Urdu Poetry: Kaha Gaye Woh Din?
nakam muhabbat ka har ek dukh sahna har hal mai darte rahna qudrat ka inteqam hai yeh Jedi mahbooba ki aulad ka mamoo kahna ******* Pardah suna hai apne azizo se parda karte hai jo ghair ho tu koi sharm hai na parda hai sawal yeh hai keh ab un se kis tarah poochoon yeh ham ko aap ne kab se aziz samjha hai? *********** Sailab - e- karam jab kaha tha aao! to aate na the bin kahe ab bar bar aane lage ya kabhi woh be rukhi ya yeh karam sath bachcho ko bhi ab lane lage ********* Fareb-e-Husn fareb-e-husn khaya, woh bhi aghaz-e-muhabbat mai jo hasrat aik muddat se thi dil mai wo kahan nikli haqeeqat ko chupaya ham se kia kia is make-up ne jise laila samajh baithe the woh laila ki ma nikli
|