Group: Members Joined: 18th Mar, 2009 Topic: 3 Post: 18 Age:
38
Posted on:18th Mar 2009, 7:44am
Meri Wife Har Waqt Larti Rehti Hai: Mai Kia Karoo?
mare masla yah he ke, hum log join family main rahte hain, mare wife ke mare ghar walon se nahen bante, mare parents se bhi nahen banti, mare ghar main mare ek bhabhi bhe hain unse se bhi uske har waqt lagi rahte hain, jab main office se wapis ata hon to uska rawaya mare sath sahe nahen hota, wo koi na koi bat le kar bath jate he or mujh par pressure dalti he je ja kar mare himayat main bolo usne mujhe yah bolo os ne mujhe yun dekha, even ke bachon se bhi usko shikayat rahte he ke bache yun karte hain,
main in roz roz ke check check se tang aa gaya hon or or wo mare se bhi badtamezi karte he, or roz kai kai phone apne ghar karte he or yahan ke sare halat batate he or uske ghar wale na mujh se kuch pochte hain bus uske sun kar usko ulte sedhe masware dete rahte hain, main in maslon ke waja se office main bhi sahe kam nahen kar pa raha hon,
mera ek bacha bhi he hamre shahdi ko 2 sal howe hain, main usko buhut samjhata hon ke dekho ahse nahen chala jata mil jul kar rahna parta he, lekin jab bhi main usko samjhata hon to wo mujhe bolte he ap apne ghar walon ke himayat karte ho mare himayat karne chaye, agar app ja kar bolo go unse se laro go mare laye to ayenda unke himat nahen hoge ke wo mujhe kuch bolen,
2 dafa pahle yah mujh se or mare ghar walon se badtamezi kar ke ghar ja kar bath gayen phir whan ja kar phir wapis ane ke parti he, phir khandan ke baron ko betha kar sula safi karwa de, 2 dafe uske bhai mujhe marna ke laye hat bhi utha chuke hain lekin ab main unlogin se nahen milta, ab wo 3 dafa bhi mujhe or mare ghar walon ko bura bol kar or lar kar ghar ja kar bath gayen he, or bolte he mujhe app lene aao, lekin lar kar khud gayen or specially mujhe itna bura bola phir bhi mujhe bol rahe he ke aa kar le jao,
uske ghar wale khamosh behe hain unke traf se koi rabta nahen he bus wo he mujhe bolte rahte he, mujhe baten is position main kiya karon, mujhe apne bache ke fikar he, main kase le kar ayon wo to mujhe he bol kar gayen he ab to mare ghar wale iske bar bar is harkat par to ghar main rakhne ke laye bhi tayyar nahen hain, agar main usko dubara lata hon to phir wo ahse he harqat karege is bat se main lane se dar raha hon, ke ab koi dubar howa to yah rashta nahen kaim rah sake ga, or mujhe apne bache ke fikar he,
unke apne khandan main bhi kase se nahen bante, na wo log kase se milte hain, main usko bola ke apne khandan main kase bare se mujhe guarantee dilwao ke app tum ahse harkat nahen karo ge or na he tumhare ghar wale mere ghar main mudakhlat karenge lekin koi is per tayyar nahen plz mujhe maswara dain ke main apna ghar kase bacho plzzzzzzzzzzzzzzzzzzzz.
mard ke liye os ki mother ka darja wife se ziadah hai wife ke liye os ke shohar ka darja os ki mother se ziadah hai.
aap ki wife apni family ke kehne per aap se larti hai lehaza woh Islam ki nazar mai aik na-farman bivi hai. os ke ghar wale bhi ghalti per hai. shaadi ke baad larki ka asal ghar shohar ka ghar hota hai, aur os ki asal family shohar ke ghar wale hote hai.
yeh baat aap ose aur os ki family wale ko samjhaye keh bivi ka asal ghar os ke shohar ka hai. aur bivi ke saamne shohar ke haqooq mother se bhi ziadah hai. lehaza woh iss qisim ki harkatai ker ke shohar aur Allah ko naraz na kare. apne ghar walo se bhi request kare ke aap ki wife ki harkato ko nazar andaz kare.
mera final mashwarah hai keh aap bivi ke saath ziadti na kare, lekin os ka na-jaiz mutalba bhi na maane.
Group: Members Joined: 13th Mar, 2009 Topic: 75 Post: 1313 Age:
34
Posted on:18th Mar 2009, 6:10pm
Quranic Aur natural solution
bhai sahib
forum per kuchh loag aap ko yeh batain gai kay aap ki wife ko kaya karna chahiye aur aap ki wife kay baray mein aap ki maloomaat mein izaafa karain gai.kiyon ke yeh aik informative forum hai.LOL
Now seriously...aap ko yeh bataan baikaar hai aap ki wife ko kiya kerna chahiye.her larki mein itni samajh hoti hai key wo janti hai oos ka asal ghar kaun sa hai aur oos ka husband ka Islam mein kiya maqaam hai.laikin mein aap ko Quran aur Hadith aur insaani nafsiyaat ke hawalay se yeh bataaoon ga kay aap ko kiya kerna chahiye.
Firstly sir...aap apnay aap ghaur karain kay aap oos kay jaiz haqooq pooray kartain hain?Aur oos ko ISlam ki roushni mein poochain key oos ka kaun sa jaiz haq jau oosay nahin mil raha. oos say kabhi narm aur piyar ke lehjay mein aur kabhi thora sakht laikin gracefull lehjay mein sawaal per sawaal karain. aur oos kay zehn ko samajhnay ki koushish karain.
Is key saath oos ko Islam ke hawaalay say yeh bataya jai(aap khud ya aap kissi aur femily member ko yeh karnay ko kahain) kay husband ka kiya maqaam hai aur oos ki hukum adooli aur bai adabi karna ka kiya gunah hai.
yeh bhi daikhin ke kiya wo sexually satisfy hoti hai?kiyon yeh bhi aik waja hoti hai aurtaon mein aaisay rawaee ki.mera matlab hai aap sexually bilkull theek hon gai laikin baaz daffa biwi kisi bhi waja say satisfy nahin hoti.oos ko samjhain.
aap ke post se mein andaaza kiya hai aap ghar mein biwi kay samnay bohat hi tense rehtain hai aur majboor say nazar aatain hain.jis ki waja say oos ke zehan per aap ka aik kamzaur personality honay ka impression jaat hai. laa shaoori ya shaoori taur per har aik strong personality kay mazboot aur leader mard ko pasand karti hai.kiyon kay opposite sexes honay ki waja say yeh fitrat mein hai.wo aapko real man ki tarah daikhna chahati hai jo zimaidaari uthai aur piyar karnay wala shoher honay ke saath saath aik real mard ki tarah apni Haakmiyat ko oos per qaim ker sakay.
piyar say samjhany ke baad bhi na maanay tau agar aap ki sex life theek hai tau oos ke saath kuchh din sex chore dain aur alaag kamray mein apna bistar lagain.aur oon se baath mat karain.aur oosay yeh impression dain ke aap koi serious step uthaanay ke baaray mein soch rahay hain.
Agar phir bhi na maanay tau Quran mein shoher ko ikhtiaar hai kai aisy biwi ko jismaani punishment dai.Yani oosay maarain.laikin khiyal rahe kay maar sakht nahin honi chahiye aur na oos se koi injury ho.
Al-Quran Sura-Al-Nisa 4:34
Bissmillah hir rehmaan niraraheem
"Men are in charge of women.Because Allah has mad one(man)excel to other(wife)...................so the virtous wives are Humble and Obedient and.......so if they disobey you.admonish them.don't share bed with them,and(lastly) Beat them"
Mard Hakim hain aurtaun per(biwi) kiyon ke Allah ne aik ko doosray per foqiaat di............aur jau naik biwiaan hai wo apnay husbands ki Farmaanbardaar hoti hain.agar wo tumahara hukum na maanay tau oosay samjhao,bistar mein alag karo aur (aakhir mein) oosay maaro."
Group: Members Joined: 18th Mar, 2009 Topic: 3 Post: 18 Age:
38
Posted on:19th Mar 2009, 6:30am
Mare Wife Larti Rahte he
Je lekin wo shuro se hi mujhe alag ghar ka kahte rehe he, or mujhe apne khandan ke misalen dete rehe he ke wo bhi shahdi ke alag ho gayen falan bhi shahdi ke bad alag ho gayen hain, app kyen alag nahen rahte hain, app kabhi apne ghar walon ke chor nahen sakte hamare laye, apko hum se hamdardi nahen he, bat yah he ke usko kase ke bhi koi bat bardash nahen he, even ke agar koi bacha bhe kuch bol de to bolte he isko kase ne kuch sekha kar bheja he, main usko samjhata hon yar yah masoom bache hain inke bat ka notice nahen liya karo lekin wo bolte he app apne ghar walon ke himayat karte hain, maine usko samjhaya ke kuch bardash se kam lo yahan ahsa kuch nahen he, humain ab apne bache ka sochna chaye uske khater uske ache future ke khate, kyenqe aj kal rent ke ghar buhut costly hain or main itna afford nahen kar sakte, hain yahne mil kar rahain ge to kuch bachat ho gaye ge or wo hamre or hamre bache ke future ke laye kam aye ge, lekin uske zehan main thore deer ke laye to samajh ate hain , lekin phir wo he shuru kar dete hian, jab main office se ata hon is ne yan dekha isna yah kaha, even ke last time mare khandan main se mare karebi relative involve ho kar bat khatam karwaye or jab yah kuch bolte to main unse bol kar isko samjh wate tha, lekin ab ke dafa to unko bhi buhut bura bol kar gayen ab wo bhi bure ho gayen hain, abb mare ghar wale nahen chate ke wo wapis aye is ghar main, wo bolte hain tum uske sath rahna chate ho abhi bhi to kahen or rah lo is ghar main ab wo nahen aye ge, hamare ghar ka sukun kharab hota he, main apne bache ke ache future ke waja se usko chance dena chahta hon, lekin main darte hon wo phir ahse he karege to main is tension main kase uske laye or apne bache ke laye kuch kar sakte hon, aj kal to apko pata he ke job main kitne pareshani hote he, plz mujhe acha sa maswara dain ke main kiya karon mare ghar wale razi nahen ho rahin.
Dear Real love hope you are fine firstly mujahy lagat ha ap ki marriage
ya to love ha ya phir relative may ha 2ndly ma kali jee ki dom ki khuch
bato say itifaq zaror karat hoon lakin apnay experince k mutabiq bcz ma
b married hoon or murio shadi sirf 2 month rahi myri b same ap wali
gahr tornay,apni mother say j k kaho ma nay ya kam nahi karna wo nahi
karna ,jhoot bolna,batmizi karni,wali sotry thi but myri story may na
to baby ha na 2 saal lakin may nay theak waqat pa theak faisla liya
usay ghar say nikal diya,myaray in laws k behaviour b ap jaisa tha
lakin dost ma nay us ko 1 moqa dyna monasif=b nahi samjah jo shadi k
bad sirf 2 month may ya khuch kar sakta ha wo agay kiya karay ga jab
babay ho jaay ga wo usay blackmale k tor pa use karay gi or ma apwali
sitution may a jao ga isliya myray parenst apk parents ki tra cahahtay
hein give her one chance but i said no its a big risk.kahir ap ko myri
ya advise ha ap pehaly 2 moqay day chulay hoo 3sra risk mat loo apnay
ghar walo ki bat mano biwiya buhat si mik jaya gi magar parennts or
behan bahi nahi miltay.wo baz nahi aya gi kal ko ap k ghar walo pa or
koi ganda ilzam laga k chali jaya gi to tab kiya karo gay?????? ap ko
myra mashwara yahi ha ap nay ghar walo ki bat mano or apna ghar walo ko
kho myray liya 2psri lerki dikhay or un 2osri lerki walo ko apni sari
story such bato or phir jo tumharay bachay ko apnany ko tyar ho us say
shadi karo is ko isi hal may rehnay do ta k is ko shoar ki qadar aya k
batmizi kar k ghar nahi chora karat.or raha ap k in laws k asawal to
wo chup islaiya hein tak k tum un k ghar jao or wo tumhrai mazeed
bisti karay or tum say seurity lay k ayana hamari byti ko whaa koi
problem na ho gi.Dear jo lerkiya parenst ki guide line pa chalti ha wo
ghar nahi basa sakti or agar ap sochtay ho k un ki involement khtam ho
jaya to its impossible man.tumharay brother in law nay tumharay sath
aysa behave kue kiya tumhra nikkah un ki behan say howa ha tum zani
nahi, sharabi nahi,koi 2osri shadi nahi nikal aya phir wo aysa kue kar
rahay hein khudra apni izzat or apnay ghar walo ki izzat rakh lo ab b
waqat ah ,mard bano yar socho jo tumhari na ban saki wo tumhray bachay
ki kiya banay gi bacha to bap k hota ha na.or agar in sub bato k bad b
tumhara dil karat ha k tum us ko wapis lay k ayo to ya sirf or sirf
tumhara zatti faisla ho ga apnay aprenst k agin or agar khuch howa
future may to us k balame tum pa aya ga.phir b agar tum chaty to us ko
wapis lay ayo ya phir alag ghar may lay jao jaisa ap k parent nay k tum
b us k sath kahi chalay jao to dear agar tum alag gahr may b jatay ho
to kiya garuntee ha wo wah pa tum say jagra kar k wapis nahi jaya gi
zindgi buhat lambi ha dear na cahatay howay b life may ups & down
hein qismat may biwi to wo ha jo muskil waqat may sath day.pahir agar
tum us ko apnay he ghar may lana chahtay ho to phir us say kaho apnay
kisi bahi ya father ya kis reltive k sath a jao wapis ma nahi ayo ga
laynay or 1 time limit b day dayna us k bad kehna agar tum na ayi to na
tum nujahy call karna na ma daikho kitni tumhari aiitiat karti ha.tum
nay to nahi nikal tha na to phir us say kho khud he aya kal sham 7
bajay tak.baqi ma again kaho ga apna ghar bachayo aysi ourat say
Hazarat ALi nay farmya ha k bura dost say tanhayi achi ha.Agar tum ko
akyla b rehna paray to ya acha ha aysi ourat say i know i fourm pa myri
bat her kisi ko achi nahi lagay gi but ma nay ya sub apnay experince
say likha ha jo myray sath b howa.ALLAH nay mujhay to bacha liya in 2
month may hamara baby b nahi howa shaid qismat ko yahi manzoor tha.agar
tumhein khuch or pochna ho to do let me know any time.
ALLAH tumhein khushiya day or sakoon say raho or 1 bat gabrna mat jab
aysi sitution hoti ha 1 second b dimagh ko sakoon nahi atta her waqat
sochay ati hein k aysa kua howa lakin 5 waqat namaz paro tum suchay ho
or ALLAH suchya k sath ha ya hum her muslamn k iyman ha relax rakho
khud ko jo ho ga tumharay liya acha ho ga.ya sub jo hanri zindgi may
ups & down atay hein ya hamaray paiyda hotay he ALLAH likh daitay
hein to humein bus sabar karna chhaey is paer or DUA ya na karo k wo
wapis a jaya ya myri 2osri shadi ho bus ya akro ya ALLAH jo myra liya
acha ha wo mujhay atta farma ma ap k liya her namaz may dua karo ga
ALLAH apki ki parashni ko door farmaya or ap k liya or apk bachay k
liya or ap ki family k liya jo acha ha wo atta farmaay AMMEN SOM AMEEN
Group: Members Joined: 18th Mar, 2009 Topic: 3 Post: 18 Age:
38
Posted on:20th Mar 2009, 8:53am
Thanks
Ali Bhai apne sahi kaha he mare love marriage he, main apko yah bato ke unke ghar ka mahol sahe nahen he, unke bhai koi job nahen karte bus ghar par he pare rahte hain, or apne behnon ko bolte hain yah hamara ghar he nikle yahan se, father retired hain unka pasa bank main rakha he uska sood haram kha rahe hain or kuch nahen, yah log apne kase relatives se bhi nahen milte hain bus khushi or ghami main jate hain bus na unke ghar koi ata he, mujhe yah log nafsiyati marez late hain yah ahsas kamtari ka shikar, main bus is se he pareshan rahta hon ke mara bacha wahan adjust nahen ho sakta wo bhi wahan kharab ho gaye ga, main shoru se kafi sensetive hon or bachon se shuru se piyar karta hon, ab mera apna bacha mujh se door kar diya gaya he, main buhut azyat main hon, bus mujhe uske fikar lage rahte he. Ishe liya main usko ek moqa or dina chahta hon, mujhe unke ghar ke halat pata the ashe liya main shahdi ke ke uske us mahol se or unlogon se jan choro, lekin us maholl ne phir usko apne taraf khanch liya, kyenke wahan per koi job nahen karta sab apne marzi se uthte hain jo chahta he wo karte hain, mujhe yahi lagta he kyenke yahan per usko kam karna parta he time per so kar uthna parta he subha jaldi uthna parta he, zimedare he wahan per to sab ayashi kar rahe hain, kuch months pahle wo lar kar gaye the to phir hum ne uska kitchen bhi alag kar diya tha yahi first floor per jo kitchen ho usmain maine sab set kar ke acha wala American Kitchen bana kar diya or mare 1 bahbhi bhi hain upper floor per to wo bhi us main thora buhut kam karte hain, unka kahana pakana mare parents ke sath he, bus unka thora buhut saman upper ke kitchen main hain oven or juicer waghera, itna kuch kar ke diya phir bhi pata nahen usko kiya taklef the, wo bolte hain mare laye apne kuch nahen kiya mare kabhi himayat nahen ke, lekin yah jo howa he sab mare himayat ke bagher mumkin tha kiya?. phir bhi mujh pare ilzam he ke hum se muhabbat nahen he or apne ghar walon ke faver karte hain, ab app he batain main kiya chote chote baton pare ja kar unko bolta rahon, isse bhi uska he image kharab hoga ke har bat apne husband ko bolte he or yah larne aa jata he, yah sab bhi mane uske bhale ka liya kiya ke koi uska bura na bole, lekin phir bhi mare samajh nahen ata main buhut tension main ho, pata nahen main job kase kar raha hon mera zehan sun rahta he bus. plz suggest me.
Group: Members Joined: 08th Mar, 2009 Topic: 1 Post: 63 Age:
25
Posted on:20th Mar 2009, 10:07am
Reallove bro
Main apse ye kbhi bhi nahe kaho ge k ap apna ghar khrab kry meanz unko chor de han filhal na to ap apni bv ki bat suny or na he ghar walo ki may b apk ghar walo ka sulok bhi unk sath acha na ho lykn ap apny apko relax kry ye sab zindagi ka hisa hai himt mat hary apny ghar walo ko samjhay k agar wo bewqofi or but.tamizi per utar ai hai to wo apk or apk baby ki khatir brdasht kry or ap apni bv k sath koe contact na kry jo bhai or parents aj lad de k bigar rahy hai kal ko wohe tang ho gay unse or agr ab wo aany ka kehti hai to keh de k khud gae thi khud ao or agr wo aati hai to ap pehly he din kuch baty clear kar dejiy ga k ab ye ye bat main brdasht nahe kro ga unko is bat ka ehsas dilay k u love her alotzz lykn ghar ka sukon barbad krny waly k liy koe jagah nahe hai ap sokun ki khatir 2nd marriage bhi kr skty hai or is bat pe achi achi but.tmizo ko aqal aa jati hai or jab apk susral walo ko 1, 2 month baby n apki bv ki zroriyat pori krny pary ge or ikhrajat main izafa bura lagy ga phir wo khud he jany ka kahy gay ALLAH apki mdad kry amin
AOA,Hope you are fine reall bahi i can understand your situation but dear ma ya nahi kaho ga k agar tumhari love marraige thi to defeinatly tumhein un k ghar k hlat pata thay phir tum nay shadi kue kii bcz ma khud ya kam ker chuka hoon mujay b un k ghar ka sub pata tha lakin kehtayhein na LOVE is blind so ma nay or tum nay b dokha khaya or najanay or kitnay hum jasisay blind lovers nay asal may bat ya ha k hum log sochtay hein k hamra talaq ko lerki say ha agar wo hamaray sath theak ha to humein kiya lyna inlaws say hum apnay ghar may lan lord hein khud lakin hum galat hotay hein parants or ghar k mahol or tarbiyat ka asar hota ha bilkul.lerki b usi mentailty ki hoti ha.Daikho yar wo apnay ghar may 12 bajay so k uthi ho gi yaha us ko 7-8 bajay utnha pata ho ga kam karnay partay ho gay waha us ko paka pakya khana mil jata ho ga.us k liya tumhara ghar dozak lagta ho ga lakin ASAL may yahi he yani tunhara ghar uski JANNAT ha.PATA jahanum may ourto ki sub say zayda tadad kue ha jab wo apnay husbund say kehti hein tum nay myray liya kya kiya ha mujhay kiya diya ha.so jo howa us pay sabar sukar karo.agar alag ghar b layaty ho subha office jao gay wo sakoon say uthay gi na koi kam karay gi or sham may fone kar day gi tumhein myray liy b rat ka khana laytay ana.phir kiya karo gay.ma samjh sakta hoon tum nay apna ghar basanay k liya efforts ki hein even kichen b alag ker liya ha tum ALLAH k ha to suchay hoo na ab wo he kisi cheez pa compromise nahi kerna chahti to kiya ho sakta ha.Office may personal problems ko mat soha karo us say office work disturb ho ga or ho sakta ha managment b ap say na khush ho jaya so office work puri attenion say karo.Daikho yar ma nahi kehta tension wali koi bat nahi ha tension wali bat to ha ma khud is sitition say guzar raha hoon so i can understand well.Baqi rahi bat bachay ki to us say apna bacha wapis lo or apni mother say kaho is ko sambhaly or 2osri lerki daikho tab tak.ya phir agar cahhaty ho isay 1 chance do to hir us say kaho khud aya wapis ma nahi ayo ga zayda lambi bat mat karo us say just in short phone pa ya kaho.lakin tumari problem ya b ha k tumharay ghar walay nahi man rhaya to bus theak ha us ko farig karo.or khud ko relax rakho is sitition may insan ka dil kerta ha ma khud khushi ker lo lakin dear sabar say kam lo ALLAH SABAR karnay walo k sath ha.or rahi bat rochni ki to us nat theak kha ha k wo lo sood khatay hein job ha nahi to wo khud he is say tang a jaya gay magar atleat 6 month tak itni jaldi nahi so sabar karo or relax raha karo.5 waqat namaz paro ALLAH jo kerta ha wo behtar hota ha is may ALLAH ki merzi shamil ha bus dua kiya karo jo tumhray liy aacha ha tum ko mil jaya.ALLAH tumhari muskil hal karay.koi bat howa karay to poch liya karo.
Group: Members Joined: 18th Mar, 2009 Topic: 3 Post: 18 Age:
38
Posted on:21st Mar 2009, 6:27am
Thanks for reply
je app sahe kah rehe hain maine kab apne ghar walon ke sunni, agar main apne ghar walon ke bat sunta to aj kuch or he hota uske sath, lekin main sirf usko samjhata tha ke yar dekho agar koi kuch bolta bhi he to us se istarhan react nahen karte kyenke hamain sath rahna hota he, is tarhan agar tum itna sakht react karo gi to sath rahan muskhil ho gaye ga, sath rahte hain to aj ya kal wo ya hum unka kam aa sakte hain islaye sath rahna he o is tarhan react nahen karna chaye, wo log jhot itna bolte hain ke hum ne iska kuch nahen bola hum iske kam main mudakhlat nahen karte, lekin wo din main 20 phone karte he, us din usne mare samne phone kar ke apne ghar walon ko bolo yah ahse hain lekin unke kase ghar wale ne nahen bola ke yah tum kiya kar rahe ho khamosh ho jao, ab wo mujhe bolte he ke maine iske izat nahen karwaye, agar main iske himayat karta to kase ko mujhe bolne ke himmat nahen hote, tum ne mare sath nahen diya mare thore himayat nahen ke, maine konse himayat nehen ke uske kahne par larta rahta to wo thek rahte, lekin main kabtak larta rahta uske yah to adat he ban gayen the, sari bat yah the ke usko kuch bardash nahen tha bus koi kuch na bole jo karna he karte raho chahe ghalat he kyen na ho, dusra mujha app logon se yah pochna he ke, kiya har larki ahse he love karte he, sirf apne he khushi or mofadat ke laye chahe uske laye larka ko kitne he taklef kyen na de lekin apne zaroratein usse zabardasti or bat pore karen, lekin main to yah samajhta hon mohabbat be gharz hote he or undhe hote he, is man agar love karene wale ko ak pin bhi chub jaye to taklef khud ko mahsos hote he, lekin yahan to main dekh raha hon apne liya kuch bhi ho bus hasil karna he chaye uske laye larka jan se hi kyen na chala jaye. MERA SAWAL HE KE MUHBBAT KIYA HE, KIYA MUHABBAT AHSE HE HOTE HE.?
Group: Members Joined: 18th Mar, 2009 Topic: 3 Post: 18 Age:
38
Posted on:21st Mar 2009, 6:36am
Thanks for reply
or han main yah bat apko batana chahte hon ke , yah bat to main manta hon ke wo mare khane pane ka to khiyal karte the, jab se alag howe the, wo mujhe khana paka kar to dette the,yah chez to man manta hon, lekin maine bhi uske liya koi kasar nahen utha rakhe, usko ache se ache shopping karwata, ek se ek chez la kar deta, hoteling karwata, bahar ghomane le kar jata, log aj khud bolte hain jab bhi hum ne usko dekha ach pahne howe dekha acha khate howe dekha, phir kiya howa usko, lekin jab maine usko bola to wo bolte he ke apne jo kiya thek he lekin mare izzat nahen ke mare himayat nahen ke, yah to har mard karta he orat ke khiyal. lekin usko mare izzat ka janaza nazar nahen ata ke mare kiya izzat rah gaye, khandan main ghar main or area main, sab jaga to tamsha bana diya, yaqeen karen main isko samjhata tha ke izzat bhut aham hote he, ek chale jaye to buhut mahnat se wapis ate he, mara khandan main ek izzat the, lekin aj main kase ko face nahen kar pata is waja se, mare sare mehnat aj matti main mil gaye he.
pagal mat bano or ya pyar wyar k chakar choor do ya sub bakwas ha aj k door may her koi matlbi ha.ma ya nahi kehta 100 ma say 100 lerkiya sucha pyar nahi kerti ha kerti zaroor hein lakin 100 ma say 7 bus.
Asal may pata ha tumhein hum jasiao ki problem ya ha k love marraige may hum apni fince ko shadi say pehlay apany baaray may sub bata daitay hein pyar k bhoot swar jo hota ha or apnay ghar walo k baray may b bata daitay hein or is tara ki lerkiya shadi k bad hum jaisay ki band baja daity hein.
sucha pyar aj b kerti hein wifes jo apnay husbund pa 1 anch nahi anay daitiy or agar usay koi khuch khay to wo mar mithi hein.Asal bat ya ha k lerki k ghar yani hamaray susral may hamari izzat karwana hamari wife k kam hota ha lakin agar wife he ap ki izzat ka janaza niklwa day apnay brothers or parents say to wha ap kiya karo gay.
kahir aj kal ki lerkiya bus ya chahati hein humhein saas khuch na khay kam karay ya na karay hum,or apnay ghar rooz phone karay or lerki ki mother to jaisay bheti he phone pa online hoti ha mashwaray dynay k liya k ab ya karo,sham ko ya karna.kal ya karna ,parso ghar ana,or husbunds ay kaho ghar alag lay,etc........... samjh may nahi kue nahi rehnay daithy khush un ko apnay gharo may??????
khair tum kue fikar karaty ho tum kue logo say nahi miltay daikho tum larkay walay ho k sharma rahay hoo is tara to tum apnay ap ko khatam kar loo gay,apnay ap ko relax rakho dosto say mila karo gomma karo enjoy your life us ourat ki waja say 1 kamray may bund mat raha karo or khana time pa khaya karo or zayda socha mat karo.
wo lerki walay ho k un ko apni izzat ka khayl nahi to tum un baysharm logo ki waja say kue parashan hotay hoo????????tumharay khandan or us k khandan may buhat ferk ha ap izzat dar loog ho kue un say fiture may wasta rakh k mazzed problems karna chhatay hoo.apna bacha lo us say wapis pyar say ya court say or us khandan say rishta tor lo or apnay khandan may izzzat say new shadi karo.
agar wo tum ko time pa khan daiti thi to jab tum nay alag kichen bana diya tha to kiya ab b na pakti to tumhein saaf pata chal jata she is not fair with you is laiya jab us nay daikha ab to mujhay kam karnay par rahay hein ab kiya karo.to wo tum say bilawaja jagra kar k or ulta seedha bol k chali gayi.ya koi tarqqa nahi ha jis tara wo gayi ha.
Or rahi bat sensitve honay ki to her insan apnay bachay k baray may hota ha senstive or us say pyar karat ha.tuhein kon kehta ha usay us khanadan may do apni wife say kaho mujhay wapis day ya courat say lo us say zayda behas mat karo.
ap apni wife say ya pocho tumhari nazar may izzat karnwana or himayat karna kiya ha mray khayal say to wo cahahti thi tum apnay parents say laro or apni bhabi ko bura bhala kaho ta k wo tuhara dil jeetay or tum usay lay k ghar say chalay jao zahir si bat ha jab tum apnay ghar walo say us k liya laro gay to wo khud he tum say khay gay k tum 2ono alag ho jayo. wo ya chahati ha ma nay pehlay b kha tha biwiya buhat si mil jati hein lakin parenst or bahi behan nahi miltay.aj wo tumhein choor gayi ha sukar karo abi tumhar pas sub hein parents hein kal agar alag ho gay na yaha k raho gay na waha k.abi b khoosh k nahkoon loo or us say jan chorwa lo apnay ghar walo ki bat man lo sahdi say pehlay to kisi ki na suni ab un ki man lo sub theak ho jaya ga.
agay tumhari apni merzi ma again kaho g apnay ap ko relax rakho or apni wife ki tarf daikh k jeena sikho wo b to tum bin reh rahi ha 1 baywafa k liya kiya gum karna.us ko apnay dimag say nikal do or future ko daikho.Baqi post ab ma tum ko 24 march ko karo ga my office time time is giong to end apna khayal rakhna have a nice weekend enjoy yourself GOD BLEES YOU> TAKE CARE ALLAH HAFIZ
Group: Members Joined: 03rd Mar, 2009 Topic: 4 Post: 12 Age:
25
Posted on:21st Mar 2009, 10:58am
AoA
mai ny taqriban sub k comments parhy hr insan apny hisab sy thek hy ap ny bataya hy k wo ap sy larti hy or kehti hy k ghar alag chahye plz dont mind ghar alag ly kr dany ka mutalba jaiz hy os ka han ager apka or koi bhai nai hy to ap apny maa baap ko chor k na jao or jana nai chahty to apny parents k qareeb ghar ly lo ta k on sy millty raho
actully miya biwi ka rishta to asmano pr bana hy baqi rishty to bad k hy ap k pass paisa hy ap apni familly ko b do or wife ko b han abi ap ko sath mai din he kitny hoay hy bus 2 sal 1 dosry ko moqa do samajny ka
or jaha tak oski familly ki bat hy k wo waha call kr k batati hy wo os k parnts ki galti hy jo sonty hy or ap ki b galti hy ap ko chahye os ko atmad mai lo or kaho k jo kuch b ho mujy bataya kro or wo b tab jb ap log ghar sy bahir ho os ki baty sonu pr dil pr na lo or jo ap k khandan waly ap ko baty krty hy on ki biya b on ko sub baty batati ho gi bus log asy chalak hoty hy bataty nai hy
bivi ki bat suno 1 kan sy or dosry sy nikal do pata kya is tarha wo apny ghar walo sy bat krna kam ho jy gi q k os k dil ko bojh halka ho jy ga or kisi ko batay gi nai to koi sikhay ga kesy or ghar ki bat ghar mai reh jay gi
parents ko bohot pyar kro on ka darja bohot baland hy pr on ki koi b bat koi b tareef ya burai wife sy na kro
wife ko busy kr do din mai 2 sy 3 ganty ta k os ka damag ghar ki bajay bahir kissi kam mai lagy baqi to sub thek hy ap os ka khyal rakhty ho wo ap rakhti hy or tension na ly ye kahani ghar ghar ki hy Allah sub ko khush rakhy
Group: Members Joined: 18th Mar, 2009 Topic: 3 Post: 18 Age:
38
Posted on:24th Mar 2009, 8:45am
AOA
Thanks for your comments, leking mare ab usse se bat howe or uske father se to wo bol rahe hain hum mafe mangtte hain, sub mafi mangte hain ab ahsa nahen hoga, ayneda hamare se taluk nahen rakhan, na he hum phone karenge bus sal main 1 ya 2 bar phone karke kheryat poch lange, or mane bhi use bola tum ne mare atemad to thesss phunchaye he tum mare or mare ghar ke sare baten apne ghar per kyen bata te then, to usne bol main ghalte par the abb ahsa nahen karonge, lekin ab mera main masla yah he ke ab mare ghar wale nahen chahte ke wo is ghar main aye, na wo mujh se mare bache ka pochte hain na he wo wife ke khar kharyat pochte hain, bus sab khamosh hain, plz app log batayne ke ab man kiya karo ke mare ghar wale razi ho gayen, kiya wo log ab bhi razi ho sakte hain? koi tareqa ho sakta he. main qunke rent par jana nahen chahta mujhe pata he he ke buhut mushkil he aj kal yah sab afford karna phir bache ka kharcha bhi barhe ga schooling or dusre kharche, to zindagi or mushkil or chelanging ho gaye ge, main yah darta hon khan phir kase muskil main na phuns jayon, private job he islaye itna bara kadam uthate howe dar lagta he, mare baki family bhi ahse nahen ke khudana khasta koi muskhil aye to sath dain , mujhe nahen lagta ke mare jane ke bad wo log koi contact rakhen ge. plz mujhe batain main kiya or kase step lon.
ma ab bi tum say kaho ga biwiya hazar mil jaya gi tumhein apnay parents ki bat manai chahey agay tumhari merzi but let me tell you 1 thing its a very very big risk which you are going to take against your parents
har insan ki apni jaga hoti hae aur har realtion ki bhi. parents apni aulad se beshak bohat mohbbat karte hain lekin woh is mohabbat ko azaab kyun bana detay hain aulad k liye? aap log yeh bhi to dekhain k jis tarah mard k parents us pe paisa kharch karte hain aur mushkil se paalte aur tarbiyat karte hain isi tarah laRki k parents bhi apni bachi ki parwarish karte hain phir laRke wale yeh kyun expect karte hain k larki ate hi susral walon ki khidmat main jut jaye apnay parents ko bhool jaye aur us k parents us ka haal ehwaal bhi na poochain. BV k liye sirf us k husband ka haq hae . agar us ki zarooriyat( jismani) poori nahi karti to jawab deh hae warna apnay shohar ki khidmat bhi us ka farz nahi shhohar apna kaam khud kare aur agar bv khidmat guzar hae to us ka shukar guzar bhi ho. parents ki khidmat aulad pe farz hae unhon ne betay ko pala hae bahoo ko nahi. isliye agar parents ki waja se bv k sath na insafi ki to usay bhi jawab dena hoga.
kal ko agar aap ki aulad(beti) k susral walon ka yehi rawaiya ho to phir? bv ko mohabbat karne k liye ghar laien usay istemal k liye nahi. mohabbat ka beej boien gay to mohabbat hi paien gay. khaar bo kar phoolon ki tamanna mat kiya karain plzzz.
Miss zara ys kis hadees may likha ha kiya ap koi refernce day sakti
hein shoar ko ALLAH nay buhat izzat or maqam diya ha surat NISSAH may
likha ha mard ourat pa hakim ha "apnay shohar ki khidmat bhi us ka farz nahi shhohar apna kaam khud kare" Madam ap abi unmarrried hein or or jiis country may hein ap wah aysa hota ho ga lakin yaha pakisatn or ksi islamic country ya islamic ghar may nahi hota.agar 1 ourat galat ha to usay wapis la k sara ghar khrab kar lay 1 insan ya kha k insaf ha wo pehaly b 2 moqay day chuka ha or shaid ap bhool rahi hein is post may lerki nay husbund ki insul ki or ghar chor k chali gaya.aray mard ko to ourat ka majazi KHUDA kha gay ha or ALLAH k bad agar sajjda hota to wo apnay shohar ko hota.or ourat pa sub say zayda haq b mard k hota ha na us k parents ka.Ap apni soch ko change karo or quran hadees ka mutalya karo agar future may shadi karni ha or happy marraige life guzarni ha.
ma ap ko 1 bat bata do mard ko sirf ourat k jism say pyar nahi hota sub say bara us ko mentaly sakoon chahey hota ha agar wo ha to baqi sub theak ha or agar wo ghar may nahi ha to jism bazar may 100 rupees ka b mil jata ha.Mard apni biwi say zahni sakoon chhta ha wo us ki or us k ghar walo ki izzat ka khayal karay.na k is ghar ko her choti bat apnay ghar karay aj us nay mujhay ya kha aj us nay wo.or jab kisi choti bat may baray shamil ho jaya to wo bat bi bari ho jati ha
Group: Members Joined: 18th Mar, 2009 Topic: 3 Post: 18 Age:
38
Posted on:27th Mar 2009, 10:15am
One more thing
Ek bat or main jo ab ko batana chahta hon ke, jab pahle dafa wo ghar gaye the to phir uske parents le kar aa gye the, lekin jab wo gaye to mare ghar walon ne mujhe bola ke yah is tarhan karte he isko chor do us waqt sirf 2 month he howe the, yah bat usko pat chal gaye ke yah log chorne ka kah rahe hain, phir bat cheet ho kar wo aa gayen ishe tarhan 2nd time per bhi howa or is dafa bhi mare ghar walon ne wo he kaha ke isko chor do yah ahse he karte rahe ge, phir bat cheet howe bare bethe or sab ne mil kar faisal kiya or wo dubara aa gaye, phir 3rd time bhi yahi how wo gaye or mare ghar walon ne bola ke ab to isko chor do yah ab is ghar main nahen aa sakte. mera yah sawal he ke jab sirf 2 months he howe the us time bhi ghar walon ne bola chor do ab 2 sal bad bhi wo whi bat karte hain, mera kahna yah he ke jab uske samne 2 months main he yah bat aa gaye ke yah log chorwana cha rahe hain to wo bad zan ho gayen unlogin se, mere samajh main yah ek reason ata he ke uske sath yah ziyatti howe he ya nahen? yahi sawal main apne ghar walon se pochta hon to wo bolte hain iska demagh kharab ho gaya he yag ahse he bakwas karta he/
bari lumbi story hai yaar tumhari ..khiar ya aik common issue hai, but buhat takleef day hai, i know .....yaar jee only one simple solution after reading all that kay , jo howa soo howa... rishtay aisay bantay hain aur na hee aisay simply toray jatay haig... forget all... apnay parents ko razi kurlooo..ho jayeaain gay , ya bhee aik fun hai...and then bring ur wife home , aur kiseee bhee puranai baat ka ziker kurnay kiee koi zarorat nahee hai... just give it a try... u r not gone that far..so make it up... ...yahee aik solution hai aur tumhain akhir main yahee kurna peray ga, so why not now...
reall love you are wrong ap k gahr walay theak hein us k sath zayti nahi hoyi wo apni jaga theak hein uno nay 2 month bad bi theak kha tha or aj 2 sall b theak keh rahay hein us ki fikar mat karo us k sath zayti hoyi ha apnay parent ki izzat ko daikho yar agar ya 1stime hota to ma ap ko yahi mashwara dayta k ap apni wife ko cahnce day lakin ap nay 3 chance day diya hein so waste your time
acha ya batay apki 1 spreation kab or kis bat pa hoyi thi or sulah kitnay month bad hoyi thi??????
phir isi tara 2nd or 3 rd ka detail may natay zara????????????
Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.