Urdu Poetry: Ghalat Fehmi
yeh mumkin hai, hamare darmiyan koi ghalat fehmi bhi na rehti, jo apne dil mai choti si khalish hai, khatam ho jati, bata deta ke mujh ko aaj bhi us ki zaroorat hai, jo es jeewan ka haasil hai, to bas us ki mohabbat hai. bata deta ke logon ki sabhi batein fasaney hain, sabhi qisse puraney hain, mai keh deta, zara si baat par yun roothna acha nahi hota, mohabbat mai ghalat fehmi to ho sakti hai, par jhagra nahi hota, mai har ek baat keh deta, mai us ka haath pakre yunhi us ka ham-qadam rahta, woh aage haath to karta........!!! woh mujh se baat to karta......!!!!!!!!!
|