bhooka rehna hoga. isi tarah agar hotel se khana laana shuru kya tu poori tankhah hotel ke khane mei bhi kharch ho jai gi aur hotel ka khana har aik ke bas ki baat bhi nahi.
mukhtasir baat yeh huyee keh aurat per khana pakana lazim nahi, lekin aik khooshgawar aur smooth life ke liye aurat khana pakati hai aur mard ghar se bahir jaa ker kaam kerta hai.
|
myrizvi
|
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 127 Post: 7571 Age:
54
|
|
Posted on:6th Dec 2013, 11:32pm |
|
|
misconception
yeh baat etni zeyadah tawatar say phailayee gayee hai k biwi par azdawaji faraiz k elawah koi farz nahi hai... k ab deendaar khawateen bhi issi khayaal ki haami nazar aati haiN ... bawi nah howi xyz hogayee k mard say naan nufqah lay kar oski zeray shikam zarooriyaat poori karti rahay iss say aagay kuch nah karay.
alamia yeh hai k yehi baat bahoot say (so called) oelmaa e karaam bhi kartay howay nazar aatay haiN... iss waqt mujhay aallama tahirul qaadri yaad aaga.ay jinhouN nay haal hi maiN khawateen k aik ijtemaa say khataab kartay howay yehi baat ki.
dekhna yeh hai quran o hadees iss baray maiN kia kahta hai... aur quran o hadees k concept ko sahaabiaat RA nay ki amali shakal di. kia quran yaa hadees maiN kaheeN likha howa hai k biwi par aik kaam k elawah koi farz nahi hai. nahi aisa nahi hai balkay hamaiN yeh milta hai k donouN par rewaaj k motaabiq haqooq o faraiz aayad hotay haiN... khawateen azal say gharelu zimmah daariyaaN adaa karti chali aayeeN haiN aur mard sada sayghar k naan nufqay k liyeh kamata raha hai... taaham donouN aik doosray ki help bhi kartay rahay haiN, jahaaz jahaaN aik doosray ko zaroorat ho
kia kissi sahabia RA nay kabhi yeh kahaa k ghar k kaam karna onka farz nahi balkay ehsaan hai. saahabiat RA nay to apnay haqooq k liyeh Nabi kareem saw aur khalifah e waqt k saamnay bhi aan khaRi hojati thee... lekin aisa koi misaal nahi milti k kissi khatoon nay ghar k kaam kaaj k sisliah maiN yeh point oTaya ho...
misalaiN: 1.aik martabah aik sahabia RA hazoor ki khidmat maiN haazir howi aur kahaa k meray walid nay mera nikaah meri marzi maloom kiyeh beghair kardia hai. jabkay mera yeh haq thaa k mujh say poocha jataa... Nabi kareem saw nay iss nikaah ko fasakh karnay k iraday ka elaan kia to sahabia nay arz kia k ap saw nay mera haq tasleem karlia. ab maiN iss nikaah ko tasleem krati houN.
2. khalifah waqt hazrat omar farooq RA nay aik martabah kahaa k maiN mahar ki aik limit moqar.rar karna chaahta houN... iss par aik khatoon khaRi hogayee aur yeh kahaa k apko yeh haq kiss nay dia hai... jab Allah aur Allah k Rasool nay aisi koi limit moqar.rar nahi ki to a kaun hotay haiN aisa karnay walay... hazrat omar farooq RA nay apni ghalati tasleem karli
3. aik martabah hazrat fatima aur hazrat Ali RA k darmayan ghar k kaam kaaj k silsilah maiN koi tanazeaa khaRa hogaya to donouN Nabi kareem saw k darbaar maiN haazir howay aur faislah chaaha... Nabi saw nay farmaya Ali RA ghar k bahar k kaam karengay aur Fatima RA ghar k ander k kaam karengi. donouN nay iss taqseemay kaar ko accept kia ... yehi woh ideal taqseemay kaar hai miyaaN biwi k darmayan k ghar k ander k kaam biwi ka farz aur bahar k kaam husband ka farz
iss faraiz ki taqseem k baad bhi ham dekhtay haiN k deger sahabah RA k elawah khood Nabi kareem saw faarigh waqt maiN bah khooshi gharelu kaam bhi karlia kartay thay aur aksar sahabiaat RA bah khooshi ghar say bahar maweshi charanay, maweshi ka chara laanay, paani laanay jasay out door kaam bhi karlia karti theeN, jo onkay faraiz maiN shamil nah thay.
Allah tamam muslim men aur women ko quran o hadees ki rooh k ain motabaiq aur dauray resaalat o sahabah RA k amali namoonouN k motabiq imaan rakhnay aur amal karnay ki taufeeq day aameen summa aameen
wallaho aalam bissawab
|
Gone123
|
Group: Members Joined: 22nd Oct, 2013 Topic: 0 Post: 145 Age:
36
|
|
Posted on:7th Dec 2013, 11:40pm |
|
|
Khana Pakana Aurat Ke Zimadari Hai
Ajeeb Soch Hai Yeh Bohat Ajeeb sa sawal Hai. Her aurat apnay husband Ka her kaam kerti hai or yeh uski zeemaydaari b hai aisa kerna. Husband Ky liyaa khana pakana,kapray dhona or uskay her is kisam ky kaam kerna wife ki zemaydari Hai.
|
Maryam
|
Group: Members Joined: 17th May, 2008 Topic: 27 Post: 4625 Age:
29
|
|
Posted on:11th Dec 2013, 1:39pm |
|
|
Bivi k faraiz koi bhi aurat jiss ka shohar bhi ho aur bach.chay bhi woh un ki tamam zarooriyat ka khayal rakhti hae . aurat k liye duniya maiN sab se khoobsurat amal maaN ban.na hae. aur sab se zyadah taskeen ussay apnay bach.chay ki bhook miTa kar hoti hae. lekin Quran e pak maiN hae k agar bivi shohar se bach.chay ko feed karanay ki ujrat talab karay to shohar apni hesiyat k mutabiq ussay de.
Arab muashray maiN doodh pilanay wali mayeN bhi ujrat par milti theiN. khud Nabi Pak Sallalaho alehay wassallam ne Dai Haleema k doodh par parwarish pai.
jab aisa amal k jiss maiN har lehaz se taskeen aurat ki hae uss k liye bhi woh apnay shohar se ujrat bhi talab kar sakti hae aur chahay to bach.chay ko doodh pilanay k liye kissi aur k sapurd bhi kar sakti hae ( agar us ka shohar afford kar sakay to ) phir baqi sab muamlaat to bohat peechay reh jatay haiN.
jahaN Allah pak ne aurat ko asaani di hae wahaN ussay admit karna chahiye :) olema karam bhi dartay Dartay hi aisi koi baat batatay haiN warnah woh jantay haiN k aurtaiN issay bahanah bana kar shohar ko tang karaiNgi.
aik misaal aur k shohar apnay waaldain ka zimmadaar khud hae. bahoo par farz nahi k woh apnay saas susar ki khidmat karay lekin agar woh aisa karti hae to uss k liye ajar bhi hae.
asaani ko asaani k hawalay se hi lena chahiye doosre k liye mushkil bananay k hawalay se nahi. like aurtaiN ghar ka koi kaam na karaiN k un par farz nahi ya phir mard k ghar walay aurat par farz qarar dekar ussay ghar ki maid bana laiN.
wallah o aalam |
myrizvi
|
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 127 Post: 7571 Age:
54
|
|
Posted on:11th Dec 2013, 9:53pm |
|
|
doodh pilanay ki ujrat please read that ayaat carefully again. mera khayaal hai k mutleqah aurat hi bachay ko doodh pilanay ki ujrat talab karsakti hai. kiyouN kay bachay baap ki zimmah daari haiN, maaN ki nahi ... lehaza agar doodh peetay bachay ki maaN ko talaaq hojaa.ay to woh bachay ka kharchah (doodh pilanay ki ujrat) bachay k baap sy talab karsakti hai. islamic history say aisi koi misaal pesh nahi ki jasakti jab kissi sagi mother nay apnay husband say bachay ko doodh pilanay ki ujrat li ho ya maangi ho ... razayee maaN ki baat aur hai. yeh to oska peshaa hai... jaisay doosrouN k bachouN ki dekh bhaal ki ujrat li jasakti hai, issi tarah ossay doodh pilanay ki ujrat bhi li jasakti hai. iss maiN KOI MOZAIQAH NAHI HAI.
IT IS TRUE K bahoo par susraliyouN ki khidmat farz nahi hai... shauher apnay waledain ki dekh bhaal ka khud zimmah dara hai ... lekin iss thread maiN to susraliyouN say aagay baRh kar yeh kaha gaya hai k biwi par shauher ki khidmat bhi farz nahi hai ... shauher aur oskay kids k liyeh khan pakana, kapray dhona, ghar ki safayee soth.raayee ... kia yeh husband ki khidmat k zimray maiN nahi aati???
ommahatul momeneen aur deger sahabiyaat ki seerat ko paRhiyeh aur ykaheeN say yeh dhoonD kar batlaaiyyeh k yeh azeem khawateen ghar k kaam nahi karti theeN yaa inhouN nay ghar k kamouN ki ujrat talab ki thee, yaa issay apna farz jaan kar nahi balkay ehsaan jaan kar kia thaa... hamaray liyeh sanad aaj k molvi nahi jo apnay apnay maslaki /jamati mafadaat k liyeh aurtouN ko gomraah karnay par tol gaye haiN, yeh kah kar k biwi par gharelu kaam farz nahi haiN balkay yeh oska ehsaan hai... deendar sa deendaar family k ander koi biwi tajarbaati taur par sirf 1 month yeh EHSAAN nah karkay iska RESULT dekh lay. agar koi ruling /fatwa qaabilay amal hi nah ho to iski authenticity waisay hi mashkook hojati hai |
myrizvi
|
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 127 Post: 7571 Age:
54
|
|
Posted on:11th Dec 2013, 9:58pm |
|
|
soorat talaaq
سُوۡرَةُ الطّلاَق
أَسۡكِنُوهُنَّ مِنۡ حَيۡثُ سَكَنتُم مِّن وُجۡدِكُمۡ وَلَا تُضَآرُّوهُنَّ لِتُضَيِّقُواْ عَلَيۡہِنَّۚ وَإِن كُنَّ أُوْلَـٰتِ حَمۡلٍ۬ فَأَنفِقُواْ عَلَيۡہِنَّ حَتَّىٰ يَضَعۡنَ حَمۡلَهُنَّۚ فَإِنۡ أَرۡضَعۡنَ لَكُمۡ فَـَٔاتُوهُنَّ أُجُورَهُنَّۖ وَأۡتَمِرُواْ بَيۡنَكُم بِمَعۡرُوفٍ۬ۖ وَإِن تَعَاسَرۡتُمۡ فَسَتُرۡضِعُ لَهُ ۥۤ أُخۡرَىٰ (٦) لِيُنفِقۡ ذُو سَعَةٍ۬ مِّن سَعَتِهِۦۖ وَمَن قُدِرَ عَلَيۡهِ رِزۡقُهُ ۥ فَلۡيُنفِقۡ مِمَّآ ءَاتَٮٰهُ ٱللَّهُۚ لَا يُكَلِّفُ ٱللَّهُ نَفۡسًا إِلَّا مَآ ءَاتَٮٰهَاۚ سَيَجۡعَلُ ٱللَّهُ بَعۡدَ عُسۡرٍ۬ يُسۡرً۬ا (٧)
طلاق دی ہوئی عورتوں کو وہیں رکھو جہاں تم اپنے مقدور کے موافق رہتے ہو اورانہیں ایذا نہ دو انہیں تنگ کرنے کے لیے اور اگر وہ حاملہ ہوں تو انہیں نان ونفقہ دو جب تک وہ وضع حمل کریں پس اگر پلائيں دودھ تمہارے لیے تو دو ان کو ان کی اجرت دو اور آپس میں دستور کے مطابق مشورہ کر لو اور اگر تم آپس میں تنگی کرو تو اس کے لیے دوسری عورت دودھ پلائے گی (۶) مقدور والا اپنے مقدور کے موافق خرچ کرے اور اگر تنگ دست ہو تو جو کچھ الله نے اسے دیا ہے اس میں سے خرچ کرے الله کسی کو تکلیف نہیں دیتا مگر اسی قدر جو اسے دے رکھا ہے عنقریب الله تنگی کے بعد آسانی کر دے گا (۷) |
Maryam
|
Group: Members Joined: 17th May, 2008 Topic: 27 Post: 4625 Age:
29
|
|
Posted on:12th Dec 2013, 11:01pm |
|
|
Re :- 1- Olema karam k haq honay ka barometer kiya hae ?
2- farz ka matlab kiya hae aur farz ki adayegi na ki jaye to nuqsan ya saza kiya hae ?
3- jab aurtaiN khud doodh pila sakti theiN phir bach.choN ko ujrat dekar doodh pilanay wali maoN k hawalay kyuN kiya jata tha. does Islam still allow this act ?
i think in jawabat k baad koi na koi clear hojayega insha Allah :) jaisa k Islam mard ko 4 shadiyoN ki ijazat deta hae . go k har mard 4 shadiyaN nahi karta lekin woh issay defend zaroor karta hae, logics bhi deta hae aur us ki deen.daari par koi aanch bhi nahi ati :) so on n on ...........
|
myrizvi
|
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 127 Post: 7571 Age:
54
|
|
Posted on:12th Dec 2013, 12:19pm |
|
|
Re
1- Olema karam k haq honay ka barometer kiya hae ?
A: yeh yaad rakhiyeh k koi bhi aalimay deen 100% durust nahi hosakta. aur nah hi koi aalimay deen 100% ghalat hosakta hai ... olemaa.ay haq aisay olemaa kahlaatay haiN jinki majmoyee roy quran+sahih hadees+ajmaa.ay ummat k khelaaf nah ho ... olemaa.ay haq maiN say honay ka yeh matlab hargiz nahi k insay khataa /ghalati ka imkaan bhi nah ho ... charouN baray imaams nay bhi wazah taur par kaha hai k agar meri koi roy quran o hadees k khelaaf nazar aa.ay ossay phaink do... maktabah e.deuband say wabistah aik women magazine maiN yeh fatwa paRh kar maiN hairaan rah gayaa... k mard par biwi ka elaaj mo'aaljah farz nahi hai nah hi wajib hai ... elawah azeeN aurat k naan nufqah maiN zananah araishe husn k samaan (like surmah, mehandi etc ... => jadeed makeup ) shamil nahi hai. hon karlo gal ... maiN nay to yeh fatwa apni begum ko dikhla kar kah dia hai k ajkay baad say tomhara elaaj moaaljah meri zimmah daari nahi hai :)
2- farz ka matlab kiya hae aur farz ki adayegi na ki jaye to nuqsan ya saza kiya hae ?
A; farz woh kaam /amal hai jo quran ya hadees ki roo say karna laazim hai. nah karnay wala gonah.gaar hogaa aur inkar karnay wala ... i think k dairah islam say kharij hojayega.
3- jab aurtaiN khud doodh pila sakti theiN phir bach.choN ko ujrat dekar doodh pilanay wali maoN k hawalay kyuN kiya jata tha. does Islam still allow this act ?
A: yeh to wohi baat hogi k jab biwiyaaN ghar k saray kaam (100% indoor kaam) karsakti haiN to inhaiN khadimah /maasi laa kar denay ki kia zaroorat hai ... jab biwi haath say kapray dho sakti hai to washing machine aur haath say selayee karsakti hai to silayee mchine denay ki kia zaroorat hai... aurat apni sahoolat k liyeh apnay khawand say sab kuch maang sakti hai. aur khawand apni iste'taa'at k motaabiq api biwi ko malekah aur shahzaadi banaa kar bhi rakh sakta hai. biwi apnay husband ki hasiyat say zeyadah demnad nahi karsakti... aaj bhi mard apnay bachouN ko kissi aur say doodh pilwa sakta hai... pahlay bhi saray makki /madani log apnay bachouN ko doosrouN say doodh nahi pilwaya kartay thay... yeh to sirf saahibay hasiyat /elite class k logouN ka culture thaa ... aaj bhi agar kissi erea maiN koi aisa culture hai jo islam k against nahi to ossay husband -wife apna saktay haiN. aaj bhi agar koi mother kissi wajah say apnay bachay ko doodh nahi pila sakti /nahi pilana chaahti to baap alternate intezaam to karta hi hai... khaah feeder say doodh pilwanay ka intezaam karay yaa kissi aur lady say ... jo ajkal kam kam hi milti haiN
wallaho aalam bissawab
|
myrizvi
|
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 127 Post: 7571 Age:
54
|
|
Posted on:12th Dec 2013, 9:11pm |
|
|
FARZ and HARAAM in Islam
شریعت اسلامی کی اصطلاح میں فرض وہ حکم شرعی ہوتا جو دلیل قطعی (قرآنی حکم اور حدیث متواتر) سے ثابت ہو، یعنی ایسی دلیل جس میں شبہ کی کوئی گنجائش نہ ہو۔ مثلا نماز، روزہ، حج اور زکوٰۃ۔ وہ بنیادی ارکان ہیں جن کا ادا کرنا ہر مسلمان کے لئے ضروری ہے اور ادا کرنے والا ثواب کا مستحق ہوتا ہے۔
اسلامی فقہ میں فرض کی اصطلاح حرام کے بالعکس ہے۔ اگر کوئی مسلمان ان کی فرضیت کا انکار کرے تو وہ کافر ہو جاتا ہے جبکہ بلا شرعی عذر ترک کرنے والا فاسق اور سزا کا مستحق ہوتا ہے۔
فرض کی دو قسم ہے فرض کفایہ۔ جس میں عامل کے بجائے عمل مطلوب ہوتا ہے، اگر کسی کے جانب سے یہ فرض ادا ہو جائے تو سب کے ذمہ سے عمل کی فرضیت ساقط ہو جاتی ہے۔ جیسے: نماز جنازہ، امر بالمعروف، علوم شرعیہ کا حصول وغیرہ۔
فرض عین۔ جس میں عامل مطلوب ہوتا ہے۔ جیسے: پانچ وقت کی نماز، روزہ، استطاعت رکھنے والوں پر زکوۃ اور حج وغیرہ۔
|
myrizvi
|
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 127 Post: 7571 Age:
54
|
|
Posted on:12th Dec 2013, 9:26pm |
|
|
Biwi k faraiz
بسم اللہ الرحمن الرحیم ازدواجی زندگی میں بیوی کے فرائض اور شوہر کے حقوق نحمدہ ونصلی علی رسولہ الکریم ۔اما بعد قال اللہ تعالیٰ اَلرِّجَالُ قَوّٰمُوْنَ عَلَی النِّسَآئِ بِمَا فَضَّلَ اللّٰہُ بَعْضَھُمْ عَلٰی بَعْضٍ وَّبِمَآ اَنْفَقُوْا مِنْ اَمْوَالِھِمْ ط فَالصّٰلِحٰتُ قٰنِتٰت'' حٰفِظٰت'' لِّلْغَیْبِ بِمَا حَفِظَ اللّٰہُ ط(سورہ نساء :۳۴ ۔اللہ اور اللہ کے رسول ﷺ کی تعلیم کا خلاصہ یہ ہے کہ ہر شخص اپنے فرائض کی ادائیگی کی طرف توجہ کرے اگر ہر شخص اپنے فرائض ادا کرنے لگے تو سب کے حقوق ادا ہوجائیں شوہر اگر اپنے فرائض ادا کرے تو بیوی کے حقوق ادا ہو گئے اور بیوی اپنے فرائض ادا کرے تو شوہر کا حق ادا ہو گیا ۔شریعت کا اصل مطالبہ یہی ہے کہ تم اپنے فرائض ادا کرنے کی فکر کرو۔
٭زندگی استوار کر نے کا طریقہ: تو میاں بیوی کے باہمی تعلقات میں بھی اللہ اوراللہ کے رسول ﷺ نے یہی طریقہ اختیار کیا کہ دونوں کو ان کے فرائض بتادیئے ۔ شوہر کو بتا دیا کہ تیرے فرائض یہ ہیں اور بیوی کو بتا دیا کہ تیرے فرائض یہ ہیں ۔ ہر ایک اپنے فرائض ادا کرنے کی فکر کرے اور درحقیقت زندگی کی گاڑی اسی طرح چلتی ہے ۔کہ دونوں اپنے فرائض کا احساس کریں اپنے حقوق حاصل کرنے کی اتنی فکر نہ ہو جتنی دوسرے کےحقوق کی ادا ئیگی کی فکر ہو اگر یہ جذبہ پیدا ہو جائے تو پھر یہ زندگی استوار ہو جاتی ہے ،اگر انسان ان پر عمل کر لے تو دنیا بھی درست ہوجائے اور آخرت بھی درست ہو جائے ۔
زندگی کے سفرکا امیر کون ہو؟ اب دو راستے ہیں یا تو مرد کو اس زندگی کے سفر کا امیر بنا دیا جا ئے ، یا عورت کو امیر بنا دیا جائے اور مرد کو اس کا محکوم بنا دیا جائے تیسرا کوئی راستہ نہیں ہے ،اب انسانی خلقت ، فطرت ، قوت اور صلاحیتوں کے لحاظ سے بھی اور عقل کے ذریعے انسان غور کرے تویہی نظر آئیگا کہ اللہ تعالیٰ نے جو قوت وطاقت مرد کو عطا کی ہے ، بڑے بڑے کام کرنے کی جو صلاحیت مرد کو عطا فر مائی ہے وہ عورت کو عطا نہیں کی ۔ لہٰذا اس امارت اور سربراہی کا کام صحیح طور پر مرد ہی انجام دے سکتا ہے اور اس کے لئے اپنی عقل سے فیصلہ کرنے کی بجائے اس ذات سے پو چھا جائے جس نے ان دونوں کو بنایا اور پیدا کیا کہ آپ نے دونوں کو سفر پر روانہ کیا آپ ہی بتائیں کہ کس کو امیر بنائیں اور کس کو مامور بنائیں ؟ اور سوائے اس فیصلے کے کسی اور کا فیصلہ قابل قبول نہیں ہو سکتا خواہ وہ فیصلہ عقلی دلائل سے آراستہ ہو ۔اور اللہ تعالیٰ نے فیصلہ فر مادیا کہ اس زندگی کے سفر کو طے کر نے کیلئے مرد قوام اور منتظم ہیں اگر تم اس فیصلے کو صحیح جانتے ہو اور مانتے ہو تو اسی میں تمہاری کامیابی اور سعادت ہے اور اگر نہیں مانتے بلکہ اس فیصلے کی خلاف ورزی کرتے ہو اور اس کے ساتھ بغاوت کرتے ہو تو پھر تم جانو تمہارا کام اور تمہاری زندگی جانے تمہاری زندگی خراب ہوگی اور ہو رہی ہے جن لوگوں نے اس فیصلے کے خلاف بغاوت کی ان کا انجام دیکھ لیجئے کہ کیا ہوا؟ ۔
٭ عورت کی ذمہ داریاں: جب یہ بات معلوم ہوگئی کہ مرد قوّام اور منتظم ہے اور گھر کا سربراہ ہے تو عورت کیلئے لازم ہے کہ وہ اپنے شوہر کی تعظیم وتکریم کرے اس کو اپنا بڑا خیال کرے اور اس کی عظمت وحر مت کا پا س رکھے چونکہ اس آیت میں جو اوپر مذکور ہے اس میں شوہر کی عظمت وحرمت بیان کی گئی ہے اَلرِّجَالُ قَوَّامُوْنَ عَلیٰ النِّسَائِ کہ مرد حاکم ہیں عورتوں پر پھر اس کی دو وجہیں بیان فر مائیں ایک یہ کہ اللہ نے مردوں کو عورتوں پر فضیلت دی ہے کہ عورتوں کے مقابلے میں مردوں میں عقل وقوت زیادہ ہوتی ہے اور دوسری وجہ یہ کہ مرد عورتوں پر اپنا مال خرچ کرتے ہیں ۔ حدیث میں ہے کہ یہ آیت سعد بن ربیعؓ کی عورت حبیبہ بنت زیدؓ کے بارے میں نازل ہوئی جبکہ سعدؓ نے اپنی بیوی کو اس کی نافر مانی پر ایک طمانچہ رسید کر دیا تھا تو اس کے والد نے حضور پاک ﷺ سے شکایت کی تو اللہ کے رسول ﷺ نے فرمایا کہ تو بھی اپنے شوہر کے ایک طمانچہ رسید کردے اور بدلہ لے لے جب یہ باپ اور بیٹی بدلہ لینے کیلئے چلے تو اسی وقت حضرت جبرئیل علیہ السلام یہ آیت لے کر نازل ہوئے آپﷺ نے ان سے فر مایا کہ واپس آجاؤ یہ دیکھو ! میرے پاس جبرئیل علیہ السلام آئے ہیں اور یہ آیت سنا کر اللہ کے نبی علیہ السلام نے فر مایا کہ ہم نے ایک ارادہ کیا اور اللہ نے دوسرا ارادہ کیا ۔اور ایک روایت میں ہے کہ آپ ﷺ نے فرمایا کہ میں نے ایک بات کا ارادہ کیا اور اللہ نے ایک بات کا ارادہ کیا اور اللہ نے جو ارادہ کیا وہی خیر ہے ( قرطبی ۵؍ ۱۶۸ روح المعانی ۵؍۲۳
٭عورت کیلئے شوہر کا مقام: اس آیت اور اس کے شان نزول سے معلوم ہوا کہ مرد ( شوہر) کا اللہ ورسول کی نظر میں کیا مقام ومرتبہ ہے بہر حال عورت پر مرد کے بہت سارے حقوق ہیںاسی بنا پر شوہر کو عورت کا مجازی خدا قرار دیا گیا ہے ۔ حدیث میں ارشاد فر ماگیا ہے اگر اللہ کے علاوہ کسی اور کیلئے میں سجدہ کا حکم دیتا تو میں عورت کو حکم دیتا کہ وہ اپنے شوہر کو سجدہ کرے بوجہ اس حق کے جو اللہ نے ان مردوں کا عورتوں پر لکھا ہے ( ابو داؤد ۱؍ ۲۹۱) اندازہ کیجئے کہ رسول اللہ ﷺ نے مرد کا کتنا اونچا مقام ومرتبہ بتایا ہے کہ اللہ کے سوا کسی اور کو سجدہ کی اجازت ہوتی تو عورت کو حکم ہوتا کہ وہ مرد کو سجدہ کرے لہٰذا عورت کو چاہئے کہ وہ مرد کی عظمت کو مد نظر رکھتے ہوئے اس کے ساتھ زندگی گزارے ۔آج کی عورتوں نے یورپ وامریکہ کی تقلید میں شوہر کی عظمت وحرمت کا پاس وخیال ہی چھوڑ دیا ہے اور مساوات مساوات کا کھو کھلا نعرہ لگا کر اسلام کی اس تعلیم کے خلاف چلنا شروع کر دیا ہے ۔ مگر یاد رکھو کہ اسلام سے زیادہ مساوات کا سبق دینے والا کوئی نہیں ہو سکتا ۔ مگر مساوات کا یہ مطلب لینا با لکل عقل وفطرت کے خلاف ہے کہ کسی کی عظمت وحرمت کا پاس ولحاظ نہ رکھا جائے ۔ کیا کوئی شخص تمام انسانوں کے بحیثیت انسان مساوی اور برابر ہونے کا یہ مطلب نکال سکتا ہے کہ کوئی بڑا اور چھوٹا نہیں باپ اور بیٹے کا ہر اعتبار سے ایک ہی مرتبہ ہے استاذوشاگرد میں کوئی تفاضل نہیںاور حاکم ورعایا سب ایک ہی مرتبہ کے ہیں ؟ ظاہر ہے کہ مساوات کا یہ معنی ہر گز قابل قبول نہ ہوگا ۔اسی طرح مرد اور عورت کی مساوات کا یہ مطلب نہیں ہے اور نہ ہو سکتا ہے کہ دونوں میں کسی بھی اعتبار سے کوئی فرق نہیں اور شوہر کوکسی بھی اعتبار سے تفوق نہیں ۔ غرض یہ کہ اسلام میں شوہر کو ایک عظمت وبلندی ومرتبہ حاصل ہے اور عورت پر لازم ہے کہ اس کا لحاظ رکھے۔ حضرت عائشہ ؓ فر ماتی ہیں کہ اے عورتو ! اگر تم کو معلوم ہو جائے کہ تماہرے مردوں کا تم پر کیا حق ہے تو تم اپنے شوہروں کے قدموں کی غبار ودھول کو اپنے گالوں سے صاف کر وگی ( الکبائر للذھبی ص ۱۷۴) ایک حدیث میں جس کو حاکم نے صحیح قرار دیا ہے اور احمد نسأئی نے روایت کیا ہے اس میں آیا ہے کہ رسول اللہ ﷺ سے حضرت عائشہ صدیقہ ؓ نے پو چھا کہ عورت پر سب سے بڑا حق کس کا ہے ؟ آپ ﷺ نے فرمایا کہ اس کے شوہر کا ( فتح الباری ۱۰؍ ۴۰۲) ۔ایک اور روایت میں حضرت عائشہؓ سے مروی ہے کہ رسول اللہ ﷺ نے فرمایا کہ عورت پر سب سے زیادہ حق اس کے شوہرکا ہے اور مرد پر سب سے زیادہ حق اس کی ماں کا ہے ۔( جمع الفوائد
بیوی پر شوہر کے اس قدر حقوق عائد ہوتے ہیں کہ ان کی ادائیگی کے بغیر اس کی عبادت وبندگی بھی ناقص رہے گی ــــ"لَاتُؤَدِّی الْمَرْأَۃُ حَقَّ رَبِّھَا حَتَّی تُؤَدِّی حَقَّ زَوْجِھَا " رسول اللہ ﷺ نے فر مایا کہ عورت جب تک اپنے شوہر کا حق ادا نہ کرے وہ اپنے رب کا حق بھی ادا نہیں کر نہیں کر سکتی
|
myrizvi
|
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 127 Post: 7571 Age:
54
|
|
Posted on:12th Dec 2013, 9:48pm |
|
|
gharelu kaam farz hai, farzay ain nahi gharelu kaam karna aurat par farz zaroor hai lekin farzay ain nahi, (farz namaaz rozah ki tarah) ... balkay yeh mislay farzay kifayah hai k khaah woh khud apnay haathouN say karay yaa oski taraf say koi aur karday... yaa woh kissi aur say karwalay yaa oskay maikah /susraal walouN maiN say koi bhi oskay gharelu kaamouN ko anjaam denay ka intezaam karday (molaazim yaa jadeed machines ki madad say)... to aurat ki taraf say yeh zimmah daari /farz adaa hojayega... bah shartekay gharelu kaamouN ki adaegi k tareeqay ghair islami nah houN aur shauher ki mansha o marzi k khelaaf walay nah houN
|
alone but happy
|
Group: Members Joined: 10th Dec, 2012 Topic: 8 Post: 587 Age:
21
|
|
Posted on:12th Dec 2013, 10:24pm |
|
|
Biwi k fariz Myrzvi sahib MashaALLAH well well said .
ALLAH PAAK meri or jis ne ye coments likha ha us ki madad kary |
|
|
|
For More Detail Click On Page No: 1 |
|