gladiator7 i agreed k sub log in tensions se guzarte hain lakin akhir kub tuk .aik waqat ata he sub theek ho jata he
aap tkeek keh rahe hain main ne waqai koshish nahi ki na adoori na poori coz main samajhti thi k mere koshish kiye bina hi her khushi mujhe mile ghi by the way of my family.
jub main college main thi to meri mostly frnds r class mats ki kisi na kisi larke se frndship thi chahe kuch khud tuk i mean sirf phone ya kabi milne tuk ,r main unko mana karti thi k ese kaam na karain .coz mera khayal tha k agar hum ese kaam karain ghi to ALLAH ji khafa ho jain ghe r humain aainda life main koi problem ho ghi.main unko samjhati thi k time ane pr humare parents humare liye khud her khushi tlash karain ghe.wo kehti theen k wo sirf time paas karti hain
main ne kabi koi ghalat kaam nahi kiya even k kabi kisi larke se baat nahi ki sawae apne bhiyon k r ya phir yahan first time....r wo b is liye k ab mere paas meri frnds b nahi jin se share kar sakoon coz they aal r married and i m still there.there is no problem whith me i m not haseen-o-jameel but beautifull .
phir mere saath hi esa q ho raha he k kisi ko b meri parwah nahi .time guzar raha he r her din k saath mujhe sirf ye tension he k lig batain karain ghe r kahain ghe k is ki age ziyada ho ghai he .
bas is baat ko face karne se mujhe dar laghta he
although i m of 25 lakin jo b mujhe dekhta he wo yehi kehta he k aap kon se year main hain r jub main batati hoon k graduation kar chuki hoon to koi yakin nahi karta ,i liook just off 22,23 years ,lakin main to janti hoon k main 25 ki hoon r baas ye sub se mushki sawal laghta he
r aghar main kehti hoon k parhna he to kaha jata he ab tumhari shadi karni he .r koi koshish b nahi ki jati
farigh reh kar tung aa ghai hoon
kabi main itni jolly hoti thi k agar aap pehle kabi mujh se baat karte to kabi mujhe miss sadness na kehte
abhi b koshish karti hoon k hansti rahoon r khush rahoon lakin kabi kabi esa ho jata he
lakin aainda koshish karoon ghi aap mujhe miss sadness na keh sakain
ye he k main ALLAH ka shukar b karti hoon k mujhe mere is asool ki wajha se bohat sari mushkilon r gunahon se ALLAH ne bachaya he |