mijaazi Khodaa misha_ch
wow bahoot aap naybahoot acha nukta oThaya hai k... Khuda ka koee majaaz nahi ... lehazaa kissi ko mijaazi khoda nahi kahnaa chahaiyeh...
khud mujhay bhi nahi maloom k shauher k liyeh ... mijazi khoda... ki istelaah kahaaN say aaye aur iska asal source kia hai... kuch log to yeh bhi kahtay hain k khud Allah ko "khudaa" nahi kahna achahiyeh k yeh Allah k 99 sifaati naamouN maiN say nahee haiN... yeh ghaleban persian word hai... albattah urdu maiN ab yeh lufz Allah k liyeh itna zeyadah bolaa jachuka hai k ulemaa.e.karaam ki aksariyat Allah k liyeh khodaa ka lufz use karnay ko manaa nahi karti...... issi tarah kashti chalanay walaay mallah ko ... naa.khodaa... kahtay hain...
albattah aik hadees maiN iss baat ki thoree bahoot "moshaabehat" milti hai jiss maiN Allah k Rasool saw nay farmayaa thaa k agar Allah apnay sewaa kissi ko sajdah karnay ki ijazat detaa to biwiyouN ko hukm detaa k apnay shauheroun ko sajdah karay ... yaani khoda jaisaa darjaah day ... agar shauher ko sajdah allow bhi hota to shauher khodaa to nah hotaa... iss hadees maiN yehi batlaanay ki koshish kigayee hai k biwiyaaN obedient honay maiN Allah k baad insaanouN maiN husband ko top par rakhaiN.... shayaad yahaaN hi say yaar logoun nay (yaqeenan mard likhaariyouN nay :) khud ko ...mijaazi khodaa... qarar day dia.
agar aisaa kahnaa shara'an ghalat hai to iskay liyeh ulemaa k ajmaa ki zaroorat hogi yani onki aksariyat iss istelaah ko ghair sharayee qarar day..... lekin agar koi aurat, inferaadi taur par deeni taqway k tehat apnay husband ko mijaazi khodaa nah kahay /samjhay to yaqeenan ossay aisaa karnay ka sawaab bhi milega aur woh deger deeni taqazoun par bhi issi spirit k saath amal karegi.
kissi k pass "mijaazi khodaa" ki istelaah k baray maiN koi aur info ho to zaroor share karay.... yeh aik dilchasp bahas hosakti hai
|