Agar aap ko apne mahwari chakkar ki tareekhain theek se yaad ho tu koi mushkil nahi honi chahiye. gizishta mah ke pehle din se mahiney ginna shuru kya jata hai. yaani jis tareekh ko mahwari aana thi agar os per nahi aai tu samajh lena chahiye ke istaqrar e hamal huye aik mah ho chuka hai. Iss tarah 9 mahinay ka hisab lagaya jaata hai aur phir os mei saat din shamil ker diye jaatay hai. saat din shamil kerne ke baad jo tareekh aati hai ose zachgi ka din tasleem kya jaata hai. waise zachchagi ka din muqarrar kerna kisi ke liye mushkil hai kiokeh tareekh ke aage peeche hona mamooli baat hai.