Soviet War In Afghanistan first world war se pehlay america se capitalist system intoduce karwaya gya tha jiska icon dollar tha.... us sy pehlay paper currency ka riwaj nahi tha.. dollar se pehli martaba paper currency baqaida tor par shuru hui thi jo asal ma "specific amount of gold to be paid for each dollar"
america nay isi base par europe se tijarat ki aur bahut ziada dollar europe ko gold alternative k tor par dia gya...........first world war k bad europe nay america ko sab dollar wapas bhijwa kar "real gold" pay karnay ki demand ki thi tab american govt ko ahsas hua tha k hmaray pas itna gold mojud nahi hia jitna dollar ham nay bahir bhej dia hai.... waheen se second world war ki taraf qadam barhna shuru ho gaey thay........ is arsay ma soviet union, nay dollar ko tabah hotay dekh kar communist system ijad kia, aur yeh system phelna shuru ho gya..
dollar ki stability k liay akhir kaar second world war hui, second world war k bad dollar jeet tau gya tha magar itna kamzor ho chuka tha k ussay apni currency ko "fiat" karna para
is tamam arsay ma soviet union ka communist system din dugni raat chugni tarakki karnay laga jis ki wja se capitalist system ka mukammal khatma nazar aa rha tha, aur akhir kaar america ki economy collapse karnay wali thi aur europe ki ghulam bannay wali thi..
isiliay capitalist aur communist system ma cold war shadeed ho gai thi.....
us wakt america nay aik anokhi tactic use ki thi aur afghanistan aur us k ird gird k pathanon ko pehlay "gherat dilae" k tashqand aur tajikistan k tumharay apnay pathan bhai "kafiron ki communist system" ki nazar ho gaey hain, isliay soviat union k kafiron k khilaf jihad karo......
us wakt america nay khoob khoob "musalmanon" ko jihad ki yaad dehani karwai aur jab afghani aur ird gird k pathan larnay par razi ho gaey tau unhay har tarhan se madad di, dolat , aslaha, technology....
aur akhir kaar un pathanon ki bahaduri k agay russia k tukray hi huway...
ab is sab ko jihad kehna chhaiey ya nahi, un logon ki had tak, jo apni sadgi ma issay jihad samajh kar lartay rahay, unka ilm Allah hi behtar janay,..... par is jihad se musalmanon ko ijtemai tor par koi faida nahi hua aur na hi hona tha, yeh sirf aik kafir qom ki madad ki khatir uskay dushman se jang thi......
jab russia ka bera gharaq ho chuka tau america in afghanion ki bahaduri k agay maroob tha, ussay saaf nazar aa rha tha k agar inhi pathanon ki "gherat" america k khilaf uth gai tau hamara bhi yehi hashar ho ga, lehaza 1996 k bad america nay "siasi" tor par afghanion ko badnaam karna shuru kar dia, yahan tak k ahista ahista 2001 tak afghanistan "terrorist" nation mashhoor ho gai..... |