myrizvi |
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 115 Post: 6805 Age:
54
|
|
Posted on:18th Aug 2009, 11:34pm |
|
|
Dosri Shadi: Kia Aurat Kanware Mard Ka Interzar Hi Karte Rahe? kia har saahibay hasiyat mardoun ko aik say zayad shadi karni chahaiyeh?????? haan yaa nahi
if NOT than...
kia kanwaray shauherouN k hasool maiN nakaam laRkiyouN ko sari omar shadi k beghair rahnaa chaahiyeh?????? kia woh be.raah rawi ka shikaar howay beghair hamaray mo'aashray maiN sari omer tanhaa rah sakti haiN.......
wazah rahay k hamray haaN laRkouN ki tadaad kam aur laRkiyoun ki tadaad zeayad hai...... dunyaa k beshtar momaalik ki tarah |
~~HITMAN~~ |
Group: Members Joined: 09th May, 2011 Topic: 122 Post: 4287 Age:
28
|
|
Posted on:20th Aug 2009, 8:23pm |
|
|
rE: Dosri Shadi:Kia Aurat Kanware Mard Ka Interzar Hi Karte Rahe? Apke khayal main konsi aurat chahay gi kisi shadi shuda mard se shadi karna?......aur konsi aurat bardaasht karay gi kisi sotan ka ana
Ab agar mard dosri shadi karnay jayega bhi tou pehli biwi aesa nahi chahay gi aur wo mard ruk jayega uski wajah se aur agar nahi rukay ga tou pehli wali alag hona chahay gi. is tarha ek jayegi aur ek ayegi wali baat hojayegi.
aur agar ek kunwari aurat k liyain ek shadi shudah mard ka rishta ayega tou wo usay kyun accept karay gi jab bachpan se hi wo ye khuaab banati hoe arahi hai/usay sikhaya jaraha hai k ek shehzada ayega aur mujhe apne saath lejayega aur hum akele hansi khushi rahainge ya phir wo ye sochay gi k akhir main nay kya kosoor kia hai jo ek shadi shudah mard se shadi karon, kya mera hak nahi banta kisi kunwaray mard se shadi ka....
Ab in baton ki roshni main apke topic ka conclusion yehi nikalta hai k ya tou aesa nizaam ho har ghar ka ya mashiray ka jismain dosri shadi karna mard ka ya aurat ka shadi shuda se shadi karna ya ek shadi shuda aurat k upper sotan lana mayoob na samjha jata ho aur sab normally in baton ko accept kartay hon. aur agar dekha jaye tou current mashira iske bilkul bar aks hai.......
|
saahilbhai |
Group: Members Joined: 31st Oct, 2007 Topic: 17 Post: 971 Age:
28
|
|
Posted on:21st Aug 2009, 12:38am |
|
|
magar yaar yeh sab hamare muashre mein mayoob kiyon samjha jaata hai, jabke Islam mein 4 Shadiyon ki ijazat hai, aur agar koi aisa mard jo kisi be shara aurat ko sahara dene k liye dosri shadi karna chahta hai aur woh iss ki istitaat bhi rakhta hoo to uss ki pehli biwi usse kiyon accept nahi kar sakti. |
Bewaqoof |
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 253 Post: 4334 Age:
38
|
|
Posted on:21st Aug 2009, 12:42am |
|
|
re: second marriage and girls iss topic per pahle bhi discussion ho chuki hai, read my posts
|
myrizvi |
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 115 Post: 6805 Age:
54
|
|
Posted on:21st Aug 2009, 9:21am |
|
|
sorry bewaqoof, meri nazar in posts par pahlay nahi paRi thee... warnah shayad maiN yeh post nah kartaa aur tumhaiN neraa bewaqoof nahi samajhtaa lol |
insan |
Group: Members Joined: 31st Jul, 2009 Topic: 12 Post: 463 Age:
|
|
Posted on:21st Aug 2009, 11:54pm |
|
|
asal main.....! aik baat yeh bi hy myrizvi sahib k yahan hamarey muashery main aik hi bivi sy logoon k 5/6 bachey hoo jatey hain k doosi shadi kr k "bandy ny 2 time di rooti khan toun wi jana aien".....lolzzz
wasiey app molvi hazraat ki aik sy ziyada shadiya krny wali baat itni psandeeda kion hooti hey ......yar app main power kia ziyada hooti hey halwa kha kha k.... q k phly b thead guzr chukey hain aour app hain k doobara sy dosri shadi................................................ |
myrizvi |
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 115 Post: 6805 Age:
54
|
|
Posted on:22nd Aug 2009, 3:05am |
|
|
mard ki aik shadi say.... 1.dunyaa maiN aanay walay bachoun ki tadaad 'kam' nahi hojaati..... jiss rooh nay dunyaa maiN aanaa hai woh zaroor aayegaa khaah "jaiz aulaad" ki soorat maiN aa.ay yaa 'haraami aulaad" ki shakal maiN....... dunya main jahaaN jahaaN qanoonan aik biwi allowed hai wahaaN harami aulaad ki tadaad zeyadah hai.....
2.mardoun maiN (naa.mardoun maiN nahi) amooman aik say zayad biwi ko sambhaalnay ki taqat hoti hai....... deeay islam maiN bhi agar dekha jaa.ay to hamaray piraya nabi sallallaho alihay wasallam nay kaii shadiyaaN ki... shabah nay bhi kaii shadiyaaN ki... deger mazahab maiN bhi aik say zeyadah shadiyaan hoti rahi haiN........ issi liyeh Allah nay aurtain zeyadah takhleeq ki hain aur mard kam |
insan |
Group: Members Joined: 31st Jul, 2009 Topic: 12 Post: 463 Age:
|
|
Posted on:22nd Aug 2009, 12:09pm |
|
|
ji jnab myrizvi sahib janab app ko agr mairi batoon ka ghussa laga hai ya app ny feel kia hey k main ny shaid app ko tease kia hey to yeh ap ka wahm hi hoo skta hai haqeeqt nhi
baqi baat rahi aqa-e-dojhan, nabi karim (s.w.w) ki shadioun ki ya sahaba kram ki to shaid uss wqt to ye logik rhi ho gi k islam ka halqa kuch kam hai lihaza iss ko mazeed jila bahshney ke liye agr aik sy ziyda shadiyan ki jaien to bhtar hooga.....iss sy olad to muslim ho gi hi saath saath wo aourt bi muslim ho gi jis sy shadi ki jaye gi
laiken feezmana jo shahs mhz aolad brrany k liye ye logik peish krey k jis rooh ny zameen pr ana hey uss ny aa k hi rehna hai chahey hram ho ya halal....to ye uss shahs ki ayashi k zumrey main hi aye ga aour kisi khatey main nhi ...... ye logik aik bivi k hoty howey b to peish ki jaskti hey.... yani jis rooh ny zameen pr ana hey uss ny aa kr hi rehna hey .....iss logik ko hum agr dosri tesri ya chouthi shadi sy mshroot kr daien to ye kahan ka insaaf hooga...
teesri baat ye hey k amm umti k liye aik sy ziyada shadioun ki ajazt hey lkn aik bivi k hootey howey nhi....maswaye iss k keh phli bivi by jabro krah wa br razi ur raza ijazt dy.... laiken agr phli bivi main koi shrie uzr na ho..... to dosri teesri ya phir chouthi bivi ko pehli bivi k hotey howey rakhna theek nhi iss msley ki wzahat kuch theek treeqy sy hum ny qbool hi nhi ki.....hum smjtey hain k aik bivi mojood hoo aour doosri shadi ka koi shrei jwaz b mujood na hoo phir b aik mard doosri shadi kr skta hai bulky 4 shadiyan kr skta hai.....nhi bulky iss ijazzt ki tarteeb kuch iss trah hey k agr aik bivi ko tllaq dy di ya wo qzaye elahi sy wfat pa gayee ya uss main koi shrie uzr yani oulad ka na hoona,paghal hona,byhiya hona waghaira waghaira ...tab to biterteeb dosri tesri ya phir chouthi shadi wali option pr amal kia ja skta hey...warna nhi.....
|
myrizvi |
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 115 Post: 6805 Age:
54
|
|
Posted on:25th Aug 2009, 5:08am |
|
|
warnah nahiii hamaray role models taa qayamat Nabi akram sallallaho alihay wasalam aur sahabaa karaam RA haiN....... kia onka tareeqah e kaar aisaa hi thaa yaa woh bayak waqt bhi aik say zeyadah biwiyaaN rakhtay thay.....
jin logouN kay role models koi aur houN, woh onki nishandahi bhi karaiN :)))))
|
naamshahid |
Group: Members Joined: 23rd Jul, 2009 Topic: 6 Post: 116 Age:
32
|
|
Posted on:25th Aug 2009, 5:30am |
|
|
Second marriage second marriage ho sakti hai, aik se ziada shadia krne ki logic kia hai, yeh tou ap sab jante hai k is dunia mai mardo ki nisbat aurto ki ratio ziada hai means aurtein mardo ki nisbat ziada hai kia aisi surat mai un aurto ko muashre k reham karam per chor dia jaye k wo buraayee ki taraf jaye, aik se ziada shahdian ho sakti hai yeh tou ap log jante ho k her insan ki khawhish hoti hai k wo sex kre q k yeh aik natural fact hai hai jis mai her sex opposite sex ki taraf mayal hota hai
ab agar wo aurtein jin ki shadian nahi hoti kia wo illegal sex activities mai nahi jaye gi, illigal sex activities se bachne k liye yeh allowed hai islam mai, starah wo aurtain jin ki shadian nahi hoti wo public property ban jaye gi means wo galat tareeqa adopt kre gi jis se un aurto ki b izzat muashre mai majrooh ho gi, islam ne aurto ko b aik maqam diya hai aur wo chahta hai k yeh muqam us ka barqrar rehe her surat mai, is liye agar aik aurt ko kahe se parposal nahi ata kisi kanware larke ka tou wo chahe tou shadi shuda mard k sath shadi kr sakti hai is tarah se wo illigal activities se bach jaye gi
Aurtain jin ki already shadi hoti hai wo kisi dosre mard se shadi nahi kr sakti us ki logic yeh hai k agar aik aurat aik se ziada nikkah krti hai at a time means us k husbands aik se ziada hote hai aik hi waqat mai tou phir jis bache ki paidash ho gi us ko orginal baap ka naam nahi mile ga means is surat mai yhe kehna mushkal hai k yeh falah shakhs ki ulaad hai is liye aurat ko islam ne mana kia hai at a time aik se ziada nikkah krne ko
rehe baat Hazrat Muhammad SAW ki tou unho ne jo shadia ki thi wo is liye ta k us ki ummat ko pata chal sake k kin aurto se shadi ki ja sakti hai q k zamana jahliyat mai kisi bewa se shadi krna mana tha is k elawa b bohat si galat rasoomat thi AP SAW ne wo rasoomaaat ko khatam krne k liye shadia ki thi |
myrizvi |
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 115 Post: 6805 Age:
54
|
|
Posted on:20th Apr 2013, 2:30am |
|
|
for new comers please read n comment |
lifestyle |
Group: Members Joined: 24th Jan, 2009 Topic: 1 Post: 568 Age:
39
|
|
Posted on:20th Apr 2013, 5:56am |
|
|
rep in hi rasoomat ko khatum karnay k lya nabi sallal laho alehe wasalam nay apny moon bolay bety ki bivi sa bhi shadi ki thi. K log is ko ghalt samjhty thy. |
My Reply |
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 2 Post: 2124 Age:
45
|
|
Posted on:21st Apr 2013, 1:51am |
|
|
doosri shaadi aksar khawateen halaat ke tehat doosri bivi ban'ne ko tayyar hai lekin pehli bivi doosri ko qabool kerne ko tay'yar nahi.
|
|