Bewaqoof
|
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 264 Post: 4476 Age:
40
|
|
Posted on:8th Dec 2009, 12:24pm |
|
|
Criteria for select and reject re: "apki dusre member ke bare me kya raye hai??"
sunehri: aap bahut achchi hai, achchi achchi batai kerti hai, positive soch rakhti hai, hamdard aur friendly hai ........ lekin in sab baato ke bawajood agar mujh se aap ke baare mai poocha jaata tu mai aap ko select nahi kerta, balkeh yeh kehna behtar ho ga keh mai aap ko select kerne ka tasawar bhi nahi ker sakta.
agar kisi mai 100% khoobia ho tu bhi zaroori nahi keh woh select ke 100% criteria mai utar jaaye. aur agar koi khaamio ka mujassama ho tu iss ka yeh matlab nahi keh ose har koi reject ker de. select aur reject ka taluq sirf khoobio aur khaamio se nahi hota balkeh aur bhi bahut kuch hota hai.
iss ka matlab yeh hua keh agar mai kisi ko select kerta hoo tu koi zaroori nahi keh woh doosro ke bhi selection ke meaar per poora utar raha ho, aur mai kisi ko reject karoo tu iss ka yeh matlab nahi ko woh doosro ke liye bhi qabile qabool nahi.
mazeed yeh keh koi zaroori nahi keh aap kisi ko select kare tu woh bhi aap ko select ker le, isi tarah yeh bhi zaroori nahi keh aap jise reject ker rahe ho woh bhi aap ko reject ker de.
dunia ke tamam log kisi na kisi ke ideal hote hai, lehaza agar koi mera ideal nahi tu khuda na khasta iss ka yeh matlab nahi keh woh kisi ka bhi ideal nahi. |
sunehri76
|
Group: Members Joined: 04th Aug, 2007 Topic: 100 Post: 4646 Age:
39
|
|
Posted on:8th Dec 2009, 2:43pm |
|
|
first maine pehle bhi kaha,maine apka pehla replay funny tor pe liya..maby ap ka replay serious ho.,islye apko seriously replay de deti hun.
kissi ko select aur reject karne ke mayar pe ek topic start hona chahye.
waise maine apse apne bare me raye nahi mangi thi..maine apke replay ko funny jan kar sab ke bare me raye dene ko kaha tha lekin agar apne seriously mean kiya tha to kisi ke bare me raye na dain.khair , apne thik farmaya ke har ek ka apna mayar hota hai kissi ko selct aur reject karne ka..
it is interisting for me to know, that some peaple are able to select someone,without to meet the person.
mere lye ye possible nahi,mere lye select ke mayar me us person ko by face jan.na bohat lazmi hai...iske beghair mai kisi ko select aur reject ka faissla nahi kar sakti..koi isse Hussan parasti kahega,koi selfish,koi rude..
but Haqeeqat ye hai ke kisi ko apna lifepartner select karne ke lye usko dekhne aur pasand karne ka Haq islam ne bhi diya hai.
member ke replay se hum sirf unki soch ka andaza laga sakte hain ,wo bhi sirf 50% lekin ye bhi zaroori nahi ke wo member jo humain 50% show ho raha hai wo waisa hi ho.. |
Waterr
|
Group: Members Joined: 15th Jul, 2009 Topic: 59 Post: 3789 Age:
28
|
|
Posted on:8th Dec 2009, 2:56pm |
|
|
Sunehri76... Apke baat 100percent sahe ha magar 2-3 batain hain isme . 1) agar 2 persn sirf iss neyat se chat kr rai houn k wo select etc karain tou wo pose kr sakte hain apne apko even is neyat se na bhe kar rahe houn phr b magar jub koi bohat sarey mukhtalaf topic pe reply karta ha tou uske soch n nature pata chalti ha thori bohat. 2) selectn mai Nature count krtii ha magar aurr bhe bohat kuch hota haina. 3) agar kisi ka professional psychatry ya psychology se taluq hoo ya usne deep mai parha ho tou wo loog amouman aam admi se behtr kisi ke psyche ka andaza even uske expresn se bhe laga sakte hain .. . Anyway .. Maine reply tou nai krna tha.. Pata nai kyun kr rai ;) |
sunehri76
|
Group: Members Joined: 04th Aug, 2007 Topic: 100 Post: 4646 Age:
39
|
|
Posted on:8th Dec 2009, 3:05pm |
|
|
water mujhe baki point se inkaar nahi hai..of corse mai kisi aise person ko select karne ka soch nahi sakti , jo dikhne me to acha ho,par uska nature acha na ho,wo bat bat pe ghussa karne wala ho..jiski soch me har bat me manfi pehloo ho..
apki ye bat bhi sahi hai ke mukhtalif replays se hum andaza laga sakte hain ke kiska nature kaisa hai.issi tarah jo har waqt manfi replay kar rahe hote hain unke nature aur soch ka andaza bhi ho jata hai.
lekin sirf itne se andaze se selection nahi ho sakti.isme aur bhi bohat se point shamil hote hain,jaise ke mazhab,age,aur personality.shakal surat
@water i think apko kisi bhi topic me replay karne ka haq hai.albatta bas un topic se door rahye jahan fasad ho rahe hon..hehehe
some thing more..hum ye yaqeen se nahi keh sakte ke jo yahan nature wise bohat friendly aur nice ho wo ghar me apni family ya wife ke sath bhi waisa hi nice ho.issi tarah jo yahan replays se manfi soch ka lage wo apni family ke sath sakht rawaya rakhne wala ho..personaly socha jaye,maby mai apne husband ke sath kitna ladti jhagarti hon,unse badtamizi karti hon ,lekin jab mai yahan ti hun to apna rawaya acha rakhti hun..is se ap to yehi andaza lagayenge jo mai show kar rahi hun..maby reality me mai iske bilkul bar-aks hon. |
Waterr
|
Group: Members Joined: 15th Jul, 2009 Topic: 59 Post: 3789 Age:
28
|
|
Posted on:8th Dec 2009, 3:14pm |
|
|
Re.sunehri76. Nice of u .. Yup u r rght basic thngs mazhab n edu k alawa ye bhe hai k kisi k leye bohat mattr krti han looks kisi ko money etc kisi ko ye last 2thngs blkul matr nai karti matlab har aik ka apna criteria hota ha. Bt maine yahan isleye reply nai krna thaaa k bus waisey he. Hahaha.;) .plus ye b kuch loog dosroun ko judge kar laite hain easily chahey wo pose b kar rai houn ye naturally b instinct ho sakti n superaded agar human psychology parhe ho deep mai.. |
myrizvi
|
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 131 Post: 7799 Age:
56
|
|
Posted on:9th Dec 2009, 2:54am |
|
|
human psycology text books main written human psycology janna aur amalan in batouN say waqif honay maiN zameen aasmaan ka nahi to mashriq maghrib ka faraq zaroor hota hai. aik un.paRh sales man jo rozanah darjanoun afraad ko deal karta ho aur aik maahiray nafseyaat jo kissi class ko humna psycology paRhata ho.... agar aamnya saamnay aajayaiN to kia hoga??? sales man jald hi prof sb ko samajh lega aur ossay easily handle karlega. iskay bar.aks pf sb sales man ko samajhnay main baRa waqt lagaayengay, agar ossay samajh bhi laiN to.
baaz subjects aisay hotay haiN jinka talluq theories say kam aur practicles say zeyadah hota hai. yehi wajah hai k pak maiN us.europe say aalaa degrees lay kar aalaa ohdouN par pakistan aanay walay aisay experts jinka local environment /afraad say bahoot zeyadah interaction nahi howa hotaa aur woh band kamroun maiN baiTh kar pakistan ki taraqqi o khush.haali k plans morattab kartay hain woh hamesha nakaam saabit howay haiN last 60 yrs maiN.......... iskay bar.aks yehi mansoobay agar moqami aisay educated /non-educated log banantay jinka yahaaN ki zameen say rishtah gahraa ho aur jo logouN say qareebi raabtah rakhta ho.... zeyadah kaamyaab hotaa.
insaani nafseyaat bhi aik aisa hi subject hai ... mash'hoor hai k aik laRki nay nafseyaat maiN Ph.D ki aur oska thesis bahoot mash'hoor howa jiska onwaan tha ... bachoun ki nafseyaat k 6 golden rules........ baras haa baras k baad oski molaqaat apni aik saheli say howi to saheli nay poochaa k haaN bhai tum nay apnay golden rules apnay bachoun par aazmaayaa kia result raha ... woh kahnay lagi.. masha Allah ab meray 6 kidz haiN magar rule aik bhi nahi rahaa :) |
persona
|
Group: Members Joined: 10th Jul, 2008 Topic: 0 Post: 121 Age:
32
|
|
Posted on:15th Dec 2009, 8:42pm |
|
|
Criteria for selection & rejection Good character and Deen-dari (religious practice) should be the criterion of selection and rejection “simple”. |
ekeliez
|
Group: Members Joined: 24th Sep, 2009 Topic: 5 Post: 27 Age:
25
|
|
Posted on:19th Jan 2011, 7:33am |
|
|
friendship kya mein ap ko kesi larke ka mobile num dun? friendship k lie
|
ekeliez
|
Group: Members Joined: 24th Sep, 2009 Topic: 5 Post: 27 Age:
25
|
|
Posted on:19th Jan 2011, 7:37am |
|
|
friendship kya ap kesi larke say doste krna chahtay ho? |
ateeqmugal
|
Group: Members Joined: 28th Sep, 2010 Topic: 0 Post: 11 Age:
33
|
|
Posted on:20th Jan 2011, 10:21am |
|
|
hello yaar kuin apni life berbaad kerty ho...lerki or lerky mai sirf frdship nai hoti...abi tumhaari umer perhany ki hay...pehly perhai khtm kero thn shaadi ka sochna....kuin chahty ho k ksi lerki se frdship ker k apna skoon berbaad kero...or us ko b khwaar kero...so relxx ho k perhai kero...ksi lerki k chkr main perny ki zroorat nai hay!! i hope u dont mind...but trust me wt i said is good for you!yaar kuin apni life berbaad kerty ho...lerki or lerky mai sirf frdship nai hoti...abi tumhaari umer perhany ki hay...pehly perhai khtm kero thn shaadi ka sochna....kuin chahty ho k ksi lerki se frdship ker k apna skoon berbaad kero...or us ko b khwaar kero...so relxx ho k perhai kero...ksi lerki k chkr main perny ki zroorat nai hay!! i hope u dont mind...but trust me wt i said is good for you! |
WEHSHI
|
Group: Members Joined: 17th Aug, 2010 Topic: 46 Post: 2533 Age:
50
|
|
Posted on:23rd Jan 2011, 7:14pm |
|
|
kashif mera aik sawal hia ap se
ap ki siter bhi agr i sforum per hon aur woh bhi ap ki terah kisi male se dosty kerna chahain to ap ka kya jawab ho ga
dont take it personal
lakin yeh aik sawal hai |
Silents
|
Group: Members Joined: 30th Aug, 2014 Topic: 3 Post: 7 Age:
27
|
Blocked |
Posted on:30th Aug 2014, 7:03am |
|
|
kasy ho hy
|
|
For Detail Click On Page No: 1 2 3 4 >> |
|
|
| |
|