Re: Early Discharge: All Things Written Wrong Is dunya main aksar log nahi samjhte ke doctor unko jo advice de raha hai wo unke lye behtar hai. Bohot sare log doctors ko bura kehte hain. Magar bahesyat e doctor hum unki batoon ka bura nahi manate. Kyunke wo abhi unaware hain. Bahar haal. Jahan tak Premature Ejaculation ka taaluq hae to ye masala sari dunya main Aam Hai. Hum ye baat 200% yaqeen se kehrahe hain ke 99% cases main ye ek nafsyati masala hai. Lehaza is per qaboo pana Bohot aasaan hai agar aap ki Will Power strong he to. Warna ye masala hal nahe ho satka. Aap agar chahte hain ke aapko sex main bherpoor maza aye to pehle elaj kerwalen. Sari zindagi maza lelejeye ga. Ulti ginti ginte hua bhi app ko maze ki padi hui hai. Dawai khate hue kyun nahi sochte ke dawai mazedaar kyun nahi hai.
Jin kitabon ka aap ne zikar kya hei un main sakdon tareque dye hue hain is marz pe qaboo pane ke lye. Agar kie tareeqa kamyab nahi horaha to agla istemal kerke dekhen. Agar phir bhi aap ko tassali nahi hoti to Sexologist se mil legye.
Agar aap ko fayeda nahi horaha to ismain bechri masoom website ka kya qasoor hai. Zahir he elaj ke leye dawai mareez ko khani hote hai na ke doctor ko. |