Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

 
 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic |Forum | Procedure | Health| Sex | General | Site Map
Men Health | Women Health | Procedure| Pakistani Matrmonial
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married | Junk , Spam, Irrelevant & Repeated Post
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
 
    Start New Topic  My Profile
 

Dostana Shairi

Urdu   >>  Urdu Poetry
 
 
 
Be Happy Group: Members  Joined: 25th Aug, 2008  Topic: 15  Post: 243  Age:   
Posted on:6th Aug 2009, 2:25am
 

Dostana Shairi

Dosti naam hai saath daine ka,
Dosti naam hai insaniat ka,

Dosti naam hai khuloos ka,
Dosti naam hai khushiyan daine ka,

Dosti naam hai dil mai utarne ka,
Dosti naam hai doost ki burai dafan karne ka,

Dosti naam hai apnaiyat ka,
Dosti naam hai bharoose ka,

Hai woh shakash bohat anmol,
Joo sachhee dosti ke mazbut,
Bandhan mein bandha hua hai



Be Happy Group: Members  Joined: 25th Aug, 2008  Topic: 15  Post: 243  Age:   
Posted on:6th Aug 2009, 2:30am
 

Koi To Dost......!

Koi to dost meri zindagi men aisa ho

Mohabbaton ki tarah ho wafaon jesa ho

Meri talash ki had us pe khatm ho jaye

Zameen pe ho mgr Asman jaisa ho
Be Happy Group: Members  Joined: 25th Aug, 2008  Topic: 15  Post: 243  Age:   
Posted on:6th Aug 2009, 2:35am
 

Ay dost


Ay dost zara aur kareeb e rag e jaan ho
Kia janay kahan tak shab-e-hijran ka dhuwan ho


Mein ek zamanay say tumhein dhoondh raha hon
Tum ek zamanay say khuda janay kahaan ho


Mein uss ko teray naam say ta’abeer karon ga
Wo phool jisay qurbat-e-shabnam bhi garaaN ho


Shayed yeh meri ankh say girta hua ansooo
Ahbaab ki bhooli hoey manzil ka nishaan ho
Be Happy Group: Members  Joined: 25th Aug, 2008  Topic: 15  Post: 243  Age:   
Posted on:6th Aug 2009, 2:38am
 

Kuch Dost


Kuch Dost aise hote hain ,
Jo dil main bas jate hain.
Jo zindagi ki rahon main ,
hum se bichar jate hain.
kuch dost aise hote hain ,
jo raat main yaad aate hain.
aur raaton ki tanhaai me rulaate hain ,
kuch dost aise hote hain ,
jo phoolon ki tarah hote hain.
jo khud to chale jate hain,
per apni mahek chor jate hain.
kuch dost aise hote hain ,
jo zindagi tor dete hain.
per zindagi ki raahon me tanha chor detey hain.
kuch dost aise hote hain,
jo chaand ki tarah hote hain ,
jo daag to bahut rakhte hain per
khubsurat nazar ate hain.
kuch dost aise hote hain ,
jo patthar ka dil rakhte hain ,
jo shisha-e-dil tor jate hai!
Be Happy Group: Members  Joined: 25th Aug, 2008  Topic: 15  Post: 243  Age:   
Posted on:6th Aug 2009, 2:41am
 

Aapsa Dost

Dua" hai rab se kabhi aapko,

dard ka ehsaas na de.........

Pal koi aisa na guzre,

jab mushkilo me hum saath na de.......

Tujhse dosti karne ka hisaab na aaya,

Mere kisi bhi sawal ka jawab na aaya,

Hum to jagte rahe tere hi khayalo mein,

Aur tujhe so kar bhi hamara khawab na aya.
Abhi abhi toh muskurane lage hain,

Har aansu ko daman se bachane lage hain,

Yah Khuda yeh dosti ke lamhe jaldi naa guzre,

Aapsa dost paane me hame zamane lage hain......



Be Happy Group: Members  Joined: 25th Aug, 2008  Topic: 15  Post: 243  Age:   
Posted on:6th Aug 2009, 2:48am
 

Yun Dost Saarey

Yun dost saarey apney apney rastey badal gaye

kuch peechey ruk gaey to kuch aagey nikal gaye

Haalaat ki dhoop zaraa si deir ko teiz kya hui

jitney wafaa kay peikar they saarey pighal gaye

Waadoo kay taarey raatoo sey baahar na jaa sakey

iraadoo kay din nikalney sey pehley hi dhal gaye

Wafaaon kay rang shabnam kay qatroo ney dho deeye

mohabbat kay phool jazboo ki 'shiddat' sey jal gaye

Taanoo kay teer dunya ki kamaanoo pay jab charrhey

sabar kay daaman haathoo sey yak'dam phisal gaye

Aankhein khulein to khaaboo ko bura laga magar

kuch deir wo reh ke muztarib khud hi behal gaye

Pehley pehal to ajeeb lagey badley huwey chehrey

phir yun huwa kay waqt kay saath hum bhi sambhal gaye



Be Happy Group: Members  Joined: 25th Aug, 2008  Topic: 15  Post: 243  Age:   
Posted on:6th Aug 2009, 2:55am
 

Agar Ham Dost Hotey


Agar Ham Dost Hotey
To Karam Ki Inteha Kartey
Tumhen Palkon Pey Rakhtey Ham
Tumhen Dil Men Basatey Ham
Agar Tum Rooth Jaatey To
Tumhen Kitna Manatey Ham
Jo Milney Tum Nahi Aatey To
Aa kar Khud Tumhen Miltey
Tumhari Laghzishon Ko Bhi
Hansi Main Ham Ura Detey
Agar Apni Khata Hoti
To Khud Ko Bhi Saza Detey
Magar Ye Sab Jabhi Hota
Agar Ham Dost Hotey To
Magar Itna Hi Jana Hey
K Tum Ney Aaj Tak Ham Ko
Paraya Keh Kar Jana Hey
Kabhi Hamdam Naa Mana Hey
Agar Ham Dost Hotey To......
saim1 Group: Members  Joined: 23rd May, 2008  Topic: 43  Post: 2155  Age:  35  
Posted on:6th Aug 2009, 3:02am
 

be happy

nice poetry

khas tor par kuch dost or yun dost sarey yeah dono bhout achi haien

waqi bus insan key pass bichrey howey doston ki yad hi rah jati hey

kuch achey waqton ki yadien

s4u Group: Members  Joined: 18th Mar, 2011  Topic: 97  Post: 5354  Age:   
Posted on:7th Aug 2009, 1:51am
 

rE:dostana shairi

wah wah kia shairi hai...
Saim aap se aapka konsa dost bichar gya hai?jis ki aapko yad ati h?
Red Chilli Group: Members  Joined: 20th Feb, 2008  Topic: 5  Post: 4968  Age:   
Posted on:7th Aug 2009, 6:36pm
 

Be Happy urff Be Jamalo

Waah waaah waaah....copy paste per main sirf itna he keh sakti hoon.....lolzzzz
Be Happy Group: Members  Joined: 25th Aug, 2008  Topic: 15  Post: 243  Age:   
Posted on:8th Aug 2009, 12:54am
 

Daava-e-Dosti

Daava-e-dosti hai to khulkar mila karo
Yuun saahil'on ki tarah na hat kar chala karo


Hum bhi to aaina hein per be-zubaan nahin
Parchaay'on se apni na baatein kiya karo

Har shaks mere shehr ka tujhko sanam kahe
Yun muskura ke sab ko na apna kaha karo

Bant jaaye na naseeb mera dar-b-dar kahiin
Ghair'on kii mehfil mein na baitha utha karo

Maangein woh roz dil mera aur toadkar kahein
TooTe huwe dilon ke na Tukde chuna karo
Be Happy Group: Members  Joined: 25th Aug, 2008  Topic: 15  Post: 243  Age:   
Posted on:8th Aug 2009, 12:58am
 

Wastey nahi chaltay

Sochnay samajhnay say,
sath sath chalnay say,

doriyan simat ti hain,
faslay nahi chaltay,

khawab khawab ankhon main,
ratjagay nahi chaltay,

darguzar k halqay main,
maslay nahi chaltay,

dosti k raston ki,
parwarish zarori hai,

dosti k rastay main,
khafgiyan nahi chalti,

do dilon ki qurbat main,
Teesra nahi hota,
wastay nahi chaltay.
Be Happy Group: Members  Joined: 25th Aug, 2008  Topic: 15  Post: 243  Age:   
Posted on:8th Aug 2009, 1:10am
 

Saim Arif k naam

Armano ki sej par dosti ne karwat li hai,

Aapke dost ne aapko ye kasam di hai,

Juda ho ke bhi juda na hona,

Warna log kahenge,

Ek dil ne dhadkan Ki jaan li hai
saim1 Group: Members  Joined: 23rd May, 2008  Topic: 43  Post: 2155  Age:  35  
Posted on:8th Aug 2009, 1:45am
 

be happy

bhout nice hey

one more from me

Aik Dost

Aik Dost Mila Tha Aisa

Kuch Baat Thi Us Main Aisi

Jitne Gham Diye Usne

Hum Ne Pyaar Samajh Kar Seh Liye

Jitni Khushiyan Di Hum Ne

Woh Hans Kar Sab Ko Taal Gaya

Aik Dost Mila Tha Aisa

Kuch Baat Thi Us Main Aisi

Dil Main Gar Karna Chahte The

Par Jaaga Na Thi Shayad Khali

Itni Baatein Sooch Kar Us Ki

Raat Bhi Lagi Hamien Pyaari

Us Ki Tareefain Karte Na Thakte The Yeh Lab

Us Ne Jo Bhi Gham Diye Peete Raat Ke Sang

Jab Thokar Maari Us Ne

Tab Huwa Dil Ko Ehsaas

Kyun Mar Baithe Us Par

Jis Main Tha Hi Nahi Kuch Pyaar

Aik Dost Mila Tha Aisa

Kuch Baat Thi Us Main Aisi

Be Happy Group: Members  Joined: 25th Aug, 2008  Topic: 15  Post: 243  Age:   
Posted on:8th Aug 2009, 1:46am
 

Kabhi Aansoo,Kabhi Khushi

kabhi aansoo kabhi khushi bechi
hum gharibon ne bekasi bechi
chand saanse kharidne ke liye
roz thodi si zindagi bechi
jab rulane lage mujhe saaye
maine uqta ke roshni bechi
ek hum the ke beek gaye khud hi
warna duniya ne dosti bechi
Be Happy Group: Members  Joined: 25th Aug, 2008  Topic: 15  Post: 243  Age:   
Posted on:8th Aug 2009, 1:48am
 

Saim Arif

buhot achi likhi hai.omeed hai aap yahan mazeed achi achi shari likhein gi.
saim1 Group: Members  Joined: 23rd May, 2008  Topic: 43  Post: 2155  Age:  35  
Posted on:8th Aug 2009, 1:49am
 

one more

Yeh aur baat hai dushman hoa hai aaj magar
woh mera DOST tha kal tak usey bora na kaho
Be Happy Group: Members  Joined: 25th Aug, 2008  Topic: 15  Post: 243  Age:   
Posted on:8th Aug 2009, 1:54am
 

yeh kaisi dosti tehri?

Yeh kaisi dosti tehri
Yeh kaisa waasta tehra
Tumhen masroof dunya main
Meri khaatir fursat ka
Koi lamha nahin milta

Na pehli si woh qurbat hai
Na ab milnay ki chaahat hai
Sitam kaisa hai yeh aakhir
Tumse ab baat kerna bhi
Mujhe lagta hai naa-haasil

Tumhen ik harf likhna bhi
Hua hai ab to na-mumkin
Mager phir bhi mujhe tum se
Mohabbat hai, mohabbat hai

Mujhe yeh bhi khabar hai tum
Yeh dil naa-shaad kar-do gay
Karo gay to faqat itna...
Mujhe barbaad kar-do gay
saim1 Group: Members  Joined: 23rd May, 2008  Topic: 43  Post: 2155  Age:  35  
Posted on:8th Aug 2009, 1:55am
 

wow

bhout khoob
saim1 Group: Members  Joined: 23rd May, 2008  Topic: 43  Post: 2155  Age:  35  
Posted on:8th Aug 2009, 1:58am
 

arz kiya hey

Main wohi hoon

Main wohi hoon jise Tum Dost kaha kartey the
Din mai 100 baar Mera Naan liya karte the

Aaj kya Baat hai Kiyo Mujh se Khafa bethe ho
Kya kisi or ko Dost bana bethe ho?

Faasle itne to Pehle na hua karte the
Main wohi hoon jise Tum Dost kaha karte the

Tum agar Bhool gaye to koi Baat nhi
Zakham to pehle bhi is Dil per laga karte the

Main wohi hoon jise Tum Dost kaha karte the
Din mai 100 baar Mera Naam liya karte the

1 2  >>
 
 
 
Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
Pakistani Urdu Magazine Pakistani Matrimonial Seo In Urdu World Information Pakistan Information Sehat In Urdu
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact UsLast Updated: 28th March 2013