Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

 
 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic |Forum | Procedure | Health| Sex | General | Site Map
Men Health | Women Health | Procedure| Pakistani Matrmonial
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married | Junk , Spam, Irrelevant & Repeated Post
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
 
    Start New Topic  My Profile
 

Show.Her & Be.We: Interesting And Entertaining Poetry

Urdu   >>  Urdu Poetry
 
 
 
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 112  Post: 6576  Age:  54  
Posted on:11th Jun 2009, 4:28am
 

Show.Her & Be.We: Interesting And Entertaining Poetry

Bholi Biwi

shikayat ki nayee shadi shudah nay apnay shauher say

k pahlay ki tarah tum ab mujhya tohfah nahi detay

kahaa shauher nay, tum ko yeh samajh maiN kiyouN nahi aataa

jab aaye jaal maiN machli to phir charah nhaee detay :)

*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~

naik shauher:

meray shauher baray bholay, bahoot hi naik Khaslat haiN

nah jaanay apnay abba par k dada par gaye haiN woh

yahaaN hotay agar to aap insay milkay khush hotay

abhi kuch dair pahlay "teesri" k ghar gaye haiN woh

iss thread maiN aap bhi shauher aur biwi say motalliq dilchasp, pur mazaah aur maani khaiz ash.aar post karkay apnay aalaa zauq ka saboot daiN. ash'aar paRh kar nah sirf mahzooz houn balkay bainul satoor chopay tanz /message tak pahonch kar islaahay zaat ki koshish karaiN.

hamzi Group: Members  Joined: 24th Mar, 2008  Topic: 11  Post: 1072  Age:  27  
Posted on:11th Jun 2009, 4:45am
 

@bahi

bohat he acha topic main b shadi k bad zaroor reply karoun ga:P
sunny007 Group: Members  Joined: 22nd Dec, 2007  Topic: 44  Post: 4214  Age:   
Posted on:12th Jun 2009, 7:05am
 

myrizvi bhai

yaar main b abhi es tajrube se nahi guzra.. jab yeh kathan ghari aaiegi to pir main bataounga.....:)))

wesy aap ki baton se aap ki shadi shuda zindagi ka aks nazar aa raha hai...

khair hota hai bhai.....:)

Maryam Group: Members  Joined: 17th May, 2008  Topic: 26  Post: 4432  Age:   
Posted on:12th Jun 2009, 7:13am
 

masoom show her

mard khuahishat ki inteha chahta hae

biwiyan 4 to bandiya behisaab chahta hae.

 

myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 112  Post: 6576  Age:  54  
Posted on:12th Jun 2009, 10:28pm
 

hamzi & Sunny

tajarbah zaroor karo magar ehteyaat say k shadi ka tajarbah, atomic tajarbah ki tarah hota hai... agar nakaam howaa to tajarbah karnay walay ki khair nahi :) jaisay zameer jaaffery nay shadi ki aik taweel inning khelnay k baad biwi k marnay say pahlay hi kahna paRaa (ossay maarnay k liyeh ) k:

meri biwi qabar maiN leTi hai kis hangaam say

maiN bhi houN araam say aur woh bhi hai araam say

 

myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 112  Post: 6576  Age:  54  
Posted on:20th Jun 2009, 11:49pm
 

Ghazal aur mazahia poetry ka faraq

Teacher: Ghazal aur mazahia poetry maiN kia faraq hai

Student: wohi jo mahboobah aur biwi maiN hota hai

Teacher: kia matlab?

Student: Ghazal hamesha mahboobah yaani ghair biwi par kahi jati hai jabkay biwi par mazahia poetry ki jati hai.

haaaa haaaaa

Maryam Group: Members  Joined: 17th May, 2008  Topic: 26  Post: 4432  Age:   
Posted on:21st Jun 2009, 12:00am
 

unmarried ppl

abb is thread se hi andaza laga lain k jhagra pehlay kon shuru karta hae miyan ya biwi :)
hamzi Group: Members  Joined: 24th Mar, 2008  Topic: 11  Post: 1072  Age:  27  
Posted on:21st Jun 2009, 7:20am
 

@topic

kahty hain k shadi aik aisa LADU (METHAI) hai jo khaye woh b pachtaye aur jo na khaye woh b pachtaye
1
 
 
 
Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
Pakistani Urdu Magazine Pakistani Matrimonial Seo In Urdu World Information Pakistan Information Sehat In Urdu
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact UsLast Updated: 28th March 2013