Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

 
 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic |Forum | Health| Sex | General | Site Map
Men Health | Women Health | Procedure| Pakistani Matrmonial | Videos
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married | Quran & Hadith dos n dont Download
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
 
    Start New Topic  My Profile
 

Kiya Kisi Nay Real Jinn Dekha Hey?

Religion and Culture   >>  Cultural Issus and Religion
 
 
 
saima arif Group: Members  Joined: 26th Mar, 2008  Topic: 10  Post: 401  Age:  35  
Posted on:9th Apr 2008, 6:45am
 

Kiya Kisi Nay Real Jinn Dekha Hey?

Mujhey yea pochna hey kay kiya kisi ney real jinn dekha hey or wo kesa lagta hey.Plz sahi sahi jawab day.

Thax

goodman Group: Members  Joined: 11th Oct, 2007  Topic: 59  Post: 7295  Age:  32  
Posted on:9th Apr 2008, 7:42am
 

BAHI MA NAY NAHI DEKHAY

Miss saima jee ma nay too Jin nahi dekhay wasay ma nay CHARALAY dekhi ha.Aur forum per ma nay serif KACHI SABZ MERCH DEKHI HA.
BeautyStar Group: Members  Joined: 16th May, 2007  Topic: 52  Post: 3598  Age:  26  
Posted on:9th Apr 2008, 7:52am
 

Jinnat

I am sure hum sab ne Jinnat dekhey hain magar hum ma se koi bhi unhain pechan nahi sakta... buhat kam loog hi unhain pechan sakte hain.. Jinnat Insaanoon or Janwaroon donon ki shakal ma hote hain... Bas hum unhain pechan nahi sakte k yah Jinnat hain ya phir Insaan ya phir Janwar aur Jinnat ma farq nahi kar saktey... Bas hum jab kabhi Sunsaan jagah per dekh lete hoo tab hi hamaiyn pata lagta hai k woh Jinnat hain.. Otherwise hum agar Crowd wali jagah ma dekhein gaey tou nahi pata lagta hai.

Insaan Jinnat aur Insaan ya phir Jinnat & Janwar ma farq nahi karsakta hai kyun k ALLAH ne uss ki Eyes ma woh power nahi dein hain... Lekin kuch Insaanoon k pass yah power hote hain.. Lekin har Janwar Jinnat ko dekh sakta hai.

Jinnat k qissaey ko yahien khatam kardein kyun k eak bar pehley bhi Jinnat ka zikar howa tha jiss k natejet ma Forum se Replies gaeb ho gaey the... aur Forum per kisi Jinnat ka saayah aagaya tha... Yaqeen nahi aatah tou Members se pooch lein.. (lol)
My Reply Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 2  Post: 2181  Age:  45  
Posted on:10th Apr 2008, 5:19am
 

visual halucination

mazhabi nuqta nigah se ho sakta hai keh jinn nazar aata ho.

lekin medical nuqta nazar se aisa nahi hota. jin logo ne bhi jinn dekhne ki baat ki hai, jab os ka psychoanalysis kia gia tu maloom hua keh ose visual halucination hota hai. visual halucination brain mai aik chemical dopamin ki ziadti ki wajah se hota hai. aise logo ko jab brain mai dopamin kam kerne ki medicine di gayee tu onhai jinn nazar aana band ho gia. isi tarah jab woh medicine lena band ker dete tu phir onhai dobara jinn nazar aane lagta jo ke medicine lene per dobara khatam ho jaata.
saima arif Group: Members  Joined: 26th Mar, 2008  Topic: 10  Post: 401  Age:  35  
Posted on:11th Apr 2008, 6:25am
 

My reply

App nay theak kaha kay sometimes people halucinate magar,agar yea halucination hota to hazrat Yunis jinnat say batay na kartey.Ajj ka ki scince study ka kiya wo aik din study kartey hay or kuch din kay bad kahtey hay kay hamari study galat thi.Jo cheez Quran may hey wo to 100% sahi hay.

According to Quran

Quran may 1400 so sal pahley kah diya gaya tha kay Allah ki 1 nahi bhoot sari makhlooq hay magar study ab hum ko bata rahi hay kay shyad there is life on other planit.Wasy mary khyal may doctors ko agar kisi bat ka pata nahi hota to wo isay halucination ka nam day kar medicin dena shro kar detey hay.Ho sakta hay kay kisi ko halucination bhi hoti ho.

I mean

Planet

Thanx

Thanx all the members for reply
builder Group: Members  Joined: 07th Apr, 2008  Topic: 5  Post: 213  Age:  31  
Posted on:11th Apr 2008, 6:37am
 

saima

main ne dekhay hain mere sath kaafi waqyaat howay hain esay aur friends aap ko herat hogi k k jab main chhota tha yani larakpan main to mujhe ek jinn ne awaz di thi mera naam lekar aur usay mere sath mere ek cousin ne bi dekha tha main aap ko pori baat batata hun.

main aur mera cousin waleema dinner kha kar marriage hall k bahir kharay thay k mujhe awaz aayi (mera naam pukara kisi ne) main ne apne cousin ko dekha phir dobara awaz aayi (mera naam pukara) main ne idher udher dekha awaaz peechhay se aayi thi main ne nazrain gumayeen to electric poll par bilkul uper koi kala sa admi kharha tha aur wo insan bilkul nahi tha main to heran ho gaya us ne phir mera naam pukara aur kaha yahaan aao bas usi waqt mere sath mere cousin ne bi usay dekha aur ham dar kar bhaag gaye wahaan se. ham aaj bi wo baat yaad kartay hain to heran ho jaty hain is k ilawa main ne ek jin ya chhurail ki bilkul 100% real picter bi dekhi hay.

zeb Group: Members  Joined: 18th Aug, 2007  Topic: 114  Post: 13610  Age:  32  
Posted on:11th Apr 2008, 6:44am
 

builder

han yar ye bi ek Allah ki makhlook hotey hain

aur ye bat ghalat hai k jin aur chraileyn nahi hotin...

kafi interesting aur darwni bat batai hai tum ne

acha ye batao k picture kahan dekhi tum ne??????

builder Group: Members  Joined: 07th Apr, 2008  Topic: 5  Post: 213  Age:  31  
Posted on:11th Apr 2008, 6:46am
 

real picter of jin or jinni

mere ek friend hain hussain un k bhai apne friends k sath murree gaye thay wahaan se wapis aatay howay un ki party main ek larka tha wo kuch ajeeb tarah se inteqaal kar gaya bus main hee jab wo log karachi aarahy thay karachi main investigation hoi jab us larkay ki dead body ka post partom kia gaya to pata chala k us ka heart hee nahi tha jese kisi ne ander se gaaib kar dia ho , bahar haal mukhtasir ye k unhon ne jo photos nikalay thay un ka jab print nikalwaya gaya to wahi larka jis ki death hoi thi us ki ek picter main us k peechhay ek jinn ya jinni hay wo bilkul clear aayi hay koi tree hay us k neechhay larka kharha hay aur peechhay wo jin ya jinni hay jis ki aankhain ajeeb si hain aap yaqeen karain picter dekhne se esa feel hota hay jese wo aankhain aap ko dekh rahi hain aur baal ajeeb se lambay lambay chehra lambootra aur jism wazeh nahi dikhta sirf white white sa dhundla dikhta hay jese us ka koi libaas ho ,

us party main ek larka mere dost hussain nagori ka bhai tha usi se hamain ye baat maloom hoi.

saima arif Group: Members  Joined: 26th Mar, 2008  Topic: 10  Post: 401  Age:  35  
Posted on:11th Apr 2008, 6:51am
 

builder

App ki bat sun kar dar say ziyada hansi a rahi hay
builder Group: Members  Joined: 07th Apr, 2008  Topic: 5  Post: 213  Age:  31  
Posted on:11th Apr 2008, 6:55am
 

saima ye baat sach hay

ye baat sach hay wo picter koi graphic nahi thi aur hamain direct unhi se mili hay jin k sath ye qisa howa hay and listen mere sath itni kasrat se esay waqyaat howay hain k mujhe ye sab cheezain ajeeb nahi lagti hain meri ek site k paas ek bachay ki death jinaat k hathon hoi thi usay logon ne apni aankhon se dekha tha koi usay patakh raha tha laikin dikh nahi raha tha us bachay ki hadyaan toot gayeen aur inteqaal ho gaya us ka us ka janaza mere samne nikla .
zeb Group: Members  Joined: 18th Aug, 2007  Topic: 114  Post: 13610  Age:  32  
Posted on:11th Apr 2008, 7:00am
 

builder

Allah muaaf kerey yar

builder Group: Members  Joined: 07th Apr, 2008  Topic: 5  Post: 213  Age:  31  
Posted on:11th Apr 2008, 7:05am
 

zaeb and saima

yaar jinaat main 2 qism k jin hotay hain achhay bi aur buray bi mere paas ek video hay jis main ek jin masjid main numaaz parh raha hay bilkul real video hay wo sahi se dikh nahi raha samjhain wo sahi se samajh nahi aaraha k wo kia cheez hay laikin sab log mojood hain aur sab dekh rahy hain itna samajh aaraha hay k wo jo bi hay numaaz parh raha hay ek aur video hay mere paas jis main ek football player ki bilkul match k doran ek jin dhulayi kar raha hay bilkul usi tarah usay patakh raha hay jis tarah us bachay k baray main log kehtay hain jis ka inteqal ho gaya tha. aap logon ko kisi tarah main wo videos de sakon to mujhe aap bata dein flv format par hain wo.
builder Group: Members  Joined: 07th Apr, 2008  Topic: 5  Post: 213  Age:  31  
Posted on:11th Apr 2008, 7:08am
 

aray yaar

us bachay k sath bi ye hadsa football match k doran howa tha.
saima arif Group: Members  Joined: 26th Mar, 2008  Topic: 10  Post: 401  Age:  35  
Posted on:11th Apr 2008, 7:08am
 

Builder

Mujhey picture wali bat par nahi hasi a rahi jo app ko kisi nay awaz di thi uss bat par a rahi hay
zeb Group: Members  Joined: 18th Aug, 2007  Topic: 114  Post: 13610  Age:  32  
Posted on:11th Apr 2008, 7:09am
 

builder

han yar...ye to tum ne sahi kaha hai k kuch jin achay hotey hain aur kuch buray

aur han...u r right....main ne bi ye dono videos dekhi hui hain

1 video mein jin namaz perh rha hai....us mein carpet means kaleen hai jo namaz perh raha hai aur sub log usey dekh rahey hain

aur second video mein footbal wlai bi dekhi hai main ne

sunehri76 Group: Members  Joined: 04th Aug, 2007  Topic: 99  Post: 4664  Age:  37  
Posted on:11th Apr 2008, 7:57am
 

builder

ap jis video ki bat kar rahe hain,jisme jin namaz parh raha hai wo maine bhi dekhi hai..but mujhe dekh kar bhi yaqeen nahi aya....

becuase this is fact humain jin nazar nahi ate,aur na hi ye nazar ata hai ke wo kya kar rahe hain..wo kuch fake hi tha

hussain ja Group: Members  Joined: 06th Dec, 2007  Topic: 8  Post: 222  Age:  26  
Posted on:11th Apr 2008, 8:55am
 

ye such hai

ye bilkul such hai ki jin or churlli hoti hai,,mary saat b kuch aisa hi huwa tha

hamary gaoun(kashmire) may ek pagal huwa karta tha,wo hamry ghar k saat hi rehta tha un k ghar waly raat ko hamry ghar aty thy or usy b saat lyty thy ya baher say kundi laga k us ghar may chor aty thy,or wo jo pagal tha wo subah ghar say nikhlata tha or raat dher say ghar ata tha,ager usy rokhni ki koshis karty tu wo sub ko marta or baag jata,is liye ghar waly b na rokhty thy,,kabi kabi wo der say ghar puncha tha  bas ek routin thi subah nikhlat tha or raat ko ghar ata tha,,,,,ek din may raat ko(taqiran 9 bajy)ghar ki taraf araha tha ki rasty may wo(pagal) mujy mila,us ka  naam Rizwan tha may us say batain karty huwa ghar ki tarfa arha th,may tu us rizwan hi samaj raha th,,hum dounoun ghar agaye or wo apny ghar ki tarf chala gyae or may apny ghar,jab may ghar puncha tu wo pagal mary hi ghar may apny ghar waloun k saat betha hai,,may us waqt etna bara b nahi tha or usy dekhty hi may bahosh hogiya(hahhaha)jab meri ankh khuli tu may ek molivi k pas tha jo QURAN parh k much per foonk raha tha,,ghar waloun nay pucha tu may nay sub bata diya,,
may tu usy rizwan hi samaj raha th likain wo ek jin tha jo  rizwan ki shakal may ay atha,,

My Reply Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 2  Post: 2181  Age:  45  
Posted on:11th Apr 2008, 11:33pm
 

Jinnat: mazhabi aqeeda aur science

Saima arif: mazhabi aqeeda aur science mai kafi farq hai. science apni ghalti tasleem kerta hai jab keh mazhabi aqeeda apni ghalti tasleem nahi kerte. mukhtalif mazhab  ki mukhtalif theory hai jo keh zahir hai keh sab ki sab sahi nahi ho sakti. science generally ghalt nahi hota balke woh purane theory ka new edition ziadah achche andaz mai bian kerta hai. jaisa keh aaj se 50 saal qabal ki technology se kahi behter aaj ki technology hai.

lehaza aap science aur mazhabi aqeeda ka muqabla na kare. jis tarah aap ko yaqeen hai keh Quraan 100% theek hai aur Islam ke muqabla mai doosre mazahib 100% theek nahi hai. bilkul isi tarah doosre mazahib wale bhi Islam aur Islami aqeeda ko 100% theek nahi samajhte.

lehaza Jinnat aur jinnat jaisi makhlooq ka mukhtalif mazhab mai apne andaz se zikir hai, jab keh science ki nazar mai yeh sab kuch brain function hai jis ko halucination kehte hai.

hussain ja: aap kisi nafsiati hospital chale jaaye, aap ki story se milti julti beshumar story wale log mil jaaye ge. in sab ka ilaj medicine ya psychotherapy se hota hai.
known_boy Group: Members  Joined: 25th Sep, 2007  Topic: 4  Post: 87  Age:  27  
Posted on:11th Apr 2008, 11:49pm
 

@builder

aap ne jo friend k bhai wali baat ki hy jis ka heart ghayb ho gya tha. wo picture me ne b dekhi hy. yar kuch ajib see pic thi. jahan se b us jini ko dekho aisa lagta hy tumhe hi dekh rhi hein. dont know kia majra hy. sach hy ya jhut Khuda jaane.


log kehte hyn k jino ki tasvir nahi aati lkin agr kahin par polution ho yaa diwan ho or wahan per pic lee jaye to jin ka shade aajata hy or aisa boht dafa huwa hy.

or jahan tak halucination ki baat hy to mey ne ik website mey para tha k bohot se log jino ko nhi dekh patey kun k un ki aankhen itni powerful nhi hoti or ye khas logo ko nazr aati hyn jo yaa to boht ibadat guzar hote hein ya jo paak nhi hote hein.

or aise logo mey halucination ki problem hoti hy. i m not sure kuch is tarah hi baat thi lkin mey batane mey ghalat ho gaya ya shayd bhul gya.
builder Group: Members  Joined: 07th Apr, 2008  Topic: 5  Post: 213  Age:  31  
Posted on:11th Apr 2008, 12:21pm
 

my reply

aap ka jis mazhab se taluk hay aap us mazhab ki community join karain yahaan quran k mannay walay islam k mannay walay hain sab , aap ko apne views bayan karne ka haq hay aap apne ham khayal log dhondain yahaan fitna na phelain.
1 2 3 4 5  >>
 
 
 
Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
Pakistani Urdu Magazine Pakistani Matrimonial Seo In Urdu World Information Pakistan Information Sehat In Urdu
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact UsLast Updated: 28th March 2013