Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic | Articles | Forum | Procedure | Health| Sex | General | Site Map
Men Health | Women Health | Procedure| Pakistani Matrimonial
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married | Junk , Spam, Irrelevant & Repeated Post
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
 
    Start New Topic  My Profile
 

MQM And Thereek-e-Insaf: Future Pakistani Government

Politics   >>  Political Party
 
 
 
Bewaqoof Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 250  Post: 4284  Age:  38  
Posted on:30th May 2009, 6:14am
 

MQM And Thereek-e-Insaf: Future Pakistani Government

future mai PPP aur PML khatam ho jaaye gi, aur on ki jagah MQM aur Tehreek-e-Insaaf le le gi. inhi dono ke darmian 0ne-to-One muqabla hua kare ga, yahi dono bari bari hakoomat aur opposition mai rahe ge.

waise Tehreek-e-Insaaf se pehle MQM ki government qayem hogi aur os ka hi Prime minister ho ga, albatta yeh mumkin hai keh os ke baad wale election mai Tehreek-e-Insaaf ka prime minister ho. aur yeh bhi mumkin hai keh ibtadayee few election sirf aur sirf MQM hi win kare.

made4u Group: Members  Joined: 12th Aug, 2008  Topic: 11  Post: 439  Age:   
Posted on:30th May 2009, 9:58am
 

Bewaqoof

 ye tum pesh-goyee kab se karnay lag paray?

 MQM next 500 years tak bi pakistan par hakoomat nai bna paye gi.. Karachi mai bhale he MQM ki .... edit abusive remarks ..... So  yahan pay Angoor khatay he rahain gay... for MQM.

  Han Tehreek-e-Insaaf ke baray mai tum keh sakte ho, shinning star.. mugar is ko bi boht time lage ga:)

~~HITMAN~~ Group: Members  Joined: 09th May, 2011  Topic: 122  Post: 4287  Age:  28  
Posted on:30th May 2009, 10:01am
 

rE: MQM And Thereek-e-Insaf

Karachi ki development ko dekhtay hoe mqm ka iktidaar main ana Pakistan ki development ka ba-is banay ga, baaki mqm jis qimaash ki hai us se bhi inkaar nahi kia jasakta. jese jahan development hogi wahan hi poray pakistan main mobile ki cheena jhapti urooj per hogi aur waghera.

Tehreek insaaf se bhi achi umaidain wabasta hai, Imran khan mai itni silahiyat hai k wo Pakistan ko political level per bhi jita sakta hai. Is baar agar tehreek insaaf election mai hissa leti mai us hi ko vote karta.
Bewaqoof Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 250  Post: 4284  Age:  38  
Posted on:30th May 2009, 10:27am
 

re: MQM government

re: "MQM next 500 years tak bi pakistan par hakoomat nai bna paye gi.. "

500 years ke baad kia hoga yeh mujhe nahi maloom, lekin etna zaroor jaanta hoo ke 10-15 years ke andar andar MQM ki hakoomat qaim ho jaaye gi.

Seemi Group: Members  Joined: 11th Sep, 2007  Topic: 14  Post: 3829  Age:  27  
Posted on:30th May 2009, 10:31am
 

RE:

Swat k mutasirein k saath jis tarah MQM ne berehmi ka salook kiya or apnay mazi ko bhool gayi jab 1947 mein in logon ke baap dada migrate kar ke aaye thay.. Is se MQM ka asal chehra kisi se chupa nahin reh gaya.. Tamam Pakistanion ko MQM ki haqeeqat ka ilm tha lekin ab mazeed wazeh ho gaya....  MQM 500 saal bhi lagi rahay to kabhi federal government mein nahin aa sakti. MQM sirf bandooq k zour per chal rahi hia..

Agr development ki baat ki jaye, Law and order ki baat ki jaye or good governance ki baat ki jaye  to Shehbaz Sharif ka koi muqabla nahin kar sakta..

Tehreek e Insaaf ka mustaqbil bright hai..
Bewaqoof Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 250  Post: 4284  Age:  38  
Posted on:30th May 2009, 10:42am
 

re: MQM government

jab PPP ki government ban sakti hai, PML ki government ban sakti hai tu MQM ki government kio nahi ban sakti? Aap logo ka khial hai keh PPP aur PML farishto ki party hai.

re: "MQM sirf bandooq k zour per chal rahi hia.."

agar aap samajhte hai keh MQM bandooq ke zor par chal rahi hai tu phir aap yaqeen ker le keh bahut jald MQM ki government banne wali hai. kio keh pakistan mai bandooq wale hi hakoomat kerte hai.

waise mai ne sirf tajzia pesh kia hai, mera na tu MQM se taluq hai aur na hi Tehreek-e-Insaaf se.

made4u Group: Members  Joined: 12th Aug, 2008  Topic: 11  Post: 439  Age:   
Posted on:30th May 2009, 10:51am
 

Bewaqoof

  Punjab mai bandooq ka zor 10 percent chalt ahai out of 100. aur sindh mai 90 percent chalta hai.. out of 100.

   Jis din dilo`n pay hakoomat karni a gayi us din MQM ki hakoomat pakistan mai ho gi... jo keh ho nai sakta.

  

Bewaqoof Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 250  Post: 4284  Age:  38  
Posted on:30th May 2009, 10:58am
 

re: pujab mai bandooq

re: "Punjab mai bandooq ka zor 10 percent chalt ahai out of 100"

Ma-Shaa-Allah!

waise baqi 90 percent bandooq kaha chalate hai? Baluchistan mai ya Sawat mai?

Seemi Group: Members  Joined: 11th Sep, 2007  Topic: 14  Post: 3829  Age:  27  
Posted on:30th May 2009, 12:07pm
 

Bewaqoof bhai

Aap ko kya lagta hai. Agar Karachi ko de-weaponized kar diya jayeto MQM karachi per hakoomat kar paye gi.. Kabhi bhi nahin...

Tabhi to MQM de-weaponized ke idea k khilaaf hai..
Bewaqoof Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 250  Post: 4284  Age:  38  
Posted on:30th May 2009, 12:18pm
 

re: MQM government

re: "Agar Karachi ko de-weaponized kar diya jayeto MQM karachi per hakoomat kar paye gi.. Kabhi bhi nahin... "

ji haa agar Karachi ko de-weapized ker dia jaaye tu MQM sakoon se hakoomat ker paaye gi. kio keh shikast khorda log MQM ki jeet bardasht nahi kerte. 

mera khial hai keh yaha per topic divert ho raha hai. mera tajzia hai keh ainda 10-15 saal ke andar Pakistan mai MQM ki government hogi, aap agree nahi kerte tu koi baat nahi. topic divert kerne ki kia zaroorat hai.

made4u Group: Members  Joined: 12th Aug, 2008  Topic: 11  Post: 439  Age:   
Posted on:30th May 2009, 12:30pm
 

Bewaqoof

 muazrat ke sath, billi ko chichron ke khawabš nai dekhne chahiye.

Bewaqoof Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 250  Post: 4284  Age:  38  
Posted on:30th May 2009, 12:41pm
 

khisyani billi khamba noche

chale koi baat nahi. agar aap meri baat se agree nahi kerte tu na kare, mai ne tu sirf apna tajzia pesh kia hai, sulagne ki kia zaroorat hai. mera tajzia sahi bhi ho sakta hai aur ghalat bhi.

ch Babar Group: Members  Joined: 15th Jul, 2007  Topic: 32  Post: 1869  Age:  39  
Posted on:31st May 2009, 6:35am
 

MQM ki hakoomat

agar Pakistan main MQM ki hakoomat ban jati hae to is main herangi wlai koi baat nahi ho gi, jis mulk main Shukat Aziz Primie MInister ban sakta hae wahan MQM ki hakoomat ban'nay main kon si der lagti hae,
Seemi Group: Members  Joined: 11th Sep, 2007  Topic: 14  Post: 3829  Age:  27  
Posted on:31st May 2009, 7:10am
 

Babar bhai

Bas farq yeh paray ga k abhi sirf Karachi walay bhata detay hien. phir Islamabad walay bhi diya karein ge .. :)
made4u Group: Members  Joined: 12th Aug, 2008  Topic: 11  Post: 439  Age:   
Posted on:31st May 2009, 9:09am
 

re :Bewaqoof

chale koi baat nahi. agar aap meri baat se agree nahi kerte tu na kare, mai ne tu sirf apna tajzia pesh kia hai, sulagne ki kia zaroorat hai. mera tajzia sahi bhi ho sakta hai aur ghalat bhi.

  Ap ka tajziya  bilkul aisa he hai jesay aik ashiq apni lover ko asman se taray tor ke daita hai.

hamzi Group: Members  Joined: 24th Mar, 2008  Topic: 11  Post: 1072  Age:  27  
Posted on:1st Jun 2009, 1:49am
 

@seemi

mqm nay swat mutasren k sath kia kia hai punjab gov b un ko campz se bahir nahi any day rahi
dosri bat ap nay likhi k 1947 main in k bad dada ko any diya gaya tha tu us waqt karachi se ziada migrate logoun nay punjab main kia tha aur pakistan ka sab se bara camp lahore main walton k pas laga tha so please ap aisa na kahin khi waly b pakistani hain aur they r no more mahajirz

@topic
bewaqof bahi pakistan k baki 2 provinces punjab aur nwfp main mqm k against bohat nafrat hai tu sawal he paida nahi hota k woh gov main independently aye aur tehreek insaf ka problem yeh hai k is k members main imran khan k ilawa koi kise ko nahi janta

Seemi Group: Members  Joined: 11th Sep, 2007  Topic: 14  Post: 3829  Age:  27  
Posted on:1st Jun 2009, 2:22am
 

Hamzi bhai

Mein itself Mahajoron ko bura nahin keh rahi.. Meray grand parents khod migrated people hein  jo pehlay punjab settle howe phir Karachi aaye... or we all are Pakistani now.. Lekin jis Tarah Karachi mein aik Lisaani jamaat Mahajaron ko exploit kar k apnay maqasid pooray kar rahi hai is mein kya aap ko koi shak hai?

Mein ne Punjab Government ki bhi koi favor nahin ki. Yahan sab aik se barh kar aik hien. lekin jo ghair insaani salook displaced people ke saath Kashmor mein kiya gaya.. Kya woh sahih tha???
hamzi Group: Members  Joined: 24th Mar, 2008  Topic: 11  Post: 1072  Age:  27  
Posted on:1st Jun 2009, 10:41am
 

@seemi

mera kahny ka matlab sirf yeh hai k aik azad mulk k sehri ko jo 60 sal se khi main rah raha hai muhajir kah k us ko kamtar na kaha jaye kion k lafz muhajir aik miskeen lafz hai

baki app ki bat b theek hai ap nay mugh se agree kia main b ap se agree kar laita houn

Bewaqoof Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 250  Post: 4284  Age:  38  
Posted on:30th Apr 2010, 12:01pm
 

MQM in Punjab

Waqt yeh sabit ker raha hai keh Punjab ki comming government mai MQM bhi hogi. read: MQM Punjab - Mutahida Qaumi Movement Punjab


EF Doosra Group:   Joined: 31st Dec, 1969  Topic: 6  Post: 366  Age:   
Posted on:10th Jun 2010, 11:48pm
 

Bewakoof Bhai

Waqt yeh sabit ker raha hai keh Punjab ki comming government mai MQM bhi hogi.

g MQM tou har govt. maiN hee hotee haaY agar punjab maiN MQM ko 1 seat bhi mil gaee tou MQM Punjab ki provincial govt. maiN bhi shamil hojaegi.

1 2  >>
 
 
 
 
 
Urdu Magazine Islam In Urdu Urdu Greeting Cards Urdu Jokes Urdu Funny Stories Urdu Stories Urdu Recipes Urdu Poetry
Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Terms and Conditions Dr. Rizwan Contact Us Last Updated: 22nd July 2012