Yeh sach baat hai keh zachchagi ke baad bohot jald hi ziadah mehnat wali warzishain nahi kerni chahiye. agar zachchagi bilkul normal tareeqay say huyee hai aur aurat khood ko sehat mand mahsoos ker rahi hai tu 25 din se aik maheenay aur bohot warzishain ki ja sakti hai. lete lete tangain seedhi ker ke oopar uthain phir neechey le aain khari ho ker hath ooper phailain aur jhuk ker paoon ka angootha chooain lekin iss se ziadah nahi aur yeh bhi doctor se pooch ker hi karain. dieting bhi doctor se pooch ker karain aur aik diet chart banain takeh aap ke jism ko qoowat bakhsh ghiza milti rahe. kuch maheeno ke baad aap doctor ki raaye se warzish barha sakti hai lekin tab bhi dieting aisi karain ke mutapa tu kam ho lekin jism kamzor na ho. aap ke doosre sawal ka jawab yeh hai keh maa baap ka aik jaisa blood group hone se bachche ki sehat per koi asar nahi perta hai.
Wazan Kam Nahi Ho Raha Hai - Noor Clinic