Poetry:Aurat Ne Janam Diya Mardoun Ko!
Aurat nay Janam diya Mardoun ko, Mardoun nay ousy Bazar diya Jabb jee chaha massla kouchla, Jabb jee chaha dhoutkaar diya Toulti hai kahin Dinaaron mein, Bikti hai kahin Bazaron mein Nanngi Nachwaai jaati hai, Aaiyaashon kay Darbaaron mein Ye wo bayizzat cheez hai, jo butt jaati hai Izzatdaaron mein Aurat nay Janam diya Mardoun ko, Mardoun nay ousy Bazar diya Mardoun ky liy herr Zulaam rawa, Aurat ke liy rona b khata Mardoun ky liy herr Aaish ka haqq, Aurat ky liy Jeena b saza Mardoun ke liy Lakhhon saijain, Aurat ke liy sirf aik chitta Aurat nay Janam diya Mardoun ko, Mardoun nay ousy Bazar diya Jin seenon nay oun ko Doudh diya, Oun seenon ka bay o paar kiya Jis kokhh mein oun ka jism dhala, Ous kokhh ka kaarbaar kiya Jis tann se ougay konpall bann ke, Ous tann ko zaleel-o-khar kiya Aurat nay Janam diya Mardoun ko, Mardoun nay ousy Bazar diya Sansaar ki herr ik besharmi, Ghoubatt ki ghoud mein paltti hai Chaklon hi mein aa kar roukti hai, Faaqon se jo raah niklti hai Mardoun ki Hawas hai jo, Aksar Aurat ke paap mein dhalti hai Aurat nay Janam diya Mardoun ko, Mardoun nay ousy Bazar diya Aurat sannsaar ki qismat hai, Phir b taqdeer ki peeti hai Aaotaar Paeghamber jantti hai, Phir b Shaitaan ki beti hai Ye wo baddqismat Maan hai jo, Baiton ki saij pe leti hai Aurat nay Janam diya Mardoun ko, Mardoun nay ousy Bazar diya
|