Fauzia Mai apko kisi cheez ke lye convens nahi karna chahti.ap khu dbohat mature hain samajhdar hain,aur apne Halaat ap sab se behtar tor pe janti hain...
ap ye bhi janti hain ke is Rishte ke na hone me main Problem kya hai ya kis ki taraf se hai...
Lekin..mera phir bhi ye khayal hai ke agar apko apne cousin se pyar hai,aur unko bhi apse pyar hai(if you are sure ke wo apke sath sensire hai)to apko unhe ek chance dena chahye...
ap unhe Time dain,unhe kahain ke if he loves you to apne Parents ko pehle Rishta bejhne ke lye Razi kare...aur agar unki Taraf se Rishta a jata hai to apko bhi apne Parents ko convens karna hoga..
agar uski taraf se koi reselt nahi ata,to ap bhi unse khamoshi se taluk khatam karlain...aur kisi munasib jaga shadi karlain...
apni Pasand se Shadi karna humare mazhab me Gunnah nahi hai....meri cosuin ne bhi apni pasand se shadi ki hai,aur ladke ne 2sal ki mukhalfat ke bad apne parents ko razi kar liya...thats mean wo in two years me zara bhi piche nahi hatta...to agar apke cousin me itni willpower hai apko hasil karne ke lye to use qadam uthana chahye,.aur agar wo bhi Halat ke hath sab kuch chod raha hai to use apse akaile me milne ki batain nahi karni chahyen...
ap Khuda pe chod dain,iska Faissla inti jaldi na karain ke apko kya karna chahye..khuda se Rehnumayi ki Dua mange..aur Halaat ke hisab se jo ho use exept karlain...
age ap zyada behtar samajhti hain---i wish you all the best |