Aap bekar ki baatain soch ker pareshan na ho. khoon test tu aik chota bachcha bhi kerwa leta hai. iss mei sirf chionti ke katay jaisa ihsaas hota hai aur rahi baat zachchagi ki tu kehtay hai keh zachchagi ka dard bohot takleef deh hota hai. lekin dekha gaya hai keh aurton ko zachchagi ke waqt yeh dard badasht kerne ki qoowat khood bakhood mil jaati hai. aaj kal tu beghair darrd ke zachchagi ki sahoolat mojood hai. Aap ko yeh maloom hona chahiye ke hamal ke doraan aur zachchagi ke doran kuch aise hormone nikalte hai jo poori andam nahani aur koolhe ke reshon mei dheelapan paida kersakti hai. Qudrati phailao aajata hai aur bachcha bari aasani se bahir aa jaata hai. Zachchagi ke baad ke waqt mei jo chalees din ka hota hai yeh dheela pan dobara pehle wali halat mei aa jaata hai.
Mujhe Shaadi Se dar lagta hai - Noor Clinic