Lets See how Her problem can be solved Dear All,
Forgiveness is actually only and only awarded by Allah unless kisi ka "haq" mara jaye. Please don't forget k Wo "Zaat Pak" Jis ko chahay muaaf farma daita ha aur day ga chahay us k gunahon ka ambaar zameen se aasmaan tak hi kyun na ho, Shart ye ha k us mien "Shirk" shamil na ho, aur gunah karnay wala Sachay dil se tauba karnewala/karnawali ho aur Ainda gunah na karnay k paka sacha ehd karay. She did a sin but no one among us has the prooves, we dont know who she is and all that; there may be a list of things someone need to sue her. khair, plz leave it now.
Is case k silsalay mien mer chand guzarshat hien.
1- She has done a sin - we all have to discurrage her sin and you people did it well
2- Now that she is in trouble, as muslim we need to try to get her out of here and lets make her future life as a "Mutaqi" girl who may be sincere with her husband and other family membes.
3- One man came to Rasulullah SAW, kaha, Aye Allah k Nabi, mien ne zana kia ha, aap ne us ki taraf se rukh pher lia, wo dubara samny aya, kaha, Mien ne zana kia ha, aap ne rukh pher lia, phir samnay aya, kaha, mien ne zana kia ha, Tab Allah k Rasul ne farmaya k is ko sangsaar kar do (Allah kami beshi muaaf farmaye).
To bhai aur behno, Is larki ki help karni chahye hamien na k apnay gusay ka izhar karen, kyun ka us ka amaal k jawab hamen nahin daina. aur agar wo Allah se sachi muaafi mang le to Allah ko kon roke sakta ha ko wo muaaf na karay. Balkay hamen Allah se darna chahye aur aisi baton se parhez karna chahye ki "is ko saza milni chahye" wagera, Allah is baat se naraaz ho saktay hien.
Uhd ki larai mien Allah k Rasul SAW zakhmi ho gay aur aap ne farmaya "wo qaum kaisay falah pa sakti ha jo Allah k rasul ko takleef pahunchaye" to Allah ne Quraan mien farmay k Ay Nabi (SAW) ham ne aap ko sirf dranay wala aur pahunchanay wala banaya ha. Yani aap ko ikhtiar nahin k Allah ka kamon ka faisal khud karen.
To janab is larki ko sahih mashwara dena chahye. mera mashwara ye ha..
1- Allah se sachi Tauba kar lo
2- Kisi ko batanay ya mashwara karny ki zarurat nahin, is se tumhara image kharab ho jaye ga aur tum logon (chahy tumhara apnay hon ya gair). Dusri baat k Nabi (SAW) ne apnay gunah share karnay se mana farmay ha kyun k qiamat walay din yahi log jin se share karo gi, tumhary khilaf gawahi ban jaien gay.
3- Ghar walon ko larka dekhnay do, balky unko mashwara do k wo kahin Door tumhara rishta karen aur koi nihayat sharif ghar deikhen.
4- Shadi k baad khawand ko kuch batanay ki zarurat nahin, Allah sachi tauba karny walon ko pasand karta ha aur un ki liay raastay nikalta ha. Lehaza yahan sab se ziada zarurat tumharay Emandari se Sachi Tauba ki ha aur bas. Insanon k ikhtiar mien kuch naihn sawai is k, k wo khalis ho kar koshish karen, so wo tum bhi karo.
5- Kuch dawaien zarur hoti hien jo tumhara "khas" masla bhi hal kar sakti hien, magar wohi baat neiat khalis hona zarur ha warna kuch b kaam nahin aye ga. is ziman mien kisi Shadi shud aurat ghrelu aurat se mashwara kar lo k auratien shadi k baad ya bachay paida honay k baad khawand k liaye "khas" jaga ko kaisay dubara sambhalti hien. Us ko bhi kuch batanay ki zarurat nahin, waisay hi puch lena
6- Remember, Allah par yaqeen karo gi to kisi dawa ki zarurat bhi nahin paray gi.
meray zehan mien is waqt yahi kuch tha, achanak ye forum parah to dil chaha k kuch achi batien share kar dun.
Allah tumhari mushkilaat asaan farmaye. Bas "US" Zaat ko yad rakho, Wo" tumhen yad rakhay ga.
Ibnekhalil
|