Happy Independence Day Of Pakistan
Happy Independence Day Of Pakistan To All Forum Members Of Noorclinic Jashan-e-Azadi Pakistan Mubarak Ho
Sohni Dhurti Allah Rukhy Qudum Qudum aabaad Tojjy
Uksur log Gilla kurty hen Pakistan nay Humko Keya deya , Lakin yeh kubi apny aap say suwaal nahi kurty Pakistan ko Hum nay 64 Years Meah keya Deya?.Mostly pakistani Gilly Shikway he kurty Nuzur aaty Hen Lakin azaadi ki Ehmiyaat say na aashanaa Nation ko azaadi ki Qudur or Qeemat ka undazaa he nahi hay, Health ki Qudur Bemaari meah hoti hay, or Aazaadi ki Qudur Gholaami meah hoti hay, Allah kay fuzzul say abi tuk hum kafi hud tuk aazaad hen,
14 Agust 1947 ko Pakistan Doniyaa kay Nuqshy pay ek Islami momlikut ki soraat meah obraa or aaj Allah kay fuzzul say Huzraar Rukwato , problems , saazushoo, kay ba wajood Apny wujood ko thamy Doniyaa kay Nuqshy pay mojood hay or Insha Allah taa Qiyaamat Qayim-or-Dayim ray ghaah,
Gozishta 64 saalo meah aghur humny bay-insafi ki hay tu Pakistan kay shath ki hay jub kay pakistan ki budolat humin bot koch mila hay, lakin pher bhe humin essy ghilaa hay, es peyaary pakistan ko hum nay en 64 salo meah Currupt Hokumraan deyeh apni Qeemti vote ki budolat or pher bhe hum gilaa kurty hen Oh G pakistan meah koch log he hen jo hukomat kurty aa ray hen Lakin afsoos sud afsoos Hum yeh man-ny pay Tiyaar he nahi kay enko awaano meah Bhejtaa kon hey Meah or aap,
Pakistan say Mobabat ka dawaa kurny walo ko chayeh kay jub apni vote cast kurny ka time aay , zaat buraadri, pesaaa , shoraat , laluch, sub koch side pay rukhty howy os leader ko vote dayin jo onka leader bun sukta ho, onki omongo ka turjomaan ho.
Pakistan ki budolat humari Identity hay , hum doniyaa meah jaha bhe chuly jayin hum pakistani kehlaaty hen , so ku nay apny peyary pakistan kay bary meah sochin, on leaders ko jino nay dono hatho say Pakistan ko adaalat kay Kutehry meah laay kay aayin or onko Jail ki Sulakho meah Dhukayilin or lota howa pesaa wapis kurwaayin,
Pakistan ko es wakat agur zurorat hay tu Humari , Humari Tawaja ki , ek azaam or Hosila ki , hum essy pakistani bunyin jin ko apny Wutan say apni Dhurti say Peyar ho , aaj agur kisi cheez ki kumi hay tu os Mohubat or Juzby ki kumi hay jo kisi ko apny wutan sy honi cha yeh, Juzba Hob-ul-wutni bot importance rukhta hay or aaj yeh hum bakhobi dayk sukty hen kay es juzby ki bot kumi hay
Hurtalo , jilao Ghero meah apni Imlaak , apni property , apny Molk ky kam karo bar ko thup kurny waly , apny leaders ko Qutal kurny waly , mohib-a-wutan nahi hoty onki misaal essi hoti hay jesy apny paon pay kolhaari marna , Leaders roz roz payda nahi hoty ,
Aghur koi chang lana chaty hen tu ap kay pas Sonehri moqa hota hay election ka time jis meay ap apni vote say pakistan meah change lay kay aa sukty hen, brothers and sisters Pakistan say Peyar ki jiyeh ku kay Pakistan Humara hay , essy hum nay Sunwara hay , Hum zinda Qom nay paa enda Qom hen , akhur meah meah etna kaho gaha
Allah pakistani Nation Ko Unity, Faith or Discipline wali nation bunay, aaj agur zurorat hay tu Unity ki hay Unity nahi tu koch b nahi Unity hay tu sub koch hay or Unity muslimano ki shaan hoti hay ,aaaj kay jub pakistan kay khilaaf Undrooni or barooni sazushyin arooj pay hen , pakistan moshkil ka shikaar hay tu ess nation ki unity bot zurori hay,apny Wutan say peyar kurin, aaj agur humin apny Hokumrano say Shikwaa shikaytyin hen tu yeh humari waja say hen eski waja serf hum nay pakistan nahi , pakistan say tu hum nay bot buri ziyadti ki hay,
Aandi aay yaa Toofaan aay Diyaa julaay Rukhnaa Hay Ghur ki khatir 100 Dokh Jeheelyin Ghur tu akhur apna Hay
PAKISTAN ZINDA-BAAD
|